Nothing Special   »   [go: up one dir, main page]

Ghairula Se Madad Mangna Aur Ayat

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 45

Abu Bilal

Abu Bilal

(25 -4-2019)
GHAIR ALLAH SE MADAD MAANGNA AUR
AAYAT MUBARAKA:

👉 BARELWI AQEEDAH
allah taala ke nek bande allah taala ki ata se madad
farmate hain, allah taala ke nek bandon ko allah
taala ki zaat ka muzahera jaan kar unse madad
talab karna jaye hai
BARELWI DALAIL
” beshaq allah unka madadgaar hai aur jibreel aur
nek amaal waale aur uske baad farishte”
(surah tahreem ayat 4)
Abu Bilal

” tumhare madadgaar nahi magar allah aur uska


rasool aur imaan waale”
(surah maida 55)
” aiy imaan waalon sabr aur namaz se madad
chhaho”
” aiy iman waalo deen e khuda ke madadgaar ho,
jaisa isa ibn maryam ne hawarion se kaha tha kaun
hai jo allah ki taraf hokar meri madad kare”
(surah saff ayat no 14 para 28)

👉 JAWAB:
allah taala ka irdhaad hai:-
” beshak allah ye maaf na karega ke uske saath
shareeq kiya jaaye aur uske elaawah wah jise
chaahe bakhs dega “
(surah nisa 48)
yahan is baat ko zahen nasheen kar len ke
bila’shubah ye bhi hukumat e ilaahi hai ke usne is
TAWHEED E WAHYAT ka daaiee koi aisa NABI nahi
bheja jiske bahut se dushman na banaaye hon,
jaisa ke farmaan e ilaahi hai
Abu Bilal

” aur isi tarah ham ne nabi ke liye jinno aur insaano


se shaitaan shifat dushman banaaye, jo ek dusre ke
dil me dhokah wa fareb kaari ke liye malmua ki hui
baatein daalte rahte they”
(surah anaam 112)
allah ke deen (seeraat e mustaqeem) par chalne ke
liye us raah par baithe hue ahle ilm ke Dalail,
dushman e deen se saamna huwa karta hai, toh
aapka farz hai ke taalimaat e nabwi se wabasta ho
jaayen, taake un shyaateen ka muqaabla kar saken
jinke qaid aur sarghane iblees laeen ne ra bb e zul
zallal se kaha tha:
” main (unhe gumraah karne ke liye) teri seedhi
raah par baithoonga, phir unke paas unke aage se,
peeche se, daayen taraf se, aur baayen jaanib se
aaunga, aur tu unme se aksariyat ko shukr karne
waale nahi paayega”
(surah aaraaf 16, 17)
lekin jab aapne allah ki taraf ruju kar liya, uske
dalail wa baraaheen ki taraf mutawajjoh ho gaye
toh phir koi khauff wa khatrah aur fikr wa gham na
Abu Bilal

karen, kyonke qur’an wa hadith ke saamne hasab


e irshad e ilaahi hai
” shaitaan ki chaalein badi kamzor wa be’buniyaad
hoti hain “
(surah nisa 74)
ahle tawheed me se sirf ek aadmi bhi un
mushrikeen ke hazaaron ahle ilm par ghaalib aa
jaayega, jaisa ke allah ka irshaad hai
” yaqinan hamaare (mukhlis bandon ke) lashkar hi
un par ghaalib hain”
(surah suffaat 173)
ahle baatil koi bhi daleel hujjat pesh karen, qur’aan
paak me uske tod ka saamaan maujood hai,
chunanche allah ne farmaya:
” wah koi baat bhi laayen ham aapko haq baat
pahuncha dete hain, aur bahut accha khol kar
bayaan kar dete hain”
Ab ham aapke saamne kitaab e ilaahi ke wah
maqaamaat zikr kiye dete hain jo maujoodah
mushrikeen ki un baaton ka jawaab hai jo unhone
apne liye daleel wa hujjat qaraar de rakhe hain,
Abu Bilal

ham kahte hai ke ahle baatil ka jawaab do tarah se


hai
1-mujammal
2- mufassal
MUJAMMAL JAWAB:
Kisi bhi saaheb e aqal wa daanish shakhs ke liye
bahut buland aur intehaai mufeed baat allah taala
ka ye irshaad giraami hai
” wahi hai jisne aap(sws) par kitab naazil farmayi,
iski baaz aayat zaahir al maana(mohkam, bahut
sareeh) hain jo kitaab ki jad aur asal hain, aur baaz
aayat mutshaabeh (milti julti) hain, pas jin logon
ke dilo me mail (kazi) hai wah fitna pardaazi aur
aqli taaweelaat ke liye un mutshaabeh aayaat ki
pairwi karte hain, haalaanke unki TAWEEL allah
ke siwa koi nahi jaanta”
(sura imran 7)
aur rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh)
Ek sahih hadith me farmate hain
Abu Bilal

” jab tum un logon ko dekho jo mutshaabehaat ki


pairwi karte hon toh unse bacho kyonke unhi
logon ka allah ne zikr farmaya hai”
(bukhaari, muslim, abu dawood)
iski misaal is tarah hai ke jab koi mushrik aapse
kahe ke allah ne farmaya hai:
” sun lo ke jab allah ke dost hain, unhe na kuch
khauff hoga aur na wah ghamzada honge”
” bila’shubah shafaa’at haq hai aur beshak allah ke
yahan ambiya ki khaas qadr hai “
ya wah nabi e akram rasoollullah sallalaho alaihi
wasallam(pbuh) ki koi hadith apne baatil
nazariyaat ke jawaaz ke liye pesh kare aur aap uski
zikr kardah wah baat ka maana wa matlab nahi
samjhte toh aap is tarah jawaab den ke:-” allah
taala ne apni kitaab qur’aan majeed me un logon
ka zikr farmaya hai jo kaz faham wa kaj ro hain aur
mohkam (bahot sareeh) aayaat ko chhod kar
mutshaabehaat (milti julti) ki pairwi karte hain,
aur maine allah ka jo farmaan Zikr kiya hai use
wah bhi bataayen ke mushrikeen e makka
tawheed e rubuwiyyat ke qayel they magar unka
Abu Bilal

