Nothing Special   »   [go: up one dir, main page]

Islami Zindagi (Roman Urdu)

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 179

ZINDAGI

MUFTI AHMAD YAAR KHAN NAYEEMI


Islami Zindagi
Mufti Ahmad Yaar Khan Nayeemi

Roman Urdu Transliteration: Muhammad Aaseem Razvi


(Member Mission Qadriya Welfare Society)

Publisher: Abde Mustafa Publications


Digitally Published by Sabiya Virtual Publication
Powered by Abde Mustafa Organisation

Publication Date: November 2023 Total Pages: 176


Edition: 1st
Book No.: SVPBN438

Cover Design & Formatting : Pure Sunni Graphics

All rights reserved.


No part of this publication may be reproduced, distributed, or transmitted
in any form or by any means, including photocopying, recording, or other
electronic or mechanical methods, without the prior written permission of
the publisher, except in the case of brief quotations embodied in critical
reviews and certain other noncommercial uses permitted by copyright law.

Copyright © 2023 by Abde Mustafa Publications

our family:

graphics
SAB YA
All praise to Allah, the Lord of the Creation,
and countless blessings and peace upon
our Master Muhammad, the leader of the Prophets.
Islami Zindagi 1

Contents
About Abde Mustafa Organisation ...........................6
Musalmanon ki bimariyan aur unka ilaaj ..................8
Baab (1): Bachhe ki paidaish...................................15
Murawwaja rasmein : ..............................................15
In rasmon ki kharabiyan .........................................16
Islami rasmein ........................................................18
Baab (2): Aqeeqa aur khatna ki murawwaja rasmein
...............................................................................20
In rasmon ki kharabiyan .........................................21
Zaruri note : ...........................................................23
Aqeeqa aur khatna ke islami tariqe..........................24
Zaruri note : ...........................................................25
Khatna: ...................................................................26
Baab (3): Bachhon ki parwarish ..............................27
Parwarish ki murawwaja rasmein : ..........................27
In rasmon ki kharabiyan .........................................28
Bachhon ki parwarish ka islami tariqa.....................30
Baab (4): Byaah shadi ki rasmein ............................34
Fasl (1): Dulhan ki talash, mangni aur tarikh thahrana
...............................................................................34
Maujooda rasmein : ................................................34
In rasmon ki kharabiyan .........................................36
Islami rasmein ........................................................40
Fasl (2): Nikah aur rukhsat ki rasmein ....................43
Islami Zindagi 2

Maujooda rasmein : ................................................43


In rasmon ki kharabiyan .........................................46
Lateefa : ..................................................................47
Musalmanon ke kuch bahane .................................52
Byaah shadi ki islami rasmein .................................55
Jahez: ......................................................................58
Shahezadi E Islam Maalike Darussalam Hazrat
Fatimatuzzahra radiallaho ta'ala anha ka nikah .......61
Jahez .......................................................................63
Shahezadi e kaunain radiallahu ta'ala anha ki zindagi
...............................................................................64
Hidayat (1) .............................................................65
Hidayat (2) .............................................................68
Fasl (3): Nikah ke baad ki rasmein..........................69
Murawwaja rasmein : ..............................................69
In rasmon ki kharabiyan .........................................71
Inki islah:................................................................72
Zaruri hidayat: ........................................................72
Baab (5): Muharram, Shabe Baraat, Eid, Baqar Eid ki
rasmein ...................................................................77
Murawwaja rasmein: ...............................................77
In rasmon ki kharabiyan .........................................79
Rajab shareef :.........................................................82
Shabe baraat : .........................................................83
Ramzan shareef : .....................................................84
Eid, Baqar Eid : ......................................................85
In dinon mein islami rasmein .................................85
Islami Zindagi 3

Baab (6): Naya fashion aur parda ............................89


Fasl (1): Naye fashion ki kharabiyan .......................90
Musalmanon ke uzr ................................................96
Uzr (1): ...................................................................97
Jawab: .....................................................................97
Uzr (2): ...................................................................98
Jawab: .....................................................................98
Uzr (3): .................................................................100
Jawab: ...................................................................100
Dadhi ke bahut faide hain: ...................................101
Uzr (4): .................................................................104
Jawab: ...................................................................104
Lateefa : ................................................................105
Uzr (5): .................................................................106
Jawab: ...................................................................107
Islami shakl aur libas .............................................108
Islami libas............................................................110
Doosri zaruri baatein: ...........................................111
Fasl (2): Auraton ka parda ....................................112
Zaruri note: ..........................................................118
Aitraaz: .................................................................120
Jawab (1): .............................................................120
Islami parda aur tariqa e zindagi ...........................122
Ladkiyon ki taleem ...............................................125
Napasandida rusoom ............................................129
Maut ke waqt ki rasmein ......................................131
In rasmon ki kharabiyan .......................................132
Islami Zindagi 4

Maut ke waqt ki islami rasmein ............................134


Maut ke baad ki murawwaja rasmein ....................136
In rasmon ki kharabiyan .......................................138
Maut ke baad ki islami rasmein ............................140
Meeras ..................................................................142
Zaruri note : .........................................................144
12 mahinon ki mutabarrak tarikho ke wazife aur
amaliyaat ..............................................................145
10wi muharram: ...................................................145
Rabiul awwal ka milad shareef: .............................146
Rabiul aakhir ki 11wi shareef: ...............................146
Rajab: ...................................................................147
Sha'aban, shabe baraat: .........................................147
Maahe Ramzan: ....................................................148
Zimniya Islami Zindagi ........................................150
Musalmaan aur bekaari .........................................150
Kasab ke naqali fazail: ...........................................152
Kamai ke aqli fawaid :...........................................155
Ambiya e kiraam ne kya peshe ikhtiyar kiye? ........156
Behtar pesha .........................................................157
Najaaiz peshe: .......................................................158
Ma'azur musalman: ..............................................160
Pesha aur qaumiyat: ..............................................162
Tijarat...................................................................165
Hikayat : ...............................................................167
Hikayat : ...............................................................167
Khush akhlaqi:......................................................167
Islami Zindagi 5

Diyanatdari:..........................................................168
Mehnat: ................................................................168
Tijarat ke usool: ....................................................169
Hikaayat: ..............................................................169
Apni kahani: .........................................................170
Ek sakht galti: .......................................................171
Musalmaano kharidaro ki ghalti: ..........................172
Hikayat:................................................................173
Maal ke liye ulat palat: ..........................................173
Islami Zindagi 6

ABOUT ABDE MUSTAFA ORGANISATION

Abde Mustafa Organisation sana 2014 eiswi se


Quraano Sunnat ki taleemaat ko print media aur
digital media ke zariye aam karne ke maqsad ke tehat
kaam kar rahi hai

• Humare departments aur activities


Hum mukhtalif departments mein kaam kar rahe
hain, jinki tafseel darje zel hai:
• Abde Mustafa Publications
Ye humara main department hai jahan mukhtalif
mauzuaat aur zubano mein kitabein shaya ki jaati hain,
Humari publish ki gai kitabo ko padhne ke liye humari
website par jaayein: www.abdemustafa.org
• Blog
Hum mukhtalif mauzuaat aur zubano mein tehreerein
shaya karte hain jo Ilmi aur Tehqeeqi hoti hain, Inhein
humare blog par dekha ja sakta hai: amo.news/blog
• Sabiya Virtual Publication
Ye platform virtual publishing ke liye hai yaani iske
tehat kitabo ko digital formats mein internet par
publish kiya jaata hai, Is platform se musalsal digital
library mein kitabo ka izafa ho raha hai
amo.news/books
Islami Zindagi 7

• Roman Books
Ye shoba Urdu kitabo ko Roman Urdu mein dhaalne
ke liye hai, Daure haazir mein Roman Urdu ke badhte
hue istemal ko madde nazar rakhte hue is project ka
aaghaz kiya gaya hai
• E Nikah Matrimony Service
Ye ek matrimonial service hai jo khaas Ahle Sunnat Wa
Jama'at ke liye shuru ki gai hai, Is service ke zariye
sunniyo ka nikah sunniyo se karwaya jaata hai, Ye
service sunniyo mein rishte talash karne mein aasani
faraham kar rahi hai, Register karne ke liye humari
website par jaayein www.enikah.in
• Nikah Again Service
Ye service ta'addude azwaaj yaani ek se zaaid nikah
(polygamy) ko riwaaj dene ke liye shuru ki gai hai
• Technical Sunni
Technology se judi malumaat ko aam karne ke liye is
muhim ka aaghaz kiya gaya hai, Is mein hum ek
munfarid andaaz mein technology se related
information ko pesh karte hain taaki qaum usse faida
utha sake
Mazeed malumaat ke liye ya kisi tarah ki shikayat darj
karne ke liye bila jhijak hum se rabta karein

Abde Mustafa Organisation


Islami Zindagi 8

Islami zindagi
Musalmanon ki bimariyan aur unka ilaaj

Aaj kaun sa dard rakhne wala dil hai jo musalmanon


ki maujooda pasti aur un ki maujooda zillat wa khwari
aur nadaari par na dukhta ho aur kaun si aankh hai jo
unki gurbat, muflisi, berozgari par aansu na bahati ho!
Hukoomat inse chhini, daulat se ye mahroom huye,
izzat wa waqar inka khatm ho chuka, zamane ki har
musibat ka shikar musalman ban rahe hain in halat ko
dekh kar kaleja munh ko aata hai magar doston! faqat
rone aur dil ko dukhane se kaam nahi chalta balki
zaruri hain ke iske ilaaj par khud musalman qaum
ghaur kare ilaaj ke liye chand cheezein sochna chahiye:
1) asal bimari kya hai?
2) is bimari ki wajah kya hai, kyun marz paida hua?
3) iska ilaaj kya hai?
4) is ilaaj mein parhez kya hai?

Agar in chaar baaton ko ghaur karke maloom kar liya


gaya to samjho ke iska ilaaj aasan hai. Is se pahle bahut
se leaderaane qaum aur peshwayane mulk ne bahut
ghaur kiya aur tarah tarah ke ilaaj soche kisi ne socha
ki musalmanon ka ilaaj sirf daulat hai maal kamao
taraqqi pa jaoge, kisi ne kaha ki iska ilaaj izzat hai
council ke member bano aaram ho jayega, kisi ne kaha
Islami Zindagi 9

ki tamam bimariyon ka ilaaj sirf belcha hai belcha


uthao beda paar ho jayega in sab nadaan tabibon ne
kuch roz bahut shor machaya magar marz badhne ke
siwa kuchh hasil na hua inki misal un nadaan maa'n
jaisi hai jiska bachha pet ke dard se rota hai aur wo
khamosh karne ke liye uske munh mein dudh deti hai
jis se bachcha kuch der ke liye behal jata hai magar phir
aur bhi zyada bimar ho jata hai kyun ke zarurat to iski
thi ki bachhe ko mus'hil dekar uska me'ada saaf kiya
jaye. Isi tarah mein daawe se keh sakta hoon ke aaj tak
kisi leader mualij ne asal marz na pahchana aur sahi
ilaaj ikhtiyar na kiya aur jis Allah ke bande ne
musalmanon ko inka sahi ilaaj bataya to muslim qaum
ne uska mazaq udaya, us par aawaz kase, zabane ta'ana
daraaz ki garz ke sahi tabibon ki aawaz par kaan na
dhara hum iske muta'alliq arz karne se pehle ek hikayat
arz karte hain:

"Ek budha kisi hakim ke paas gaya aur kehne laga


hakim sahab! Meri nigah moti ho gai hai hakim ne
kaha budhape ki wajah se, budha bola kamar mein bhi
dard rehta hai hakim ne jawab diya budhape ki wajah
se, budhe ne kaha chalne mein saans bhi phool jata hai
jawab mila ki budhape ki wajah se, budha bola hafiza
bhi kharab ho gaya koi baat yaad nahi rehti tabib ne
kaha budhape ki wajah se, budde ko ghussa aa gaya aur
bola ke bewakoof hakim! Tum ne saari hikmat mein
Islami Zindagi 10

budhape ke siwa kuch padha? Hakim ne kaha ke


buddhe miyan! Aapko jo mujh be qasoor par bila
wajah ghussa aa gaya ye bhi budhape ki wajah se hai"
Bi aenihi aaj humara bhi yehi haal hai musalmanon ki
badshahat gai, izzat gai, daulat gai, waqar gaya sirf ek
wajah se wo ye ki hum ne shariyate mustafa sallallaho
alaihi wasallam ki pairwi chhod di, humari zindagi
islami na rahi, humein khuda ka khauf, nabi ki sharm,
aakhirat ka dar na raha ye tamam nahoosatein sirf
isiliye hain
Aala hazrat alaihirrahma farmate hain:
Din lahw mein khona tujhe
shab nind bhar sona tujhe
sharme nabi, khauf e khuda
ye bhi nahi wo bhi nahi
Masjide humari viraan, musalmanon se cinema wa
tamashe aabad, har qism ke uyoob musalmanon mein
maujud, hindu'ani rasmein hum mein qaaim phir
hum kis tarah izzat pa sakte hain. Muhammad ali
jauhar ne kya khub kaha hai:
"Bulbulo gul gaye, gaye lekin!
Humko gham hai chaman ke jane ka!"
Duniyavi tamam taraqqiyan bulbulein thi aur daulat
imaane chaman agar chaman aabad hai to hazarha
bulbulein phir aa jayengi magar jab chaman hi ujad
Islami Zindagi 11

gaya to ab bulbolo ke aane ki kya ummeed hai?


Musalmanon ki asal bimari to shariyate mustafa
alaihissalatu wassalam ko chhodna hai ab iski wajah se
aur bahut si bimariyan paida ho gai. Musalmanon ki
sadaha bimariyan teen qism mein munhasir hain:
1) rozana naye naye mazhabon ki paidawar aur har
aawaz par musalmanon ka aankhein band karke chal
padna.
2) musalmanon ki khana jungiyan aur muqaddime
baziyan aur aapas ki adawatein.
3) humare jahil baap dada ki ijaad ki hui khilaafe shara
ya fuzool rasmein.
In teen qism ki bimariyon ne musalmanon ko tabah
kar daala, barbad kar diya, ghar se be ghar bana diya,
maqrooz kar diya garze ke zillat ke garhe mein dhakel
diya.

Pehli bimari ka ilaaj sirf ye hai ki musalman ek baat


khub yaad rakhein wo ye ke kapda naya pahno,
makaan naya banao, gizaye nayi nayi khao, har
duniyavi kaam naye naye karo magar deen wo hi 1400
baras wala purana ikhtiyar karo. Humara nabi purana,
deen purana, qur'an purana, ka'aba purana, khuda e
ta'ala purana (qadeem) hum is purani lakeer ke faqeer
hain ye kalimaat wo hain jo aksar hazrat qibla e aalam
Peer Sayyid Jama'at Ali Shah Sahab marhoom wa
maghfoor Peere Tariqat Alipuri farmaya karte the aur
Islami Zindagi 12

iska parhez ye hai ki har badmazhab ki sohbat se bacho


us maulvi ke paas baitho jiske paas baithne se Huzoor
alaihissalam ka ishq aur itteba e shariyat jazba paida ho.

