Nothing Special   »   [go: up one dir, main page]

Kitab-ul-Aqaid Roman

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 31
At a glance
Powered by AI
The key takeaways are that seeking Islamic knowledge is obligatory for all Muslims according to the text.

The book is titled 'Kitaab ul-Aqaid' and was written by Khaleefa-e-Aala Hazrat. It provides a brief overview of Islamic beliefs and principles of faith.

The book covers various topics related to Islamic theology and beliefs such as the existence of God, prophethood, angels, destiny, death, resurrection etc. It provides a table of contents on page 3 listing the different chapters.

Paigham-e-Aala Hazrat Sad Saala Urs-e-Aala Hazrat

Imaam-e-Ahle Sunnat Imam Ahmed Raza Khan


Imaam Ahmad Raza Khan Fazil-e-Barailwi Alaihi Rahma
Fazil-e-Barailwi Alaihi Rahma
Huzoor Aqdas Sallallaho-Ta'ala-Alaihi-wa-Aalehi-wasallam
Rabbul Izzat Jalla Jala lahu ke Noor hain. Huzoor se Sahaba
Roshan huwe, Sahaba se Tabeyeen Roshan Huwe,Tabeyeen
se Taba-Tabeyeen Roshan huwe, Unse Aaimma-e-Mujtahedeen Kitaab-ul-Aqaid
Islami Aqaid Par Aik Mukhtasar
(Roman Urdu)
Roshan huwe, Unse ham Roshan huwe. Ab ham tum se kahte
hain: ye Noor ham se lelo. Tumhain iski zarurat hai ke tum ham Ma’lumati Kitaab
se Roshan ho. Woh Noor ye hai ke Allah wa Rasool ki sachi
mohabbat, unki ta’zeem aur unke doston ki khidmat, aur unki
takreem, aur unke dushmano se sachi adawat (dushmani).Jisse
Allah wa Rasool ki shaan me adna tauheen paao phir woh Written By: Khalifa-e-Aala Hazrat, Sadr ul- Afaazil Mufti
Sayyad
tumhaara kaisa hi pyaara kyun na ho, fauran uss se juda ho jaao. Mohammad Naeemuddin Muraadabaadi Alaihi Rahma
Jis ko baargaah-e-Risaalat me zara bhi gustaakhi daikho, phir woh
tumhaara kaisa hi buzurg muazzam (izzat wala) kyun na ho, apne Translitration and Typography By:

andar se usay doodh ki makh-khi ki tarah nikaal kar phaik do. Md. Shamshad Ansari Quadri Rizvi
and
(Hayaate-e-Aala Hazrat, JIld-03, Page 745, Akbar Book Sellers Lahore) Mohammad Zeeshan Ali

Presented By: Tajush Shariah Educational Society, Kolkata


ٰ
‫الرحمن الرح م‬ ‫سم ﷲ‬
‫الصل ٰﻮ والسﻼم عل ک ا رسﻮل ﷲ‬
Bismillahir-Rahmaanir-Raheem
As-Salaatu Was Salaamu Alaika Yaa Rasool Allaah

Kitaab ul-Aqaid
Islami Aqaid par ik mukhtasar ma’loomati kitaab

Written By:
Khaleefa-e-Aala Hazrat, Sadr ul- Afaazil, Hazrat
Allama Maulana Hafiz-o-Qari Mufti

Alyhi Rahma

Transliteration and Typography By:


Md. Shamshad Ansari Quadri Rizvi
and
Muhammad Zeeshan Ali

Presented by:
Tajush-Shariah Educational Society,
Kolkata
Kitaab ul-Aqaid Page | 2

Bismillaahir-Rahmaanir Raheem

(Jumla Huqooq ba-haqqe Nashir Mahfooz)

Kitaab ka Naam : Kitaab ul-Aqaid

Writer : Khifaa-e-Aala Hazrat, Sadr ul- Afaazil


Syed Naeemuddin Muraadabaadi
Alyhi Rahma

Hasb-e-Farmaish : Hazrat Allama Maulana Hafiz-o-Qari


Mufti Md Sajjad Alam MIsbahi sahab

Translitration : Md. Shamshad Ansari Quadri Rizvi


and and
Typography Mohammad Zeeshan Ali

Presented By : Tajush-Sharia Educational Society,


Kolkata

Pages : 30

Price : Atleast One time Reading.

Saal-e-Isha-at : 2018

Tadaad-e-Isha-at : 500

ُ ْ َ ُ ْ ‫ﱠ‬ َ ْ ‫َﱠَ ََ ﱠ ْ ﱠ ﱠ‬
‫انت الس ِمیع الع ِل م ه‬ ‫ر نا تق ل ِمنا ِان‬
Kitaab ul-Aqaid Page | 3

Sl.No. Topic Page No.


1. Sharfe Intesaab............................................ 4
2. Ibtedaiiya...................................................... 5
3. Dunya ka Maalik kaun.................................. 7
4. Nubuwat ka bayan....................................... 8
5. Ambiya Alaihu-mus-salaam ke rutbe........... 9
6. Mo’jezaat..................................................... 10
7. Quraan Shareef ka bayaan........................... 11
8. Malaaika ka bayaan...................................... 13
9. Taqdir........................................................... 13
10. Maut aur Qabr ka bayaan............................ 14
11. Hashr ka bayaan........................................... 15
12. Qayamat ki nishaaniyaan............................. 15
13. Hisaab ka bayaan......................................... 20
14. Siraat............................................................ 20
15. Hauz-e-Kausar ............................................. 20
16. Jannat ka bayaan.......................................... 21
17. Dozakh ka bayaan........................................ 22
18. Imaan ka bayaan.......................................... 23
19. Khulfaa-e-Raashedeen................................. 24
20. Ashra-e-Mubash-shara................................. 26
21. Imaamat ka bayaan...................................... 26
22. Auliya Allah................................................... 27
23. Kuch Muzanif (writer) ke baare me.............. 28
Kitaab ul-Aqaid Page | 4

Imaam-e-Ahle Sunnat, Mujaddid-e-Deeno Millat,


Aala Hazrat Ash Shaah Imaam Ahmad Raza Khan Quadri
Barkaati Alaihi Rahma (wisaal 1340 H)
wa
Khalifa-e-Aala Hazrat, Sadr ul-Afazil, Hazrat Allama
Molana Syed Mohammad Naeemuddin Muraadabaadi
Alaihi Rahma (wisaal 1367 H)
wa
Waaris-e-Uloome Aala Hazrat, Janashin-e-Huzoor
Mufti-e-Aazam Hind, Sayyadi Sarkaar Tajush Shariah
Imaam Akhtar Raza Khan Alaihi Rahma (wisaal 1439 H)
Aur
Tamaam Ulama-e-Ahle Sunnat ke naam jinho ne
halaat-e-zamaana ki parwa kiye bagair Islami Aqaid
ke tahaffuz aur iski isha-at-o-tarweej me apni
zindagiyan waqf kar diye

Khaak paaye Ulama-e-Ahle Sunnat


Md. Shamshad Ansari Quadri
Rizvi, Kolkata
Kitaab ul-Aqaid Page | 5
Bismillaahir-Rahmaanir-Raheem
As-salaato was-salaamu Alaika Yaa Rasool Allah

Aqeeda ke lugwi (dictionary) maani dil mai jamaya hua yaqeen, Imaan aur
Ayteqaad ke hain. Aqeeda ki jama “Aqaaid” hai. Momin hone ke liye jin baato ki
dil se tasdeeq aur zaban se iqraar zaroori hai inko “Islami Aqaaid” kahaa jaa ta hai.
Aqaaid ki islaah wa durustagi ke baghair acche se accha amal bhi Allah Ta’ala ki
baargah me qubool nahi. Irshad-e-Khuda Azzawajall hai:
َ ْ َ َ َْ ُ ْ ْ ‫ْ َﱠ‬ َ ْ ُ َ ْ ْ ‫ََ ُ ْ َ َ ْ ﱢ‬
‫اص ٍف ط َ ق ِد ُر ْون ِم ﱠما‬
ِ ‫مثل ال ِذین کف ُرو ِاب َ ـ ِھم اعمالھم ک َرم ِاد ِن اشتدت ِب ِہ ال ﱠ ـ ـح ِ ْ یو ٍم ع‬
‫ﱠ‬ ُ ٰ َ َ ُْ َ
‫ْ ٍء ط ذ ِل ھ َو الضل ُل ال َ ِع ْ ده ة‬ ‫کسبواع‬
: Apne Rab se munkiro ka haal aysa hai ke unke
kaam hain jaise raakh, ke uss par hawa ka sakht jhonka ya aandhi ke din me saari
kamaii me se kuch haath na laga. Yahi hai dooor ki gumraahi.
Lihaaza saabit hua ke agar koi kaseer naik aamaal ka zakhira jama karle lekin
uske aqaaid me fasaad ho (kharaabi) to ye zakhira raakh ka dhayr saabit honge. Isi
haqiqat ko saamne rakhte hue Ulama-e-Ahle Sunnat ne aqaaid ke mauzu par bahut
kuch likha. Inhi me se ek mukhtasar kitaab Sayyadi Aala Hazrat Imam Ahle Sunnat
Radi Allhu Anho ke khalifa Sadr ul-Afaazil Maulana Sayyad Mohammad
Naeemuddin Muradabadi Alyhe Rahmatullahil Haadi ne tehrir farmaayii jisme aap
ne Radi Allhu Anhone nihaayat salees aur aam fahm zabaan me Islami aqaaid
bayaan kiye hain jis se aik aam qaari (padhne wala) bhi istefaada kar (faida utha)
sakta hain. (Al-Madina-tul-Ilmiya, Dawat-e-Islaami)

Iss kitaab ko translitrate karte waqt Dawat-e-Islami ki taraf se published


kitaab ke nushkhe ko paishe nazaar rakha gaya hai, aur jahan jahan mushkil alfaaz
mahsoos huwe unko braket () ke zarya aasaan karne ki koshish ki gaaii hai taake
padhne walo ko samajhne me aasaani ho. Agar phir bhi padhte waqt kuch samajhne
me pareshaani ho to Ulama-e-Ahle Sunnat se raabta kiya jaaye.
Allah ta’aalaa kaa ahasaan aur Rasool Allah Sallallaahu Ta’aala Alaihi wa
sallam ke karam se, ye kitaab, jis ki aaj kal bahut zaroorat hai manzare aam par
aachuki hai.
Hindustaani musalmaano kaa sarsari jaaizaa liyaa jaaye to, aksar gharome,
dostome, rishte daarome, apane pahachaan waalo me Urdu zabaan me baat-cheet
to karlete hai, lekin Urdu zabaan me likhanaa padhanaa kam ho chukaa hai.
Aaj kal ek nayaa trend chalaa huwaa hai, jis ki pahal SMS se huwi aur aaj e-
mail, internet, mobile, jaise aksar jagaho par social websites par, private blogs par
Urdu zabaan kaa istemaal to hotaa hai, lekin Urdu script ki jagah English script likhaa
jaataa hai.
Kitaab ul-Aqaid Page | 6
Baatil jamaa’ate iss zimn me aajkal bahut ziyaada kaam kar rahe hain. Lekin
ham sunni-jannati, iss me kuch peeche hain. Aaj kal hamare society me sahih Islami
aqaid na jannae ki wajah se bad-aqeedgi phailti jaa rahi hai aur naye naye fiitne
paida ho rahe hain. Ye kitaab iss zimn me bahut hee mufeed saabit hosaktaa hai.
Hame chaahiye ke iss kitaab ko promote kare, khud padhen, doosro ko refer
kare aur apane musalmaan bhaai-bahano ke bad-aqeegi se bachaaye aur apani
aakhirat sudhaare.
Urdu Roman zabaan me tarteeb dene me Mohammad Zeeshan Ali sahib aur
Janaab Jawed bhai ne bahut madad ki. Apani busy schedules ke baawajood bhi
contribute karne ke liye mai unkaa bahut shukr guzaar hun. Mere deegar ahbaab,
khaas kar Hazrat Allama Maulana Hafiz-o-Qaari Md. Sajjad Alam Misbahi Sahab
qibla ka behad shukr guzaar hoon jinho ne qadam qadam par apne mufeed
mashwaro se nawaza, aur Janab Ashfaaque sahab ka bhi shukr guzaar hoon jinho
ne iss kaam ki hausla afzaii kii aur bade bhaiyo Md. Irshad Ansari Quadri Rizvi aur
Md Naushad Ansari Quadri Rizvi ka shukr guzaar hoon jinho ne maali taur par
madad ki. Mai in kaa bhi tahe dilse sukr guzaar hu.
Mohtaraam Qaareyeen (Padhne walo)! Inn tamaam koshisho ke bawajood
iss kitaab me jo bhi khubiyan hai yaqeenan Allah Azzaawajall aur uske Mahboob
Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wasallam ki ata, Auliya-e-Kiraam Rahema-
humus-salaam ki enayat aur aur bil-khusoos Sayyadi Saarkaar Tajush-Shariah
Rahmatullah Alaih ka faizaan hai aur jo khaamiyan hon unme meri kotahi aur
laapar-waahi ka natija samajhye.
Allah Taa’la se dua hai ke hame Islami aqaid par iseqaamat ata farmaye.
Gumraah aur bad-aqida logo aur bad-aqeedgi se hamaari aur humaari naslo ki
hifaazat farmaye, iss kaawish ko kubool farmaaye, aur iss kitaab ko musalmaano ke
aqaid ki durustagi ka zarya banaaye.
Aameen Bijaahe Nabeeil Ameen Sallallaahu Ta’aala Alaihi wa sallam.