kufr malaika (angel), ambiya aur awliya se ghalat


wa beja talluq ki wajah se tha, aur ye bhi bataayen
ke wah kahte they:
” ye toh allah ke yahan hamaare shifaarishi hain “
ye wah baat aur aayat hai jiska maana saaf hai jiska
maana badalne ki kisi me zurrat nahi “
qur’aan paak aur hadith e rasool (rasoollullah
sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ) se jo kuch zikr
kiya hai, main toh uska matlab nahi samjhta magar
ye bilkul saaf baat hai ke allah ke qalaam me
tazaad(ikhtelaaf) ya tanaaqis nahi hai, aur na hi
hadith e rasool [rasoollullah sallalaho alaihi
wasallam(pbuh)] qalaam ullah ke mukhaalif hoti
hai,
aap is aayat ko mamooli na samjhen, lekin isi
samjh wahi sakta hai jise tawfeeq e ilaahi haasil ho,
jaisa ke allah ka irshaad hai
” nahi Samjhaai jaati ye baat magar un logon ko jo
sabr karte hain aur unhe seekha sakta use magar
jo bade naseeb waala hai “
(surah fussilaat 35)
Abu Bilal

👉MUFASSAL JAWAB:
Allah ke dushmano ko deen e ambiya wa rasool
(as) par bahut se aitraazaat aur shak wa shubuhaat
hain jinki badaulat wah logon ko isse barghalaate
aur rokte hain
AAPKA(BARELWI) KAHNA HAI:
” ham allah ke saath shirk nahi karte balke
gawaahi dete hain ke us allah wahdahu la shareek
ke elawah na koi paida karta hai, na rizq deta hai,
na ko nafa de sakta hai, aur nahi nuksaan
pahuncha sakta hai, hatta ke hazrat rasoollullah
sallalaho alaihi wasallam(pbuh) bhi apni zaat ko
nafa wa nuksaan pahunchaane ki taqat nahi
rakhte, agarche peer abdul qaadir jeelaani (rh) ya
koi dusra ho, LEKIN main gunaah gaar hoon, jabke
awliya wa saaliheen ko allah ke yahan bada
maqaam haasil hai, lihaaza main unke zariye
(waseela) se allah se maangta hoon “

👉 JAWAAB:
jin mushrikeen ke saath rasoollullah sallalaho
alaihi wasallam(pbuh) ne JIHAAD kiya, wah bhi is
Abu Bilal

baat ke iqraari they, jiska aapne zikr kiya hai, wah


bhi maante they ke unke ye but(idol) koi kaam
nahi sawaarte, unhen toh unki jaah hashmat waali
shifaarish chaahiye thi, aur uske mutaallik
kitabullah ki aayat padh kar masla ki wazaahat
karen”
barelwi kahte hain ke ye aayat toh un logon ke
baare me utri hai jo buton ko poojte they, awliya
allah aur buzurgon ko aap but kis tarah bana rahe
hain ya ambiya ko faut shuda kaise kah sakte hain
??

JAWAAB:
baaz Kaafir toh buton ko pukaarte they aur unme
se baaz to aisi bhi they jo awliya kiraam ko
pukaarte they jinke mutaallik farmaan e illaahi hai
” ye log jin ko pukaarte hai aur apne rabb ki taraf
WASEELA dhoondhte hain, un mese bahut nazdeek
kaun hai ?”
(surah bani israel 57)
wah hz isa (as) aur unki maa ko pukaarte they…
Allah taala ne farmaaya
Abu Bilal

“nahi maseeh ibn maryam magar paighambar,


unse pahle bahut se paighambar ghuzre hain, unki
maa siddeeqiyah (waliyah) thin, wah dono khaana
khaate they, dekh ham un logon ke liye
nishaaniyan kaise bayaan karte hain, phir dekh ke
ye kahan se paltaaye jaate hain, kah dijiye ke kya
tum siwaaye allah ke aisi cheezon ki ibaadat karte
ho jo tumhaare nafa wa nuksaan ka ikhtiyaar nahi
rakhti, aur allah hi sunne waala aur jaanne waala
hai”
(surah maida 75-76)
aur allah taala ka irshasd hai
” aur jis din (allah) un sabko ikattha karega phir
farishton ko Kahega ke ye tumhaari ibaadat karte
they, wah kahenge:- tu paak hai, tu hi hamaara
kaarsaaz hai, inki bajaaye, balke ye jinno ki
ibaadat karte they aur unki aksariyat jinno par
imaan rakhti thi “
(surah saba 40, 41)
aur allah taalla ne farmaya:
” aur jab allah ne kaha ke aiy isa bin maryam ! Kya
tune logon ko kaha tha ke mujhe aur meri maa ko
Abu Bilal

allah ke elawa apna mabood banaayen ? Isa


kahenge:- aiy paak parwardigaar ! Mujhe wah baat
kahne ki kya padi hai jiska kahne ka mujhe koi haq
nahi, agar maine ye baat kahi hui hai toh tu jaanta
hai kyonki tu mere dil ke raazon ka waaqif bhi hai
aur main tere dil ki kisi baat ko nahi jaanta, beshak
tu hi ghaib ka ilm rakhne waala hai “
(surah maida 116)
ab aapko ilm ho gaya ke jisne but ki taraf ruju kiya
usne kufr kiya, jisne saaliheen aur buzurgon ki
taraf ruju kiya usne bhi kufr kiya,
aur rasoollullah sallalaho alaihi Wasallam (pbuh)
ne unke saath jihaad kiya tha,
BARELWI AQEEDA:
BARELWION KA KAHNA HAI:- kaafir to un buton se
muraaden maangte they, jabke main shahaadat
deta hun ke bila’shubah nafa dene aur nuksaan
pahunchaane waala kaarsaaz sirf allah hi hai, aur
usi se hi maangta hun, nek logon ko bas me toh
kuch nahi…. Main allah ke yahan unki sirf
shifaarish ki ummeed par unka qasad karta hun
Abu Bilal