Dusri bimari ka ilaaj ye hai ke aksar fitna wa fasaad ki


buniyad do cheezein hain ek ghussa aur apni badai,
dusra huqooqe shara'iya se ghaflat. Har shakhs chahta
hai ke mein sabse uncha hoon aur sab mere huqooq
ada karein magar mein kisi ka haq ada na karu agar
humari tabiyat mein se khudi nikal jaye, aajizi aur
tawazo paida ho, hum mein se har shakhs dusre ke
huqooq ka khyaal rakhe to insha Allah kabhi jungo
jedal aur muqaddima baazi ki naubat hi na aaye faqeer
ki ye thodi si guftagu insha Allah bahut nafa degi
basharte ke is par amal kiya jaye.

Teesri bimari wo hai jiske ilaaj ke liye ye kitab likhi ja


rahi hai hindustan ke musalmanon mein bachhe ki
paidaish se le kar marne tak mukhtalif mauqon par aisi
tabah kun rasmein jaari hain jinhone musalmanon ki
buniyadein khokhli kar di hai maine khud dekha hai
ke unke marne jeene shadi byaah ki rasmon ki badaulat
sadaha musalmanon ki jaaydadein, makanaat,
dukanein hinduo ke paas soodi qarze mein chali gai
aur bahut se aala khandan ke log aaj kiraya ke makanon
mein guzar kar rahe hain aur thokarein khate phirte
hain. Ek nihayat sharif khandani raaes ne apne baap ke
Islami Zindagi 13

40wi ki roti ke liye ek hindu se 400 rupye qarz liye jisse


2700 rupye de chuke hain aur 1500 aur baaqi the unki
jaaydad bhi qareeban khatm ho chuki ab wo zinda
hain, sahibe aulad hain, faaqa se guzar kar rahe hain
apni qaum ki is musibat ko dekh kar mera dil bhar
aaya, tabiyat mein josh paida hua ke kuchh khidmat
karu, roshnai ke chand qatre haqeeqat mein mere
aansuo ke qatre hain khuda kare ke isse qaum ki islah
ho jaye. Maine ye mehsoos kiya ke bahut se log in
shadi byaah ki rasmon se bezaar to hain magar biradari
ke ta'anon aur apni naak katne ke khauf se jis tarah ho
sakta hai qarz udhar lekar in jihalat ki rasmon ko poora
karte hain koi aisa marde maidan nahi banta jo bila
khauf har ek ke ta'ane bardasht karke tamam rasmon
par laat maar de aur sunnat ko zinda kar ke dikha de,
jo shakhs sunnat e muakkida ko zinda kare usko 100
shahidon ka sawab milta hai kyun ke shahid to ek dafa
talwar ka zakhm kha kar mar jata hai magar ye Allah
ka banda umr bhar logon ki zabanon ke zakhm khata
rahta hai.

Wazeh rahe ki murawwaja rasmein do qism ki hain ek


to wo jo shar'an najaaiz hain dusri wo jo tabah kun
hain aur bahut dafa unke poora karne ke liye
musalman soodi qarz lete hain aur sood dena bhi
haraam hai aur lena bhi isliye ye rasmein haraam kaam
ka zariya hain. Is risala mein donon qism ki rasmon ka
Islami Zindagi 14

zikr kiya jayega aur bayan ka tariqa ye hoga ke is risale


ke alahida alahida baab honge yani paidaish ki rasmon
ka ek baab, phir byaah shadi ki rasmon ka ek baab, phir
maut ki rasmon ka alahida baab waghaira waghaira.
Har rasm ke muta'alliq teen baatein arz ki jayengi
awwal to murawwaja rasm, phir uski kharabiyan, phir
uska masnoon aur jaaiz tariqa.

Is kitab ka naam "Islami zindagi" rakhta hoon aur


rabbe kareem ke karam se ummeed hai ke wo apne
habeeb sallallaho alaihi wasallam ke sadqe mein isko
ism ba musamma banaye aur qabool farma kar
musalmanon ko is par amal ki taufeeq de, mere liye is
ko tosha e aakhirat aur sadqa e jaariya bana de.
Aameen summa aamen

Nachiz
Mufti Ahmad Yaar Khan Ashrafi Naimi
Ojhanwi badayuni
2 safar ul mujaffar jumu'ah 1363
Islami Zindagi 15

Baab (1): Bachhe ki paidaish

Murawwaja rasmein :
Bachhe ki paidaish ke mauqa par mukhtalif mulkon
mein mukhtalif rasmein hain magar chand rasmein aisi
hain jo taqriban kisi qadr farq se har jagah paayi jaati
hain wo hasbe zel hain:
1) ladka paida hone par aam taur par zyada khushi ki
jati hai aur agar ladki paida ho to baaz log bajaye
khushi ke ranj wa gham mehsoos karte hain.
2) pehle bachhe par zyada khushi ki jaati hai phir aur
bachhon par khushi manayi to jaati hai magar kam.
3) ladka paida ho to paidaish ke 6 roz tak auratein mil
kar dhol bajati hain.
4) paidaish ke din laddu ya koi mithayi ahle qarabat
mein taqsim hoti hai.
5) us din meerasi dom dusre gaane bajane wale ghar
gher lete hain aur behuda gaane gaakar inaam ke
khwastgar hote hain munh mangi cheez le kar jate
hain.
6) behan bahnoi waghaira ko jode rupye waghaira
bahut si rasmon ke maatehat diye jate hain lath dhulai,
gond banwayi waghaira.
7) dulhan ke maa'n baap bhai ke taraf se chhuchak
aana zaruri hota hai jismein ki dulha, dulhan, saas,
sasur, nanad, nandoi hatta ke ghar ke behishti bhangi
Islami Zindagi 16

ke liye bhi kapdon ke jode naqdi (cash) aur agar ladki


paida hui hai to bachhi ke liye chhota chhota zevar
hona zaruri hai gharaje ke maike wa susral ka diwaliya
ho jata hai.
8) maalan aur bhatyari ghar ke darwaze par patton ka
sehra ya kagaz ke phool baandhti hain jiske muawaze
mein ek joda aur rupya kam az kam wasul karti hain.

In rasmon ki kharabiyan

Ladki paida hone se ranj karna kuffar ka tariqa hai jiske


muta'alliq qur'an karim farmata hai
Aur jab un mein kisi ko beti hone ki
khushkhabri di jaati hai to din bhar us ka
moonh kaala rehta hai aur wo ghussa khaata hai
(Nehl:58)
Balki haq ye hai ki jis aurat ke pehle ladki paida ho wo
rab ta'ala ke fazl se khush naseeb hai kyun ke huzoor
sayyide aalam sallallaho alaihi wasallam ke daulat
khana mein awwal dukhtar (ladki) hi paida huyi to
goya rab ta'ala ne sunnate nabi ata farma di. Jawan
ladkiyon ka gaana bajana haraam hai kyun ke aurat ki
aawaz ka bhi namahramon se parda hona zaruri hai
agar aurat namaz padh rahi ho aur koi aage se guzarna
chahe to ye aurat Subhan Allah keh kar usko ittela na
de balki taali se khabar de jab aawaz ki is qadr
Islami Zindagi 17

pardadari hai to ye murawwaja gaane aur baaje ka kya


puchhna. Farzand ki paidaish ki khushi mein nawafil
padhna aur sadaqa khairat karna kaare sawab hai
magar biradari ke khauf, naak katne ke khauf se
mithayi taqsim karna bilkul be faida hai aur agar soodi
qarz lekar ye kaam kiya jaye to aakhirat ka gunah bhi
hai isliye is rasm ko band karna chahiye. Dom meerasi
logon ko dena hargiz jaaiz nahi kyun ke unki
humdardi karna darasal unko gunah par diler karna hai
agar in mauqon par unko kuch na mile to ye tamam
log in haraam peshon ko chhod kar halal kamayi hasil
karein. Mujhe ta'ajjub hota hai ke ye qaumein yani
zanane (khansa) dom meerasi, randiyan sirf musalman
qaum hi mein hai esai, yahoodi, hindu, sikh aur parsi
qaumon mein ye log nahi iski kya wajah hai? Wajah
sirf ye hai ke musalmanon mein khurafat rasmein
zyada hain aur in logon ki inhi rasmon ke wajah se
parwarish hoti hai aur deegar qaumon mein na ye
rasmein hain na is qism ke log aur yaqeenan aisi
peshewar qaumein muslim qaum ki peshani par
badnuma daagh hain khuda kare ye log halal rozi kama
kar guzara karein, behan bahnoi ya deegar ahle qarabat
ki khidmat karna beshak sawab ka kaam hai magar jab
ke Allah wa rasool alaihissalam ko khush karne ke liye
ki jaye agar duniya ke naam wa numood aur dikhlawe
ke liye ye khidmatein ho to bilkul bekar hain.
Dikhlawe ki namaz bhi be fayda hoti hai aur is mauqe
Islami Zindagi 18

par kisi ki niyat raza e ilaahi nahi hoti mehaz rasm ki


pabandi aur dikhlawe ke liye sab kuch hota hai warna
kya zarurat hai ke chhuchhak ke aage baaja bhi ho,
duniya ko bhi jama kiya jaye phir maaldar aadmi is
kharch ko bardasht kar leta hai magar gharib
musalman in rasmon ko poora karne ke liye ya to soodi
qarz leta hai ya ghar rehan (girwi) karta hai lihaza in
tamam masarif ko band kar dena nihayat zaruri hai.
Hazarha mauqon par apni ladkiyon aur behanon ko
isliye do ki ye rasoole akram sallallaho alaihi wasallam
ka hukm hai magar in rasmon ko mita do zukam roko
taaki bukhar jaye. Aaj ye halat hai ke agar bachha paida
hone par dulhan ke maike se ye rasmein poori na ki
jayein to saas wa nanad ke ta'anon se ladki ki zindagi
wabaal ho jati hai aur idher khana jungi shuru ho jati
hai agar ye rasmein mit jayein to in ladaiyon ka
darwaza hi band ho jaye.

Islami rasmein

Bachhe ke paida hone par ye kaam karne chahiye:


Bachha paida hote hi ghusl diya jaye aur naal kaata jaye
aur jis qadr jaldi ho sake daayein kaan mein azaan aur
baayein kaan mein takbir kahi jaye khwah ghar ka koi
aadmi azaan wa takbir keh de ya masjid ka muazzin ya
imaam kahe aur agar azaan kehne par khairat wa sadqa
ki niyat se unki koi khidmat kar di jaye to bahut achha
Islami Zindagi 19

hai kyun ke ye haq ta'ala ka shukriya hai. Phir ye


koshish ki jaye ke bachhe ko pehli ghutti (gadti) koi
nek aadmi de "Tafseer Ruhul Bayan" mein hai ke
bachhe mein pahli ghutti dene wale ka asar aata hai aur
us jaisi aadat paida hoti hain balki sunnat to ye hai ke
bachhe ki tehneek kar di jaye tehneek usey kahte hain
ke koi nek aadmi apne munh mein khajoor ya khurma
chaba kar apni zaban se bachhe ke pet mein sabse pehle
jo giza pahunche wo khurma ho aur kisi buzurg aadmi
ke munh ka luaab, sahaba e kiraam nabi sallallaho
alaihi wasallam se apne bachhon ki tehneek karaya
karte the. Daayi ki ujrat muqarrar honi chahiye jo is
kaam ke baad de di jaye agar farzand ki khushi mein
meelad shareef ya fatiha e buzurgaan kar di jaye to
bahut achha hai iske siwa tamam rusoomat band kar
di jayein chhuchhak aur bhaat ko mitana sakht zaruri
hai.
Islami Zindagi 20

Baab (2): Aqeeqa aur khatna ki murawwaja


rasmein

Aam taur par aqeeqa aur khatne ke mauqe par ye


rasmein hoti hain bahut si jagah aqeeqa karte hi nahi
balki bachhe ki chhati karte hain wo ye ke bachha ke
paidaish ke chhate din raat ke waqt auratein jama
hokar milkar gaati bajati hain, phir zachcha ko kothari
se bahar lakar taare dikha kar gaati hain, phir meethe
chawal taqsim kiye jate hain, geet nihayat behuda
gaaye jate hain ye rasm khalis hindu'ani hai aur jo log
aqeeqa karte bhi hain to wo apni biradari ke lihaz se
janwar zabah karte hain. Maine dekha hai ke badi
biradari wale log 6-7 janwar zabah karke saara gosht
biradari mein taqsim kar dete hain ya pur takalluf
khana pakakar aam dawat karte hain aur ye bhi
mashhoor hai ke dulhan ka pehla bachha maike mein
paida ho aur aqeeqa waghaira ka saara kharcha dulhan
ke maa'n baap karein agar wo aisa na karein to sakht
badnami hoti hain. Jab khatna ka waqt aata to aisi
rasmein hoti hain khuda ki panah! Khatna se pehle
raatjaga hota hai jise khudai raat kehte hai jismein sab
auratein jama hokar raat bhar gaana gaati hain aur ghar
wale gulgule pakate hain phir fajr ke waqt jawan
ladkiyan aur auratein gaati huyi masjid ko jati hain
vahan jakar un gulgulo se taaq bharti hain yani ghi ka
Islami Zindagi 21

chirag aur ye gulgule kuch paise taaq mein rakh kar


gaati huyi wapas aati hain ye rasm baaz jagah shadi par
bhi hoti hai aur ye rasm up ki baaz qaumon mein zyada
hai magar khatna ke waqt iska hona zaruri hai. Jab
khatne ka waqt aaya to qarabatdar jama hote hain jinki
maujoodgi mein khatna hota hai, naae khatna kar ke
apni katori rakh deta hai jismein har shakhs ek ek do
do rupye ya chaar aana, aath aane dalta hai sab milkar
ghurba ke yahan to 15-20 rupye ho jate hain magar
ameeron ke ghar 100-200-250 rupya banta hai, phir
bachhe ke walid ki taraf se biradari ki roti hoti hai aur
bachhe ke walid apni behanon bahnoiyo wa deegar
ahle qarabat ko kapdon ke jode deta hai, udher
bachhon ke nana mamu ki taraf se rupye, kapdon ke
jode lana zaruri hota hai, ahle qarabat jo naae ki katori
mein paise rupye dalte hain wo nyota kahlata hai ye
dar haqeeqat bachhe ke walid par qarz ki tarah hota hai
ke jab un logon ke ghar khatna ho to ye bhi uske ghar
naqadi (cash) de.