Md. Shamshad Ansari Quadri Rizvi,


Kolkata.
imamraza1225@gmail.com

Note: Jo Islaami bhai ya Islaami Bahan Roman Urdu me kitaaben padhna


chahte hai woh iss website www.dawateislami.net/bookslibrary/rd se
download karke padh sakte hain. Iske ilawa English, Hindi, Bengali aur
doosre language me bhi Islamic books available hain. Iss website par bhi
kitaab ke liye visit kar sakte hain www.nafseislaam.com
Kitaab ul-Aqaid Page | 7
َ َ ‫َ ﱢ ٰ ْ َ َ ﱠ ُ َ ﱠ‬ ُ
‫الس ُم ع َر ُﺳ ْو ِل ٖہ ُم َﺤ ﱠم ٍد ﱠو ال ٖہ َو ا ْص َﺤ ِاب ٖہ‬ ‫ال َﺤ ْمد ِ ِ رب العل ِم و الصلو و‬
‫ا ْﺟ َم ِع ْ ۔‬

Dunya ki har cheez adalti badalti rahti hai ( tabdeel hoti rahti hai). Aur kabhi
na kabhi fanaa ho jayegi (khatm ho jayegi). Kisi na kisi waqt paida hui hai to zaroor
unsab cheezo ka koi paida aur na-paid (khatm) karne wala hai. Uska naam-e-paak
‘‘Allah’’ hai. Woh hamesha se hai, hamesha rahega. Wahi tamaam jahaan ka banane
wala hai. Aasmaan, zameen, chaand, taare, aadmi,jaanwar aur jitni cheeze hain
unsab ko usi ne paida kiya. Wahi paalta hai, sab usi ke mohtaaj hain. Rozi dena,
jilaana (zinda karna), maarna us ke ikhtiyaar me hai. Woh sab ka maalik hai jo chahe
kare us ke hukm me koi dam nahi maar sakta (koi dakhl nahi de sakta). Woh har
kamaal-o-khoobi ka jaame (usme tamaam khubiyan jama hai) aur har aaib-o-
nuqsaan aur buraaii se paak hai, woh zaahir aur chupi cheez ko jaanta hai, koi cheez
uss ke ilm se baahar nahi. Jaise uski zaat hamesha se hai uski tamaam sifaat
(khoobiyaan) bhi hamesha se hain. Jahaan (dunya) ki har cheez uski paida ki hui hai.
Hum sab uske bande hain woh hum par hamaare Maa Baap se zyada
Meharbaan, Raham farmaane wala, Gunaah bakhshne wala, Tauba qubool
farmaane wala hai.
` Uski pakar nihaayat sakht hai jis se be uske chodhe (baghair uske chode )
choot nahi sakta. Izzat, zillat uske ikhtiyaar me hai jise chahe ameer kare jise chahe
faqeer kare. Jo kuch karta hai hikmat (danaaii, aaqalmandi) hai, insaaf hai.
Musalmaano ko jannat ataa farmayega kafiro par dozakh me azaab karega. Uska
har kaam hikmat hai. Bando ki samajh me aaye ya na aaye uski ne’amate, uske
ayhsaan be-intehaa hain, wahi iska mustahiq (haqdaar) hai ke uski ibaadat ki jaaye
aur koi ibaadat ke laaiq nahi. Allah Ta’ala Hayye, Qadeer, Samae’ei, Baseer,
Mutakallim, Aa’leem, Mureed (hamesha se zinda, qudrat wala jo chahe kare, sunne
wala, daikhne wala, kalaam karne wala, jan-ne wala, iraada farmane wala) hai. Na
woh kisi ka baap, na beta, na uski koi bibi, na rishtedaar. Sab se beniyaaz (kisi ka
hajatmand nahi).

Sab ko paida karne wala Mera Maula Mera Maula


Sabse afzal Sabse Aala Mera Maula Mera Maula
Jag ka Khaliq Sab ka maalik Wahi baaqi, Baaqi Haalik
Saccha maalik Saccha aaqa Mera maula Mera Maula
Sab ko wohi de hai Rozi Ne’amat uski Daula tuski
Raaziq Daata Palanhara Mera Maula Mera Maula
Ham sab uske Aazeez Bande Wahi paale Wahi Maare
Khoobi wala sabse Niyara Mera Maula Mera Maula
Awwal Akhir Ghayib Haazir Usko Roshan uss par zaahir
Alam daana Waquif Qul ka Mera Maula Mera Maula
Izzat wala Hikmat wala Neamat wala Rahmat wala
Mera Pyara Mera Aaqa Mera Maula Mera Maula
Kitaab ul-Aqaid Page | 8
Ta’aat Sajdah Uska Haq hai Usko Pujo Wahi Rab Hai
Allah Allah Allah Allah Mera Maula Mera Maula

Sawaal: Kya dunya hamesha se hai?


Jawaab: Ji nahi.
Sawaal: Kya dunya hamesha rahegi?
Jawaab: Nahi kyun ki yahaan har cheez ke liye aik umr hai. Pahle woh paida hoti
hai aur jab tak uski umr hai baaqi rehti hai. Phir fana ho jaati hai.
Sawaal: Dunya ki cheezo ka paida fana karne wala koun hai?
Jawaab: Allah Ta’ala.
Sawaal: Woh kab paida hua aur kab tak rahega?
Jawaab: Woh paida nahi hua na fana hoga. Paida woh cheez hoti hai jo pahle na
ho. Allah Ta’ala hamesha se hai aur hamesha rahega sabko wahi paida karta usko
kisi ne paida nahi kiya. Wahi sabko fana karta hai usko koi fanaa nahi kar sakta.
Sawaal: Kya akaile usi ne saari dunya bana daali ya koi aur bhi uske saath shareek
hai?
Jawaab: Koi uska shareek nahi sab uske bande aur uske paida kiye huwe hain woh
akela tamaam jahaan ka paida karne wala hai uski badi qudrat hai. Koi zarrah
baghair uske hukm ke hil nahi sakta.

Allah Ta’ala ne khalq (makhlooq, creature) ki hidaayat aur rehnumaaii ke liye


jin paak bando ko apne ahkaam pahunchane ke waaste bheja unko “Nabi ’’ kehte
hain, Ambiya Alaihu-mus-salaam woh Bashar hain jinke paas Allah Ta’ala ki taraf se
wahi (wahi ka lughwi ya dictionary maani paighaam bhejna, dil me baat daalna, khufya
baat karna, Shariiat ke term me ‘wahi’ uss kalaam ko kahte hain jo kisi Nabi par Allah ki
taraf se naazil hua ho. Ambiya Alaihu-mus-salaam ke haq me wahi ki do qismain hain 1)
bil-waasta aur 2) bila-wassta. Bil-waasta kalaam-e-Rabbani Azzawajall firishtay ki zarye
Nabi par aaye jaise Jibraeel Alaihis Salaam ka wahi laana aur bila-waasta yani firishtay ke
zarye ke baghair banafs-e-nafees (khud se) kalaam-e-Rabbani ko sunna jaise Me’raaj ki
raat Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ne suna aur koh-e-Tur par Musa
Alaihis Salaam ne suna. Isi tarah Nabi ko khwaab me jo chezain bataii jaaye woh bhi wahi
hai jaise Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam ko khwaab me Hazrat Ismaeel Alaihis Salaam ki
Qurbaani ka hukm hua) aati hai. Ye wahi kabhi firishtay ki ma’arafat (zarya) aati hai
kabhi be-waasta. Ambiya Alaihu-mus-salaam gunaaho se paak hain unki a’adatein,
khaaslatain (seerat, mizaaj) nihaayat pakeezah hoti hain. Unka naam, nasb, jism,
qaul (kahna), Fa’l (karna), harkaat, saknaat sabse aala darje ke aur nafrat angez
(nafrat dilane wali) baato se paak hote hain, unhe Allah Ta’ala aqal-e-kaamil aata
farmaata hai. Dunya ka bade se bada aqalmand unke aqal ke karorwein darje tak
bhi nahi pahunch sakta. Unhe Allah Ta’ala Ghayb par muttala’ farmaata (khabar
deta) hai woh raat din Allah Ta’ala ki ita-at (hukm manne) wa ibaadat me mashghool
Kitaab ul-Aqaid Page | 9
rehte hain aur bando ko Allah Ta’ala ke hukm pahunchate aur uska rasta dikhaate
hain.
Nabuwwat bahut buland aur bada martaba hai. Koi shakhs ibaadat waghaira se
haasil nahi kar sakta, chahe umr bhar roza-daar rahe, raat bhar sajdon me roya kare,
tamaam maal-o-daulat khuda ki raah me sadqe karde, apne aap bhi uske deen par
fida hojaaye (qurbaan karde) magar iss se Nabuwwat nahi paa sakta. Nabuwwat
Allah Ta’ala ka fazl hai jise chahe aata farmaaye.
Nabi ki farmaa-bardaari (hukm manna) farz hai. Ambiya Alaihu-mus-salaam
tamaam makhlooq se afzal hain unki ta’azeem wa tauqeer farz aur unki adnaa
(chote se chota) tauheen ya takzib (jhutlanaa) kufr hai. Aadmi jab tak in sabko na
maane Mo’min nahi ho sakta. Allah Ta’ala ke darbaar me Ambiya Alaihu-mus-
salaam ki bahut izzat aur martabat hai. Woh Allah Ta’ala ke pyaare hain. Un Ambiya
Alaihu-mus-salaam me se jo nayi shariat laaye unko Rasool kehte hain. Tamaam
Ambiya Alaihu-mus-salaam apni qabro me zinda hain jaise dunya me the, aik aan
(lamha) ke liye un par maut aayi phir zinda hogaye. Dunya me sabse pahle aane
wale Nabi Aadam Alaihis-salaam hain jin se pahle aadmiyo ka silsila na tha. Sabse
pahle Allah Ta’ala ne unhe apni qudrat-e-kaamila se be (baghair) maa baap ke paida
kiya aur apna Khalifa banaya aur Ilm-e-Asma (tamaam chizoo aur unke naamo ka
ilm) inaayat kiya. Malaaika ko unke sajde ka hukm kiya. Unheen se insaani nasl chali.
Tamaam aadmi unhi ki aulaad hain. Hazrat Aadam Alaihis-salaam se hamare Aaqa
Huzoor Sayyad-e-A’alam Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wasallam tak Allah
Ta’ala ne bahut Nabi bheje Qur’an-e-paak me jinka zikr hai unke asma-e-mubaarak
(mubaraak naam) ye hain:
1)Hazrat Aadam Alaihis-salaam, 2)Hazrat Nooh Alaihis-salaam, 3)Hazrat
Ibrahim Alaihis-salaam, 4)Hazrat Yousuf Alaihis-salaam, 5)Hazrat Ismail Alaihis-
salaam, 6)Hazrat Isaaq Alaihis-salaam, 7)Hazrat Y’aqoob Alaihis-salaam, 8)Hazrat
Moosa Alaihis-salaam, 9)Hazrat Haroon Alaihis-salaam, 10)Hazrat Shoaib Alaihis-
salaam, 11)Hazrat Loot Alaihis-salaam, 12)Hazrat Hood Alaihis-salaam, 13)Hazrat
Dawood Alaihis-salaam, 14)Hazrat Sulaiman Alaihis-salaam, 15)Hazrat Ayyub
Alaihis-salaam, 16)Hazrat Zakariyya Alaihis-salaam, 17)Hazrat Yahya Alaihis-salaam,
18)Hazrat E’saa Alaihis-salaam, 19)Hazrat Ilyas Alaihis-salaam, 20)Hazrat Al-Yasa’
Alaihis-salaam, 21)Hazrat Younus Alaihis-salaam, 22)Hazrat Idrees Alaihis-salaam,
23)Hazrat Zul-Kifl Alaihis-salaam, 24)Hazrat Saleh Alaihis-salaam, 25)Huzoor
Sayyad-ul-Mursaleen Mohammad-ur-Rasoolullah sallallaho Ta’ala Alaihi-wa-
Aalehii-wassallam.

Ambiya Alaihu-mus-salaam ke martabe me farq hai. Ba’azo (kuch) ke rutbe


ba’azo (kuch) se a’ala hain. Sabse bada rutba hamare Aaqa-o-Maula Sayyad-ul-
Ambiya Mohammad Mustafa Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ka hai.
Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam Khaatim-un-Nabi yeen hain.
Allah Ta’ala ne Nabuwwat ka silsila Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam par khatm farmaaya. Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam ke baad kisi ko Nubuwwat nahi mil sakti. Jo shakhs Huzoor Sallallaho-
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 10
Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ke baad kisi ko Nabuwwat milna jaayez samjhe
woh kaafir ho jaata hai. Tamaam Ambiya Alaihu-mus-salaam ko jo kamalaat
(khubian) juda juda (alag alag) inayat huwe woh sab Allah Ta’ala ne Huzoor
Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ki zaat-e-a’ali (buland-o-baala zaat)
me jama farmaadi aur Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ke
khaas kamalaat bahut zyaada hain. Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam Allah Ta’ala ke Mahboob hain. Khuda ki raah Ambiya-Alaihu-mus-salaam
hi ke zariye milti hai aur insaan ki najaat ka daaro-madaar inhi ki farma-bardaari par
hai.