👉. JAWAB:
Ye hu bahu kuffaar wali baat hai,
allah taala ka irshad hai:-
” jinhone allah ke bajaaye awliya (aur peeron) ko
poojna shuru kiya wah bhi kahte hain ke ham unhe
isliye poojte hai taake ye hamen allah ke
muqarrabeen bana den”
(surah zumar 3)
aur irshaad e rabbani hai:
” aur wah kahte hain ke ye (but, wali, peer ) allah
ke yahan hamare shifaarishi hain “
(surah younus 18)

BARELWI AQEEDA:
BARELWI kahte hain ke:-” main siwaaye allah ke
kisi ki ibaadat nahi karta aur nek logon ki panaah
lena aur tangi wa takleef me mushkil kushaai ke
liye unhe pukaarna koi ibaadat toh nahi”
JAWAB:
Abu Bilal

Kya aap ye iqraar karte hain ke allah ne aapko


khaalisatan sirf apni ibaadat farz ki hai, aur ye
uska aap par haq hai ?
Agar aap ibaadat aur uski anwa wa aqsaam ko na
jaanta ho toh allah paak ka aapke liye irshaad hai
” sirf apne rabb ko aajizi se aur poshidgi se pukaaro

(surah aaraaf 55)
kya aap samjh gaye ke dua aur pukaar allah ki
ibaadat hai
Kyonki Dua toh khaalis ibaadat ka maakhaz hai,
jab aap samjh gaye ke pukaarna ibaadat hai, aur
aane ne shab wa roz wa rija ya khauff wa ummeed
me allah ko pukaara aur phir kisi haajat ke waqt
kisi nabi ya ghair nabi ko bhi pukaara toh kya
aapne allah ki ibaadat me kisi ghair ko shareek
kiya ??
aapke haan kahne ke siwa koi chaarah hi nahi,
allah taala ka irshad hai
” allah ke liye namaz padh aur usi ke naam
qurbaani de”
Abu Bilal

( surah kauthar 2)
aur allah ki farmabardaari ki, aur usi ki naam ki
qurbaani di, kiya ye ibaadat hai ??
agar aap kisi makhlooq, nabi, jinn, bhoot, ya unke
elaawa kisi ke naam ki qurbaani den toh kya aapne
allah ki ibaada me ghair ko shareeq kiya ??
Yaqinan shareeq kiya !!1
wah mushrikeen jin ke mutaallik qur’aan pak ki
aayat Naazil hui hai, kya wah farishton, saaliheen
aur laat wagerah ki ibaadat karte they ???
dar’asal bhaijaan unki ibaadat bhi dua wa zibaah
aur ilteja(waseela) ke siwa kuch na thi..
Balke wah yaqeen rakhte they ke ham allah hi ke
ghulaam hain, usi ke qabzah qudrat ke maathat
hain, aur allah hi kaarsaaz hai, lekin unhone ghair
allah ko unki qadr o manzilat ke pesh e nazar
shifaarish ke liye pukaara aur usne rafa e haajat ki
bheek maangi, unka ye fael bilkul waazeh shirq
hai….
BARELWI AQEEDA:
Abu Bilal

barelwion ka kahna hai ki AHLE HADITH nabi e


akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki
shafaa’at ka inkaar karte hain
JAWAAB
main nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ki shifaa’at ka inkaar nahi karta hun,
balke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) shafaa’at karne waale aur maqbool e
Shafaa’at hain aur main ummeedwaar e shafaa’at
hun,
lekin tamaam tar shafaa’at allah ke haath me hai,
jaisa ke farmaan e ilaahi hai
” tamaam tar shafaa’at wa shifaarish allah ke
akhtiyaar me hai”
(surah zumar 44)
aur allah ke huqm ke beghair kisi ko shifaarish
karne ki ijaazat tak nahi, jaisa ke irshaad e baari
taala hai
” kaun hai jo uske paas (kisi ki ) shifaarish kare ?
Jab tak ke uska huqm wa ijaazat na ho “
Abu Bilal

(surah baqarah 225)


aur jab tak allah paak kisi ke baare me shafaa’at
karne ki ijaazat na denge, shifaa’at na ki jaa sakegi,
jaisa ke rabbul izzat ka farmaan hai
” aur kisi ke liye shafaa’at na karenge, siwaaye uske
jiski shafaa’at par allah ki razamandi haasil ho
jaaye”
(surah ambiya 28)
aur allah ahle tawheed ke siwa kisi dusre aqeedah
waale par razamand na hoga, jaisa ke farmaan e
ilaahi hai
” agar kisi ne islaam ke elaawa koi dusra deen
pasand kiya toh use allah qubool Nahi karega “
(surah imran 85)
jab tamaam shafaa’at sirf allah taala hi ke
akhtiyaar me hai, uski ijaazat ke beghair mumkin
hi nahi aur na hi nabi e akram sallalaho alaihi
wasallam (pbuh) ya koi dusra kisi ke baare me
shafaa’at karega,
Abu Bilal

yahan tak ke unhe raza e ilaahi ka ishaara na mil


jaaye aur raza e ilaahi ahle tawheed ke siwa kisi ko
haasil na hogi,
is tarah jab baat khul kar saamne aagayi ke
tamaam tar shafaa’at allah ke haath me hai toh usi
se hi yun talab karen
” aiy allah ! Mujhe nabi e akram sallalaho alaihi
wasallam (pbuh) ki shafaa’at se mahroom na kar “
” aiy allah ! nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ko meri shafaa’at ka akhtiyaar aur mera
shafaa bana “
aur aisi hi deegar duwaayen maanga karen
BARELWI AQEEDA:
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko
shafaa’at di gayi hai, aur main usi me se talab karta
hun jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ko allah taala ne ata farmaayi hai…

