Nothing Special   »   [go: up one dir, main page]

Qayamat Ki Nishaniyan

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 22
At a glance
Powered by AI
The key takeaways from the text are that there will be various signs and conditions that will arise before the Day of Judgement including civil strife, lack of compassion, prevalence of lying and hiding the truth.

Some signs that will appear before the Day of Judgement mentioned in the text include civil strife appearing like rain falling in houses (page 1), affairs being dominated by only civil strife and hardships (page 2), and intense civil strife appearing (page 5).

The text mentions that close to the Day of Judgement, there will only be hardships and civil strife remaining in the world (page 3), and that with each passing day civil strife will continue to increase (page 3). Compassion will be lacking among people (page 4).

Alamaat

-e-
Qayamat

Tehreer-
muhammad iqbal
keelaani

Romanised by :
Nasreen sabha

1 The way of salafiyyah


Fitnon ka
zuhoor

MASLA - 1 : Qayamat se pehle fitne baarish ke


Qatron ki tarah pai dar pai zaahir honge :
Hazrat Usama Bin Zaid r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w.
Madeena Munawwara ke muhallat me se ek mahal par chadhe aur
Sahaba ikraam r.a. se poocha “ Jo main dekhta hun kiya tum dekhte
ho?” Sahaba ikraam r.a. ne arz kiya “ Nahi ” ! Aap s.a.w. ne irshaad
farmaya “ Main fitnon ko tumhare gharon ,me baarish ke qatron ki
tarah girta hua dekh raha hun”, Ise Imam Bukhari ne riwayat kiya
hai.

MASLA – 2 : Qayamat ke qareeb har taraf fitne


hi fitne aur musibatein hi musibatein hongi :

2 The way of salafiyyah


Hazrat Muawiya r.a. kehte hain main ne Rasool akram s.a.w. ko
farmate hue suna hai ke ( qayamat ke qareeb ) duniya me siwaye
musibaton aur fitnon ke kuch baaqi nahi reh jayega. Ise Ibn Maaja
ne riwayat kiya hai.

MASLA – 3 : Jaise jaise qayamat qareeb aayegi,


waise waise fitne badhte jaayenge :
Hazrat Zubair Bin Adi r.a. kehte hain hum Anas Bin Maalik r.a. ki
khidmat me hazir hue aur Hijjaj ki taraf se jo musibatein hamein
pahunchi thi unka shikwa kiya to Hazrat Anas r.a. ne farmaya sabar
karo, tum par aisa zamana aane waala hai jisme har aane waala din
tumhare aaj se badtar hoga hatta ke tum apne Rab se ja miloge,
Main ne ye baat Nabi s.a.w. se suni hai, Ise Bukhari ne riwayat kiya
hai.

3 The way of salafiyyah


Fitnon ki
shiddat

MASLA – 4 : Qayamat se pehle zaahir hone


waale fitne itne shadeed honge ke zinda log
murdon par rashk karenge:
Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke Nabi s.a.w. ne farmaya “
Qayamat qayam nahi hogi hatta ke ek aadmi dusre aadmi ki qabar
par guzrega to kahega , kaash! Iski jagah main hota”. Ise Bukhari ne
riwayat kiya hai.

Wazahat : Ibn Maaja ki riwayat me ye bhi wazahat maujood hai ke


Insaan ye tamanna apni deendari ki wajah se nahi karega balke
duniya ke masayeib o aalaam se tang aakar karega.

4 The way of salafiyyah


MASLA – 5 : Baaz fitne aise tund o tez honge
ke wo musalmaanon ki har cheez maslan deen,
emaan, muashirat, tehzeeb, tamaddun,
waghaira ko baha le jaayenge:
Hazrat Huzaifa r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne fitne shumaar
karte hue farmaya: “ Inme se teen fitne aise hain jo qareeb qareeb
kuch na chodenge unme se baaz fitne aise bhi honge jo garmi ki
aandhiyon ki tarha honge unme se kuch chote honge kuch bade
honge “. Ise Muslim ne riwayat kiya hai.