Sawaal: Kya jin aur firishtay bhi Nabi hote hain?


Jawaab: Nahi, Nabi sirf insaano me se hote hain. Aur un me se bhi faqat mard.
Koi aurat Nabi nahi hoti.
Sawaal: Kya ghair-e-Nabi (jo Nabi nahi ) ke paas bhi wahi (revelation) aati hai ?
Jawaab: Wahi-e-Nabuwwat (Nubuwwat wali wahi) ghair-e-Nabi ke paas nahi aati.
Jo uska qail (kahne wala) ho woh kaafir hai.
Sawaal: Kya Ambiya ke siwa (ilaawa) aur koi bhi ‘Ma’soom’ hota hai?
Jawaab: Haan, firishtay bhi masoom hote hain aur koi nahi.
Sawaal: Ma’soom kisko kehte hain?
Jawaab: Jo Allah Ta’ala ki hifaazat me ho aur iss wajah se uska gunaah karna na
mumkin ho.
Sawaal: Kya Imam aur Wali bhi ma’soom hote hain?
Jawaab: Ambiya aur Firishtay Alaihu-mus-salaam ke siwa ma’soom koi bhi nahi
hota, Auliya ko Allah Ta’ala apne karam se gunaaho se bachata hai magar ma’soom
sirf Ambiya aur Firishtay hi hain.
Sawaal: Ilm-e-Asma kisko kehte hain?
Jawaab: Allah Ta’ala ne jo Aadam Alaihis-salaam ko har cheez aur uske naamo ka
ilm aata farmaaya tha usko ilm-e-Asma kehte hain.
Sawaal: Firishto ne Hazrat Aadam Alaih-i-salaam ko kaise sajdah kiya tha?
Jawaab: Ye sajdah ta’azeemi tha, jo Khuda ke hukm se Malaaike ne kiya aur sajdah
ta’azeemi pehli shariyato me jaayez tha hamari shariyat me jaaez nahi. Aur sajdah
ibaadat pehli shariyato me bhi Khuda ke siwa kisi aur ke liye jaaez nahi hua.

Woh a’jeeb-o-ghareeb kaam jo a’adatan naa-mumkin ho jaise murdo ko


zinda karna, ishaare se chaand ke do tukde kar dena, ungliyo se chashme jaari
karna, aysi baatein agar nabuwwat ka daawa karne wale se unke taaeed (tarafdaari)
me zaahir ho, unko ‘‘Mo’ajizaat’’ kehte hain. Mo’ajizaat Ambiya Alaihu-mus-salaam
se bahut zaahir hote rehte hain aur ye unki nabuwwat ki daleel hain. Mo’ajizaat
dekh kar aadmi ka dil Nabi ki sacchai ka yaqeen kar leta hai jiske haath se qudrat ki
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 11
aysi nishaaniyan zaahir hoti hain jinke muqaabil sab log a’aajz-o-hairaan hain zaroor
woh khuda ka bheja hua hai chahe ziddi dushman na mane magar dil yaqeen kar hi
leta hai aur aqal wale imaan le aate hain.
Koi jhoota Nabuwwat ka da’awa karke mo’ajizah hargiz nahi dikha sakta
qudrat uski taaeed (favor) nahi farmaati. Hamare Huzoor Sayyed ul-Ambiya
Sallallaho Ta’ala Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ke Mo’ajizaat bahut zyaada hain unme
se ‘‘Me’raaj Shareef’’ bahut mashoor mo’ajizah hai. Huzoor Sallallaho Ta’ala Alaihi-
wa-Aalehi wassallam raat ke thode se hisse me Makkah Mu’azzamah se Baitul
Muqaddas tashreef le gaye wahaan Ambiya Alaihu-mus-salaam ki imamat farmaayi.
Baitul Muqaddas se aasmaano par tashreef le gaye. Allah Ta’ala ke qurb ka woh
martaba paaya ke kabhi insaan ya firishtay, Nabi ya Rasool ne na paaya tha. Khuda
wand-e-alam ka jamaale paak apni mubaarak aankho se dekha, kalaam-e-Elahi
suna, aasmaan-o-zameen ke tamaam mulk ka mulaheza farmaaye, jannato ki sair
ki, dozakh ka mu’aaena farmaaya, Makkah Mu’azzamah se Baitul Muqaddas tak rah
me jo qaafile mile the subh ko unke haalaat bayaan farmaaye.

Qur’an paak Allah Ta’ala ka kalaam hai, uss ne apne bando ki rehnumaai ke
liye utaara. Iss me saare ilm hain aur woh bemisl (jiski koi misaal nahi) kitab hai,
waisi koi doosra nahi bana sakta hai chahe tamaam dunya ke log mil jaaye magar
aysi kitab bana sakta.
Allah Ta’ala ne ye kitab apne pyaare Nabi Huzoor Mohammad Mustafa
Sallallaho Ta’ala Alaihi-wa-Aalehi-wassallam par utaari jaise iss se pahle Tawrait
Hazrat Moosa Alaihis-salaam par, Zaboor Hazrat Dawood Alaihis-salaam par, Injeel
Hazrat Isaa Alaihis-salaam par aur doosri kitabein aur Nabiyo Alaihis-salaam par
utaari thi, woh sab kitabein barhaq hain. Hamara un sab par imaan hai magar pahle
zamaana ke shareer (sharaarti) logo ne agli kitabo ko badal dala woh asli nahi milte.
Qur’an shareef ka Allah Ta’ala khud nigahinbaan hai iss liye woh jaisa uttra waisa hi
hai aur hamesha waisa hi rahega saara zamaana chahe to bhi uss me aik harf ka farq
nahi aa sakta.

Sawaal: Dunya me koi bhi aasmaani kitab bhi hai?


Jawaab: Ji haan.
Sawaal: Aasmaani kitab se kya mutaallib hai?
Jawaab: Khuda ki kitab.
Sawaal: Kaun si?
Jawaab: Qur’an shareef.
Sawaal: Iss me kya bayaan hai?
Jawaab: Iss me saare ilm hain.
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 12
Sawaal: Woh kitab kis liye aayi hai?
Jawaab: Bando ki rehnumaai ke liye taake bande Allah aur uske Rasool ko jaane
aur unke marzi ke kaam kare.
Sawaal: Qur’an shareef kis par utra?
Jawaab: Hazrat Mohammad Mustafa Sallallaho Ta’ala Alaihi-wa-Aalehi
wassallam par.
Sawaal: Kab utra?
Jawaab: Ab se terah sau [1300] baras (saal) pahle . (ye uss waqt hai jab kitab likhi
gaii thi ab taqreeban chaudah sau (1400) baras guzar chuke)
Sawaal: Kya Qur’an shareef ke siwa Allah Ta’ala ne koi aur kitab bhi utaari thi?
Jawaab: Ji haan.
Sawaal: Kaun kaun si?
Jawaab: Sab kitabo ke naam toh maalum nahi. Mashoor kitabein ye hain-
Tawrait shareef, Injeel shareef, Zaboor shareef.
Sawaal: Kya sahi Tawrait,sahi Injeel,sahi Zaboor aaj kal kahin milte hain?
Jawaab: Ji nahi.
Sawaal: Kyon?
Jawaab: Isaaiyo aur Yahoodiyo ne un kitabo me apni marzi se ghata badaa kar
kuch ka kuch kar diya.
Sawaal: Kya sahi Qur’an shareef milta hai?
Jawaab: Ji haan Qur’an shareef har jagah sahi milta hai.
Sawaal: Kya woh nahi badla?
Jawaab: Woh kabhi nahi badal sakta. Uss me aik harf ka bhi farq nahi ho sakta.
Sawaal: Kyon?
Jawaab: Iss liye kyon ki uska nigehbaan Allah hai.
Sawaal: Qur’an shareef kahan milta hai?
Jawaab: Har shahar aur har gaon me, har musalmaan ke ghar me hota hai aur
musalmaan ke bachche bachche ko yaad hai.
Sawaal: Tumne kaise jaana ke woh khuda ki kitab hai?
Jawaab: Jaise ki khuda banayi huyi cheezo ki tarah koi cheez kisi se nahi ban sakti
ayse hi Qur’an shareef ki tarah koi kitab kisi se nahi saki iss se hamne jaana ke woh
khuda ki kitab hai. Aadmi ki hoti toh koi aur bhi waisi hi bana sakta.
Sawaal: Kya Hinduoun ke paas koi khuda ki kitab hai?
Jawaab: Nahi.
Sawaal: Ved kya hai?
Jawaab: Purane zamaane ke shayaro ki Nazme.
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 13

Firishtay Allah ke imaandaar, mukarram bande hain jo uski nafarmaani kabhi


nahi karte hain. Har qism ke gunaah se masoom hain. Unke jism noorani hain, aur
woh na kuch khate hain, na peete hain. Har waqt Allah Ta’ala ki ibaadat me hain.
Allah Ta’ala ne unhe ye qudrat di hai ke woh jo shakl chahen ikhtiyaar karein.
Woh judaa gaana (alag alag) kaamo par mukarrar hain. Ba’aze( kuch) jannat par,
Ba’aze dozakh par, ba’aze aadmiyo ke amal likhne par, ba’aze Rozi pahuchane par,
ba’aze paani barsaane par, ba’aze maa ke pait me bachche ki soorat banane par,
ba’aze aadmiyo ki hifaazat par, ba’aze rooh qabz karne par, ba’aze qabr me sawaal
karne par, ba’azein azaab par, ba’aze Rasool Alaihis-salaam ke darbaar me
musalmaano ke darood-o-salaam pahunchane par, ba’aze Ambiya Alaihu-mus-
salaam ke paas wahi laane par.
Malaika ko Allah Ta’ala ne badi quwwat aata farmaayi hai woh ayse kaam kar
sakte hain jise lakho aadmi mil kar bhi nahi sakte. In me chaar firishtay bahut azmat
rakhte hain. Hazrat Jibra’eel,Hazrat Mika’eel,Hazrat Israfeel,Hazrat Isra’eel Alaihu-
mus-salaam.

Sawaal: Kya firishtay dekhne me aate hain?


Jawaab: Hume toh nazar me nahi aate magar jinhein Allah Ta’ala chahta hai woh
Firishto ko dekhte hain. Ambiya Alaihu-mus-salaam unhe mulaahiza farmaate
hain, unse kalaam hota hai. Qabro me murde bhi Firishto ko dekhte hain aur jise
Allah Ta’ala chahe, dekh sakta hai.
Sawaal: Har aadmi ke saath aik hi firishta umr bhar uske amal likha karta hai ya
kai firishtay?
Jawaab: Neki aur Badi ke likhne wale alhaedah-alhaedah (alag-alag) hain aur raat
ke alhaedah aur din ke alhaedah hain.
Sawaal: Kul kitne firishtay hain?
Jawaab: Bahut hain hume unki ta’adaad maalum nahi.

Dunya me jo kuch hota hai aur bande jo kuch karte hain neki, badi woh sab Allah
Ta’ala ke Ilm-e-Azli ke mutaabik hota hai. Jo kuch hone wala hai woh sab Allah Ta’ala
ke ilm me hai aur uske paas likha hua hai.