👉 JAWAB:
allah rabbul izzat ne nabi e akram sallalaho alaihi
wasallam (pbuh) ko shafaa’at ata farmaayi magar
Abu Bilal

aapko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam


(pbuh) se talab e shafaa’at ke aqdaam se mana kar
diya hai, chunanche irshaad e rabbani hai:
” allah ke siwa kisi dusre ko mat pukaaro “
( surah jinn 18)
jab aap allah se dua karte hain ke wah nabi e akram
sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko aap ka shafaai
banaaye to uske farmaan
” allah ke saath kisi dusre ko mat pukaaro “
ki bhi itaat karen,
shafaa’at nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ke elaawah baaz ko bhi di gayi hai,
sahih ahadith se saabit hai ke farishte shafaa’at
karenge, awliya allah shafaa’at karenge, aur
shanne shaoor se pahle wafaat paa jaane waale
bacche bhi shafaa’at karenge,
aur kya aap ye kahte hain ki allah ne Unhe
shafaa’at ata ki hai, aur main unse wah talab karta
hun ?
Abu Bilal

Agar aap is tarah kahen toh aap nek logon ki


ibaadat ke shirk me mulawwis hongn, jiska kitaab
e ilaahi me zikr hai,
aur agar aapka jawaab manfi me ho toh aap ka ye
qaul
” ke allah ne unhe haq shafaa’at me akhtiyaar diya
hai aur main isi ata kardah haq se talab karta hun”
( qaul e mushrik)
baatil ho gaya…..

BARELWI AQEEDA:
main kisi ko allah ka shareek nahi banaata, lekin
saaleh buzurgon ko pukaarna aur unse ilteja e rafa
e haajat to shirk nahi hai !

JAWAB:
aap iqraar karte hain ke allah taala ne shirk ko zina
se bhi badh kar haraam wa gunaah qaraar diya hai
aur allah ye shirk kabhi maaf nahi karega,
Abu Bilal

wah kaunsa kaam hai jise allah ne haraam qaraar


diya hai aur jisko wa qattan nahi bakhshega ??
Ye baat mushrik nahi jaanta…..
aap khud ko shirk se Bari kaise samjhte hain, jabke
aap shirk ko jaante hi nahi ??
Allah ne aap par ye kaise haraam kiya aur kaha ke
wah ise maaf nahi karega ?
Aap na to iske baare me poochte hain aur na hi use
jaante hain, kya aap ye samjh baithe hain ke allah
ne shirk ko haraam toh kar diya hai magar shirk ki
wazaahat nahi ki ??
BARELWI:- shirk buton ki pooja karne waalon ko
kahte hain jabke ham buton ko nahi poojte hain,
AHLE HADITH:- mushrikeen e makka lakdion
aur pattharon ke mutaallik ye aqeedah rakhte they
ke wah paida karte aur rizq dete hain aur jo unhen
pukaare unke kaam sunwaate hain ??
Qur’aan paak unke mutaallik is nazariye ko ghalat
qaraar deta hai,
BARELWION KA KAHNA HAI KI KUFFAR E MAKKA:-
wah lakdi, patthar ya mazaar ka qasad karte they,
Abu Bilal

unhe pukaarte they, unke liye qurbaani dete aur


kahte they ke ye hamen allah ka muqarrab banaate
hain, unki barkat se allah hamaari mushkilaat hal
karta hai aur unhi ki barkat se hamen nematon Se
nawazta hai,
AHLE HADIH:- aapne theek kaha, aur pattharo,
qabron aur mazaaron wagerah par aap bhi yahi
kuch karte hain, agar usne tasleem kar liya ke ye
umoor buton ki ibaadat me shaamil hain toh unka
yahi iqraar hamara matloob hai,
barelwion kahne ke mutaabik buton ki pooja ka
naam shirk hai,
kya aapki muraad ye hai ke shirk usi ke saath
makhsoos hai aur saaliheen se mushkil kushaai ki
ilteja karna aur unhen pukaarna shirk nahi ???
Uski tardeed to quraan paak ki surah maida 112,
surah saba 40-41, surah zumar 3, surah yunus 18,
aayaat karti hain, jo pahle zikr ho chuki hain, jo
farishton, hz isa (as) aur deegar saaleh buzurgon
ko pukaarne waalon ke kufr se mutaallik hain,
yaqinan aapko tasleem karna padeega ke agar kisi
ne allah ki ibaadat me nek bandon me se kisi ko
Abu Bilal

shareek kiya toh yahi wah shirk hai jiska qur’aan


paak me zikr hai, uska yahi iqraar hamara asal
matloob Hai,
BARELWI:Agar wah kahe ke shirk buton ki ibaadat
karna hai
AHLE HADITH: buton ki ibadat karne ka kya
matlab hai ?? Tafseel se bataayen !…
BARELWI: main ek allah ke siwa kisi ki ibaadat
nahi karta
AHLE HADIH: aap allah taala ki ibaadat ka maana
aur uski wazaahat karen..
Ibaadat hi wah masla hai, jiski wajah se
mushrikeen ham par tarah tarah ke ilzaamaat
aieed karte hain, aur isi masle par aise bawaal
khada karte hain jaise unke peshro bhaiyyon ne
chillaate hue kaha tha..
” kya usne sab buton ke bajaaye sirf ek maabood
muqarrar kar diya hai ? Ye toh badi hairaan kun
baat hai “
(surah saad 5)
Abu Bilal

BARELWI AQEEDA:
” yani awliya allah par kisi qism ka khauff wa
khatrah nahi hota aur na hi wah gham o fikr me
mubtela hote hain “
(surah yunus 62)