MASLA – 6 : Qayamat se pehle aise aise fitne


zaahir honge jinka insaan tasawwur tak nahi
karsakta.
MASLA – 7 : Allah aur aakhirat par emaan
rakhne waale log hi fitnon se bach paayenge:

5 The way of salafiyyah


Hazrat Abdullah Bin Amr o Bin Aas r.a. kehte hain ke Rasoolallah
s.a.w. ne hame khutba dete hue farmaya : Mujhse pehle tamaam
ambiya par apni ummaton ko neki ki baatein batana aur burayi se
darana waajib tha, iss ummat ki ibtida me to aafiyat hai lekin aakhir
waqt me aisi aisi musibatein aur taklifein aayengi jinka tum andaza
nahi karsakte phir ek aisa fitna aayega jiska ek hissa dusre ko
khushnuma banayega ( Yaani pehle fitne me izafa kardega) Momin
kahega ye fitna to mujhe halaak kardaalega lekin wo fitna guzar
jayega phir dusra fitna aayega aur Momin phir kahega ke ye fitna
mujhe halaak kardalega lekin wo bhi guzar jaayega pas jise
jahannum se bachna aur jannat me daakhil hona pasand ho ise
maut iss haal me aani chahiye ke wo Allah aur youm e aakhirat par
emaan rakhta ho,aur logon ke sath wahi sulook kare jo apne sath
pasand karta ho.

MASLA – 8 : Baaz fitne aise shadeed honge ke


inki taraf door se jhankne wala bhi fitnon me
mubtila hojayega:

6 The way of salafiyyah


Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya: “ Anqareeb aise fitne paida honge ke baitha hua shakhs
khade shakhs se behter hoga, Khada shakhs chalne waale se behter
hoga aur chalne wala daudne wale se behter hoga, jo shakhs door
se bhi in fitnon ki taraf jhankega wo unme mubtila hojayega, us
waqt jo shakhs jahan kahin panah paaye, panah haasil karle”. Ise
Bukhari ne riwayat kiya hai.

MASLA – 9: Fitnon ki shiddat ka ye aalam


hoga ke ek aadmi subha ke waqt momin hoga aur
shaam hote hote kaafir hojayega, ek aadmi
shaam ke waqt momin hoga aur subha hote hote
kaafir hojayega.
MASLA – 10 : Fitnon ke dauraan emaan par
qayam rehna utna hi mushkil hoga jitna aag ka
angara hath me lena mushkil hota hai :

7 The way of salafiyyah


Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w.
ne farmaya “ Tumhare baad sabar karne ke din aayenge,inme sabar
karna aisa hi mushkil hoga jaisa ke aag ka angara mutthi me lena.
Us waqt sabar karne wale ke liye pacchaas (50) aadmiyon ke
barabar ajar hoga”. Sahaba ikram ne arz kiya “ Ya Rasoolallah s.a.w.
!Kya pachhaas aadmi unme se ya hum me se ? Aap s.a.w. ne
farmaya “ Tum me se” Ise bizar ne riwayat kiya hai.

MASLA – 11 : Qayamat ke fitne is qadar


shadeed honge ke log dajjaal ki tamanna karne
lagenge taake jaldi jaldi qayamat qaim ho:
Hazrat Huzaifa R.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne farmaya “
Logon par ek waqt aisa aayega ke wo dajjal ke aane ki tamanna
karne lagenge”. Main ne arz kiya “ Ya Rasoolallah s.a.w. ! Mere Maa
Baap aap par qurban ! Aisa kiyun hoga?”. Aap s.a.w. ne irshaad
farmaya “ us waqt ( Fitnon ki waja se ) aisa hi hoga”. Ise Tabrani ne
riwayat kiya hai.

8 The way of salafiyyah


ilm ka uth
jaana

MASLA – 12: Ilm ka uth jaana aur jihalat ka


aam hona qurb e qayamat ki nishani hai:
Hazrat Abu Musa r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne farmaya “
Qayamat se pehle aise din aayenge jinme jihalat cha jayegi, Ilm (
Deen ) uth jayega aur harj yaani khoon rezi aam hojayegi”. Ise
Bukhari ne riwayat kiya hai.

Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne farmaya “


Qayamat qayem nahi hogi hatta ke ilm utha liya jaayega jihalat
Phail jayegi aur harj bahut zyada hojayega”. Sahaba ikram r.a. ne
arz kiya “ Harj Kya hai? Aap s.a.w. ne irshaad farmaya “ Qatal” ise
Ahmed ne riwayat kiya hai.

MASLA – 13: Ulma ki amwaat kasrat se hongi


jiski wajah se ilm e deen uthta chala jaayega.
9 The way of salafiyyah
Walidain ki
na farmani
MASLA – 14: Qayamat ke qareeb aulaad apne
walidain ki na farmani aur Gustaakh hojayegi:
Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain ek roz Rasoolallah s.a.w. sahaba
ikram r.a. ke sath tashreef farma the ek admi haazir hua aur
poochne laga “ Ya Rasoolallah s.a.w. ! Qayamat kab aayegi?”
Rasoolallah s.a.w. ne jawab me irshaad farmaya “ Qayamat ke
baare me jisse poocha gaya hai wo poochne waale se zyada nahi
janta ( Yaani tumhari tarah mujhe b iska ilm nahi ) lekin main tujhe
iski baaz nishaniyan bata deta hun. Jab aurat apna maalik ( Yaani
Na farmaan aulaad ) janey(paida kare) to qayamat ki nishaniyon
me se hai,jab nange paon ,nange badan wale logon ke sardar bane
to ye qayamat ke nishaniyon me se hai aur jab bakriyon ke
charwahe buland o baala imaratein tameer karein to ye qayamat

10 The way of salafiyyah


ke nishaniyon me se hai, qayamat ka waqt in paanch cheezon me
se hai jinka ilm Allah Taala ke siwa kisi ko nahi, Phir aapne ye ayat
tilawat farmayai ( Tarjuma) “ Beshak Qayamat ka ilm Allah hi ke
paas hai, Baarish wahi barsata hai ( Yaani isi ko ilm hai ke baarish
kab hogi) maa’on ke rehemon me jo kuch hai, ise bhi wahi janta hai
ke koi shaks nahi janta ke kal wo kya karega ( Allah janta hai ) Na hi
koi shaks ye janta hai ke wo kis jagah faut hoga ( Allah janta hai) “
Ise Ibn Maaja ne riwayat kiya hai.

Amal ka
napaid hona

MASLA – 15: Qayamat ke qareeb quran o


hadees padhe aur padhaye jaayenge lekin unpar
amal nahi kiya jayega:

11 The way of salafiyyah


Hazrat Ziyaad Bin Lubaid r.a. kehte hain Nabi s.a.w. ke saamne kisi
baat ka zikr hua to Aap s.a.w. ne irshaad farmaya “ ye us waqt hoga
jab ilm uth jayega”. Main ne arz kiya “ Ya Rasoolallah s.a.w.! Ilm
kaise uth jayega jabke hum quran padhte hain apni aulaad ko
quran padate hain aur wo aage apni aulaad ko quran padhayenge
aur ye silsila qayamat tak chalta rahega”. Aap s.a.w. ne farmaya: “
ziyaad ! Tujhe teri maa gum paaye, main to tumhe madeene ke
samajhdaar logon me shumaar karta tha, kya ye haqeeqat nahi ke
yahood o nasara tauraat aur injeel ko padhte hain lekin unme jo
kuch hai usme se kisi cheez par amal nahi karte “. Ise Ibn Maaja ne
riwayat kiya hai.