Sawaal: Kya taqdeer ke muwaafik (mutaabiq) kaam karne par aadmi majboor
hai?
Jawaab: Nahi. Banda ko Allah Ta’ala ne neki, badi ke karne par ikhtiyaar diya hai.
Woh apne ikhtiyaar se jo kuch karta hai woh Allah Ta’ala ke yahan likha hua hai.
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 14

Har shakhs ki umr muqarrar (fix) hai na iss se ghate, na barhe. Jab woh umr
poori ho jati hai to Malak-ul-Maut A’lyhis salam (rooh qabz karne wala firishta) iski
jaan nikaal lete hain. Mout ke waqt marnay walay ke dahine, bayen jahan tak nazar
jati hai firishtay hi firishtay dikhayi dete hain. Musalman ke paas rahmat ke firishtay,
kafir ke paas a’zaab ke. Musalmano ki rooh ko firishtay e’zzat ke saath le jaate hain
aur kafiro ki rooh ko firishtay hiqaarat (nafrat) ke saath le kar jaate hain. Rooho ke
rahne ke liye maqaamat muqarrar hai, neko ke liye alyhda (alag) aur bado ke liye
alyhda. Magar woh kahin ho, jism se inka ta’lluq baqi rahta hai. Iski ayza (Jism ko
takleef pahunchne) se un (rooh) ko takleef hoti hai. Qabar par aane wale ko daikhte
hain, uski aawaz suntay hain, marnay ke baad rooh kisi doosray badan me jaakar
phir nahi paida hoti, ye jahilana khayaal hai isi ko “Awagon” kahte hain.
Maut yahi hai ke rooh jism se juda hojaaye lekin juda hokar rooh fana nahi
hojaati. Dafn ke baad qabr murde ko dabaati hai, jab dafn karne wale dafan karke
waapas hojaate hain to murda unke jooto (shoes) ki aawaz sunta hai. Iske baad do
firishtay zameen cheerte aatay hain, inki sooratain daraaoni, aankhain neeli kaali.
Aik ka naam ‘Munkir’ aur doosre ka naam ‘Nakeer’ hai. Woh murde ko utha kar
bithaate hain aur us se sawaal karte hain.
1) Tera Rab kon hai?
2) Tera Deen kya hai?
3) Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ki taraf ishaara kar ke
puchte hain tu inke haq me kya kaha tha?
Musalman jawaab deta hai, mera Rab ‘Allah’ hai. Mera Deen ‘Islam’ hai. Ye
ٌ ُ ‫ٌ ْ ُ ﱠ‬ َ َ ٌ َ ْ َ ُ ‫ْ َ ُ ْ ﱠ َ ﱠ‬
‘Allah ke Rasool’ hain. ‫ْ لہ َو اش َھد ان ُم َﺤ ﱠمد َاع ْ د ٌه َو َر ُﺳ ْولہ‬ ‫ ۔ اشھدان ِالہ ِا ﷲ وحده‬Ash-
hadu Allah ilaha illallahu wahdahu laa shareeka lahu wa ash hadu anna
Muhammadan abduhu wa rasuluh. Firishtay kahte hain hum jaante the ke tu yahi
jawaab dega phir iski qabr faraakh (kushadah) aur roshan kar di jaati hai. Aasmaan
se aik munaadi nida karta hai (elaan karne wala elaan karta hai). Mere bande
ne sach kaha. Iske liye jannati farsh bichaao, jannati libaas pehnaao, jannat ki taraf
darwaaze kholo. Darwaazay khol diye jate hain jis se jannat ki hawa aur khushbu
aati rahti hai aur firishtay iss se kahte hain ke ab tu aaraam kar.
Kafir in salaawo ka jawaab nahi de sakta har sawaal ke jawaab me kahta hai
mai nahi jaanta. Aasmaan se nida karne wala nida karta hai ke jhoota hai iske liye
aag ka bichaona bichaao, aag ka libaas pahnaao aur dozakh ki taraf ka darwaaza
khol do is se dozakh ki garmi aur lipat aati hai phir ispar firishtay muqarrar kar diye
jaatay hain jo lohay ke bade bade gurzo (wazni hathore) se maartay hain aur azaab
karte hain.

Sawaal : Aawagon ko kon log maante hain?


Jawaab : Hindu.
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 15
Sawaal: Kya qabr har murday ko dabaati hai?
Jawaab: Ambiya-e keraam Alayhumus salam mustasna hain (shaamil nahi). Inke
siwa sab musalmano ko bhi qabr dabaati hai aur kafiro ko bhi. Lekin musalmano
ko dabaana Shafqat (mohabbat) ke sath hota hai jaise maa bache ko seenay se
lagaakar chiptaaye aur kafir ko sakhti se yahan tak ke pasliyaan idhar se udhar
hojaati hai. (aik dosray me ghus jaati hai).
Sawaal: Kya kuch log aisay bhi hain jin se qabr me sawal nahi hota?
Jawaab: Haan, jin ko hadees shareef me mustasna kya gaya hai (shaamil nahi
kiya gaya hai) jaise Ambiya-e keraam A’lyhumus salam aur Jumuat-ul-Mubaarak
aur Ramadaan-ul-Mubarak me marne wale musalmaan.
Sawaal: Jo murde dafn nahi kiye jaate unse bhi sawaal hota hai?
Jawaab: Haan, woh khaah (chahe) dafn kiya jaaye, ya na kiya jaaye, ya usay koi
jaanwar khaa jaaye, har haal me iss se sawaal hota hai aur agar qabile azaab hai to
azaab bhi.

Jaise har cheez ki aik umr muqarrar hai iss ke poore hone ke baad fana hojaati
hai. Ayse hi dunya ki bhi aik umr Allah Ta’ala ke ilm me muqarrar hai. Iss ke poora
honay ke baad dunya fana ho jayegi. Zameen-o-Aasman, aadmi, jaanwar koi bhi
baaqi na rahega. Iss ko “Qayamat” kahte hain. Jaise aadmi ke marne se pahle
bemari ki shiddat, maut ke sakraat(jaan kani ki takleef), naza’ (dam tootna) ki
halatain zaahir hoti hain, ayse hi qayamat se pehlay alaamaat (alamat ki jama) hain.

Qayamat ke aanay se pahlay dunya se ilm uth jaayega. Aalim baaqi na rahen
ge. Jahaalat phail jaayegi. Badkaari aur behayaii ziyada hogi. Aurto ki tadaad mardo
se badh jaayegi. Bade Dajjal ke siwa (ilaawa) tees (30) Dajjal aur honge har unme se
nubuwat ka da’wa karega bawajood ye ke Huzoor Pur Noor Syed Ambiya Sallallaho-
Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam par nubuwat khatam ho chuki. Inme se baaz
Dajjal to guzar chuke jaise Musailma Kazzab, Aswad Unsi, Mirza Ali Mohammad
baab, Mirza Ali Husain Baha-ul- Allah, Mirza Ghulam Ahmed Qad baaze (kuch) aur
baqi hain woh bhi zaroor honge.
Qayamat ke aanay se pahlay dunya se ilm uth jaayega. Aalim baaqi na rahen
ge. Jahaalat phail jaayegi. Badkaari aur behayaii ziyada hogi. Aurto ki tadaad mardo
se badh jaayegi. Bade Dajjal ke siwa (ilaawa) tees (30) Dajjal aur honge har unme se
nubuwat ka da’wa karega bawajood ye ke Huzoor Pur Noor Syed Ambiya Sallallaho-
Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam par nubuwat khatam ho chuki. Inme se baaz
Dajjal to guzar chuke jaise Musailma Kazzab, Aswad Unsi, Mirza Ali Mohammad
baab, Mirza Ali Husain Baha-ul- Allah, Mirza Ghulam Ahmed Qad baaze (kuch) aur
baqi hain woh bhi zaroor honge.
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 16
Maal ki kasrat hogi. A’rab me khaiti, baagh, nahren ho jaayengi. Deen par
qaayem rehna mushkil hoga. Waqt bohat jald guzray ga. Zakat dena logo ko
dushwaar hoga. Ilm ko log dunya ke liye padhenge. Mard, aurto ki ita-at karenge
(hukm maanenge). Maa baap ki nafarmani ziyaada hogi. Sharaab noshi (peena) aam
hojaaye gi. Na-ahl (Na-laiq) sardar ban jaayenge. Nahr-e-furaat se sonay ka khazana
khulay ga. Zameen apne dafeene (Khazana) ugal degi. Amanat, ghanimat samjhi
jaayegi. Masjido me shore machenge. Fasiq sardaari karenge, fitna angezo ki izzat
ki jaaye gi. Gaane baaje ki kasrat hogi. Pahle buzurgo par log la’an ta'an (bura bhala)
karen ge. Koray ki noke aur jootay ke tasmay baaten kaaren ge. Dajjal aur Yajooj
Majooj niklen ge. Hazrat Imam Mahdi Radi Allah anho zaahir honge. Hazrat Eesa
alehis salam nuzool farmayen ge (aasman se utrenge). Aaftaab maghrib se tulu hoga
aur tauba ka darwaaza band ho jaaye ga.