JAWAB:
ye toh haqiqat hai, lekin unhen pooja toh nahi
jaayega,
ham allah ke saath unki ibaadat aur unhe allah ka
shareek thahraane ke siwa toh kisi baat ka inkaar
nahi karte balke unki muhabbat hudood e shariat
me rahte hue unki farmabardari aur unki haqiqi
karaamat ka aitraaf waajib hai,
awliya allah ki karaamat ka inkaar ahle bidat wa
zalaalat ke elawa koi nahi karta,
aur allah ka deen dono intehaaiyon (yani awliya ki
muhabbat me ghulu aur unki ibaadat aur awliya ke
saath khafa aur unki karaamaat ke Qulli inkaar )
ke darmiyaan hai,
Abu Bilal

aur hidaayat dono gumraahiyon ke wast me aur


haq dono baatilon ke darmiyaan hai…..
BARELWI AQEEDA
barelwi kahte hain:- jin mushrikeen wa kuffar ke
baare me quraan naazil huwa hai wah allah ki
wahdaniyat (la ilaaha illallah ) ki shahaadat nahi
they they, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ki taqzeeb karte they, quraan ko jhutlaate
they aur use jaadu qaraar dete they, jabke ham
shahadat dete hain ke allah ke siwa koi maabood
nahi, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) allah ke rasool hain, Ham quraan paak ke
saccha qalaam e ilaahi hone ki tasdeeq karte hai,
akhrawi zindagi par imaan rakhte hain , namaz ada
karte hain, aur roze rakhte hai, phir aap hamen un
mushrikeen ke saath kaise milaate hain ???
JAWAB:
Tamaam ulema e ummat ka is baat par ittefaaq hai
ke agar kisi ne baaz umoor me nabi e akram
sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki tasdeeq aur
kuch baaton me nabi e akram sallalaho alaihi
wasallam (pbuh) ki taqzeeb ki toh wah kaafir hai,
daayera islam se khaarij hai,
Abu Bilal

isi tarah koi quraan pak ke kuch hisse par imaan


rakhe aur kuch hisse ka inkaar kare jaise kisi ne
tawheed ka iqraar aur namaz ke farz hone se
inkaar kiya, ya tawheed aur namaz ka iqraar aur
zakaat ka inkaar kiya, ya un sab ka iqraar kiya aur
roze ki farziyat ka inkaar kiya, ya kisi ne un
tamaam ka toh iqraar kiya magar fareeza e hajj ka
inkaar kar diya, aur jab nabi e akram sallalaho
alaihi wasallam (pbuh) ke zamaane me Kuch log
hajj karne par tayyar na hue toh allah taala ne uske
baare me ye aayat naazil farmaayi
” un logon par jo zaad e raah (kharch) rakhte hon
sirf allah ke liye baitullah ka hajj farz hai aur jisne
kufr kiya allah (usi se kiya) saari duniya se
mustaghni aur be’niyaaz hai “
(surah imran 97)
aur jisne in sab faraiz ka iqraar kar liya lekin
hayaat e aakharwi ka inkaar kar diya, unke kaafir
hone aur uske jaan wa maal musalmaano ke liye
bataur e ghanimat halaal hone par bhi ulema e
ummat ka ittefaaq hai, jaisa ke irshad e rabbani hai
” jo log allah ke saath aur uske paighambaron ke
saath kufr karte hain aur jo log ye chaahte hain ke
Abu Bilal

allah aur uske rasoolon par hamaara imaan hai aur


baaz par nahi aur chaahte hain ke imaan aur kufr
ke beech koi raah nikaalen, yaqeen maano ke ye
sab log asli kaafir hain aur kaafiron ke liye hamne
ahaanat aamez (dardnaak) saza taiyyar kar rakhi
hai “
(surah nisa 150-151)
jab allah taala apni kitab quraan e pak me saraahat
farma chuka hai ke jo shakhs baaz umoor par
imaan laaye aur baaz ka inkaar kare wah haqeeqi
maano me pakka kaafir aur mazkoorah azaab ka
mustahiq hai toh un mushrikeen ka aitraaz aur
shubah zaail (khatm) ho gaya,

1- aap khud iqraar karte hain ke jisne rasool


kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki
tamaam baaton me tasdeek ki aur fareeza namaz
ka inkaar kiya uske kaafir hone aur uski jaan wa
maal halaal hone par ijma hai,
aise hi wah shakhs jisne tamaam umoor ka iqraar
kiya magar aakharwi zindagi ka inkaar kiya, usi
tarah wah shakhs jisne ramzaan ul mubaarak ke
roze ki farziyat ka inkaar kiya aur deegar tamaam
Abu Bilal

baaton ki tasdeeq ki, uske mutaalliq kisi bhi


mazhab me koi ikhtelaaf nahi, aur uske baare me
toh khud quraan shaahid hai, jaisa ke hamne uper
zikr kiya hai,
ye ek taiy shuda aur laazim haqiqat hai ke tawheed
hi Wah azeem fareeza hai jisko le kar rasool
kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) tashreef
laaye aur ye fareeza namaz, zakaat, roza, aur hajj
sabse bada hai, toh phir ye kis tarah mumkin hai ke
in umoor me se kisi ek ka inkaar karne waala toh
kaafir ho jaaye agarchah wah rasool kareem
sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke deegar
tamaam ahkaam par amal paira ho ? Aur jab
tamaam ambiya e rasool ke deen ” tawheed” ka
inkaar kare toh kaafir na ho !
Subhaanallah ! Ye kis qadr tajjub angez wa hairat
khair jihaalat hai

2- aap ye bhi samjh len ke rasool kareem sallalaho


alaihi wasallam (pbuh) ke sahaba (ra) ne “bani
haneefa” ke saath jihaad kiya halaanke wah rasool
kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath
islam la chuke they, wah shahadat dete they ke
allah ke siwa koi maabood barhaq nahi aur rasool
Abu Bilal

kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) allah ke


rasool hain, wah azaane dete aur namaz bhi padhte
they . Agar wah kahe ke “banu haneefa” musailma
kazzab (la) ko nabi samjhte they, toh kahiye ke
yahi baat toh hamen matloob hai,
jab koi shakhs kisi ko nabi e kareem sallalaho
alaihi wasallam (pbuh) ka maqaam wa martaba de
toh wah kaafir hoga, uska khoon wa maal halaal
hogaya,
use iqraar e tawheed wa risaalat aur namaz koi
faayeda na de sake toh us shakhs ka kya anjaam
hoga ? Jisne ‘ khaaliq wa maalik, raaziq’ kisi sahaba
ya kisi nabi , ya kisi peer, wali, buzurg ko is
maqaam tak pahuncha diya
isliye allah taala ne farmaya:
” isi tarah allah unke dilon par muhar laga deta hai
jo ke nahi jaante”
(surah rum 59)

3- wah log jinhe hz ali (ra) ne aag se jalaaya tha,


wah sab islam ka dawa karte they, hz ali (ra) ke
Abu Bilal

ashaab wa rafqa mese they, unhone sahaba kiram


(ra) se ilm seekha tha, lekin hz ali (ra) ke baare me
yousuf aur shams wa qamar jaisi bad’aqeedgi ka
shikaar ho gaye they.
Sahaba Kiram (ra) unki takfeer aur unke saath
jihaad karne par jaise jama ho gaye ?
Kya aap us zan e baatil aur kham khayaali me
mubtela hain ke sahaba kiram (ra) musalmaano ki
takfeer kiya karte they ?