Amanath ka
uth jaana

12 The way of salafiyyah


MASLA – 16: Qayamat se qabl aisa waqt
aayega ke acha bhala emaandaar aadmi raaton
raat be emaan hojayega.
MASLA – 17: Emaandaari is tarah khatam
hogi ke emaandaari ki misaal dene ke liye sirf ek
aadh aadmi zinda hoga.
MASLA – 18: Bazaahir bade bade aqalmand,
mudabbir aur emaandaar nazar aane waale logo
ka bhi baatin be emaan honge :
Hazrat Huzaifa r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne farmaya, Ek
aadmi ( Acha bhalayi emaandaar ) aadmi ( Raat ko) soyega aur uske
dil se emaandaari nikal li jaayegi bas ek siyaah daagh ki tarah
emaandaari ka nishaan baaqi reh jaayega, agle roz soyega to ( Rahi
sahi ) emaandaari bhi iske dil se utha li jaayegi aur sirf aabla ki tarah
ek halka sa nishaan baaqi reh jaayega jis tarah ( Aag ka) ek angara

13 The way of salafiyyah


apne paun par lagane se aabla phool jata hai, jiska nishaan to hota
hai lekin iske andar kuch nahi hota (Qayamat ke qareeb ) log
khareed o farokht karenge lekin unme emaandaari nahi hogi yahan
tak ke ( emaandaar aadmi ki sirf misaal baaqi reh jayegi ) log
kahenge ke falaan khaandaan me ek amanatdaar aadmi maujood
hai ( aur haal ye hoga ) ke ek aadmi ke baare me log kahenge ke
falaan bada aqalmand hai, bade zarf wala hai, bada bahadur hai,
lekin iske dil me raayi ke daane ke barabar bhi emaan nahi hoga.
Hazrat Huzaifa r.a. kehte hain mujh par ek aisa waqt guzar chuka
hai ke mujhe is baat ki qataa’n parwaah nahi thi ke kis se tijarat
karun kis se na karun agar musalmaan hota to islaam ise majboor
karta ke wo be emaani na kare, esaayi hota to iske haakim ise
majboor karte ke wo be emaani na kare lekin ab to main sirf falaan
falaan ( Yaani ek do aadmiyon) ke sath hi tijarat karta hun “. Ise
Bukhari ne riwayat kiya hai.

14 The way of salafiyyah


Jhooti
gawaahi

MASLA – 19: Qayamat ke qareeb jhooti


gawaahiyaan aam hongi aur sacchi gawaahi
dene waala koi nahi hoga :
Hazrat Taariq Bin Shahaab r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya:

“ Qayamat se pehle ye nishaaniyaan zaahir hongi :

1. Jaan pehchaan ke logon ko salaam kehna.


2. Tijarat ka aam hona hatta ke biwi apne showhar ki tijarat me
madadgaar hogi.
3. qata rehmi.
4. jhooti qawaahi dena.
5. sacchi gawaahi ko chupana aur

15 The way of salafiyyah


6. qalam ka zaahir hona.” Ise Ahmed ne riwayat kiya hai.

Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w.


ne farmaya “Qayamat se pehle jhooti qawaahi dene waale aur haq
ko chupane waale honge”. Ise Ahmed ne riwayat kiya hai.

Wada ko
zaaya karna

MASLA – 20: Qayamat ke qareeb log wada ki


parwaah nahi karenge:
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. se riwayat hai ke Rasoolallah s.a.w.
ne farmaya: “Tumhara kya haal hoga jab aisa waqt aayega ke neik
log bure logon se alag kardiye jaayenge aur sirf bure hi baaqi reh
jaayenge, wada aur amanat khalat malat hojayenge ( Yaani unki
parwaah nahi ki jaayegi)

Log bilkul bigad jaayenge, ache aur bure log aapas me yun ghul mil
jaayenge”. Aur apne ek hath ki ungliyaan dusre haath ki ungliyon
16 The way of salafiyyah
me daalkar dhikayi. Sahaba ikraam r.a. ne arz kiya “ Agar aisa waqt
hum par aajaye to hum kiya karein? Aap s.a.w. ne irshaad farmaya
“Jise neki samjho ispar amal karna jise bura samjho use chod dena
aur us waqt apne qaabil ehtimaad logon ke paas chale jaana aur
dusron ko unke haal par chod dena “. Ise Ibn Maaja ne reiwayat
kiya hai.

qata
rehmi
MASLA – 21: Qayamat ke qareeb qata rehmi aam hogi:

Hazrat Taariq Bin Shahaab r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne


farmaya:

“ Qayamat se pehle ye nishaaniyaan zaahir hongi :

1. Jaan pehchaan ke logon ko salaam kehna.

2. Tijarat ka aam hona hatta ke biwi apne showhar ki tijarat me


madadgaar hogi.