In rasmon ki kharabiyan
Chhati karna khaalis hinduo ki rasm hai jo ke unhone
aqeeqe ke muqable mein ijaad ki hai hum pehle arz kar
chuke hain ke auraton ka gaana bajana haraam hai isi
tarah zachcha ko taare dikhana mehaz lagwiyaat hai
phir gaane waliyon ko meethe chawal khilana haraam
Islami Zindagi 22

kaam ka badla hai lihaza ye chhati ki rasm bilkul band


kar dena zaruri hai. Aqeeqa aur khatna mein is qadr
kharch karane ka ye asar padega ke log kharche ke
khauf se ye sunnat hi chhod denge, aqeeqa aur khatna
karna sunnat hai aur sunnat ibadat hai, ibadat ko isi
tarah nabiye karim sallallaho alaihi wasallam se sabit
hai. Apni taraf se ismein rasmein dakhil karna lagw hai
namaz padhna, zakaat dena, hajj karna ibadat hai ab
agar koi shakhs namaz ko gaata bajata hua jaye aur
zakaat dete waqt biradari ki roti ko zaruri samjhe to ye
mehaz behuda baat hai. Maine ek jawan shakhs ko
kehte suna ke mera khatna nahi hua maine puchha
kyun? Usne jawab diya ke mere maa'n baap ke paas
biradari ki roti karne ke liye rupya na tha isliye mera
khatna nahi hua dekha in rasmon ki pabandiyon mein
ye kharabi hai. Bachhe ka kharcha baap ke zimme hai
uska aqeeqa aur khatna baap kare ye pabandi laga dena
ke pahle bachhe ka khatna nana, mamu karein islami
qaede ke khilaaf hai isi tarah biradari ki roti aur naae
ko is tarah chanda karke dena sakht buri rasm hai is ko
band karna chahiye. Nyota bhi bahut buri rasm hai jo
ke galiban dusri qaumon se hum ne sikhi hai kharabi
ye hai ke ye jhagde aur ladai ki buniyad hain aur is
tarah ke farz karo ke hum ne kisi ke ghar chaar mauqon
par do do rupye diye to hum bhi hisab lagate rehte hain
aur wo bhi jisko ye rupya pahuncha ab humare ghar
koi khushi ka mauqa aaya hum ne usko bulaya to
Islami Zindagi 23

humari poori niyat ye hoti hai ke wo shakhs kam az


kam 10 rupye humare ghar de taaki 8 rupye wo ada ho
jayein aur 2 rupye hum par chadh jaye idher usko bhi
ye hi khyaal hai ke agar mere paas itni raqam ho to
main vahan dawat khane jao warna na jao ab agar uske
paas us waqt rupya nahi to wo sharmindagi ki wajah se
aata hi nahi aur agar aaya to do chaar rupye de gaya
baharhaal idher se shikayat paida huyi, ta'ane baziyan
huyi, dil bigde baaz log to qarz lekar nyota ada karte
hain bolo! Ye khushi hai ya ailane jung. Log kehte hain
ke nyota se ek shakhs ki waqtiya madad ho jati hai
isliye ye rasm achhi hai magar doston! Madad to ho jati
hai lekin dil kaise bure hote hain aur ye rupya kis tarah
phans jata hai na maloom ye rasm kab se shuru huyi,
bahami imdad karna aur baat hai lekin ye bahami
imdad nahi agar bahami imdad hoti to phir badle ka
taqaza kaisa? Lihaza ye nyote ki rasm bilkul band honi
chahiye haan agar qarabatdar ko bataure madad kuch
diya jaye aur uske badle ki tawaqqo na rakhi jaye to
waqai madad hai ismein koi muzayqa nahi hadiya
(gift) se muhabbat badhti hai aur qarz se muhabbat
toot'ti hai ab nyota behuda qarz ho gaya hai.

Zaruri note :
Aqeeqa, khatna, shadi, maut har waqt hi nyota ki rasm
jaari hai ye bilkul band honi chahiye.
Islami Zindagi 24

Aqeeqa aur khatna ke islami tariqe

Tariqa e sunnat ye hai ke bachhe ke paidaish ke 7we


roz aqeeqa ho aur agar nahi ho sake to 15we din ya
21we roz yaani paidaish ke din se ek din pehle agar
jume ko bachha paida hua to aqeeqa jumerat ko ho.
Aqeeqe ka hukm ye hai ke ladke ki taraf se do bakriyan
ek saal ki aur ladki ki taraf se ek bakari ek saal ki zabah
kar di jaye. Aqeeqa ke janwar ki siri naae ko aur raan
daae ko di jaye agar ye musalman ho, gosht ke teen
hisse kar diye jaaye ek hissa fuqra ko khairat kar diya
jaye, dusra hissa ahle qarabat mein taqsim ho, teesra
hissa apne ghar mein khaya jaye behtar ye hai ke
aqeeqe ke janwar ki haddiyan todi na jaayein balki
jodon se alahida kar di jayein aur gosht waghairah kha
kar haddiyan dafan kar di jayein, 7we roz hi bachche
ka naam bhi rakha jaye sabse behtar hai Muhammad
magar jiska naam Muhammad ho usko bigaad kar na
pukara jaye. Abdullah, Abdurrahman aur ambiya e
kiraam wa sahaba e kiraam ke naam par naam rakhna
bhi achha hai jaise Moosa, Ibrahim, Ismail, Abbas,
Umar waghairah aur be maana naam na rakhe jaye
jaise budh'du, jumerati, khairati waghairah isi tarah jin
naamon mein fakhr zahir hota ho na rakhe jayein jaise
shahjahan, nawab raja, badshah waghaira. Ladkiyon ke
naam qamrunnisa, jahan aara begum na rakho balki
Islami Zindagi 25

unke naam Fatima, Aamina, Aaisha, Maryam, Zainab,


Kulsum waghairah rakho. Aqeeqa ke waqt jab janwar
zabah ho tab bachhe ke baal bhi mundwa diye jayein
aur baalon ko chaandi se wazan kar ke khairat kar di
jaye aur sar par zafran bhigo kar mal diya jaye. Ye jo
mashhoor hai ke bachha ke maa'n baap aqeeqa ka
gosht na khaye mehaz ghalat hai aqeeqa wale ko
ikhtiyar hai ke khwah kachcha gosht taqsim kar de ya
paka kar dawat kar de magar khyaal rahe ke naam wa
namood ko usmein dakhal na ho faqat sunnat ki niyat
se ho. Naai aur qasai ki ujrat pehle se muqarrar ho jo
aqeeqa ke baad di jaye agar naai apna qadimi khidmat
guzaar hai to usko zyada ujrat do jisse uska haq ada ho
jaye aur agar nahi to wajibi ujrat de do. Ye bhi jaaiz hai
ke ek gaay kharid kar chand bachhon ka aqeeqa ek hi
gaay mein kar diya jaye yaani ladke ke liye gaay ke do
7we hissein aur ladki ke liye ek hissa ye bhi jaaiz hai ke
agar qurbani ki gaay mein aqeeqa ka hissa daal diya
jaaye ke ladke ke liye do hisse aur ladki ke liye ek hissa.

Zaruri note :
Aqeeqa farz ya wajib nahi hai sirf sunnate mustahabba
hai. Gharib aadmi ko hargiz jaaiz nahi ke soodi qarz
lekar aqeeqa kare qarz lekar to zakaat bhi dena jaaiz
nahin aqeeqa zakaat se badh kar nahin hai. Maine baaz
gharib musalmanon ko dekha hai ke qarz lekar aqeeqa
Islami Zindagi 26

karte hain agar aqeeqa na karein to becharon ki naak


kat jaye wo baghair naak ke reh jayein gharaj ke sunnat
ka khyaal nahin apni naak ka khyaal hai aisi naak
khuda kare kat hi jaye.

Khatna:
khatna ka sunnat tariqa ye hai ke 7we saal bachha ka
khatna kara diya jaaye. Khatna ki umr 7 saal se 12 saal
tak hai yaani 12 saal se zyada der lagana mana hai.
(aalamgiri)
Aur agar 7 saal se pehle khatna kara diya gaya jab bhi
haraj nahin baaz logon ko aqeeqa ke sath hi khatna
karne mein ye aasani aur aaram ho jata hai kyun ke is
waqt bachha chalne phirne ke qabil to hai nahin taaki
zakhm badha le agar maa'n ka dudh us par daala jaata
rahe to bahut jald zakhm bhar jaata hai. Khatna karne
se pehle naai ki ujrat tay hona zaruri hai jo ke usko
khatna ke baad de di jaye, ilaaj mein khaas kar nigrani
rakhi jaye. Tajarbe kaar naai se khatna karaya jaye aur
tajarbe kaar aadmi iska khyaal rakhe khatna sirf us
kaam ka naam hai baaqi biradari ki roti behan behnoi
ke 50-50 jode aur gaane wali auraton aur mirasiyon ke
akhrajaat ye sab musalmanon ki kamzor naak ne paida
kar diye hain ye sab cheezein bilkul band kar di jayein.
Islami Zindagi 27

Baab (3): Bachhon ki parwarish

Parwarish ki murawwaja rasmein :


Aam musalmanon mein ye mashhoor hai ke ladke ko
2 saal maa'n apna dudh pilaye aur ladki ko sawa do saal
(2 saal 3 mahina) ye bilkul ghalat hai. Musalmanon
mein ye tariqa hai ke bachpan mein aulad ke akhlaq
wa aadab ka khyaal nahi rakhte gharib log to apne
bachhon ko aawara ladko ke sath khelne koodne ki
ijazat de dete hain aur unki talim ka zamana kharab
sohbaton aur khel kood mein barbad kar dete hain wo
bachhe ya to jawan hokar bheek mangte phirte hain ya
zillat ki naukriyan (job) karte hain ya dakoo chor aur
badmash ban kar apni zindagi jel khane mein guzaar
dete hain aur maaldar log apne bachhon ko shuru se
shauqin mizaj banate hain, angrezi baal rakhna, fuzool
kharch karna sikhate hain, har waqt boot wa suit
waghairah pehnate hain, phir apne sath cinema aur
naach ki majlison mein unhein shareek karte hain jab
ye nau nihal kuchh hosh sambhalta hai to usko kalma
tak na sikhaya, college ya school mein daal diya jahan
zyada kharch karna fashionable banna sikhaya gaya,
kharab sohbaton se sehat aur mazhab donon barbad ho
gaye ab jab nau nihal college se bahar aaye to agar
khatir khwah naukari mil gayi to sahab bahadur ban
gaye ke na maa'n ka adab jaane, na baap ko pehchane,
Islami Zindagi 28

na beewiyon ke huqooq ki khabar, na aulad ki


parwarish se waqif unke zehan mein aala taraqqi ye
aayi ke hum ko log angrez samjhein bhala apne ko
dusri qaum mein fana kar dena bhi koi taraqqi hai?
Agar koi maqool jagah na mili to un becharon ko
bahut musibat padti hai kyun ke college mein kharch
karna sikha kamana na sikha, khilana na sikha, apna
kaam naukaron se karana sikha khud karna na sikha.
Na padhte to sau tarah khate kama kar
wo khoye gaye aur talim pa kar
Ab ye log college jaisi zindagi guzaarne ke liye sharif
badmash ho jate hain ya jaali note (duplicate rupye)
apni zindagi jel mein guzarte hain ya dakoo badmash
bante hain aksar dakoo talim yafta graduate paaye gaye
ye wo hi log hain.

In rasmon ki kharabiyan
Ladki ko sawa do saal dudh pilana jaaiz nahi, ladki ho
ya ladka donon ko do do saal dudh pilaya jaye.
Qur'an e karim farmata hai-
Aur maayein doodh pilayein apne bachcho ko
poore do baras (Baqarah:233)
Maa'n baap chahein to 2 saal se pehle dudh chhuda
dein magar 2 saal ke baad dudh pilana mana hai jo
bachche parwarish ke zamana mein achhi sohbatein
Islami Zindagi 29

nahi paate wo jawan hokar maa'n baap ko bahut


pareshan karte hain humne bade fashionable
sahabzadon ke maa'n baap ko dekha hai ke wo rote
phirte hain mufti sahab taawiz do jisse bachha kahna
maane, humare qabze mein aaye magar doston! Faqat
taawiz se kaam nahin chalta kuch theek amal bhi karna
chahiye.

Ek burhe ne apne bachhe ko wilayat (foreign country)


padhne ke liye bheja jab barkhurdar faarig hokar watan
aane laga to burha baap isteqbal ke liye station gaya
ladke ne gadi se utar kar baap se puchha "Well burha
tu achha hai?" us layaq bete ke doston ne puchha ke
sahab bahadur! Ye budha kaun hai? Farmane laga mera
aashna hai budhe baap ne kaha ke sahibo! Mein sahab
bahadur ka aashna nahin balki inki walida ka aashna
hoon ye us nayi tehzib ke natije hain.

Hazrat Mulla Ahmad Jeevan rahmatullah ta'ala alaihi


jo Sultan Ghazi Muhiyuddin Aalamgir Aurangzeb
alaihirrahma ke ustad aur shahajahan ke yahan bahut
achhi haisiyat se mulazim the. Mashhoor ye hai ke ek
baar jumu'ah ke waqt maulana ke walid mamooli libas
mein jama masjid delhi mein aaye us waqt maulana
shahajahan ke paas baithe huye the pehli saf (line) se
uth kar bhaage apne baap ki jutiyan saaf ki, gardo
gubar aapke amaama se jhada, hauj par la kar wuzu
Islami Zindagi 30

karaya aur khaas shahajahan ke barabar lakar baitha


diya aur kaha ke ye mere walid hain namaz ke baad
shahajahan badshah ne unse kaha ke aap thaharo shahi
mehman bano unhone jawab diya ke main sirf ye
dekhne aaya tha ke mera bachha aapke yahan reh kar
musalman raha ya bedeen ban gaya hai, pehchanega ya
nahi alhamdulillah bachha musalman hai.
Jaisa bona waisa kaatna.