4- ” banu abaid ul qadah ” jo ” bani abbas” ke daur


me maghrib aur misr (egypt) ke hukmaran they,
wah sab shahadat dete they ke allah ke siwa koi
mabood nahi, rasool kareem sallalaho alaihi
wasallam (pbuh) allah ke rasool hain,
wah islam ke muddai they aur jumah wah paanch
waqt ki namaz pabandi se ada karte they, magar
jab unhone sharai umoor me mukhaalifat zaahir ki
jo hamaari maujooda ghair sharai harkaat se kahin
khafeef aur kam tar thi, toh ulema e waqt unke kufr
, unke khilaaf jihaad , unke mulk ko ” balad e harb”
qaraar dene par mutaffiq ho gaye aur musalmaano
Abu Bilal

ne unke saath jung karke islami mumaalik unke


changul se azaad kara liye…

5- : jab pahle log shirk, Takzeeb e rasool kareem


sallalaho alaihi wasallam (pbuh), takzeeb e
qur’aan aur inkaar e ba’as (marne ke baad qabron
se dobara uthaaya jaana) wagerah ki bina par
kaafir qaraar nahi diye gaye balke ” MURTAD” tak
qaraar diye gaye.. Jaisa ke sab mazaahib ke
tamaam ulema ne zikr kiya hai, aur murtad wah
hai jo islam laane ke baad kufr ka artikaab kare.
Ulema e kiram ne bahut se umoor bayaan kiye hain
jinka artikaab musalmaan ko kaafir aur uska maal
wa jaan halaal kar deta hai,
yahan tak ke unhone ba’zaahir maamooli umoor
tak ka bhi zikr kiya hai,
maslan, dil ki mawafiqat ke be’ghair sirf zabaan se
kalmah kufr kahna, ya hanste hasaate bar sabeel
mazaak aisa kalmah ada karna

6- wah log jinke baare me irshaad e rabbani hai


Abu Bilal

” allah ke qasmen khaate hain ke unhone nahi


kaha, halaanke unhone kalmah e kufr kaha, aur
islam laane ke baad kaafir ho gaye”
(surah tawba 74)
Kya aapne nahi suna ke allah paak ne unhe ek
kalmah ki bina par kaafir kah diya hai, halaanke
wah ahad risaalat me they, rasool kareem
sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke saath jihaad
me shareek hote, namazen padhe, zakaat dete, hajj
karte aur allah ki wahdaaniyat par yaqeen rakhte
they,
isi tarah wah log jinke baare me irshaad e rabbani
hai
” unse pooche ke tum allah, uski nishaaniyon aur
uske rasoolon ke saath mazaaq wa tafreeh karte ho
? Bahaane mat banaao, tum apne imaan ke baad
kaafir ho gaye ho “
(surah tauba 65-66)
un logon ke mutaalliq rabbul izzat ne saraahat
farma di ke wah imaandaar hone ke baad kaafir ho
gaye they, halaanke wah ghazwa e tabook me
rasool kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke
Abu Bilal

saath they, unhone qalmah kufr ada kiya aur kaha


ke hamne toh ye sirf ba’taur e mazaak kaha tha…
BARELWI AQEEDA
barelwion ke yahan ek aur aitraaz wa shubah ye
bhi hai ke wah kahte hain:-” nabi e akram sallalaho
alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya hai ke qayamat
ke din log hazrat adam (as) se ist’ghaasa (yani
madad) talab karenge, phir hz noah (as) se, hz
ibrahim (as) se, hz musa (as) se, hz isa (as) aur
bil’akhir nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ke paas jaayenge “
maujooda mushrikeen ke nazdeek ye waqeya is
baat par dalaalat karta hai ke ghair allah se
ist’ghaasa karna SHIRK nahi hai…
JAWAB:
” IST’GHAASA” KI HAQIQAT:
Ham allah ke dushmano ke dilon par muhar saabit
karne waali zaat e baari taala ke tasbeeh bayaan
karte hue kahte hai ke ham is ist’ghaasa se inkaar
nahi karte jo kisi makhlooq se talab ki jaaye,
ba’sharte ke wah kaam uske bas me ho,
Abu Bilal

jaisa ke hz musa (as) ke qisse me allah ka irshaad


hai
” jo unki qaum mese tha usne dushman ke fard Ke
khilaaf unse madad talab ki “
(surah qasas 15)
ya jis tarah insaan dauraan e jung ya dusre haalaat
me apne saathion se aise kaamon me madad talab
karta hai, jiski wah taaqat rakhte hain
Hamne toh ” ist’ghaasa e ibaadat” ka inkaar kiya
hai, jaisa ke ye log awliya-allah ke mazaaraat ke
paas ya door’daraaz se unki adam maujoodgi me
aise umoor me madad wa mushkil kushaai ke
taalab hote hain jinki qudrat sirf allah hi ke paas
hai,
jab ye saabit ho gaya toh qayamat ke roz logon ka
ambiya wa rasool se ist’ghaasa karna ke wah allah
se dua farmaayen taake logon ka hisaab wa kitaab
ho aur ahle jannat us taaweel rukaawat ki
pareshaani se raahat wa aaraam paayen,
is qism ka ist’ghaasa dunya wa aakhirat har do
jahan me jaayez hai,
Abu Bilal