Sawaal: Dajjal kis ko kehte hain, uss ke nikalne ka haal bayan farmaiye ?
Jawaab: Dajjal maseeh kazzab ka naam hai. Uss ki aik aankh hogi woh kaana hoga
aur uss ki peshani par ‫ ک۔ا۔ف۔ر۔‬kaaf-alif-faa-raa (kafir) likha hoga. Har musalmaan
usay padhega kafir ko nazar na aaeyega. Woh chaalees (40) din tamaam zameen
me phirega magar Makka Shareef aur Madina Shareef me daakhil na ho sakega. In
chaalees (40) dino me pahla din aik saal ke barabar hoga, dusra aik mahinay ke
barabar, teesra aik hafta ke barabar aur baaqi din mamool ke dino ke barabar
honge. Dajjal khudai (Khuda hone) ka da’wa karega aur uss ke sath aik baagh aur
aik aag hogi jiska naam jannat aur dozakh rakhay ga. Jo imaan laaye ga usko apni
jannat me daale ga, jo haqeeqat me aag hogi aur jo uss ka inkaar karega usko apni
jahannum me daakhil karega jo waaqay me aasayish ki jagah hogi (asal me raahat
aur aaraam ki jagah hogi). Bohat se a’jaayeb (hairat angez chizen) dikhaaye ga.
Zameen se sabza ugaaye ga. Aasman se meenh (barish) barsaaye ga. Murde zindah
karega. Aik momin Saleh (naik) uss taraf mutwajjah honge aur unse Dajjal ke sipahi
kahen ge kya tum hamaaray rab par imaan nahi laate? woh kahen ge. Mere rab ke
dalaail chupay hue nahi hain. Phir unko pakar kar Dajjal ke paas le jaayen ge. Ye
Dajjal ko dekh kar farmaayen ge aye logo ye wohi Dajjal hai jiska Rasool-e-Kareem
Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ne zikr farmaaya hai. Dajjal ke hukm
se unko zad-o-kob (maar peet) kiya jayega. Phir Dajjal kahega kya tum mere upar
imaan nahi laate? woh farmaayen ge tu maseeh kazzab hai. Dajjal ke hukm se unka
jism-e-mubarak sir se pair tak cheer kar do hisse kar diya jaayega aur un dono hisso
ke darmiyan Dajjal chalega. Phir kahega uth! to woh tandrust hokar khare honge.
Tab Dajjal unse kahega tum mujh par imaan laate ho? woh farmaayen ge meri
baseerat (benaye-o-aqalmandi) aur ziyaada ho gaayi. Aye logo! ye Dajjal ab mere
baad kisi ke sath aisa nahi kar sakta. Phir Dajjal unhen pakar kar zibah karna chahe
ga aur uss par qadir na ho saake ga. Phir unke dast-o-paa (haath aur paon) se pakar
kar apni jahannum me daaley ga. Log gumaan karenge ke unko aag me dala. Magar
dar-haqeeqat (Haqiqat me) woh aasaish (Aaram) ki jagah honge.
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 17
Sawaal: Daabba-tul-ard kya cheez hai?
Jawaab: Daabba-tul-ard aik a’jeeb shakl ka jaanwar hai jo koh-e-Safa se zaahir ho
kar tamaam shehro me nihayat jald phire ga. Fasaahat (bohat ache tareeqe) ke
sath kalaam karega. Har shakhs par aik nishani lagaaye ga. Imaandaro ki peshani
par Asaay-e-Moosa A’lyhis salam (Hazrat Moosa alehis salam ki laathi) se aik
noorani khat (line) khinche ga. Kafir ki peshani par Hazrat Sulaiman A’lyhis salam
ki angushtari (anguthi) se kaali mohar karega.
Sawaal : Yajooj Majooj kon hain ?
Jawaab : Ye Yafas bin Nooh A’lyhis salaam (ye Hazrat Nooh A’lyhis salam ke bete
hain ye momin the turkey log uss ki nasl se hain) ki aulaad me se fasaadi giroh hain.
Inki tadaad bohat ziyada hai. Woh zameen me fasaad karte the. Ayyam-e-Rabi (fasal
pakne ka zamana) me nikalte the. Sabza zara na chorte the. Aadmiyo ko khaa lete
the. Jungle ke darindo, wahshi jaanwaro, saanpo, bichchu ko khaa jate the. Hazrat
Sikandar Zulqarnain ne aahinii deewar (lohay ki deewar) khainch kar unki aamad
band kar di. Hazrat Eesa A’lyhis salam ke nuzool ke baad jab aap Dajjal ko qatl karkay
ba-hukm-e-Ilahi (Allah Ta’ala ke hukm) se musalmano ko Koh-e-Tur par le jaayenge
us waqt woh deewar tor kar nikleen ge aur zameen me fasaad uthayen ge. Qatl-o-
ghaarat (jaan se maarna aur lootna) karen ge. Allah Ta’ala inhen Hazrat Eesa A’lyhis
salam ki dua se halaak karega.
Sawaal: Hazrat Imam Mahdi Radi Allah Anho ka kuch haal bayan farmaiye ?
Jawaab: Hazrat Imam Mahdi Radi Allah Anho Khaleefat-ul-Allah (Allah ke khaleefa)
hain. Aap Radi Allah Anho Huzoor Nabi kareem Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam ki Aal (aulaad) me se Hasni Syed honge. Jab dunya me kufr phail jaayega
aur Islam Harmain Sharifain ( Makka Mukarrama aur Madina Munawwara) ki taraf
simat jaaye ga, Auliya-o-Abdal (Auliya-e-Kiraam, ahl-e-tasawwuf ke nazdeek Aulia
Allah ka woh giroh jiske supurd dunya ka intizaam hai) wahan ko hijrat ( apne watan
ko hamesha ke liye chorna) kar jayen ge. Mah-e-Ramadaan me Abdal Kaaba Shareef
ke tawaf me mashgool honge wahan Aulia Hazrat Imam Mahdi Radi Allah Anho ko
pehchan kar unse bai-at ki darkhast karen ge. Aap Radi Allah Ta’ala Anho inkaar
ٌ ْ ‫ ٰھ َذا َخل ْ َف ُة ﷲ ال َم ْھد ْی َف‬ye
farmaen ge. Ghaib se nida (aawaz) aaye gi .‫اﺳ َم ُع ْوالہ َوا ِط ْ ُع ْو ٌه۔‬ ِ ِ ِ
Allah Ta’ala ke khalifa Mahdi hain. Inka hukm suno aur ita-at (farmabardari) karo.
Log aap Radi Allah Anho ke dast-e-mubarak par bai-at kaaren ge wahan se
musalmano ko saath lekar shaam tashreef lejaayen ge. Aap ka zamana badi khair-
o-barkat ka hoga zameen adal-o-insaf se bhar jaye gi.
Sawaal : Hazrat Maseeh Alehis Salat-o-Salam ke nuzool ka mukhtasir haal bayan
kijiye?
Jawaab: Jab Dajjal ka fitna intahaa ko pahunch chuke ga aur woh malaoon tamam
dunya me phir kar mulk-e-shaam me jaye ga uss waqt Hazrat Eesa Alehis salam
Damishq ki jame masjid ke Sharqi minarh par Shariat-e-muhammadya Sallallaho-
Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ke haakim aur Imamِ-e-Aadil aur mujaddid-e-
millat hokar nuzool farmaayen ge. Aap aleh salam ki nazar jahan tak jayegi wahan
tak khusbhoo puhanche gi aur aap Alehis salam ki khusbhoo se Dajjal pighalnay
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 18
lagey ga aur bhage ga. Aap Alehis salam Dajjal ko Bait-ul-Muqaddas ke qareeb
maqam-e-lud me qatl karen ge. Unka zamana badi khair-o-barkat ka hoga. Maal ki
kasrat hogi. Zameen apne khazanay nikaal kar bahar karegi. Logo ko maal se raghbat
na rahegi. Yahoodiyat, Nasraniyat aur tamam baatil deeno ko Aap alehis salam mita
dalenge. Aap alehis salam ke ahad-e-mubarak(mubarak daur) me aik din hoga,
Islam. Tamam kafir imaan le aayen ge aur saari dunya Ahl-e-Sunnat hogi. Aman-o-
Amaan ka ye aalam hoga ke sher bakri aik sath chareen ge. Bachay saanpo se khelen
ge. Bughz-o-hasad ka naam -o-nishaan na rahay ga. Jis waqt Aap Alehis salam ka
nuzool hoga fajar ki jamaat khari hoti hogi. Hazrat Imam Mahdi Radi Allah Anho Aap
Alehis salam ko dekh kar aap se imamat ki darkhast karen ge. Aap unhen ko agay
barhayen ge aur Hazrat imam Mahdi Radi Allah Anho ke peechay namaz ada
farmaayen ge. Aik riwayat me hai ke Hazrat Eesa Alehis Salat-o-salam ne Huzoor
Syed Ambiya Alehi wa Alehmus salat-o-salam ki shaan-o-sifat aur aap ki ummat ki
izzat-o-karaamat dekh kar ummat Muhammadi Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam me daakhil honay ki dua ki. Allah Ta’ala ne Aap Alehis Salam ki dua
qubool farmaii aur Aap Alehis Salam ko wo baqa (Zindagi) ata farmaii ke aakhir
zamana me ummat-e-Mohammadya Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam
ke imam ho kar nuzool farmaayen. Aap Alehis Salam nuzool ke baad barso dunya
me rahen ge, nikaah karen ge phir wafaat paakar Huzoor Syed Ambiya Alehis Salat-
o-Salam ke pahlu me madfoon (dafan) honge.
Sawaal: Aaftaab ke maghrib se tulu’ karne aur darwaaza-e-tauba ke band honay ki
kaifiyat bayan farmaiye?
Jawaab : Rozaana aaftaab bargaah-e-ilahi me sajda karkay izn (ijazat) chahta hai
izn hota hai tab tulu karta hai. Qareeb-e-qayamat jab daabbah-tul-ard niklay ga
hasb-e-mamool (Mamool k mutabiq) aftaab sajda karkay tulu honay ki ijazat chahay
ga. Ijazat na mile gi. Aur hukm hoga ke wapas ja. Tab aaftaab maghrib se tulu hoga
aur nisf (aadha) aasman tak aakar laut jayega aur janib maghrib ghuroob karega.
Uss ke baad ba-dastoor sabiq (pahle ke dastoor k mutabiq) mashriq se tulu kya kare
ga. Aaftaab ke maghrib se tulu karte hi tauba ka darwaaza band kar diya jayega
imaan lana maqbool na hoga.
Sawaal : Qayamat kab qaaim hogi ?
Jawaab : Iska ilm to khuda ko hai. Hame iss qadr maloom hai ke jab ye sab
a’lamtain zahir ho chaken gi aur roo-e-zameen par koi khuda ka naam lene wala
baqi na rahega tab Hazrat Israfeel Alehis Salam Allah Tabarak-o-Ta’ala ke hukm se
soor phunken ge. Uss ki aawaaz awwal awwal (Shuru me) to bohat narm hogi aur
dam ba-dam buland hoti chali jaye gi. Log usko sunen ge aur behosh ho kar gir
parenge aur mar jayen ge. Zameen-o-Aasman aur tamam jahan fana hojaye gi. Phir
jab Allah Ta’ala chahega hazrat Israfeel Alehis Salam ko zindah karega aur dobarah
soor phukne ka hukum dega. Soor phukte hi phir sab kuch mojood ho jaye ga.
Murde qabro se utheen ge. Nama aamaal unke hatho me dekar mehshar me laaye
jayen ge. Wahan jaza (badla) aur hisaab ke liye muntazir (Intezar me) khare honge.
Aaftaab nihayat tezi par aur saro (head)) se bohat qareeb ba-qadr-e-aik mile hoga.
Shidat-e-garmi se bheje kholte honge. Kasrat se paseena aeye ga. Kisi ke tukhne tak,
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 19
kisi ke ghutne tak, kisi ke gale tak, kisi ke munh tak misl-e-lagaam (lagaam ki tarah)
ke. Har shakhs hasb-e-haal-o-amal hoga. Phir paseena bhi nihayat badbudaar hoga.
Usi haalat me taweel arsa guzray ga. Pachaas(50) hazaar saal ka to din hoga aur uss
haalat me aadha guzar jayega. Log sifarshi talaash karen ge jo iss museebat se nijaat
dilaaye aur jald hisaab shuru ho. Tamam Ambiya Alaihumus Salam ke paas haazri
hogi lekin karbrari na hogi ( matlab poora na hogi).
Aakhir me Huzoor Pur Noor Syed Ambia rahmat-e-aalam Mohammad
Mustafa Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ke huzoor (baargaah) me
faryaad layenge aur Shafa-at (sifaarish) ki darkhast karen ge. Huzoor Pur Noor
َ
Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam farmaen ge ‫ انا ل َھا‬mai iss ke liye
maujood hun. Ye farma kar Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam
bargaah Elaahi azzwajal me sajda karen ge. Allah ta’ala ki taraf se irshaad hoga:
‫ُ َ ْ ْ َ ُ َ ﱠ‬ ُ ُ َ ُ
‫ ۔ َ ا ُم َﺤ ﱠمد ِا ْرف ْع َرا َﺳک ق ْل ْس َم ْع َو َﺳ ْل ت ْعطہ َو اشف ْع شف ْع۔‬Aye Mohammad Sallallaho-
Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam sajday se sar uthaiyee baat kahiye suni jayegi,
Shafa-at kijiyeje qubool ki jayegi. Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam ki aik Shafaat to tamam ahl-e-mehshar ke liye hai jo shiddat-e-haul
(ghabrahat, dar, khauf) aur tul-e-khauf (khauf ki zayadti) se faryaad kar rahay honge
aur ye chahtay honge ke hisaab farmakar un ke liye hukum dediya jaye. Ab hisaab
shuru hoga, Mezaan-e-amal (amal tolnay walay traazu) me aamaal tolay jayen ge.
Aamaal namay hatho me honge. Apne hi haath, paon, badan ke aaza (organs) apne
khilaaf gawahi denge. Zameen ke jis hisse par koi amal kya tha woh bhi gawahi dene
ko tayyar hoga. A’jeeb pareshani ka waqt hoga koi yaar na ghamgusaar (hamdard).
Na beta baap ke kaam aasake ga na baap bete ke. Aamaal ki pursish (pooch guch)
hai. Zindagi bhar ka kiya hua sab samne hai. Na gunah se mukar sakta hai (apne
kahe se phir sakta hai) na kahin se nekiyan mil sakti hai. Iss bekasi (akelapan) ke
waqt me dastagire bekasaan (beyar-o-madadgaar ke madadgaar) Huzoor Pur Noor
Mehboob-e-khuda Mohammad Mustafa Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam kaam ayen ge aur apne niyaz mando (khahish rakhnay walay) aur
umeedwaro ki Shafa-at farmaen ge.
Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ki Shafa-at kaii tarah ki
hogi bohat log to aap ki Shafaat se be-hisaab daakhil-e-jannat (Jannat me daakhil
honge) aur bohat log jo dozakh ke mustahiq (haqdaar) honge Huzoor Sallallaho-
Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ki Shafa-at se dozakh me daakhil hone se bachen
ge aur jo gunehgaar momnin dozakh me pahunch chuke honge woh Huzoor
Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ki Shafa-at se dozakh se nikaale jayen
ge. Ahl-e-jannat bhi aap Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ki Shafa-at se
faiz payenge unke darajaat buland kiye jayen ge. Baaqi aur Ambiya-o-Mursaleen
Alyhumus salam, Sahaba-e-karaam Ridwan-ul-Allah Ta’ala alyhum ajmaeen apne
mutawas-seleen (waseela dhoandne walay) ki shafa-at karen ge. Log ulama ko apne
tal-luqaat yaad delayen ge agar kisi ne aalim ko dunya me wuzu ke liye pani laa kar
diya ho ga to woh bhi yaad dila kar Shaf-at ki darkhast karen ge aur woh iss ki Shafa-
at karen ge .
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 20
Sawaal : Mehshar ke ahwaal (khauf-o-ghabrahat), aaftaab ki nazdeeki se bheje
kholne, badbudar paseena ki takaleef aur un musibato me hazaarha baras ki
muddat ke mubtala aur sargardaan (hairan-o-parayshan) rehne ka jo bayan farmaya
ye sab ke liye hai? Ya Allah ke kuch bande iss se mustasna bhi (daakhil nahi) hain ?
Jawaab : In ahwaal me se kuch bhi Ambia alyhumus salam wa aulia wa atqiya (
parhaizgaar log ) wa sulaha (naik, mut-taqi ) Radi Allah Anhum ko na pahunche ga
woh Allah Ta’ala ke karam se in sab aafatmusalma aur musibato se mehfooz honge.
Qayamat ka pachaas (50) hazaar baras ka din jis me na aik luqma khane ko muyassar
hoga, na har aik qatra peenay ko, na aik jhoonka hawa ka. Upar se aaftaab ki garmi
bhoon rahi hogi, neechay zameen ki tapish (garmi), andar se bhook ki aag lagi hogi.
Pyaas se gardan tooti jati hogi saalha saal (saalo saal) ki muddat khade khade badan
kaise dukha hua hoga shiddat-e-khauf (kahuf ki zyadati) se dil phatt jate honge.
Intezaar me aankhen uthi hon gi badan ka purzah purzah larazta kanpta hoga woh
taweel din Allah Ta’ala ke fazl se uske khaas bando ke liye aik farz namaz ke waqt
se ziyada halka aur aasaan hoga.

Hisaab haq hai. Bando ke aamaal ka hisaab hoga. Mezaan qaim ki jaye gi,
amal taule jayen ge naik bhi bad bhi, qaul bhi fayl bhi (jo kahau ska bhi jo kiya uska
bhi), kafiro ke bhi momino ke bhi. Aur baaze (kuch) Allah ke bande aisay bhi hon ge
jo baghair hisaab ke jannat me jayen ge. Har shakhs ko iss ka nama-e-a’amaal diya
jaye ga jo firshto ne likha tha naikon ke namahaa-e-aamaal (nama-e-aamal ka jama)
dahine haath me honge aur bado ke bayen me.