Bachhon ki parwarish ka islami tariqa

Ladke aur ladki ko 2 saal se zyada dudh na pilao, jab


bachha kuch bolne ke layaq ho to usey Allah ka naam
sikhao, pehle maayein (mother) Allah Allah keh kar
bachhon ko sulati thi aur ab ghar ke radio aur
gramophone baaje baja kar behlati hain. Jab bachha
samajhdar ho jaye to uske samne aisi harkat na karo
jisse bachhe ke akhlaq kharab ho kyun ke bachhon
mein naqal karne ki zyada aadat hoti hai jo kuch maa'n
baap ko karte dekhte hain wo hi khud bhi karte hain.
Unke samne namaz padho, qur'ane paak ki tilawat
karo, apne sath masjidon mein namaz ke liye le jao aur
unko buzurgon ke qisse kahaniyan sunao bachhon ko
kahaniyan sunne ka bahut shauq hota hai sabaq aamoz
kahaniyan sun kar achhi aadatein padegi. Jab aur zyada
hosh sambhale to sabse pehle unko 5 kalme, imaan e
mujmal, imaan e mufassal, phir namaz sikhao, kisi
Islami Zindagi 31

muttaqi ya hafiz ya maulvi ke paas kuch roz baitha kar


qur'ane paak aur urdu ke deeniyat ke risale zarur
padhwa do aur jisse bachha maloom kare ke main kis
darakht ki shakh aur kis shakh ka phal hoon aur paaki,
paleedi waghairah ke ahkaam yaad kare agar haq ta'ala
ne aapko 4 ya 5 ladke diye hain to kam se kam ek ladke
ko aalim ya hafize qur'an banao kyun ke ek hafiz apni
teen pushton ko aur aalim 7 pushton ko bakhshwayega
ye khayaal mehaz ghalat hai ke aalime deen ko roti
nahi milti yaqeen kar lo ke angrezi padhne se taqdeer
se zyada nahi milta, arabi padhne se aadmi badnaseeb
nahin ho jaata milega wo hi jo razzaq ne qismat mein
likha hai balki tajurba ye hai ke agar aalim poora aalim
aur sahiul aqeeda ho to bade aaram mein rehta hai aur
jo log urdu ki chand kitabein dekh kar wa'az goi ko
bheek ka zariya bana lete hain ke wa'az keh kar paisa
mangna shuru kar diya unko dekh kar aalime deen se
na dar ye wo log hain jinhone apna bachpan aawargi
mein kharab kar diya aur ab muhazzab bhikari hain
warna ulama -e- deen ki ab bhi bahut qadr wa izzat hai
jab graduate maare maare phirte hain to mudarriseen
ulama ki talash hoti hai aur nahin milte. Apne ladko
ko shauqin mizaj kharchila na banao balki unko saadgi
aur apna kaam apne hath se karna sikhao. Cricket,
hockey, football hargiz na khilao kyun ke ye khel
kuchh faydamand nahin balki unko bunawat lakadi ka
hunar, dand, kasrat, kushti ka fann, agar mumkin ho
Islami Zindagi 32

to talwar chalana waghairah sikhao jis se tandurusti bhi


achhi rahe aur kuch hunar bhi aa jaye aur taash bazi
aur patang bazi, kabootar bazi, cinema bazi se bachhon
ko bachao kyun ke ye khel haraam hain balki meri raay
to ye hai ke bachhon ko ilm ke sath kuch dusre hunar
bhi sikhao jis se baccha kama kar apna pet paal sake ye
samajh lo ke hunarmand kabhi khuda ke fazl se
bhooka nahi marta. Is maal wa daulat ka koi aetbar
nahin in baaton ke sath angrezi sikhao, college mein
padhao, judge banao, collector banao, dunya ki har
jaaiz taraqqi karao magar pehle usko aisa musalman
kar do ke kothi mein bhi musalman rahe. Hum ne
dekha hai ke qadiyaniyon aur rafziyon ke bachhe
graduate ho kar kisi ohade (position) par pahunch
jayein magar apne mazhab se poore waqif hote hain
musalmanon ke bachhe aise ulloo hote hain ke mazhab
ki ek baat bhi nahin jaante kharab sohbat pakar be
deen ban jaate hain. Jis qadr log qadiyani, nechari
waghairah ban gaye ye sab pehle musalman the aur
musalmanon ke bachhe the magar apni mazhabi talim
na hone ki wajah se badmazhabon ka shikar ho gaye
yaqeen karo ke iska wabaal unke maa'n baap par bhi
zarur padega.

Sahaba e kiraam ki parwarish bargahe nubuwat mein


aisi kamil huyi ke jab wo maidane jung mein aate to
aala darje ke ghazi hote the aur masjid mein aakar aala
Islami Zindagi 33

darje ke namazi, ghar baar mein pahunch kar aala darje


ke karobari, kachhari mein aakar aala darje ke qazi hote
the apne bachchon ko us talim ka namoona banao agar
deen wa dunya mein bhalai chahte ho to ye kitabein
khud bhi mutala mein rakho aur apni beewi, bachhon
ko bhi padhao "Bahare Shariyat" musannif Hazrat
Maulana Amjad Ali sahab, "Kitabul Aqaid" musannif
hazrat murshidi wa ustadi Maulana Muhammad
Naimuddin sahab daama zillahum, "Shaane
Habeeburrahman" “Saltanate Mustafa” sallallaho alaihi
wasallam musannif faqeer haqeer pur az taqsir Ahmad
Yaar Khan Naimi.

Ladkiyon ko khana pakana, seena, pirona aur ghar ke


kaam kaaj, paak damni aur sharm wa haya sikhao ke
ye ladkiyon ka hunar hai unko collegiate aur graduate
na banao ke ladkiyon ke liye is zamane mein college
aur bazar mein kuch farq nahin balki bazari aurat ke
paas log jaate hain aur college ki ladki logon ke paas
jaati hai jiska din raat mushahida ho raha hai.
Islami Zindagi 34

Baab (4): Byaah shadi ki rasmein

"Ab jigar thaam ke baitho meri baari aayi"

Nikah islam mein ibadat hai kabhi to farz hai aur aksar
sunnat. (shami)
Magar hindustan mein maujooda zamana mein nikah
un hindu'ani aur haraam rasmon aur fuzool
kharchiyon ki wajah se wabaal e jaan ban gaya hai iska
naam 'shadi khana aabadi', ab un rasmon ne ise bana
diya 'shadi khana barbadi' balki 'khana barbadi' kyun
ke is mein ladke aur ladki donon ke gharon ki tabahi
aati hai. Nikah ke muta'alliq teen qism ki rasmein
hain:
• baaz wo jo nikah se pahle ki jati hain, • baaz nikah ke
waqt, • baaz nikah ke baad.
Pehle to ladki ki talash, mangni (engagement), tarikh
muqarrar hona, phir nikah ke baad chauthi, chaala
kangna kholne ki rasmein lihaza hum is baab ki chand
fasalein karte hain.

Fasl (1): Dulhan ki talash, mangni aur tarikh


thahrana
Maujooda rasmein :
Hindustan mein aam taur par ladke walo ki tamanna
ye hoti hai ke maaldar ki ladki ghar mein aaye jahan
Islami Zindagi 35

humare bachhe ke khoob arman niklein aur is qadr


jahez laaye ke ghar bhar jaye, udher ladki walo ki ye
aarzu hoti hai ke ladka maaldar aur shauqin ho, angrezi
baal katata ho, dadhi mundata ho taaki humari ladki
ko cinema dikhaye aur uske har jaaiz arman nikle.
Maine bahut musalmanon ko kehte suna ke hum
dadhi wale ko apni ladki na denge ladka shauqin
chahiye aur bahut jagah apni aankhon se dekha ke
ladki walo ne dulha se mutalba kiya ke dadhi mundwa
do to ladki di ja sakti hai chunanche ladko ne dadhiyan
mundwai kahan tak dukh ki baat sunaun. Ye bhi kehte
suna gaya ke namazi ko ladki na denge wo masjid ka
mulla hai humari ladki ke arman aur shauq poore na
karega punjab mein ye aag zyada lagi huyi hai. Jab apni
marzi ka ladka mil gaya to ab khair se mangni (kadhai)
ka waqt aaya us mein dulhan walo ki taraf se mutalba
hua ke aise kapdon ka joda, is qadr sone ka zevar
chadhao is farmaish ko poora karne ke liye ladke wale
aksar qarz lekar ya kisi jagah se zevar mang kar chadha
dete hain jab mangni ka waqt aaya to ladke wala apne
qarabatdaron ko jama kar ke awwalan unki dawat apne
ghar karta hai phir dulhan ke yahan un sab ko le jata
hai jahan dulhan walo ke qarabatdar pehle hi se jama
hote hain gharz ke dulhan ke ghar do qism ke mele lag
jate hain, phir unki pur takalluf dawat hoti hai. UP
(Uttar Pradesh) mein to khane ki dawat hoti hai magar
Punjab mein mithayi aur chaay ki dawat jis mein is
Islami Zindagi 36

rasm par donon taraf se 400-500 rupya tak kharch ho


jate hain, phir dulhan ke yahan se ladke ko sone ki
anguthi aur kuch kapde milte hain aur ladki ko dulha
walo ki taraf se qimati joda bhaari suthra zevar diya jata
hai, phir mangni se shadi tak har eid baqar eid
waghairah par kapde aur waqtan fawaqtan mausami
mewa (fruit) aur mithaiya ladke ke ghar se jana zaruri
hai, tarikh thehrane par logon ka majma dawat aur
mithae taqsim hoti hai, phir tarikh muqarrar hone se
shadi tak donon gharon mein auraton ka jama hokar
ishqiya gaane dhol bajana lazim hota hai jismein har
teesre din mithae zarur taqsim hoti hai ismein bhi kaafi
kharcha hota hai in tamam rasmon mein badtar rasm
maeyon aur (maeyan) uptan ki rasmein hain jismein
apni parae auratein jama hokar dulha ko uptan
mehandi lagati hain, aapas mein hansi, dil lagi, dulha
se mazaq waghairah bahut be izzati ki baatein hoti hain
ye maine wo rasmein arz ki hain jo qareeb qareeb har
jagah kuchh farq se hoti hain aur jo mukhtalif qism ki
khaas khaas rasmein jaari hain unka shumar mushkil
hai.

In rasmon ki kharabiyan
Sakht ghalati ye hai ke ladki aur ladke maaldar talash
kiye jayein kyun ke maaldar ki talash mein ladke aur
ladkiyan jawan jawan baithe rehte hain na koi khatir
Islami Zindagi 37

khwah maaldar milta hai na shadiyan hoti hain aur


jawan ladki maa'n baap ke liye pahad hai usko ghar
mein baghair nikah rakhna sakht kharabiyon ki
buniyad hai. Dusri ye ke jo muhabbat wa akhlaq
gharibon mein hai wo maaldaron mein nahi. Teesre ye
ke agar maaldar ko tum apni khaal bhi utaar kar de do
unki aankh mein nahi aata ye ta'ane hote hain ke
humein kuchh nahin mila aur agar dulhan maaldar
hain to damad misl naukar ke susral mein rehte hain,
beewi par shauhar ka koi rob nahi hota agar dulha wale
maaldar hain to uski us ghar mein laundi ya naukarani
ki tarah hoti hai apni ladki aise ghar do jahan wo ladki
ghanimat samjhi jaye. Tajurba ne bataya ke gharib aur
sharif gharane wali ladkiyan un ladkiyon se aaram
mein hain jo maaldaron mein gayi.

Ladki walo ko chahiye ke dulha mein teen baatein


dekhein:
1) tandurust ho kyun ke zindagi ki bahar tandurusti se
hai.
2) uske chaal chalan achhe ho, badmash na ho, sharif
log ho.
3) ladka hunarmand aur kamau ho ke kama kar apne
beewi bachhon ko paal sake.
Maaldari ka koi aetbar nahin ye chalti phirti chandni
hai. Hadeese paak mein hai ke nikah mein koi maal
dekhta hai koi jamaal magar tum deendari dekho.
Islami Zindagi 38

Ye bhi yaad rakho ke teen qism ke maalon mein barkat


nahin:
1) ek to zameen ka paisa yaani zameen ya makaan
farokht kar ke khao ismein kabhi barkat nahin chahiye
ke ya to zameen na farokht karo aur agar farokht karo
to uska paisa zameen hi mein kharch karo. (hadees)
2) ladki ka paisa yaani ladki wale jo rupya le kar shadi
karte hain ismein barkat nahin aur paisa lena haraam
hai kyun ke ya to ye ladki ki qimat hai ya rishwat ye
donon haraam hain.
3) wo jahez wa maal jo ladki apne maike se laye agar
dulha usko guzar auqaat ka zariya banaye to us mein
barkat nahi hogi.

Apni quwwate bazu par bharosa karo, dadhi aur namaz


ka mazaq udane wale sab kafir huye. Ye bhi yaad rakho
ke maulviyon aur deendaron ki beewiyan fashion walo
ki beewiyon se zyada aaram mein rehti hai awwal to
isliye ke deendar aadmi khuda ke khauf se beewi
bachhon ka haq pehchanta hai, dusre ye ke deendar
aadmi ki nigah sirf apni beewi par hi hoti hai aur aazad
logon ki temporary beewiyan bahut si hoti hain jinka
din raat tajurba ho raha hai wo har phool ko sunghta
aur har baagh mein jata hai kuch dinon to apni beewi
se muhabbat karta hai phir aankh pher leta hai.
Mangni ki rasmon ki kharabiyan bayan se bahar hain
bahut se log soodi qarz se ya maang kar zevar chadha
Islami Zindagi 39

dete hain shadi ke baad phir dulhan se wo zevar heele


bahane se lekar wapas karte hain jiski wajah se aapas
mein khub ladaiyan hoti hain aur shuru ki wo ladai aisi
hoti hai ke phir khatm nahin hoti aur kahin aisa bhi
hota hai ke mangni toot jati hai phir dulhan walo se
zevar wapas maanga jata hai udher se inkar hota hai jis
par muqaddima baazi ki naubat aati hai isi tarah
mangni ke waqt dawat aur fuzool kharchi ka haal hai
agar mangni toot gayi to mutalba hota hai ke humara
kharcha wapas kar do aur donon fareeq khub ladte
hain baaz dafa mangni mein itna kharch ho jata hai ke
fariqain mein shadi ke kharch ki himmat nahin rehti,
phir kabhi kabhi kapdon ke jode aur mithaiyon ke
kharch ladke walo ka diwaliya nikaal deta hai aur shadi
ke waqt ghaur karta hai ke dulhan wale ne is qadr jahez
aur zevar waghairah diya nahin jo mera kharch kara
chuka hai agar ladki wale ne itna na diya to ladki ki
jaan sooli par rehti hai ke tere baap ne humara le lekar
khaya diya kya?
Aur agar khub diya to kehte hain ke kya diya hum se
bhi to khub kharch kara liya baaqi gaane bajane ki
rasmon mein wo kharabiyan hain jo hum pehle bayan
kar chuke hain. Maaeya aur uptan ki rasmein bahut se
haraam kaamon ka majmua hain isliye in tamam
rasmon ko band karna zaruri hai.
Islami Zindagi 40