duniya me yun ke aap kisi paak baaz zinda aur


haqiqi wali ke paas jaayen jo aapko apne paas
bithaaye aur aapki baat sune, aap use kahen ke
mere liye allah se dua farmaayen, Jis tarah ke
ashaab e rasool (ra) aap nabi e akram sallalaho
alaihi wasallam (pbuh) ki hayaat e ba’barkaat me
yahi sawaal kiya karte they …
Albatta nabi e akram sallalaho alaihi wasallam
(pbuh) ki wafaat ke baad hargiz hargiz aisa nahi
huwa ke sahaba kiram (ra) ne roza mubaarak ke
paas jaakar ye sawaal kiya ho, balke salaf us
saaliheen ne toh aap nabi e akram sallalaho alaihi
wasallam (pbuh) ki qabr e mubaarak ke paas
khade hokar allah se sawaal karne ko bhi mamnu
kaha hai. Taake koi kamzor imaan waala zaeff ul
aitqaad ye na samjh le ke shayad usi roza se rafa e
haajat ka sawaal kar raha hai…

BARELWI AQEEDA:
barelwion ka ek aitraaz wa shubah ye bhi hain ke
:-” jab hz ibraaheem (as) naar e namrood me daale
gaye to hz jibreel (as) hz khaleel (as) ke paas aaye
Abu Bilal

aur kaha:-” koi zarurat hai ? Toh hz ibraaheem ne


farmaya:- aapki zaat se ho toh koi zarurat nahi, “
agar jibreel ameen (as) Se ist’ghaasa shirk hota toh
wah hz ibraaheem (as) par iski pesh’kash hargiz na
karte……!!!
JAWAB:
hz jibreel (as) ne usi kaam me pesh’kash ki jo unke
bas me tha,
kyonke hz jibreel (as) irshaad e illahi ki ru se ”
shadeed ul quwa” yani bade hi taaqatwar hain,
agar allah unhe ijaazat deta ke naar e namrood,
uske qareeb wa jawaar ki zameen aur pahaadon ko
ukhaad kar door mashriq wa maghrib me phenk
den toh ye unke bas me tha…
Agar allah huqm deta ke hz ibraaheem (as) ko us
jagah se uthaa kar kisi door’daraaz maqaam par
pahuncha de to ye unki liye mumkin tha,
aur agar unhen irshaad hota ke ibraaheem (as) ko
aasmaan ki taraf uthaa len toh wah us par bhi
qaadir the,
Abu Bilal

ye waqeya toh bilkul usi sahab e daulat wa ghani


insaan ki pesh’kash jaisa hai jo kisi majboor aur
mohtaaj aadmi ko dekhe aur use karz dene ki
khwaahish zaahir kare ya hasab e Zarurat use yun
hi kuch dena chaahe magar wah pareshaan haal
muhtaaz uski pesh’kash qubool karne se maazrat
karde, aur sabr ka daaman haath se na chhode,
yahan tak ke khud allah taala use rizq ata kare,
jisme wah kisi ghair allah ka ahsaan mand na ho,
agar maujooda mushrikeen me koi faham wa
faraasat maujood hai toh bataayen ke ye ‘
IST’GHAASA’ ibaadat aur shirk kahan hai ???
BARELWI AQEEDA/DALAIL:
SAALIHEEN BUZURGON SW MADAD TALAB KARNA:
Quran 2:154
“AUR JOH LOG KHUDA KI RAAH MAIN MARE
JAAYEN UN KI NISBAT YEH NA KEHNA KE WOH
MARE HUE HAIN WOH MURDA NAHI BALKE
ZINDAA HAIN LEKIN TUM NAHI JAANTE. “
Quran 3:169
Abu Bilal

Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ko


Mare Hue Na Samjhna Who Mare Hue Nahi Hain
Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko
Rizq Mill Raha Hai.”
Ab Ye Baat Bhi Prove Ho Gae Inn Do Ayaat Se K Jo
Allah Ki Rah Me Maare Jaen Unhe Murda Na Kaho
Wo Zinda Hain……..

JAWAB:
Lekin Yahan Pe Ek Baat Clear Krna Zaruri Hai K Jo
Log Bhi Shaheed Hue Hain Wo Qabro Me Ja Chukay
Hain.
Ab Hamein Quran Ki Ayaat Se Decide Krna Hai K
Hamein Waseela Kin Ko Bnana Hai
Apne.Amaal Ko, Zinda Zahir Logo ko Ya Phr Jo
Qabro Me Ja Chukay Hain Un Ko.
Note: Shaheed Bhi Zinda Hai Or Dunya Me Rehne
Wale Bhi Zinda Hain Fark Itna Hai K Ek Qabar Me
Hai Or Ek Nai.

AB DEKHEN QURAAN KYA KAHTA


HAI
Abu Bilal

1))) Hazrat Moosa(A.S) Ne Allah Se Kaha K Hazrat


Haroon(A.S) Ko Mera Wazir(Madad Gaar) Bnaen:
Quran 20:29-30
Aur Mere Ghar Waloun Main Se Aik Ko Mera
Wazeer Yaani Madadgaar Muqarrar Farma.
30
Yaani Mere Bhai Haroon Ko.
Us Waqt Hazrat Haroon(A.S) Qabar Me NAHI Ja
Chukay Thay.