17 The way of salafiyyah


3. qata rehmi.

4. jhooti qawaahi dena.

5. sacchi gawaahi ko chupana aur

6. qalam ka zaahir hona.” Ise Ahmed ne riwayat kiya hai.

Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w.


ne farmaya “Qayamat se pehle jhooti qawaahi dene waale aur haq
ko chupane waale honge”. Ise Ahmed ne riwayat kiya hai.

Haq ko
chupana

MASLA – 22: Qayamt se pehle haq ko chupane


waale log paida honge:

18 The way of salafiyyah


Hazrat Abdullah Bin Masood r.a. kehte hain Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya “ Qayamat se pehle jhooti gawaahi dene waale aur haq ko
chupane waale honge”. Ise Ahmed ne riwayat kiya hai.

MASLA – 23: Qayamat se pehle log sacchi


gawaahi chupayenge aur jhooti gawaahi denge:
Hazrat Taariq Bin Shahaab r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya” Qayamat se pehle ye nishaniyaan zaahir hongi :

1. Jaan pehchaan ke logon ko salaam kehna.

2. Tijarat ka aam hona hatta ke biwi apne showhar ki tijarat me


madadgaar hogi.

3. qata rehmi.

4. jhooti qawaahi dena.

5. sacchi gawaahi ko chupana aur

6. qalam ka zaahir hona.” Ise Ahmed ne riwayat kiya hai.

19 The way of salafiyyah


Humsaaya se
bura sulook

MASLA – 24: Qayamat ke qareeb log humsaaye


ke huqooq ki parwaah nahi karenge:
Hazrat Abdullah Bin Umar r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya “ Beshak Allah Taala behayai aur fahash goi ko pasand nahi
farmata ya Aap s.a.w. ne yun farmaya ke Allah Taala be haya aur
fahash goi se bugz rakhta hai, Qayamat qayem nahi hogi yahan tak
ke behayai aur Fahash goyi aam ho. Qata rehmi ki jaaye, Humsaaye
se bura sulook kiya jaaye, Khaayin ko amanat daar kaha jaye aur
amanatdaar ko khaayin kaha jaaye”. Ise Ahmed ne riwayat kiya hai.

20 The way of salafiyyah


khudgarzi

MASLA – 25: Qayamat se pehle khudgarzi aam


hogi :
Hazrat Abu Huraira r.a. se riwayat hai ke Rasoolallah s.a.w. ne
farmaya “ waqt jaldi jaldi guzarega ( neik) amal kam hojayega,
khudgarzi paida kardi jaayegi, fitne zaahir honge aur harj badh
jaayega”. Sahaba ikraam r.a. ne arz kiya “ Ya Rasoolallah s.a.w. harj
kiya hai? Aap s.a.w. ne farmaya “ QATAL” “ QATAL” . Ise Bukhari ne
riwayat kiya hai.

Hazrat Abu Huraira r.a. kehte hain ke Rasoolallah s.a.w. ne farmaya


“( Qayamat ke qareeb ) waqt ghat jaayega, ilm utha liya jaayega,
fitne zaahir honge (logon ke dilon me ) khudgarzi paida kardi
jaayegi aur harj aam hojayega”. Sahaba Ikram r.a. ne arz kiya Ya
Rasoolallah s.a.w. harj Kya hai? Aap s.a.w. ne irshaad farmaya
Qatal”. Ise muslim ne riwayat kiya hai.

21 The way of salafiyyah


22 The way of salafiyyah

You might also like