Jahannum ke upar aik pul hai uss ko ‘Sirat’ kahte hain. Woh baal se ziyada
bareek talwar se ziyada taiz hai. Sab ko uss par guzarna hai jannat ka yahi raasta
hai. Uss pul par guzarne me logo ki haalat judagana (alag alag) hogi jis darje ka
shakhs hoga uss ke liye aysi hi aasani ya dushwari hogi baaze to yun guzar jayen ge
jaisay bijli kond gayi ( bijli ki chamak jaise taiz). Abhi idhar the abhi udhar pahunche.
Baaze hawa ki tarah, baaze taiz ghore ki tarah, baaze aahista aahista, baaze girte
parte larazte langrate aur baaz jahannum me gir jayen ge. Kuffar ke liye badi hasrat
(aarzo, afsos) ka waqt hoga jab woh pul se guzar na saken ge aur jahannum me gir
paden ge aur imaandaar ko dekhen ge ke woh isi pul par bijli ki tarah guzar gaye ya
taiz hawa ki tarah udd gaye ya Saree as-sair (taiz raftaar) ghoray ki tarah daur gaye.

Ye aik hauz hai jiski teh mushk ki hai yaqoot aur motiyo par jaari hai dono
kinaare sonay ke hain aur unpar motiyo ke qubbe (gumbad) nasb (lage) hain uske
bartan aasman ke taaro se ziyada hain aur uss ka pani doodh se ziyada safaid,
shehad se ziyada shiren (meetha), mushk se ziyada khushbodar hai. Jo aik martaba
piyega kabhi piyasa na hoga. Allah Ta’ala ne ye hauz apne Habib-e-Akram Sallallaho-
Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ko ataa farmaya hai. Huzoor Sallallaho-Ta’ala-
Alaihi-wa-Aalehi-wassallam uss se apni ummat ko sairaab farmaen ge (piyaas
bujhayenge). Allah Ta’ala hame bhi naseeb farmaye. Ameeen
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 21

Sawaal: Hisaab ke baad aadmi kahan jayen ge ?


Jawaab: Musalman jannat me aur kafir dozakh me .
Sawaal : Kya sab musalman jannat me jayen ge aur sab kafir dozakh me? aur ye
dono jannat aur dozakh me kitna arsa (waqt) rahen ge ?
Jawaab : Naik musalman aur woh gunahgaar musalman jin ke gunah Allah Ta’ala
apne karam aur apne Mehboob Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ki
Shafa-at se bakhash de woh sab ke sab jannat me rahen ge aur baaz dozakh me
jayen ge woh bhi jitna arsa Khuda Ta’ala chahe dozakh ke azaab me mubtala rahkar
aakhir kaar nijaat payen ge aur kafir sab ke sab jahannum me jayen ge aur hamesha
isi me rahen ge .
Sawaal : Kya jannat aur dozakh paida hochuki hain ya paida ki jayen gi ?
Jawaab : Jannat aur dozakh paida hochuki hain aur hazaro baras se mojood hain
.

Allah Ta’ala ne iss dunya ke siwa (ilawa) do aur azeemush-shan daar (makaan)
paida kiye hain aik dar-un-nae’em (Nemat ki jagah ) uss ka naam ‘Jannat’ hai aur aik
dar-ul-a’zaab (azaab ki jagah) hai jisko ‘Dozakh’ kehte hain.
Jannat me Allah Ta’ala ne apne imaandaar bando ke liye anwaa-o-aqsam (
tarah tarah ) ki aysi nemat jama farmaii hain jin tak aadmi ka wahm-o-khayaal nahi
pohanchta, na aysi ne’matain kisi aankh ne dekhen, na kisi kaan ne suneen, na kisi
dil me unka khatarah (gumaan hua). Unka Wasf poori tarah bayan me nahi aasakta.
Allah Ta’ala ataa farmaye to wahein unki qadr maloom hogi. Jannat ki wus-at
(kushadgi, philao) ka ye bayan hai ke uss me sau (100) darjay hain har darjay se
dosre darjay tak itna fasla hai jitna aasman-o-zameen ke darmiyan .
Agar tamam jahan aik darja me jama hon to aik darja sab ke liye kifayat kare
(kaafi ho). Darwazay itne wasee (chaura) ke aik baazu se dosray baazu taq taiz
ghoray ki sattar (70) baras ki raah hai. Jannat me saaf, shaf-faaf, chamakdar safaid
moti ke bade bade khaimay (tent) nasb hain un me ranga rang ajeeb-o-ghareeb
farsh hain unpar yaqoot-e-surkh (laal yaqoot) ke mimbar hain. Shehad-o-sharaab ki
nahren jari hain unke kinaro par mursa (nageenay jurey hue) takht biche hain.
Pakeeza soorat-o-libaas walay Ghilman-o-Khuddam ke anboh (bheer) hain jo har
waqt khidmat ke liye tayyar hain. Naik khu (naik serat) khubru ( khobsorat ) haseen-
o-jameel hooren jinke husn ki chamak dunya me zahir ho to uss ke maqabil
(muqable me) aaftaab ka noor pheeka par jaye. In naazninoo (dil-ruba, khoobsurat)
ke badan ghayat (intahaaii) wa khoobi se aisay maloom hotay hain ke goya yaqoot
wa marjaan ke banay hue hain. Jab woh naaz ke sath khiramaan hoti hain (tahalti)
hain to hazaarha noor paiker ( noorani jism walay ) khud-daam unke aanchal uthae
chaltay hain. Unkay reshmi libaas ki chamak damak nigaho ko jhuapkati aur dekhne
walo ko mutahayyar (hairaan) banati hai. Marwarid (moti jo seep se nikalta hai) wa
Marjaan ke mursa taaj un ke zaibِ-e-sar (sar par) hain. Unka rang dhang unke naz-o-
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 22
ada (pyari mann mohni harkat aur ada) unke jawaharaat ko sharmaa dene wale
chamakdaar aur itr baiz (khusbhoo phelanay walay) badan ahl-e-jannat (Jannat
wale) ke liye farhat angez (rahat bakhsne walay) hain jinse pehlay kisi insaan aur jin
ne un hooro ko chouaa tak nahi. Phir ye husn-e-dilkash (dil ko lubhaane wala husn)
dunya ke husn ki tarah khatarah me nahi ke jawaani ka rang roop budhaape me
rukhsat hojaye wahan budhapa hai na koi zawaal wa nuqsaan. Jannat ke
chamanistan (baagaat) ke darmain yaqoot ke qasoor-o-aywaan (mehal-o-makaan)
banaye gaye hain unme ye hooren jalwagar (khaas banaao singhar ke sath) hain.
Moti ki tarah chamakate khadim unkay aur jannatiyo ke paas bahishti nemato ke
jaam (paimane ) aur saghar (pyalaa ) liye daure kar rahe hain. Parvar digaar-e-
kareem ki taraf se dam ba-dam (har ghadi) anwaa-o-aqsaam ke tohfe aur Hadya
pahunchte hain. Daimi zindagi, aysh-e-madaam (kabhi na khatam honay wali
aasayish-o-aaraam) ataa kiya gaya. Har khahish baid-e-rang (bagair dair ke faoran
)poori hoti hai. Dil me jis cheez ka khayaal aaya faoran haazir. Kisi qisam ka khauf-
o-gham nahi. Har saa-at har aan ne’mato me hain. Jannati nafees-o-lateef ghzayen,
lazeef meway (mithai) khatay hain. Bahishti nahro se doodh, sharaab, shehad
waghera peetay hain un nahro ki zameen chandi ki, sangraize (kankar) jawaaheraat
ke, maati mushk-e-naab (khalis mushk ki), sabza zaferan ka hai. In nahro se noorani
piyale bhar kar woh jaam paish karte hain jinse aaftaab sharmaye. Aik munaadi ahle
jannat ko nida kare ga aye bahisht walo! tumhare liye sehat hai kabhi bemaar na ho
ge. Tumhare liye hayaat hai kabhi na maroge. Tumharay liye jawaani hai boodhe na
hoge. Tumhare liye ne’maten hain kabhi mohtaaj na hoge. Tamam ne’mato se badh
kar sab se pyari doulat Hazrat Rabbul izzat jala Jalalahu ka deedar jis se ahl-e-jannat
ki aankhen behra-yab hoti rahen gi (faida uthati rahen gi).

Qayamat ki museebatein jhail kar abhi log uski karb-o-dasht me hon ge ke


achanak unko andheriyan ghair lengi aur lipat maarne wali aag unpar chaa jayegi
aur uske ghaiz-o-gazab ki aawaz sun-ne me aaye gi. Uss waqt badkaaro ko azaab ka
yaqeen hoga aur log ghutno ke bal gir parenge aur firishte nida (awaaz)) karen ge
kahan hai falan falan ka beta jis ne dunya me lambi umeeden bandh kar apni zindagi
ko badkaari me zaya kya. Ab ye malaa-ika un logo ko aahni gurzo (lohay ka aik
hathyar jo upar se mota niche se patla hota hai) se hakaate dozakh me le jayen ge.
Ye aik daar (makan) hai jo zaalimo, sarkasho ke azaab ke liye banaya gaya hai uss
me ghup andheri aur taiz aag hai. Kafir uss me hamesha qaid rakhe jayen ge aur aag
ki taizi dam ba-dam zayadti kare gi, peenay ko inhen garm pani miley ga aur is qadr
garm ke jis se munh phat jaye aur upar ka hont sukar kar aadhay sar tak puhanche
aur niche ka phat kar latak aaye, unki qaraar gaah (thaharnay ki jagah) jaheem (
dozakh ka aik tabqa) hai, malaa-ika unko maarenge. Unki aarzu (khahish) hogi ke
woh kisi tarah halaak ho jayen aur unki rihayi ki koi soorat na hogi, qadam
paishaniyo se milaa kar bandh diye jayen ge, gunaaho ki siyahi se munh kalay honge,
jahannum ke itraaf-o-jawanib (aas paas) shore machate aur faryaad karte honge ke
aye Maalik (darogha jahannum ka naam) azaab ka wada ham par poora hochuka
hai. Aye Maalik alaihis salam! lohay ke boojh ne hamen chakna chur kar diya hai.
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 23
Aye Maalik alaihis salam! hamare badno ki khalen jal gayeen. Aye Maalik alaihis
salam! hum ko iss dozakh se nikaal. Hum phir aysi na-farmani na karen ge. Firishtay
kahenge dur ho! ab aman nahi aur iss zillat ghar se rehaii (najaat) na milegi isi me
zaleel pade raho aur ham se baat na karo. Uss waqt unki umidain toot jayen ge aur
dunya me jo kuch sarkashi woh kar chukay hain uspar afsos karen ge lekin uss waqt
uzr-o-nidaamat (bahana aur sharmindagi) kuch kaam na aaye ga, afsos kuch faida
na dega balke woh haath paon baandh kar chahro ke bal aag me dhakail diye jayen
ge. Unke upar bhi aag hogi, niche bhi aag. Dahine bhi aag bayen bhi aag. Aag ke
samandar me doobe honge. Khana aag aur piinaa aag, pehnawa aag aur bichaona
aag, har taraf aag hi aag, uss par gurzo ki maar aur bhaari bediyo ka boojh, aag
unhen iss tarah khaulayegi jis tarah handiyan khaolti hain, woh shore machayen ge
unke saron par kholta pani dala jaye ga jis se unke pait ki aanten aur badno ki khalen
pighal jayen gi, lohay ke gurz maare jayen ge jis se peshaniyan pich jayen gi, munh
se peep jari hogi, piyaas se jigar kat jayen ge, aankho ke dheailay bah kar rukhsaaro
(cheek) par aapaden ge, rukhsaaro ke gosht gir jayen ge haath paon ke baal aur
khaal gir jayen ge aur na marenge. Chehray jal bhun kar siyah kalay koilay ho jayen
ge, aankhen andhi aur zabani goongi ho jaegi, peeth tedhi ho jaye gi, naken aur kaan
kat jayen ge khaal parah parah (tukre tukre) ho jaye gi, haath gardan se mila kar
bandh diye jayen ge aur paon peshani se, aag par munh ke bal chalaaye jayen ge
aur lohay ke kaanto par aankhh ke dhailo se raah chalen ge, aag ki lipat badan ke
andar sirayat (assar) kar jayegi aur dozakh ke saanp bichhoo badan par liptay, daste,
kaat-te hon ge. Ye mukhtasir haal hai jo ba-ijmaal (thoda) zikar kiya gaya hai. Hadees
shareef me hai 70,000 wadiyaan hain, har waadi me 70,000 ghaatiyan, har ghaati
me 70,000 azhdahe (bohat bade saanp) aur 70,000 bichchoo hain. Har kafir aur
munafiq ko in ghaatiyo me pahunchna zaroor hai .
Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ne farmaya ‘Jub-e-
Huzn’ se panah mango. Sahaba-e-karaam allahum ridwan ne arz kya" Jub-e-Huzn"
kya cheez hai? farmaya jahannum me aik waadi hai jis se jahannum bhi rozana
70,000 baar panah mangta hai. Allah Ta’ala apne ghzab-o-azaab se panah de aur
ham sab musalmano ko apne Afo wa karam se bakhshe. Aameen.
Jab tamaam jannati jannat me pahunch jayen ge aur dozakh me faqat (sirf)
wohi log rah jayen ge jinko hamesha wahan rehna hai. Uss waqt jannat aur dozakh
ke darmeyaan maindhe ki shakl me maut laayii jayegi aur tamam bahishtiyo aur
dozakhyo ko dekha kar zibah kar di jaye gi aur farmadiya jaye ga ke Aye ahl-e-
jannat! tumahre liye hamesha hamesha jannat aur uss ki nematain aur aye ahl-e-
dozakh! tumahre liye hamesha azaab hai maut zibah kar di gayii hai ab hamesha ki
zindagi hai, halaak ho fana nahi. Uss waqt ahl-e-jannat ke Farah wa surur ki nihayat
na hogi (khushii ki koi intahaa na hogi) isi tarah dozakhyo ke ranj-o-gham ki.