2))) Hazrat Suleman(A.S) Ne Apne Samne Bethe


Hue Jin Or Insaan Thay Un Se Kaha K Kon Takht
Lane Me Meri Madad Kare Ga:
Quran 27:38-41
“Sulaimaan Ne Kaha Ke Ae Darbaar Walo! Koi Tum
Main Se Aisa Hai Ke Qabal Is Ke Keh Wo Loug
Farmaabardaar Ho Kar Hamare Paas Aayen Malka
Ka Takhat Mere Paas Le Aaye.”39
Abu Bilal

“Jinnat Main Se Aik Qawi Haikal Jinn Ne Kaha Ke


QabalIs Ke Keh Ap Apni Jaga Se Uthain Main Is Ko
Aap Ke Paas La Hazir Karta Hoon Aur Mujhe Is Par
Qudrat Bhi Haasil Hai Aur Amanat Daar Bhi Hoon.”
40
“Aik Shakhs Jis Ko Kitaab-E-Ilaahi Ka Ilm Tha
Kehne Laga Ke Main Aap Ki Aankh Ke Jhapakne Se
Pehle Pehle Isse Ap Ke Paas Haazir Kiye
Deta Hoon.Jab Sulaiman A.S. Ne Takhat Ko Apne
Paas Rakha Hua Daikha Toh Kaha Ke Ye Mere
Parwardigar Ka Fazal Hai Taa-Ake Mujhe
Aazmaaye Ke Main Shukar Karta Hoon Ya Kufraan-
E-Naima t Karta Hoon Aur Joh Shukar Karta Hai
Toh Apne Hi Faaide Ke Liye Shukar Karta Hai Aur
Joh Nashukri Karta Hai Toh MeraParwardigar Be
Parwa Aur Karam Karne Wala Hai.”
41
“Sulaimaan Ne Kaha Ke MalkaKe Imtihaan-E-Aqaa
l Ke Liye Is Ke Takhat Ki Soorat Badal Do.Daikhain
Ke Wo Soojh Boojh Rakhti Hai Ya Un Lougon Main
Se Hai Joh Soojh Nahi Rakhte.”
Abu Bilal

Us Waqt Wo Shaks Qabar Me NAHI Ja Chuka Tha Jis


Se Hazrat Suleman(A.S) Ne Madad Maangi.
3- Allah Momino Ko Hukum De Rahe Hain K Neki K
Kaamo Me Ek Dusre Ki Madad Kiya Karo:
Quran 5:22
“Naiki Aur Parhaizgai Ke Kamon Main Aik Doosre
Ki Madad(Help) Kia Karo Aur Gunnah Aur Zulm Ki
Batoun Main Madad Na Kia Karo Aur Khdua Se
Darte Raho.Kuch Shak Nahi Ki Khuda Ka
AzaabSakht Ha Yahan Un Momino Se Khitaab Nai
Ho Raha Hai Jo Qabar Me Ja Chukay Hain.”

4- Hazrat Ibrahim(A.S) Ne Khana.E.Kaaba Ki


Tameer Ko Waseela Bnaya:
Quran 2:128
“AE PARWARDIGAAR, HAM KO APNA
FARMAANBARDAAR
BANAYE RAKHIYO.AUR HAMARI AULAAD MAIN SE
BHI AIK GIROH(GROUP) KO APNA MATEE BANATE
REHIYO, AUR PARWARDIGAAR HAMAIN HAMARE
TAREEQA-E-IBADA T BATA AUR HAMARE HAAL
PAR REHEM KE SATH TAWAJOH(ATTENTI ON)
Abu Bilal

FARMA. BESHAK TU TAWAJOH FARMANE WALA


MEHERBAAN HAIYahan Hazrat Ibrahim(A.S) Ne
Achay Amal Ko Waseela Bnaya”
5- Hazrat Moosa(A.S) Ne Apni Qoum Ko Sikhaya K
Allah Par Yakeen Ko Waseela Bnao:
Quran 10:86
“Aur Apni Rehmat Se Qoum-E-Kuffar Se Nijaat
Bakhash.”
Yahan Par Emaan Ko Waseela Bnaya Gya.
6- Hazrat Yousuf(A.S) K Bhaiyon Ne Apne Walid Ki
Dua Ko Waseela Bnaya:
Quran 12:98
“Unhoun Ne Kaha Ke Main Apne Parwardigaar Se
Tumhare Liye Bakhshish Maangoon Ga.Be Shak
Wo Bakhashne Wala MeherbaanHai.”
Us Waqt Un K Walid Qabar Me Nai Ja Chukay Thay.
Inn Sari Ayaat K Baad Ek Bht Hi Simple Si Example
Dun Ga Jo K Hum Sab Daily Routine Me Observe
Krte Hain:
Abu Bilal

Hum Jab Bhi Bemar Hote Hain To Doctor K Paas


Jate Hain Or UsKo Waseela Bnate Hain Shifa K Liye
Lekin Jab Wo Doctor Qabar Me Chala Jata Hai To
Kbhi Bhi Us Ki Qabar Pe Ja K Us Ko Waseela Nai
Bnate.
Jo Shaheed Qabar Me Ja Chukay Hain Wo Beshak
Zinda Hain Lekin Allah K Paas:
Quran 3:169
“Joh Loug Khuda Ki Raah Main Maare Gaye Un Ko
Mare Hue Na Samjhna Who Mare Hue Nahi Hain
Balke Khuda Ke Nazdeek Zinda Hain Aur Un Ko
Rizq Mill Raha Hai.”
Qayamat K Din Wo Apni Qabro Se Dubara Uthaye
Jaen Gai:
Quran 80:21
“Phir Us Ko Mout Di Phir Qabar Main Dafan
Karaya.”
Qruan 22:77
“Aur Ye Ke Qiamat Aane Wali Hai.Is Main Kuch
Shak Nahi.Aur Ye Ke Khuda Sab Lougon Ko Joh
Qabroun MainHain Jala Uthaye Ga.”23:16
Abu Bilal

“Phir Qiamat Ke Din Utha Khare Kiye Jao Ge”


Note: “”Qayamat K Din””
Iss K Baad Ek Bht Hi Payari Ayat Allah Ne Naazil Ki
Or Wo Hai:
Note:
”Qayamat Tak” “Wo Hamari Pukaar Nai Sun Skte
Lekin Jab Qayamat K Din Sunen Gai To Hamare
Dushman Ho Jaen Gai.”
Ye Ayat Pat’thar K Devi,Devta (Idols) K Liye Nai Hai
Kyun K Qayamat K Din Wo Zinda Nai Hon Gai Wo
To Be.Jaan Hain.
Umeed Krta Hun K Waseelay Se Related Jinho Ne Ye
Note Parha Hoga Un Ko Samajh Me Aya Ho Ga.

Allah Hame Haq Baat Ko Samajhne Ki Tofik De

Aamin
Aapka Deni Bhai 👉 Abu Bilal
Abu Bilal

You might also like