Islami rasmein

Ladki ke liye ladka aur ladke ke liye ladki aisi talash ki


jaye jo sharif aur deendar ho taaki aapas mein
muhabbat rahe. Jahan ladke ki marzi na ho vahan
hargiz nikah na ho isi tarah jahan ladki ya ladke ki
maa'n ki mansha na ho vahan nikah karna zehare qatil
hai. Hum ne dekha hai ke aisi shadiyan kamyab nahin
hoti isiliye shar'an zaruri hai ke ladki se izn (ijazat) lete
waqt ladke ka naam ma’a us ke walid ke aur mehar ke
bataya jaye ke aey beti hum tera nikah fulan ladke fulan
ke bete se kar dein wo kahein haan tab nikah hota hai
ye izn ladki ki raay maloom karne ke liye hi to hai agar
mauqa ho to ladke ko ladki paigam se pehle kisi bahane
se khufiya taur par dikha di jaye ke ladki ko ye khabar
na ho. (hadees)
Balki nikah se peshtar apne saare qarabatdaron ka
mashwara lena bhi behtar hai.
Qur'an e karim farmata hai-
Aur unka kaam unke aapas ke mashware se hai
(Shoora:38)
Aise nikah ke saare qarabatdar zimmedar ho jate hain
aur agar dulhan aur dulha mein na ittefaqi ho jaye to
ye log mil kar ittefaq ki koshish karte hain. Mangni
darasal nikah ka waada hai agar ye na bhi ho jab bhi
koi harj nahi lihaza behtar to ye hai ke mangni ki rasm
Islami Zindagi 41

bilkul khatm kar di jaye iski koi zarurat nahin hai aur
siwaye nuqsan ke isse kuchh fayda nahi ghaaliban hum
ne ye rasmein hinduo se sikhi hain kyun ke siwaye
hindustan ke aur kahin ye rasm nahin hoti balki arabi
ya farsi zabanon mein iska koi naam bhi nahin iske
jitne naam milte hain sab hindi zaban ke hain
chunanche mangni, sagai, kadmai, saakh ye iske naam
hain aur inmein se koi bhi arabi, farsi nahin aur agar
iska karna zaruri hi ho to is tarah karo ke pehle ladke
wale ke yahan uske qarabatdar jama ho aur wo unki
khatir wa tawazo sirf paan aur chaay se kare agar kahin
paan ka riwaaj na ho jaise ke punjab to wo sirf khaali
chaay se jiske sath koi mithayi na ho phir ye log uthkar
ladki wale ke yahan aa jayein wo bhi unki tawazo sirf
paan ya khaali chaay se kare. Ladke wale apne sath
dulhan ke liye ek sooti dupatta aur ek sone ki nath
(nathani) laye jo ke pesh kar de, dulhan walo ki taraf
se ladke ko ek sooti rumaal ek chandi ki anguthi ek
nagina wali pesh kar di jaye jiska wazan sawa chaar
maasha se zyada na ho kyun ke mard ko resham aur
sona pehanna haraam hai lo ye mangni ho gayi. Agar
dusre shehar se mangni karne wale aaye hain to
unmein 7 aadmi se zyada na aayein aur dulhan wale
mehmani ke lihaz se unko khana khilayein magar us
khane mein dusre muhallon walo ki dawat ki aam
dawat ki koi zarurat nahin phir iske baad ladke wale
jab bhi aayein to un par mithae aur kapdon ke jorhon
Islami Zindagi 42

ki pabandi na ho agar apni khushi se bachhon ke liye


thodi si mithae laaye to usko muhalle mein taqsim
karne ki koi zarurat nahin. Hadees paak mein hai ke
"Ek dusre ko hadiya do muhabbat badhegi" magar is
hadiya ko tax na bana lo ke wo bechara uske baghair
aa hi na sake. Tarikh ka muqarrar karna bhi isi sadgi se
hona zaruri hai ke agar usi shahar se log aa rahe hain
to 5 aadmi se zyada na ho jinki tawazo khane se ki jaye
aur muqarrar karne wale sana rasida buzurg log ho aur
behtar ye hai ke shadi ke liye jumu'ah ya pir (monday)
ka din muqarrar ho kyun ke ye bahut barkat wale din
hain phir tarikh ke baad gaane bajane dhol waghairah
na ho balki agar ho sake to har teesre din mehfil milad
kar diya karein jis mein na'at khuwani aur duroode
paak ki tilawat ho aise wa'az kiye jayein jismein
maujooda rasmon ki buraiyan bayan ho. Maaeyon aur
uptan ki tamam rasmein bilkul band kar di jayein
yaani agar dulhan ko ek jagah baitha diya jaye ya ke
dulha ko khushbu yaani uptan mala jaye to koi harj
nahin ke ye uptan ek tarah ki khushbu hai aur khushbu
nabiye karim sallallaho alaihi wasallam ko bahut
pasand thi balki shadi ke waqt khushbu istemal karna
sahaba e kiraam se sabit hai lekin in kaamon ke sath
haraam rasmein gaana bajana auraton mardon ka khalt
malt hona behuda mazaq sab band kar diye jayein
gharz ke deeni aur dunyavi kaamon mein huzoor
sallallaho alaihi wasallam ki pairwi deen dunya ki
Islami Zindagi 43

bhalai ka zariya hai. Is zamane mein baaz log dulha ko


chandi ka zevar pehnate hain ya chhuri chaku unke
sath rakhte hain taaki usko bhoot na chimat jaye ye sab
najaaiz rasmein hain agar dulha par kisi qism ka khauf
hai to subah sham aayatal kursi padh kar khud apne
par dam kar liya kare balki namazi aadmi ko kabhi koi
aaseb ba fazlihi ta'ala nahin chhuta qur'an paak achha
nigahban hai isko ikhtiyar karo.

Fasl (2): Nikah aur rukhsat ki rasmein


Maujooda rasmein :
Nikah ke waqt do tarah ki rasmein hoti hain kuchh wo
jo dulha ke ghar ki jaati hain aur kuch wo jo dulhan ke
ghar. Dulha ke yahan ye hota hai ke dulha ko naai
ghusl deta hai wo hi kapde badalwata hai surkh rang ki
pagdi bandh kar us par sunehari gota lapet diya jata hai
phir us par sehra baandh diya jaata hain jismein phool
patti aur nalkiyan lagi hoti hain. Naai ye kaam karke
ek thaali rakh deta hain jismein tamam qarabatdar
mard rupya paisa nichhawar karke dalte hain uske baad
auratein nichhawar karti hain jo naae ki beewi naaen
ka haq hota hai aur aaj se pehle saare qarabatdar jama
ho chukte hain jo khana khate jate hain aur nyote ke
rupye diye jate hain likhne wala wo rupya likhta jaata
hai is khane ka naam baraat ki roti hai. Us waqt zyada
qabile reham dulha ke nana, mamu ki halat hoti hai
Islami Zindagi 44

kyun ke un par zaruri hai ke bhaat lekar aayein warna


naak kat jayegi is bhaat ki rasm ne sadaha ghar barbad
kar diye. Bhaat mein zaruri hai ke dulha aur uske
tamam qarabatdaron ke liye kapde ke jode kuchh
naqadi (cash) aur kuch ghalla layein baaz jagah 40-50
jode tak laane padte hain agar ek joda 5 rupye mein
bhi banao to 250 rupye thande ho gaye. Khud maine
ek dukandar ko dekha ke bade maze se guzar kar raha
tha bhanji ki shadi aan padi maine usko bahut
samjhaya ke bhaat na de ya apni haisiyat ke mutabiq
de wo na maana aakhirkar uski dukan bhaat ki nazar
ho gayi ab bahut musibat mein hai.

Bhanji ke nikah mein ye bhi zaruri hota hai ke kapdon


ke jodo’n ke siwa bhanji ko zevar ya baraat ki roti
mamu kare garz ke ek shadi mein chaar gharon ki
barbadi ho jati hai. Jab ye sab rasmein ho chuki to ab
baraat chali jis ke sath bari aur aage baaja balki baaz
dafa aage aage nachne wali randiyan bhi hoti hain, gole
chalte jate hain, aatishbazi mein aag lagti jati hain. Bari
us mewa (fruit) ko kehte hain jo dulha ki taraf se jaati
hai jismein shakar ek mann, nariyal, makhaana tees ser
kachcha dudh waghairah bhi hota hai dulhan ke ghar
ye cheezein di jaati hain jo baad shadi taqsim hoti hain.
Jab baraat dulhan ke makaan par pahunchi to awwal
vahan aatishbazi mein aag lagayi gayi, phir phool patti
lutayi gayi, phir tamam baratiyon ko dulhan ki taraf se
Islami Zindagi 45

aam dawat di gayi, phir nikah hua, dulha makaan mein


gaya jahan pehle se auraton ka majma laga hua hai is
mauqe par badi parda nashin auratein bhi dulha ke
samne be takalluf baghair parda aa jaati hain, gaaliyon
se bhare huye gaane gaaye jate hain, saaliyan behnoyi
se qism qism ke mazaq karti hain (halanki behnoyi se
saali ka parda zaruri hai), meerasan waghairah apne
huqooq wasul karti hain, phir rukhsat ki taiyari hoti
hai, jahez dikhaya jata hai, jahez mein teen qism ki
cheezein hoti hain ek to dulha walo ke liye kapdon ke
jode yaani dulha, us ke maa'n baap, dada dadi, nana
nani, mamu bhai, chacha, taaya, taayi, bhangi,
behishti, naai gharz ke sab ko jode zarur diye jate hain
jinka majmua baaz jagah 80 balki 90 jode hote hain.

Dusre kaath kabaad yaani menze, kursiya, bartan,


charpaiya waghairah teesre roz un sab ki numaish ke
baad rukhsati huyi jismein bahar baaje ka shor andar
rone chillane walo ka zor hota hai, paalki mein dulhan
sawaar aage dulha ghode par sawaar paalki par se
paison balki punjab mein rupyon aur chandi ke chhalle
aur anguthiyon ki bikher hoti huyi rawangi huyi
Subhan Allah kya paakiza majlis hai ke aage bhangiyon
aur chamaron ke bachhe lutne walo ka hujoom phir
baaje wale mirasiyon ki jama'at aur jama'ate shurafa
pichhe agar aankh ho to aisi majlis mein shirkat bhi
mayoob samjho kahan tak bayan kiya jaye. Baaz wo
Islami Zindagi 46

rasmein hain jinke bayan se sharm bhi aati hai ke is


kitab ko ghair muslim qaumein bhi padhengi wo
musalmanon ke muta'alliq kya raay qaaim karengi haq
ye hai ke hum apne buzurgon ke aise nakhalaf aulad
huye ke hum ne unke naam ko bhi dubo diya aaj aisi
wahiyaat rasmein bhangi, chamaron mein bhi nahin jo
musalmanon mein hain.

In rasmon ki kharabiyan
In rasmon ki kharabiyan main kya bayan karu sirf itna
arz kar deta hoon ke in rasmon ne musalman
maaldaron ko gharib, kangal bana diya, ghar walo ko
be ghar kar diya, musalmanon ke muhalle hinduo ke
paas pahunch gaye har shakhs apne shahar mein
sadaha misalein apni aankhon se dekh sakta hai. Ab
chand kharabiyan jo moti moti (badi badi) hai arz
karta hoon.
1) awwal kharabi ye hai ke is mein maal ki barbadi aur
haq ta'ala ki nafarmani hai.
"Na khuda hi mila na wisale sanam
na idher ke rahe na udher ke rahe"
2) dusre ye ke ye saare kaam apne naam ke liye kiye
jate hain magar doston! Siwaye badnami ke kuch bhi
hasil nahi hota khane wale to khane mein aeb nikalte
huye jaate hain ke is mein ghi wilayati tha, namak
zyada tha, mirch achhi na thi aur dulha wale humesha
Islami Zindagi 47

shikayat hi karte dekhe gaye ladki ke liye vahan ta'ane


hi ta'ane hote hain.

Lateefa :
Ye ajeeb baat hai ke humare ghar baraati umda umda
mazedar maal kha kar jayein magar unka munh seedha
nahi hota khane mein aeb nikalte hain magar
auliyaullah aur peer murshidon ke ghar sukhi rotiyan
aur daal daliya khushi se kha kar tabarruk samajh kar
tarifein karte hain wo sukhi rotiyan apne bachhon ko
pardes (foreign) mein bhejte hain jakar dekho ajmer
shareef ka daliya aur baghdad shareef aur dusre
aastanon ki daal rotiyan. Iski wajah kya hai doston?
Wajah sirf ye hai ke ye khane makhlooq ko raazi karne
ke liye hain aur wo khushk rotiyan khaliq ke liye agar
hum bhi shadi byaah ke mauqe par khana, jahez
waghairah faqat sunnat ki niyyat se sunnat tariqa par
karein to kabhi koi aetraz ho sakta hi nahin. Humare
dost seth abdul ghani sahab har saal baqar eid ke
mauqe par huzoor nabiye karim sallallaho alaihi
wasallam ki taraf se qurbani karte hain aur pulaaw paka
kar aam musalmanon ki dawat karte hain. Maine
dekha ke wo muazzaz musalman jo kisi ki shadi byaah
mein bade nakhre se jate hain wo baghair bulaye yahan
aa jate hain aur agar aakhiri ek asar bhi pa lete hain to
tabarruk samajh kar khate hain abhi qarib mein hi
Islami Zindagi 48

anjuman khuddamul sufiya ke sadar Fazle Ilaahi sahab


pagaanwala raaese gujarat ne walima ki dawat sunnat
ki niyyat se ki na kisi ko shikayat paida huyi aur na kisi
ne aeb nikala. Arz ye hai ke huzoor nabiye kareem
sallallaho alaihi wasallam ka naame paak aeb posh hai
jis cheez par unka naam aa jaye uske sab aeb chhup
jaate hain agar hum log walima ka khana sunnat ki
niyyat se karein to agar daal roti bhi musalmanon ke
samne rakh denge wo bhi musalman barkat ki niyyat
se sair hokar khayenge.
3) teesri kharabi in rasmon ki ye hai ke unki wajah se
sharif gharibo ki ladkiyan baithi rahti hai aur maaldaro
ki ladkiyan thikane lag jati hai kyun ke log apne beton
ka paigam wahin le jate hai jahan zyada jahez mile agar
har jagah ke liye muqarrar ho jaye ke ameer o gharib
sab itna hi jahez waghairah dein to har musalman ki
ladki jald thikane lag jaye.
4) chauthi kharabi ye hai ke in rasmon ki wajah se
musalmanon ko apni aulad wabaale jaan maloom hone
lagti hai ke agar kisi ke ladki paida hui samjha ke ya to
ab mere makaan ki khair nahin ya jaaydad wa dukan
chali isliye log ladki paida hone par ghabrate hai ye in
rasmon ki "Barkat" hai.
5) panchwi kharabi ye hai ke nikah se maqsad hota hai
do qaumon ka mil jana yaani ladke wale ladki wale ke
qarabatdar aur muhib ban jaye aur ladki wale ladke
Islami Zindagi 49

wale ke isiliye is ka nam nikah hai. Nikah ke maani hai


mil jana ye nikah qabilon aur jama'aton ko milane wali
chiz hai misaal mashhoor hai ke nikah mein ladki de
kar ladka lete hai aur ladka de kar ladki hasil karte hai
magar ab musalmanon ne samajh liya ke nikah maal
hasil karne ka zariya hai jis ke chaar farzand ho gaye
wo samjha ke meri chaar jaaydadein ho gai ke inko
biyahuga, jahez se ghar bhar luga ab jab dulhan khatir
khwah jahez na laayi ladai qaaim ho gai aur ab aam
taur par nikah ladai ki buniyad ban kar
Reh gaya hai ke apne azizon me ladki do to aapas ka
purana rishta bhi khatm ho jata hai kyun? Isliye ke
nikah ko ek maali karobar samajh liya gaya hai.
6) agar kisi shakhs ke chand aulad hain pehle ka nikah
to bahut dhoom dhaam se kiya is ek nikah mein uska
masla (maal) khatm ho gaya baaqi aulad ke faqat nikah
hi huye koi rasm ada na huyi kyun ke rupya na tha to
ab us aulad ko maa'n baap se shikayat paida hoti hai
ke humare bade bhai mein kya khubi thi jo hum mein
na thi to baap aur aulad mein aisi bigadti hai ke khuda
ki panah?
7) ladki walo ne dulha ke nikah ke waqt itna kharch
karaya ke uska makaan bhi rehan (girwi) ho gaya bahut
qarza sar par sawar ho gaya ab dulhan sahiba jab ghar
mein aayi to makaan bhi hath se gaya aur musibat bhi
aa padi to naam ye hota hai dulhan aisi manhoos aayi
Islami Zindagi 50