Woh tamam umoor (ahkaam, paighaam) jo Huzoor Nabi Kareem Sallallaho-


Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam Allah Ta’ala ki taraf se laaye aur jin ki nisbat
yaqeeni maloom hai ke ye deen-e-Mustafa Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam se hai un sab ki tasdeeq karna (sach janna) aur aur dil se maanna imaan
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 24
hai. Jaise Allah Ta’ala ki wahdaniyat, tamam Ambiya Alyhumus salam ki nabuwat,
Huzoor Nabi Kareem Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ka Khatamun
Nabi yeen hona ye aiteqaad ke Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam sab me aakhri Nabi hain, Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-
wassallam ke baad kisi ko nabuwat nahi mil sakti, isi tarah hashr nashr (marnay ke
baad zindah kar ke uthaya jana), Jannat-o-dozakh waghera ka aiteqaad aur zabaan
se iqraar bhi zaroori hai. Magar haalat akrah me [agar Maaz-Allah kalma kufar jari
karne par koi shakhs majaboor kya gaya usay maar daalnay ya i ka uzoo (part) kaat
daalnay ki sahih dhamki di gayi ke ye dhmkane walay ko iss baat ke karne par qadir
samjhay to aysi haalat me iss ko rukhsat di gayi hai magar shart ye hai ke dil me
wohi itminane imaani ho jo peshtar tha] jabke khauf-e-jaan ho us waqt agar tasdeeq
me kuch khlal na aaye to woh shakhs momin hai agarchay uss ko ba-haalt-e-
majboori zabaan se kalma kufar kehna para ho magar behtar yahi hai ke aysi haalat
me bhi kalma kufar zabaan par na laaye. Kabira gunah karne se aadmi kafir aur
imaan se kharij nahi hota. Shirk wa kufr kabhi na bakhshay jayen ge aur mushriq wa
kafir ki hargiz mughfirat na hogi. Inke siwa Allah Ta’ala jis gunah ko chahay ga apne
moqarrabo ki Shafa-at se ya mahaz apne karam se bakhshe ga. Shirk ye hai ke Allah
ke siwa (ilawa) kisi aur ko khuda ya ibadat ka mustahiq (laiq) samjhe. Aur kufr ye
hai ke zaruriaat-e-deen woh umoor jin ka deen-e-Mustafa Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-
wa-Aalehi-wassallam se hona yakeeni tor par maloom ho unme se kisi ka inkaar
kare.
Baaze af-aal bhi takzeeb wa inkaar ki alaamaat hain un par bhi hukm-e-kufar
diya jata hai jaise zunnar (aik makhsoos dhaga jisay hindu gilaay aur baghal ke
darmiyan aur esaaii, majoosi, yahodi kamar me bandhte hain) pehanna, Qashqa
(hindu maathey par jo teeka lagatay hain) waghera. Kafir hamesha dozakh me rahen
ge aur musalman kitna bhi gunehgaar ho kabhi na kabhi zaroor nijaat paye ga. Inn
Shaa Allah Ta’ala.

Ambiya Alaihumus salaam ke baad sabse afzal Hazrat Abu Bakar Siddique
Radi Allahu Anho hain jinho ne Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam
ki be-tammul (bagair ghaor-o-fikr ke) tasdeek ki (sacha-cha jaana) aur jo mardo me
sabse pahle musalman hain. Aap Radi Allahu Anho ka ism-e-mubarak (naam)
Abdullah ibn Abi qohafa hai. Aap Radi Allahu Anho ka rang gora jism charera (dubla
patla) rukhsaar raste huwe, aankhain halqa daar, peshani ubhri hui thi. Aap Radi
Allahu Anho ke walidain, bete aur pote sab sahabi Radi Allahu Anhum hain aur ye
fazilat sahaba-e-kiraam Radi Allahu Anhum me kisi ko hasil nahi. Aam-feel (uss saal
ko kahte hain jis me Abraha ne hathiyo ka lashkar lekar Kaaba shareef par chadaii
ki thi ye yaman ka baadshaa tha iski tabahi ka bayan Sura Al-Feel me zikr kiya gaya
hai) ke do (2) baras chaar mah (4 mahine) baad Makkah Mukarramah me Aap Radi
Allahu Anho ki wiladat hui. Apni umr sharif me Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-
Aalehi-wassallam ki mafariqat (judaai) kabhi gawara na ki. Aap Radi Allahu Anho ke
bahut fazail hain, Ahadees me bahut thaarefain aayii hain. Aap Radi Allahu Anho ka
laqab Siddique-o-Ateeq hai, Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 25
ne farmaya ke Ambiya wa mursaleen Alayhumus Salam ke siwa kisi shaks ne Hazrat
Abu Bakr Siddique Radi Allahu Anho ke baraabar fazl wa sharf (maqqam-o-martaba)
nahi paya. 22 Jamadi-ul-Aakhar san 13 hijri sah-shamba (Mangal) Madina
Munawwara maghrib-o-isha ke darmiyaan 63 saal ki umr me aapka wisaal hua.
Hazrat Umar bin Khattaab Radi Allahu Anho ne namaze janaza padhaii. Aap Radi
Allahu Anho ki khilafat do saal char mah rahi.
Aap ke baad Hazrat Umar Radi Allahu Anho ka martaba hai aur woh baaqi
sabse afzal hain. Aap Radi Allahu Anho ka naame naami Umar bin Khattaab, laqab
Farooq, kun-niyat Abu Hafas hai. Aap Radi Allahu Anho nubuwat ke chatte (6th) saal
40 mard aur gayaarah aurto ke baad imaan laaye aur aap ke islam laane ke din se
islam ka ghalba shuru hua. Aap Radi Allahu Anho doosre khalifa hain. Sabse pahle
Aap Radi Allahu Anho hi ka laqab Ameer-ul-momineen hua. Aap Radi Allahu Anho
ka rang safaid surkhi mayel, qamat daraaz (lamba qad) chashm-e-mubarak surkh
thyn. Aap, Hazrat Siddique Akbar Radi Allahu Anho ke baad khalifa huwe. Aap Radi
Allahu Anho ke aahd-e-mubarak (Mubarak daur) me bahut fatuhaat (jang me
kaamyabi) hui. Aap Radi Allahu Anho ke fazail me ba-kasrat Ahadees warid (aayen)
hain. Aap Radi Allahu Anho ne Madina tayyaba me aakhir zul-hajj san 23 hijri me
saadhe das saal (10.5 years) khilafat karke ba-umr 63 saal shahaadat paii.
Aap Radi Allahu Anho ke baad khalifa soyem Hazrat Usman ibn Affaan Radi
Allahu Anho ka martaba hai. Aap Radi Allahu Anho ka ism-e-mubarak Usman bin
Affaan hai. Aap Radi Allahu Anho ka rang gora, jild nazuk, chehra haseen, seena
chawra aur dadhi badi thi. Aap yakkum Moharram san 24 hijri ko khalifa banaye
gaye. Aap sakhaa wa haya me mash-hoor hain aur aap ke fazail me ba-kasrat
hadeesen marwi (riwayat ki gaii) hain. Huzoor Aqdas Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-
Aalehi-wassallam ki shahzadihyan Hazrat Ruqaiyya wa Hazrat Umme Kulsoom Radi
Allahu Anhunna yake baad degray (aik ke baad doosra) aapke nikah me aayen, isi
wajah se aapko “Zun-Noorain” (2 noor wala) kehte hain. Aap Radi Allahu Anho
qareeb barah ( 12) saal ke khilafat farmaakar Madina Tayyaba me ba-umr 82 saal
18 zul-hajj san 35 hijri me shaheed huwe.
Aap Radi Allahu Anho ke baad sabse afzal khalifa-e-chaharum (4th) Ameer-ul-
Momineen Hazrat Ali ibn abi Talib Radi Allahu Anho hain. Aapka ism-e-mubarak Ali
aur kun-niyat Abul Hasan aur Abu Turab hai. Nau-umroo me Aap Radi Allahu Anho
sabse pahle islam laye. Islam laane ke waqt Aap ki umr shareef 15 ya 16 saal ya
usse kam wa zyada thi. Aap Radi Allahu Anho ka rang gandumi, aankhen badi, qad
mubarak gair taweel, dadhi chaudi aur safed thi. Aap, Hazrat Usman Radi Allahu
Anho ki wafat ke din khalifa banaye gaye. Huzoor-e-Anwar Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-
wa-Aalehi-wassallam ki shehzadi Khatoon-e-Jannat Hazrat Fatima-tuz-zahra Radi
Allahu Anha Aap Radi Allahu Anho ke nikah me aayeen. Aap Radi Allahu Anho ke
fazail me ba-kasrat se Ahadees warid hain. Aap Radi Allahu Anho ne 21 Ramdhan
san 40 hijri ko 4 saal 9 mahine aur chand roz khilafat farmaakar ba-umr 63 saal
shahaadat paii.
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 26

Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ke das ( 10) Ashaab


(Sahaba) woh hain jinke bahishti (jannati) hone ki dunya me khabar dii gayi unko
“Ashrahe Mubashrah” kahte hain. In me 4 to yahi Khulfa Radi Allahu Anhoum hain
jinka zikr abhi guzra baaqi hazraat ke ismaye-garami (Mubarak Naam) ye hain.
Hazrat Talha, Hazrat Zubair, Hazrat Abdur Rahman bin Aaof, hazrat Saad bin Abi
Waqaas, Hazrat Saeed bin Zaid, Hazrat Abu Ubaidah bin Jarah Ridwanul Allah Ta’ala
Alyhim Ajamaeen. Ahaadees me baaz aur sahaba-e-kiraam ko bhi jannat ki
bashaarat dii gayi hai chunan-cha Khatoon-e-Jannat Hazrat Fatima-tuz-Zahra Radi
Allahu Anha ke haq me warid (hasees maujood hai) hai ke wo jannat ki bibiyo ki
sardar hain aur Hazrat Imam Hasan aur Hazrat Imam Hussain Radi Allahu Anhuma
ke haq me warid hai ke woh jawanaan-e-bahisht (Jannat ke jawanoo) ke sardaar
hain, isi tarah Ashaab-e-Badr aur Ashaab-e-Bai-at-e-Ridwaan ke haq me bhi jannat
ki basharatain hain.

Musalmano ke liye ek aysa imam zaruri hai jo unme shara’ (Shariat) ke


ahkaam jaari kare, hadain qaaim kare, lashkar tarteeb de, sadaqaat wasool kare,
choro, lootero, hamla-aawaro ko maghloob kare, juma wa eidain qaim kare,
musalmano ke jhagre kaate, huqooq par jo gawaahiyan qaaim hon woh qubool
kare, in bekas, yateemo ke nikah kare jinke wali na rahe hon aur inke siwa woh
kaam anjaam de jinko har aik aadmi anjaam nahi de sakta.
Imam ke liye zaruri hai ke woh zahir ho chupaa hua na ho. Warna woh kaam
anjaam na desakega jinke liye imam ki zarurat hai. Ye bhi laazim hai ke imam
Quraishi ho Qarashi ke siwa aur ki imamat jaiz nahi . Imam ke liye zaruri hai ke
musalman, mard, aazaad ho, aaqil (aql wala), balig aur apni raye, tadbeer aur
Shaukat-o-quwwat se musalmano ki umoor (maamlaat) me tasarruf (dakhl) kar
sakta ho saahib siyasat ho aur apne ilm, adl aur suja-at wa bahaaduri se ahkaam
naafiz karne aur darulislam ke hudood (sarhadain) ki hifaazat aur zaalim wa
mazloom ke insaaf par qaadir ho.
Huzoor Nabi -e-kareem Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam Ke
tamam Sahaaba Radi Allahu Anhum Ajmaeen mut-taqi wa parhezgar hain. Unka zikr
adab, mohabbat aur tauqeer ke saath lazim hai, in me se kisi ke saath bad-aqeedgi
ya kisi ki shaan me bad-goii karna intehaa darje ki kam-nasibi aur gumraahi hai. Woh
firqa nihaayat bad-bakht aur bad-deen hai jo sahaaba Radi Allahu Anhum Ajmaeen
par la’an ta’an ko apna mazhab banaye unki adaawat (dushmani) ko sawaab ka
zarya samjhe. Sahaaba-e-Kiraam Radi Allahu Anhum Ajmaeen ki badi shaan hai unki
eiza (takleef) se Huzoor Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam ko eiza hoti
hai. Koi wali, koi Ghaos, koi qutub martaba me kisi sahaabi ke baraabar nahi ho
sakta. Tamaam Sahaaba-e-kiraam Jannati hai. Roz-e-mahshar firishtay unka
isteqbaal karenge.
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 27

Allah ke woh maqbool bande jo uske zaat-o-sifaat ke a’arif (pahchanne wale)


ho, iski ita-at aur ibaadat ke paaband rahen, gunaaho se bachain, unhain Allah
Ta’ala apne fazl-o-karam se apna qurbe khaas ata farmaye unko “Auliya Allah”
kahte hain.
Unse ajeeb-o-gaarib karaamatain zaahir hoti hain masalan (misaal ke taur
par) aan ke aan (seconds) me mashriq se maghrib pahunch jaana, paani par chalna,
hawa me udna, jamadaat wa haiwaanaat se kalaam karna, balaayen dafa’ karna,
durdaraaz ke haalaat unpar munkashif (zaahir) hona. Auliya ki karaamatain dar
haqeeqat (asl me) un Ambiya Alaihum ussalaam ke mo’jezaat hain jinke woh
ummati hon. Auliya ki mohabbat daarain (dono jahan) ki sa’adat aur riza-e-ilahi ka
sabab (zarya) hai. Inki barkat se Allah Ta’ala makhluq ki hajatain poori karta hai. Inki
duao se khalq (makhlooq) faida uthaati hai. Inke mazaaro ki ziyaarat, inke urso ki
shirkat se barkaat hasil hoti hai. Inke waseela se dua karna kaamyaabi hai.
Marne ke baad murdo ko sadqa, khairaat, tilaawat-e-Quraan Sharif zikr-e-ilahi aur
dua se faida hota hai. Insab cheezo ka sawaab pahunchta hai isi liye fatiha aur
giwarhaween waghaira musalmano me qadeem (bahut pahle se jaari) hai aur sahih
Ahadees se ye umoor saabit hain. Inka munkir (inkaar karne wala) gumraah hai.
Allah Ta’ala imaan-e-kaamil par zinda rakhe aur isi par uthaye apne
mahboobo ki mohabbat ata farmaye aur apne dushmano se bachaye. Ameen
َ َ َ َ ُ
‫َوص ﷲ ت َع ع خ ْ خل ِق ٖہ ُم َﺤ ﱠم ٍد ﱠو ا ِل ٖہ َو َص ْﺤ ِب ٖہ ا ْﺟ َم ِع ْ َ ۔‬
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 28

Sadr ul-Afaazil Maulana Syed Mohammad Na’eemuddin Muradabadi


Rahmatullah-e-ta’ala alaih Aala Hazrat Imam Ahle-Sunnat, azim ul-barkat, azim ul--
martabad, mujadide-deen-o-millat, Maulana Ash Shaah Imam Ahmad Raza Khan
Alaih Rahma ke khulafaa-e-kiraam me se aik qaabil-e-fakhr shakhsiyat hain, aap ne
apni zindagi deen-e-islam ke khidmat ke liye waqf kar rakhi thi. Dam-e-aakhir
(aakhir dam taak) tak aap deen ki khidmaat aur ihyaa-e- sunnate Nabawi (Nabi ki
sunnat ko zinda karne) Sallallaho Ta’ala Alaih-e-wassallam me mashghul rahe.
Aap ka naame naami Mohammad Na’eemuddin aur laqab Sadr ul-Afaazil tha. 21
Safar-ul-Muzaffar 1300 hijri, ba-mutaabik yakum January 1883 ba-roze peer
(Monday) Muradabaad (Uttar Pradesh, Hindustaan) me paida hue. Aur nisbat se
Muradabaadi kehlay. Aap ka saara khandaan Aalim wa Faazil me yakta-e rozgaar
tha Chunanche 8 saal ke umr me Quraan paak hifz karne ke baad Ibtidaai taalim
aapne waalide maajid Maulana Mohammad Moinuddin Alaih Rahma se haasil ki
phir Maulana Shah Fazil Ahmad Rahmattullah ta’ala Alaihe ki khidmat me haazir
huwe aur silsila-e-taalim ko aage badhaya. Aap ne Dars-e-Nizami ki takmeel
Madarsah Imdaadiya-Muradabad se ki aur phir kam-o-besh aik saal tak fatawa
nawesi (fatwa likhna) farmate rahe. Aapni a’ala Ilmi istedaad aur qabliat ki bina par
Madarsah Imdaadiya me dastaar fazeelat haasil ki.
Aap ke seerat nagaro ne likha hai ke Jodhpur ke aik shakhs Idrees ne akhbaar
‘’Nizam-ul-Mulk’’ me Imam Ahlesunnat Aala Hazrat Azim-ul-barkat ki mukhalifat me
aik mazmoon likha jo behuda aur nazebaa kalimaat se pur tha. Jab Hazrat Sadr-ul-
Afaazil Rahmatullah ta’ala alaih ne ye mazmoon dekha to ranjida ho gaye aap ne
iska nihaayat hi madallal aur pur magz jawaab tehrir farmaya aur usi akhbaar me
shaaya karwaya. Imam Ahlesunnat Alaih Rahma ko jab maalum huwa toh aap ne
Sadr-ul-Afaazil Alaih Rahma ko Bareilly Sharif bulaya. Aap Imam Ahlesunnat Radi
Allah Ta’ala Anho ke khidmate ba-barkat me haazir hue aur unki ilmi faizan se
baharayaab hote rahe.
Hazrat Sadr-ul-Afaazil Rahmatullah he Ta’ala Alaih ko munazara me aisa
kamal haasil tha ke jab bhi kisi se munazara hua, Allah Azzawajall ne apne fazl wa
karam se ghalib hi farmaya. Koi Essaai, Aarya, Rafzi, Khaarji ya Qaadyani aapke
mukabeel na thehar sakta, Chand hi minute me shikast kha kar zillat se rukhsat ho
jata. Aap ko Aala Hazrat Rahmatullah ta’ala ne goya aik tarah se munazro ka
inchaarge banaya tha. Kyunke jahan kahin hindu, Esaai sar uthate, Aala Hazrat alaih
Rahmato fauran Sadr-ul-Afaazil ko un ki sar kobi ke liye rawaana farma dete.
Dars-e-hadees aapka dilchasp tareen masghalaa tha. Fanne hadees me woh
log ba-kamaal kahlaye jinke quwwate hafiza bahut zayada hua. Chunanche Allah
Ta’ala ne aapko iss ne’mat-e-azim se nawaza tha aap bala ke qawi ul-hafiza the aur
hadees ka dars dete waqt fanne usoole hadees me Aala tarz par taqreer farmate.
Aap ne mukhtalif mauzou par bisiyo ilmi mazamin tehrir farmaya aur aap ke
ye ilmi shah para aaj bhi mustanad maane jataa hain. Aala Hazrat Muhadees
Bareillwi Alaih Rahma ke bemisaal, shohra afaaque Tarjama-e-Qur’aan ‘‘Kanzul
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 29
Iman’’par aapka Tafseeri haashia ‘‘Khazain-ul-Irfan’’ ummat ke liye behtareen
ne’mat hai, jo muktasar hone ke saath saath jame’ aur Sahl bhi hai. Digar mashoor
kitab me Ateeb- ul-Bayaan, Al Kumt-ul-alaih, Sawaneh Karbala aur Kitab-ul-Aquaid
wagaira shamil hain.
Hazrat Sadr al afaazil ne nasr ke saath saath shair-o-sukhan ka bhi bada
ummda zauq payaa tha. Aap ki shayari urdu ki rewayati shayari ke tarah na thi balke
nihayat shusta wa mohazzab andaaz me shayari farmaate. Aap ne Rasool-e-Akram
Sallallaho Ta’ala Alaihe wasallam ki shaan me naate bhi likhi aur pand-o-nasaayeh
par mushtamil asha’aar bhi likhe.
1328 hijri me aapne Muradabaad me aik ilmi darsgaah madrasah Anjuman
Ahlesunnat wa Jama’at ki buniyad rakhi baad me isi azim-ush- shaan deeni darsgah
ka naam Jamia Na’eemi rakha gaya, Jahaan aaj bhi hazaro tashnagaan ilm sayraab
ho rahe hain.
Bahar haal aap apni zaat me ek anjuman ki haisiyat rakhte the. Saari umr isi
tarah deen ke khidmat karte rahe. Bil akhir wa dayee ajal ko labbaik kehne ka waqt
aa pahuncha aur aap ke inteqaal pur malaal 19 Zil-hijjah 1367 hijri ke ba-mutaabik
23 October 1948 ko raat baarah baje hua. Aap ki tadfaeen Jamia Na’eemi
muradabad ki masjid ke baayen goshe me ki gayi. Aaj bhi aap se iktesaabe faiz ka
silsila jaari hai aur Insha Allah Azzawajall taa qayamat tak jaari rahega. Allah
Azzawajal aap par karoro Rahmate naazil farmaye. Ameen
Kitaab ul-Aqaid P a g e | 30
َ َ ‫َ ﱢ ٰ ْ َ َ ﱠ ُ َ ﱠ‬ ُ
‫الس ُم ع َر ُﺳ ْو ِل ٖہ ُم َﺤ ﱠم ٍد ﱠو ال ٖہ َو ا ْص َﺤ ِاب ٖہ ا ْﺟ َم ِع ْ ۔‬‫ال َﺤ ْمد ِ ِ رب العل ِم و الصلو و‬
‫الر ْح ٰمن ﱠ‬
‫الر ِح ْ َم‬ ‫ْسم ِ ﱠ‬
ِ
‫َو ا ْص ٰﺤ ِ ک َ ا َح ِب ْ َب ﷲ ﷺ‬
َ
‫َو ع ا ِل‬ ‫َ ا َر ُﺳ ْو َل ﷲ ﷺ‬ ْ ‫لس َ ْ ُم َعل‬
ّ ‫الصلو ُ ا‬
ّ
ْ ُ
‫العل ِم ف َ ضة ع‬ َ ٌ َ ْ َ ُ َ
(224 ‫ حﺪ ث‬،1 ‫ جﻠﺪ‬،‫ِل مس ِل ٍم )س ابن ماجہ‬ ِ ‫طلب‬
Mafhoom: Ilm ka haasil karna har musalmaan (mard-o-aurat) par farz hai

Aao Farz Uloom Seekhain


Alhamdulillah Azzawajall Alimuddin Street Badi Masjid, Mehandi Bagaan, me
har Islami mahine ke 1st aur 3rd Sunday ko Esha baad ‘Aao Farz Uloom Seekhain’
program rakha gaya hai jisme Ulaam-e-Ahle Sunnat aap tak Farz uloom
pahunchayenge.
Yaad Rakhye sab se pahle Islami Aqaid ka Ilm hasil karna farz hai jinko qubool
karkle banda musalmaan hota hai aur inkaar karke kaafir ya gumraah ho jaata hai,
Iske baad wuzu, gusl ke faraiz aur namaaz ke faraiz-o-sharait-o-wajibaat-o-mufsidat
(yani namaaz kis cheez se durust hoti hai aur kis cheez se toot jaati hai aur kis cheez
se nuqs paida hota hai) , Isi tarah Islami bahno ke makhsoos masaail aur parde ke
ahkaam bhi seekhna fraz hai, phir Ramadaan ul-mubarak ki tashreef aawari ho to
jis par rozay farz ho uss ke liye rozon ke zaroori masail, jin par zakat farz ho unko
zakat ke zaroori masail, isi tarah Hajj farz honay ki soorat me hajj ke, nikaah karna
chahay to nikaah ke, businessman ko business ke, khridaar ko kharidne ke, nokri
karne aur nokar rakhnay ke, aur isi par gumaan kar liya jaye, In short har musalman
aaqil (aqal wala) o baaligh mard aurat par is ki mojooda haalat ke mutabiq
masaail seekhna farz hai, isi tarah har aik ke liye halaal o haraam ke masail bhi
seekhna farz hai, Isi trah bando ke huqquq ke mutalliq ilm jiase aulaad ke, maa-baap
ke, miyaan-biwi ke...etc seekhna farz hai, Neez masaile qalb (baatini masail) yani
faraaiz qalbiya (baatini faraaiz) maslan aajizi, ikhlaas, tawakkul, khaufe khuda wa
ishqe Mustafa Sallallaho-Ta’ala-Alaihi-wa-Aalehi-wassallam...etc aur unko haasil
karne ka tareeqa aur baatini gunah maslan takabbur, riyaakaari, hasad,
badgumaani, bughz o keena aur inka ilaaj seekhna har musalman par farz hai.
Muhlikaat (halakat me daalnay wali cheezo) jaisa ke wada khilaafi, jhoot, gheebat,
chughli bohtan, bad nigaai, dhoka, musalmano ko takleef dena waghera waghera
tamam saghira wa kabirah gunaaho ke baaray me zaroori ahkaam seekhna bhi farz
hai taakay un se bacha ja sakay.
Shaitan ke waswasa me hargiz tawajjah mat dijiye ke seekhain ge to amal
karna pade ga balkay iss hukme shariat ko zehan me rakh lijiye ke halaat ke
mutaabiq farz aloom na jaanna gunah aur nah jan-nay ki wajah se gunah karna
gunah par gunah aur jahannum me le jane wala kaam hai
Note: Jo islaami bhai iss prograam m shaamil na ho paye aur khaas kar islaami bahno se
guzaarish hai ke is website www.dawateislami.net/blog/faizan-e-farzuloom-course-3 par
visit karen aur farz uloom haasil kare.

You might also like