ke uske aate hi humare ghar ki khair wa barkat ud gayi


usse phir ladaiyan shuru ho jati hain ye khabar nahin
ke bechari dulhan ka qusoor nahi balki tumhari un
hindu'ani rasmon ki barkat hai.
8) in rasmon ko poora karne ke liye gharib log ladki ke
paida hote hi fikr karne lagte hain joo joo aulad jawan
hoti hai unki fikrein badhti jati hain ab na roti achhi
maloom hoti na paani fikr ye hoti hai ke kisi soorat se
rupya jama karo ke ye rasmein poori ho ab rupya jama
kar rahein hain us rupye mein zakaat bhi wajib hai aur
hajj bhi farz ho jaata hai wo nahin ada karte kyun ke
agar in ibadat mein ye rupya kharch ho gaya to wo
shaitani rasmein kis tarah poori hongi. Maine ek sahab
ko dekha ke unke paas taqriban 2000 rupya tha maine
kaha aap par hajj farz hai hajj ko jao farmane lage ke
bada hajj to ladki ki shadi aur uska jahez hai maine
kaha shadi ke akhrajaat jo apni qaum ne bana liye hai
wo farz nahin hain aur hajj farz hai farmane lage kuchh
bhi ho naak to nahin katwayi jati aakhir hajj na kiya
ladki ki shadi mein gulchharre udaye. Aapne bahut
maaldaron ko dekha hoga ke hajj unko naseeb nahin
hota lagatar shadiyon se hi unhein chhutkara nahin
milta udher tawajjo kaise karein. Ye bhi khyaal rahe ke
hajj karna har us shakhs ka farz hai jiske paas makka
muazzama jane aane ka kiraya aur baaqi masarif ho ye
jo mashhoor hai ke budhape mein hajj karo ghalat hai
Islami Zindagi 51

kya khabar ke budhapa hum ko milega ya nahin aur ye


maal rahega ya nahin.
9) gharib log ladki ke bachpan se hi kapde jama karne
shuru karte hain kyun ke itne jode wo ek dam nahin
bana sakte jab tak ladki jawan hoti hai kapde gal jate
hain unhin gale huye kapdon ke jode bana kar dete
hain jab wo pehan ne jate hain to do din mein phat
jate hain jis se pehan ne wale gaaliyan dete hain ke aise
kapde dene ki kya zarurat thi.
10) dulhan wale musibat utha kar paisa barbad karke
kaath kabaad yaani mez wa kursiyan, mas'hariyan ladki
ko de to dete hain magar dulha ka ghar itna tang aur
chhota hota hai ke vahan rakhne ko jagah nahin aur
agar dulha miyan kiraya ke makaan mein rehte hain to
jab do chaar dafa makaan badalna padta hai to ye
tamam kaath kabaad toot phoot kar zaaya ho jata hai.
Jitne rupye ka jahez diya gaya agar utna rupya naqad
(cash) diya jaata ya us rupye ki dukan ya makaan ladki
ko de diya jaata to ladke ke kaam aata aur uski aulad
umr bhar aapko duyein deti aur ladki ki bhi sasural
mein izzat hoti aur agar khuda na kare ke kabhi ladki
par koi musibat aati to uske kiraya se apna bura waqt
nikaal leti.
Islami Zindagi 52

Musalmanon ke kuch bahane


Jab ye kharabiyan musalmanon ko batayi jaati hain to
unko chand qism ke uzr hote hain:
1) ek to ye ke sahab hum kya karein humari auratein
aur ladke nahin mante hum unki wajah se majboor
hain ye uzr mehaz bekar hai haqeeqat ye hai ke aadhi
marzi khud mardon ki bhi hoti hai tab unki auratein
aur ladke ishara ya narmi pakar zid karte hain warna
mumkin nahin ke humare ghar mein humare marzi ke
baghair koi kaam ho jaaye agar handi mein namak
zyada ho jaye to aurat bechari ki shaamat aur agar
aulad ya beewi kisi waqt namaz na padhe to bilkul
parwah hi nahin. Jaan lo ke haq ta'ala niyyat se
khabardar hai baaz buzurgon ko dekha gaya hai ke aage
aage farzand ki baraat maye nach baaje ke ja rahi hai
aur pichhe pichhe ye hazrat bhi "La haul" padhte huye
chale ja rahe hain aur kehte hain ke kya karein bachha
nahin manta yaqeenan ye “la haul” khushi ki hai.
Hazrat sa'adi alaihirrahma ne kya khub farmaya:
“Yaani La Haul kehte hain aur khush ho jaate hain”

Punjab mein ye qanoon hai ke maa'n baap ke maal se


ladki meeras nahi pati, lakhpati baap ke paas saara maal
jaaydad, makanaat sab kuch ladke ka hai ladki ek paai
ki haqdar nahin bahaana ye karte hain ke hum ladki ki
meeras ke badle uski shadi dhoom dhaam se kar dete
Islami Zindagi 53

hain Subhan Allah! Apne kaam ke liye rupya haraam


kaamon mein barbad karo aur ladki ke hisse se kaato
kyun janab aap jo ladke ki shadi aur uski padhai likhai
par jo rupya kharch karte hain B.A, M.A ki degree
dilwate hain kya wo bhi farzand ki meeras se kaat'tey
hain hargiz nahin phir ye uzr kaisa ye mehaz dhoka
dena hai.
3) hum ko ulamaye kiraam ne ye baatein batayi hi
nahin isliye hum log usse ghafil rahe ab jab ke ye
rusoom chal padi lihaza inka band hona mushkil hai
lekin ye bahaana bhi ghalat hai ulama -e- ahle sunnat
ne iske muta'alliq kitabein likhi musalmanon ne
qabool na kiya. Chunanche Imaame Ahle Sunnat Aala
Hazrat Fazile Bareilvy qaddasa sirruhu ne ek kitab likhi
"Jaliyussaut" jismein saaf saaf farmaya ye mayyat ki roti
ameeron ke liye khana haraam hai sirf gharib log
khayein, ek kitab likhi "Haadiyunnaasi ila ahkamil
aa'aras" jismein shadi ki murawwaja rasmon ki
buraiyan batayi aur shara'i rasmein bayan farmayi, ek
kitab likhi "Murawwijul nijaa'a" jismein sabit farmaya
ke siwa chand mauqon ke baaqi jagah aurat ko ghar se
nikalna haraam hai aur bhi ulama -e- ahle sunnat ne in
baaton ke muta'alliq bahut kitabein likhi afsos ke apna
qusoor ulama ke sar lagate ho.
4) agar shadi byaah mein ye rasmein na ho to humare
ghar log jama na honge jisse shadi mein raunaq na hogi
Islami Zindagi 54

magar ye bhi faqat waham wa dhoka hai haq ye hai ke


shadi wa nikah mein shirkat agar sunnat ki niyyat se
ho to ibadat hai ab humare nikahon mein log tamashai
bankar ya khane ke liye aate hain jiska kuchh sawab
nahin paate aur phir insha Allah ibadat ki niyyat se
aaya karenge jaise ab log eid ki namaz ke liye eidgah
mein jaate hain tab insha Allah raunaq hi kuchh aur
hogi aur bahaar hi kuchh aur aayegi. Abhi yahan
gujarat mein fazle ilaahi sahab ke ghar aisi hi seedhi
sadhi shadi huyi is qadr majma tha ke maine aaj tak
kisi baraat mein aisa majma na dekha bahut se
musalman to wuzu kar ke durood shareef padhte huye
is saare juloos mein shareek huye.
5) log hum par ta'ana karenge ke kharch kam karne ke
liye ye rasmein band ki hain aur baaz log ye kahenge
ke ye maatam ki majlis hai yahan naach nahin baaja
nahin goya teeja padha ja raha hai ye uzr bhi bekar hai.
Ek sunnat ko zinda karne mein 100 shahidon ka sawab
milta hai kya ye sawab muft mein mil jayega logon ke
ta'ane awaam ke mazaq awwal awwal bardasht karne
padenge aur doston ab bhi log ta'ane dene se kab baaz
aate hain koi khane ka mazaq udata hai koi jahez ka
koi aur tarah ki shikayat karta hai gharz ke logon ke
ta'ane se koi kisi waqt nahin bach sakta logon ne to
khuda e ta'ala aur uske rasoolon ko aib lagaye aur
ta'ane diye tum unki zaban se kis tarah bach sakte ho.
Islami Zindagi 55

Ye bhi yaad rakho ke pehle to kuchh mushkil padegi


magar baad mein Insha Allah wo hi ta'ane dene wale
log tum ko duayein denge aur gharib wa ghuraba ki
mushkilein aasan ho jayengi Allah aur Huzoor
alaihissalam bhi raazi honge aur musalman bhi
mazbooti se qaaim rehna shart hai.

Byaah shadi ki islami rasmein

Sabse behtar to ye hoga ke apni aulad ke nikah ke liye


Hazrate Khatoone Jannat Shehzadi -e- Islam Fatima
Zahhra radiallaho ta'ala anha ke nikahe paak ko
numoona banao aur yaqeen karo ke humari aulad unke
qadam paak par qurban radiallaho ta'ala anha aur ye
bhi samajh lo ke agar huzoor nabiye karim sallallaho
alaihi wasallam ki marzi hoti ke meri lakhte jigar ki
shadi badi dhoom dhaam se ho aur sahaba e kiraam se
iske liye chanda (nyota) waghairah ke liye hukm
farmaya jaata to Usmane Ghani radiallaho ta'ala anhu
ka khazana maujood tha jo ek ek jung ke liye 900-900
oont aur 900-900 ashrafiyan hazir kar dete the lekin
choonki mansha ye tha ke qiyamat tak ye shadi
musalmanon ke liye numoona ban jaaye isliye nihayat
sadgi se ye islami rasm ada ki gayi lihaza musalmanon!
Awwalan to apni byaah baraat se saari haraam rasmein
nikaal daalo, baaje, aatishbazi, auraton ke gaane,
meerasi dom waghairah ke geet, randiyon ke naach,
Islami Zindagi 56

auraton mardon ka mel jol, phool patti ka lutana ek


dam Allah ka naam lekar mita do ab rahi fuzool ki
kharchi ki rasmein unko ya to band hi kar do agar band
na kar sako to unke liye aisi had muqarrar kar do jisse
fuzool kharchi na rahe aur ghar ki barbadi na ho
jinhein ameer wa gharib sab be takalluf poora kar
sakein lihaza humari raay ye hai ke is tariqe se nikah ki
rasm ada honi chahiye.

Bhaat (naaki chhak) ki rasm bilkul band kar di jaye


agar dulha dulhan ka mamu nana kuchh imdad karna
chahein to rasm bana kar na karein balki mehaz isliye
ke qarabatdaron ki madad karna rasoolullah sallallaho
alaihi wasallam ka hukm hai isliye bajaye kapdon ke
naqad (cash) rupya de dein jo ke 25 rupya se zyada
hargiz na ho yaani kam to ho magar isse zyada na ho
aur ye imdad khufiya ki jaaye. Dikhlawe ko ismein
dakhal na ho taaki rasm na ban jaye, dulha dulhan
nikah se pehle uptan ya khushbu ka istemal karein
magar mehandi aur tel lagane aur uptan ki rasm band
kar di jaye yaani gaana baaja auraton ka jama hona
band kar do ab agar baraat shahar ki shahar mein hai
to zuhar ki namaz padh kar baraat ka majma dulha ke
ghar jama ho aur dulhan wale log dulhan ke ghar jama
ho, dulhan ke yahan us waqt na'at khwani ya wa'az ya
durood shareef ki majlis garm ho, udher dulha ko
achha umda sehra baandh kar ya paidal ya ghode par
Islami Zindagi 57

sawaar karke is tarah baraat ka juloos rawana ho aage


aage umda na'at khwani hoti jaye, tamam bazaron
mein ye juloos nikala jaye jab ye baraat dulhan ke ghar
pahunche to dulhan wale is baraat ko kisi qism ki roti
ya khana hargiz na dein kyun ke Hazrate Zahra ke
nikah mein Huzoor alaihissalam ne koi khana na diya
garz ke ladki wale ke ghar khana na ho balke paan ya
khaali chaay se tawazo kar di jaye phir umda tariqe se
khutba e nikah padh kar nikah ho jaye. Agar nikah
masjid mein ho to aur bhi achha hai nikah ka masjid
mein hona mustahab hai aur agar ladki ke ghar ho tab
bhi koi harj nahi. Nikah hote hi baraati log wapas ho
jayein ye tamam kaam asr se pehle ho jayein aur baad
maghrib ko dulhan ko rukhsat kar diya jaaye khwah
rukhsat taanga mein ho ya doli waghairah mein magar
is par kisi qism ka nichhawar aur bikher bilkul na ho
ke bikher karne mein paise gum ho jaate hain haan
nikah ke waqt khurma lutana sunnat hai aur agar
nikah ke waqt do chaar gole chala diye jayein ya ailan
ki niyyat se jahan nikah hua hai vahan hi koi naqqara
ya naubat is tarah baghair gat ke peet di jaye jaise sehari
ke waqt uthane ke liye ramzan shareef mein peeti jaati
hai to bhi bahut achha hai ye hi zarbe daf ke maana
hain.
Islami Zindagi 58

Jahez:
Jahez ke liye bhi koi had honi chahiye ke jiski har
ameer wa gharib pabandi kare ameer log aur mauqe
par apni ladkiyon ko jo chahein dein magar jahez wo
dein jo muqarrar ho gaya. Yaad rakho ke agar tum
jahez se dulha ka ghar bhi bhar doge to bhi tumhara
naam nahin ho sakta kyun ke baaz jagah bhangi
chamaron ne itna jahez de diya ke musalman bade
maaldar bhi nahin de sakte. Chunanche kuchh saal
guzare ke agra mein ek chamaar ne apni ladki ko itna
jahez diya ke wo baraat ke sath juloos ki shakl mein ek
meel mein tha uski nigrani ke liye police bulani padi
jab us se kaha gaya ke itna jahez rakhne ke liye dulha
ke paas makaan nahin hai to fauran 6000-6000 yaani
12,000 rupye ke makaan kharid kar dulha ko de diye
chunanche ab hum ne khud dekha ke jo musalman
apni jaaydad wa makaan farokht kar ke achha jahez
dete hain to dekhne wale us chamaar ke jahez ka zikr
shuru karte hain aur hakte hain ke bhai wo chamaar
jahez ka record tod gaya us musalman bechare ka naam
na tarif. Lihaza aey musalmanon! Hosh karo is
naamwari ki lalach mein apne ghar ko aag na lagao ya
yaad rakho ke naam aur izzat to Allah ta'ala aur
rasoolullah sallallaho alaihi wasallam ki pairwi mein
hai lihaza jo jahez hum arz karte hain usse zyada hargiz
na do.
Islami Zindagi 59

Bartan 1 adad, charpai darmiyani 1 adad, lihaaf 1


adad, toshak (gadela) 1 adad, takiya 1 adad, chadar 1
adad, dulhan ko jode 4 adad jis mein 2 adad sooti ho
aur do reshami, dulha ko jode 2 adad, dulha ke walid
ko joda 2 adad, dulha ki maa'n ko joda 1 adad, musalla
(janamaz) 1 adad, qur'an shareef maye rehal 1 adad,
zevar ba qadre himmat magar ismein zyadti na karo
agar ho sake to iske ilawa naqad (cash) rupya ladki ke
naam mein jama kara do aur agar tum ko Allah ne diya
hai to ladki ko koi makaan, dukan, jaaydadi shakl mein
kharid do, ladki ke naam registry ho. Ye bhi yaad rakho
ke tamam ladkiyon mein barabari hona zaruri hai
lihaza naqadi rupya ya jaaydad ek ko di hai to sab ko
do warna gunahgar hoge. Jo aulad mein barabar na
rakhe, hadees shareef mein usko zaalim kaha gaya hai
aur apni ladkiyon ko sikha do ke agar unki saas ya
nanad ta'ana dein to wo jawab dein ke main sunnat
tariqa aur hazrat khatoone jannat ki gulami mein
tumhare ghar aayi hoon agar tum ne mujh par ta'ana
kiya to tumhara ta'ana mujh par na hoga balki islam
aur bani e islam alaihissalam par hoga. Saas nanad bhi
khud yaad rakhein ke agar unhone ye jawab sun kar
bhi zaban na roki to unke imaan ka khatra hai.

Lateefa : Hazrat Imaam Muhammad rahmatullah


alaihi ke paas ek shakhs aaya aur arz karne laga ke
maine qasam khayi thi ke apni beti ko jahez mein har
Islami Zindagi 60

cheez dunga ab kya karu ke qasam poori ho kyun ke


har cheez to badshah bhi nahin de sakta aapne farmaya
ke tu apni ladki ko jahez mein qur'an shareef de de
kyun ke qur'an shareef mein har cheez hai.
(ruhul bayan)
Aur ye aayat padh di:
"Aur na koi tar aur na khushk jo ek Roshan
kitab mein na likha ho".(surah an'aam ayat 59)
Lihaza ladkiyon aur unki saas nandon ko yaad rakhna
chahiye ke jisne qur'an shareef jahez mein de diya usne
sab kuchh de diya kya chakki chulha aur dunya ki
cheez qur'an shareef se badhkar hain.

Aur agar baraat dusre shahar se aayi hai to baraat mein


aane wale aadmi mard aur aurat 25 se zyada na ho aur
un mehmanon ko ladki wala khana khilaye magar ye
khana mehmani ke haq ka hoga na ke baraat ki roti. Isi
tarah dulhan wale ke ghar jo apni biradari aur basti ki
aam dawat hoti hai wo bilkul band kar di jaye haan
baahar ke mehman aur baraat ke muntazemeen zarur
khana khayein. Maqsad sirf ye hai ke dulha ke ghar
aam biradari ki dawat na ho ke ye bila wajah ka bojh
hai jahan tak ho sake ladki wale ka bojh halka kar do.
Jab dulhan khair se ghar pahunche to rukhsat ke dusre
din yaani shab uroosi ki subah ko dulha ke ghar dawate
walima honi chahiye ye dawat apni haisiyat ke mutabiq
Islami Zindagi 61

ho ke ye sunnat hai magar uski dhoom dhaam ke liye


soodi qarza na liya jaye aur maaldaron ke sath kuchh
ghurba aur masakeen ko bhi is dawat mein bulaya jaye
yaad rakho ke jis shadi mein kharcha kam hoga insha
Allah wo shadi badi mubarak aur dulhan badi khush
naseeb hogi. Hum ne dekha ke zyada jahez le jane wali
ladkiyan susral mein taklif se rahin aur kam jahez lane
waliyan bade aaram se guzara kar rahi hain.
Humne Hazrat Fatima Zahra radiallaho ta'ala anha ki
shadi aur unka jahez aur unki khangi zindagi shareef
nazm mein likhi aur aapko sunaye suno aur ibrat
pakdo.

Shahezadi E Islam Maalike Darussalam Hazrat


Fatimatuzzahra radiallaho ta'ala anha ka nikah

Goshe dil se mominon sun lo zara hai ye qissa


Fatima ke aqad ka!
15 saala nabi ki ladli aur thi 22 sal umre Ali,
Aqad ka paigam haider ne diya Mustafa ne
marhaban ahlan kaha,
Peer ka din 17 maahe rajab dusra san hijrate
shahe arab,
Phir madeena mein huwa ailan e aam zuhar ke
waqt aayein saare khaso aam,
Is khabar se shor barpa ho gaya kucha wa bazar
mein gul sa macha,
Islami Zindagi 62

Aaj hai maula ki dukhtar ka nikah aaj hai us


nek akhtar ka nikah,
Aaj hai us pak wa sachchi ka nikah aaj hai be
maa'n ki bachhi ka nikah,
Khair se jab waqt aaya zuhar ka masjide nabwi
mein majma ho gaya,
Ek janib hai Abu bakr wa Umar ek taraf
Usman bhi hain jalwagar,
Har taraf as'haab aur ansar hain darmiyan
mein Ahmade mukhtar hain,
Samne nausha Ali murtaza haidare karrar
shahe la fata,
Aaj goya arsh aya hai utar ya ke qudsi aa gaye
hai farsh par,
Jama jab ye sara majma ho gaya Syeddul
Kaunain ne khutba pada,
Jab huye khutbe se farig Mustafa aqad Zahra
ka Ali se kar diya,
400 misqaal chandi mehar tha wazan jis ka
150 tola huwa,
Baad mein khurme lutaye la kalaam maasiwa
iske na tha koi ta'am,
Un ke haq mein phir dua e khair ki aur har ek
ne mubarakbad di,
Ghar se rukhsat jis gadi Zahra huyi walida ki
yaad mein rone lagi,
Di taslli Ahmade mukhtaar ne aur farmaya
Islami Zindagi 63

shahe abrar ne,


Fatima har tarah se baala ho tum maika wa
susral mein aala ho tum,
Baap tera hai imaamul ambiya aur shauhar
auliya ke peshwa!
Maahe zilhijja mein jab rukhsat huyi tab Ali ke
ghar mein ek dawat huyi,
Jisme thi 10 ser jau ki rotiya kuchh panir aur
thode khurme be guman,
Is ziyafat ka walima naam hai aur ye dawat
sunnate islam hai,
Sab ko inki raah chalna chahiye aur buri
rasmon se bachna chahiye.

Jahez

Fatima zahra ka jis din aqad tha sun lo unke


sath kya kya naqad tha
Ek chadar 17 paiwand ki Mustafa ne apni
dukhtar ko jo di
Ek toshak jiska chamda ka gilaaf ek takiya ek
aisa hi lihaaf
Jis ke andar oon na resham ruyi balki usmein
chhaal khurme ki bhari
Ek chakki pisne ke waste ek mashkiza tha
paani ke liye ek lakdi ka piyala sath mein naqri
kangan ki jodi hath mein aur gale mein har
Islami Zindagi 64

hathi daant ka ek joda bhi khadao ka diya


Shahezadi syeddul kaunain ki be sawari hi Ali
ke ghar gayi
Waste jin ke bane donon jahan unke ghar thi
sidhi sadi shadiyan us jaheze paak par lakho
salam sahibe laulak par lakho salam.

Shahezadi e kaunain radiallahu ta'ala anha ki


zindagi

Aayi jab khatoon e jannat apne ghar pad gaye


sab kam unki zaat par,
Kaam se kapde bhi kale pad gaye hath mein
chakki se chhale pad gaye,
Di khabar zahra ko asadullah ne baantey hai
qaidi rasoolullah ne,
Ek laundi bhi agar humko mile is musibat se
tumhein rahat mile,
Sun ke zahra aayi siddiqa ke ghar taaki dekhe
hath ke chhale pidar,
Par na the daulat kada mein shahe deen walida
se arz karke aa gayi,
Ghar mein jab aaye habibe kibriya walida ne
majra saara kaha,
Fatima chhale dikhane aayi thi ghar ki taklifein
sunane aayi thi,
Aapko ghar mein na paya shaahe deen mujh se
Islami Zindagi 65

sab dukh dard apna keh gayi,


Ek khadim aap agar unko bhi dein chakki aur
chulhe ke wo dukh se bachein,
Shab ko aaye mustafa zahra ke ghar aur kaha
dukhtar se aey jaane pidar,
Hain ye khadim un yatimon ke liye baap jinke
jung mein mare gaye,
Tum pe saaya hai rasoolullah ka aasra rakho
faqat Allah ka,
Hum tumhein tasbih ek aisi batayein aap jis se
khadimon ko bhul jaye,
Awwalan SubhanAllah 33 baar ho aur phir
alhumdullilah itni hi pado,
Aur 34 baar ho takbir bhi taaki 100 ho jayein
ye mil kar sabhi,
Padh liya karna ise har subah wa sham wird
mein rakhna ise apne mudaam, khuld ki
mukhtaar raazi ho gayi sun ke ye guftaar khush
khush ho gayi,
Saalik unki raah jo koi chale deen wa duniya ki
musibat se bache.

Hidayat (1)
Nikah ke baad kabhi shauhar beewi mein na ittefaqi
ho jaati hai jiski wajah se shauhar aurat ki soorat se
bezaar hota hai aur aurat shauhar ke naam se ghabrati
Islami Zindagi 66

hai jismein kabhi to qusoor aurat ka hota hai kabhi


mard ka. Mard to dusra nikah kar leta hai aur apni
zindagi aaram se guzarta hai magar bechari aurat hi
nahin balki uske maike walo tak ki zindagi talkh ho
jaati hai jiska din raat tajurba ho raha hai. Ladki wale
ro rahe hain kabhi mard gayab ya deewana pagal ho
jata hai jiski talaaq ka shar'an aetbar nahin ab aurat
bebas hai ghair muslim qaumein musalmanon par
ta'ana deti hain ke islam mein auraton par zulm aur
mardon ko beja aazadi hai iska ilaaj auraton ne to ye
socha ke wo mard se talaaq hasil karne ke liye murtad
hone lagi yaani kuchh roz ke liye isai ya aariya
waghairah ban gayi phir dobara islam lakar dusre nikah
mein chali gayi ye ilaaj khatarnak hai aur ghalat bhi
kyun ke is mein muslim qaum ke daman par nihayat
badnuma dhabba lagta hai aur bahut si auratein phir
islam mein wapas nahin aayi jiski misalein mere samne
maujood hain. Neez aurat ka be imaan ban jane se
pehla nikah tootata bhi nahin balki qaaim rehta hai
baaz leaderane qaum ne iska ye ilaaj socha ke faskhe
nikah ka qanoon banwa diya lekin is qanoon se bhi
shar'an nikah nahin tootata talaq shauhar de tab hi ho
sakta hai baaz aqalmand logon ne ye tadbeer sochi ke
bade bade mehar bandhwaye 50,000 ek lakh rupya ya
apni ladkiyon ke naam dulha se makaan ya jaaydad
likhwayi magar ye ilaaj bhi mufid sabit na hua kyun ke
itne bade mehar ke wasool karne ke liye aurat ke paas
Islami Zindagi 67

kaafi rupya chahiye aur bahut dafa aisa hua ke


muqaddama chala, shauhar ne ada e mehar ke jhoote
gawah khade kar diye ke maine mehar de diya hai ya
usne maaf kar diya hai. Iski bhi misalein maujood hain
to phir makaan ya thodi zameen ki parwah nahin karta
agar wo makaan chhod baithe to kya aurat makaan
chaategi, aise hi agar shauhar se kuchh maahwar
tankhwah likhwa li to awwalan to wasool karna
mushkil agar shauhar gayab ho gaya ya wo gharib
aadmi hai to kis tarah ada kare aur agar tankhwah milti
bhi rahi to jawani ki umr kyun kar guzare. Doston! Ye
saare ilaaj ghalat hain iska sirf ek ilaaj hai wo ye ke
nikah ke waqt ka bay naama shauhar se likhwa liya jaye
bay naama ye hai ke ek tahreer likhi jaye jismein
shauhar ki taraf se likha ho ke agar main lapata ho jao
ya is beewi ki maujoodgi mein dusra nikah karke is par
zulm karu ya iske huqooq e shara'i ada na karu
waghairah waghairah to is aurat ko talaq e baaena lene
ka haq hai lekin ye tahreer nikah ke ijaab wa qabool ke
baad karayi jaye ya nikah khwan qazi ijaab to mard ki
taraf se kare aur aur aurat is shart par qabool kare ke
mujhko fulan fulan soorat mein talaaq lene ka haq
hoga aur mukhtaar phir insha Allah shauhar kisi qism
ki badsulooki na kar sakega aur agar kare to aurat khud
talaaq lekar mard se aazad ho sakegi ismein shar'an
kuchh harj nahin aur ye ilaaj bahut mufid sabit hua
isse ye maqsad nahin hai ke musalmanon ke ghar
Islami Zindagi 68

bigdein balki main ye chahta hoon ke bigadne se


bachein, mard is khauf se auraton ke sath badsulooki
karne se baaz rahein.

Hidayat (2)
Punjab aur kathiyawad mein talaaq ka bahut riwaaj hai
mamooli si baaton par teen talaqein de dete hain aur
hindu muharriron se talaq naama likhwate hain jo
islami masael se bilkul jahil hain phir baad mein afsos
kar mufti sahab ke paas rote huye aate hain ke maulvi
sahab khuda ke liye koi soorat nikalo ke meri beewi
phir nikah mein aa jaye main choonke fatwon ka kaam
karta hoon isliye mujhe in waqiyat se bahut sabiqa
padta rehta hai. Phir bahana ye batate hain ke ghusse
mein aisa ho gaya. Doston! Talaaq ghusse mein hi di
jaati hai khushi mein kaun deta hai phir ye heela karte
hain ke wahabiyon se masla likhwate hain ke ek dam
teen talaqein ek talaaq hoti hai ismein rujoo jaaiz hai.
Doston! Ye heela bahana bilkul bekar hai agar tum
wahabi kya isai, aariya se bhi likhwa lao ke talaaq na
huyi kya isse shara'i hukm badal jayega hargiz nahin
iski tehqiq ke talaqein ek hoti hain ya nahin humare
fatawa mein dekho jismein is mas'ale ki poori tehqiq
kar di gayi hai aur muslim shareef ki hadees se jo dhoka
diya jata hai usko bhi saaf kar diya gaya hai.
Lihaza mera mashwara ye hai ke awwal to talaaq ka
Islami Zindagi 69

naam hi na lo ye bahut buri cheez hai.


Agar aisa karna hi ho to sirf ek talaaq do taaki agar baad
ko aur dobara nikah ki gunjaish rahe aur humesha
talaaq naama musalman waqif kaar muharrir ya kisi
aalim e deen ki raay se likhwao.

Fasl (3): Nikah ke baad ki rasmein

Murawwaja rasmein :
Shadi ke baad bhi mukhtalif qism ki rasmein qarib
qarib har jagah maujood hain lekin nikah ke baad ki
rasmon mein up ka ilaqa sab mulkon se aage badha
hua hai. Up mein teen tarah ki rasmein jaari hain ek
chauthi, dusri kangna aur sehra kholne ki rasm aur
teesri kheer ki rasm. Chauthi ko ye hota hai ke rukhsat
ke dusre din dulhan ke maike se 30 ya 40 aadmi ya
kuchh kamobesh chauthi lautane ke liye dulha ke ghar
jate hain jahan unki pur takalluf dawat hoti hai khana
khakar meethe chawalon ke thaal mein apni haisiyat se
zyada rupya rakhte hain ye rupya bhi dulhan walo ki
taraf se chanda hokar ba taure nyota jama hota hai baaz
jagah us waqt thaal mein 100 ya 200 ya kuchh zyada
rupye daale jate hain phir ladki ko apne humrah le aate
hain 4the din dulha ki taraf se kuchh auratein aur
kuchh mard dulhan ke maike jaate hain apne sath sabz
tarkariyan aaloo, baigan waghairah aur kuchh mithai
Islami Zindagi 70

jismein laddoo zaruri ho le jate hain, vahan ki tawazo


khatir ke liye patli patli kheer taiyar hoti hai, ek tooti
kursi par kheer ki thaali bhari huyi rakh kar upar se
safed chadar daal dete hain dulha ko baithne ke liye wo
kursi pesh ki jaati hai dulha miyan be khabar us par
baithata hai baithate hi tamam kapde kheer mein
kharab ho jaate hain aur hansi udti hai phir dulhan
wale dulha walo ke kapde aur munh khub achhi tarah
kharab karne ki koshish karte hain wo apna bachao
karte hain ismein khub dil lagi rehti hai jab is shaitani
rasm se najaat huyi tab khana khilaya baad namaze
zuhar ek chauki par dulhan dulha aamne samne baithe
wo laddoo jo dulha ki taraf se laaye gaye hain aas paas
phenkwaye gaye yaani dulha ne dulhan ki taraf fenka
aur dulhan ne dulha ki taraf, jab 7 chakkar poore ho
gaye tab wo toofane badtameezi barpa hota hai ke
shaitan bhi dum daba kar bhaag jaaye, wo tarkariyan
aur aaloo, shalgam, baigan waghairah jo dulha wale
sath laye the ab unke do hisse kiye jaate hain ek hissa
dulha walo ka aur dusra hissa dulhan walo ka phir ek
dusre ko usse maar lagate hain iske baad jo aur taraqqi
hoti hai wo bayan ke qabil nahin ye to chauthi huyi ab
aage chaliye jab dulhan ko wapas susral le gaye tab
kangna kholne ki rasm ada huyi wo is tarah ke dulhan
se kangna khulwaya gaya udher se dulha ne uski ganthe
sakht kar rakhi hain idher se dulhan ki poori koshish
hai ke usko khol daale jab ye ba mushkil tamam khola
Islami Zindagi 71

ja chuka tab aapas mein ek dusre par paani phenka aur


ismein bada har wo maana jata hai jo kisi sharif aadmi
ko dhoke se bulakar usko bhigo de aur jab wo khafa ho
to udher se khushi mein taaliyan bajein. Sehra kholne
ki ye rasm hai ke jab sehra khola gaya to kisi qarib ke
dariya mein aur agar dariya maujood na ho to kisi
taalab mein agar taalab na ho to kisi ghair aabad
kunwein mein daal diya jaye magar ye sehra agar daal
ne ke liye auratein jayein to gaati bajati huyi aur wapas
ho to gaati bajati huyi aur agar mard jakar dalein to
padhe likhe to aise hi phenk aate hain aur jahil log
dariya ko salam kar ke usmein daalte hain phir kuchh
meethe chawal paka kar khwaza khizr ki fatiha niyaz
hoti hai lijiye janab aaj in rasmon ne pichha chhoda.

In rasmon ki kharabiyan
Ye rasmein saari hindu'ani hain jismein auraton
mardon ka ikhtelaat yaani mel jol hai ye bhi haraam
aur kheer aur tarkariyan ki barbadi hai ye bhi haraam
hai musalmanon ke kapde kharab karke unko taklif
pahunchani ye bhi haraam. Phir chauthi mein ek dusre
ki marammat karna iza dena ye bhi haraam ke ismein
dil shikni bhi hai aur sar shikni bhi, dariya ko aur paani
ko salam karna ye bhi haraam balki mushrikon ka
kaam hai, gaana bajana ye bhi haraam hai.
Islami Zindagi 72

Inki islah:
in rasmon ki islah ye hai ke az awwal ta aakhir ye
tamam rasmein bilkul band kar di jayein. Baaz jagah
ye bhi riwaaj hai ke dulhan susral mein kaam nahin
karti aur jab pehla kaam karti hai to usse puriyan
pakwa kar taqsim karayi jaati hain ye bhi bilkul fuzool
hai isse koi fayda nahin agar us waqt barkat ke liye uske
hath ka pehla khana pakwa kar Huzoor Ghause Paak
radiallaho ta'ala anhu ki fatiha kar di jaaye taaki barkat
rahe to bahut hi achha hai.

Zaruri hidayat:
Susral ki ladaiyan chand wajah se hoti hain kabhi to
dulhan tez zaban aur gustakh hoti hai, saas nanad ko
sakht jawab deti hai isliye ladai hoti hai, kabhi shauhar
ki cheezon ko haqeer jaanti hai aur vahan apne maike
ki badai karti rehti hai ke mere baap ke ghar ye tha wo
tha, kabhi nandein dulhan ke maa'n baap ko uski
maujoodgi mein bura bhala kehti hain jisko wo
bardasht nahin kar sakti, kabhi susral ke kaam se ji
churati hai kyun ke maike mein kaam karne ki aadat
na thi, kabhi maike bhejne par jhagda hota hai ke
dulhan kehti hai ke main maike jaungi susral wale
nahin bhejte phir dulhan apni taklifein apne maike
walo se jakar kehti hai to wo uski taraf se ladai karte
hain ye aisi aag lagti hai ke bujhaye nahin bujhti, kabhi
Islami Zindagi 73

saas nandein bila wajah dulhan par badgumani karti


hain ke humari dulhan cheezon ki chori kar maike
pahunchati hai ye wo shikayat hain jinki wajah se
humare yahan khana jungiyan rehti hain aur in
shikayat ki buniyad ye hai ke ek dusre ke huqooq se be
khabar hain dulhan ko nahin maloom ke mujh par
shauhar aur saas ke kya haq hain aur saas aur shauhar
ko nahin khabar ke hum par dulhan ke kya haq hain.
Saason aur shauharon ko ye khyaal chahiye ke nayi
dulhan ek qism ki chidiya hai jo abhi abhi qafas
(pinjare) mein phansi hai to phad phadati bhi hai aur
bhaag ne ki bhi koshish karti hai magar shikari aur
paalne wala usko khane peene ka lalach dekar ke
behlata aur uske dil lagane ki koshish karta hai phir
aahista aahista uska dil lag jaata hai isi tarah saas,
nandon aur shauharon ko chahiye ke uske sath aisa
achha bartao karein ke wo jald un se hil mil jaye.
Doston! Chaar din tauqir ke bhi bhaari hote hain aur
khyaal rakho ke ladki sab kuchh sun sakti hai magar
apne maa'n baap bhai behan ki burai nahin sun sakti
uske samne uske maa'n baap ko hargiz bura na kaho.
Dekho abu jehal ka farzand Akrama radiallaho ta'ala
anhu jab imaan laaye to Huzoor sallallaho alaihi
wasallam ne sahaba e kiraam ko hukm diya ke Akrama
ke samne koi bhi unke baap abu jehal ko bura na kahe.
(madarijunnubuwat)
Ye kyun tha sirf isliye ke har shakhs ki fitri aadat hai
Islami Zindagi 74

ke apne maa'n baap ki burai na sun sakein. Agar ladki


ko kisi kaam kaaj mein mahaarat na ho to aahistagi se
sikha lein gharz ke uske sath wo sulook kare jo apni
aulad se karte hain ya apni beti ke liye hum khud
chahte hain wo bhi to kisi ki bachhi hai jo cheez apni
bachhi ke liye gawara na karo wo dusre ki bachhi se
bhi gawara na karo aur kisi par bila wajah badgumani
karna haraam hai is badgumani ne sadaha gharon
tabah kar daala. Dulhanon ko chahiye ke iska khyaal
rakhein ke zaban e sheerin se milk geeri hoti hai narm
zaban se insaan janwaron ko qabze mein kar leta hai ye
saas nandein to phir insaan hain. Khyaal rakho ke
qudrat ne pakadne ke liye do hath, chalne ke liye do
paanv, dekhne ke liye do aankhein aur sunne ke liye
do kaan diye magar bolne ke liye zaban sirf ek hi di
jiska maqsad sirf ye hai ke bolo kam magar kaam zyada
karo agar tum apne maa'n baap ki badai sabko jatlaati
phiro to bekar hai, lutf to jab hai ke tumhari raftaar
guftaar, khush khalqi, kaam dhanda, achhe akhlaq aise
hon ke saas nanad aur shauhar ya ke har dekhne wala
tum ko dekh kar tumhare maa'n baap ki tarif karein ke
dekho to ladki ko kaisi umda talim tartib di. Susral
mein kaisi hi ladai ho jaye to sabr se kaam lo kuchh
dinon mein ye saas susar nandein aur shauhar sab
tumhari marzi par chalenge. Hum ne wo layaq sharif
ladkiyan bhi dekhi hain jinhone susral mein pehle
kuchh dushwari uthayi phir apne apne susral walo ko
Islami Zindagi 75

aisa garweeda bana liya ke unhone saare ke saare


ikhtiyar dulhan ko de diye aur hakne lage ke beti ghar
baar tu jaane humko to do waqt jo tera ji chahe paka
kar de diya karo aur khyaal rahe ke tumhare shauhar
ki raza mein Allah ta'ala aur rasoolullah sallallaho alaihi
wasallam ki razamandi hai. Huzoor sallallaho alaihi
wasallam ne farmaya ke agar khuda ke siwa kisi ko
sajda karna jaaiz hota to auraton ko hukm deta ke wo
apne shauhar ko sajda karein aur aey shauharon! Tum
yaad rakho ke dunya mein insaan ke chaar baap hote
hain ek to nisbati baap, dusre apna sasur, teesre apna
ustad, chauthe apna peer agar tum ne apne sasur ko
bura kaha to samajh lo ke apne baap ko bura kaha.
Huzoor alaihissalam ne farmaya hai bahut kamyab
shakhs wo hai jiski beewi bachhe usse raazi ho. Khyaal
rakho ke tumhari beewi ne sirf tumhari wajah se apne
saare maike ko chhoda balki baaz sooraton mein des
chhod kar tumhare sath pardesi bani agar tum bhi usko
aankhein dikhao to wo kiski hokar rahe tumhare
zimme maa'n baap, bhai behan, beewi bachhe sab ke
haq hain kisi ke haq ke ada karne mein ghaflat na karo
aur koshish karo ke dunya se bandon ke haq ka bojh
apne par na le jao. Khuda ke to hum sab gunahgar hai
magar makhlooq ke gunahgar na banein, haq ta'ala
mere in toote phoote lafzon mein taasir de aur
musalmanon ke gharon mein ittefaq paida farmaye aur
jo koi is risale se fayda uthaye wo mujh faqeer ke liye
Islami Zindagi 76

dua e maghfirat aur husne khatima kare.


Do baatein aur bhi yaad rakho ek to ye ke jaisa tum
apne maa'n baap se sulook karoge waisa hi tumhari
aulad tumhare sath sulook karegi, jaisa ke tum dusre ki
aulad ke sath sulook karoge waisa hi dusre tumhare
aulad se sulook karenge yaani agar tum apne saas sasur
ko gaaliyan doge to tumhare damad tum ko gaaliyan
denge.

Dusre ye ke hadees shareef mein hai ke qarabatdaron


se nek sulook karne se umr aur maal badhte hain
musalmanon ko chahiye ke nabiye karim sallallaho
alaihi wasallam ki zindagi e paak maloom karne ke liye
huzoor e paak ki swaneh umri padhein jinse pata lage
ke ahle qarabat ke sath kaisa bartao karna chahiye.
Islami Zindagi 77

Baab (5): Muharram, Shabe Baraat, Eid, Baqar


Eid ki rasmein

Murawwaja rasmein:
Humare mulkon mein in mubarak mahinon mein
hasb e zail rasmein hoti hain:
Muharram ke pehle 10 din aur khaas kar 10wi
muharram yaani aashura ka din khel kood, tamasha
aur melon ka zamana samjha gaya hai. Kathiyawad
mein is zamane mein tajiyadari ke sath kutte, bandar
ki si sooratein banakar musalman tajiyon ke aage
koodte huye nikalte hain aur sabeelon ki khub zebaesh
karte hain aur sharabein pi pi kar chaukaron mein
khade hokar maatam ke bahane se koodte hain aur up
mein musalman in 10 dinon mein barabar rafziyon ki
majlison mein marsiye sunne aur mithae lene pahunch
jate hain. Phir 8wi tarikh ko alam aur 9wi tarikh ko
tajiyon ki gasht aur 10wi ko tajiyon ka juloos khud bhi
nikaalte hain aur rafziyon ke tajiyon ke juloos mein bhi
shirkat karte hain. Baaz jahil log maatam bhi karte
huye jate hain phir 12wi muharram ko tajiyon ka teeja
aur 20 safar ko tajiyon ka 40wa nikala jaata hai jismein
chand tarah ke juloos nikaalte hain. Safar ke aakhiri
budh (wednesday) ko musalmanon ke ghar puriyan
pakayi jaati hain, khushiyan manayi jaati hai aur
kathiyawad mein log asr ke baad sawab ki niyyat se
Islami Zindagi 78

jungle mein tafreeh karne jaate hain aur up mein baaz


jagah is din purani mitti ke bartan phod kar naye
kharidte hain ye tamam baatein isliye hoti hain ke
musalmanon mein mashhoor ye hai ke aakhiri chahaar
shamba (wednesday) ko Nabiye karim sallallaho alaihi
wasallam ne ghusl e sehat farmaya aur tafreeh ke liye
madeena munawwara se bahar tashreef le gaye the.
Rabiul awwal mein aam musalman mahfil e meelad
shareef ki majlisein karte hain jinmein huzoore anwar
sallallaho alaihi wasallam ki paidaish e paak ka zikr aur
qiyaam, na'at khwani wa durood shareef ki kasrat hoti
hai aur 12wi rabiul awwal ko juloos nikala jata hai aur
rabiul aakhir shareef mein 11wi shareef Huzoor
Ghause Paak radiallaho ta'ala anhu ki majlisein karte
hain jismein Huzoor Ghause Paak ke halat padh kar
samaen ko sunate hain aur baad fatiha taqsim sheerini
karte hain ya musalmanon ko khana khilate hain
magar is zamane ke muslim numa murtadin yaani
deobandi, wahabi in paak majlison ko bid'at keh kar
rokte hain chunanche punjab ke aksar ilaqe mein ye
rasmein bilkul band kar di gayi hain.

Rajab mein 27 tarikh ko musalman eid merajunnabi


ki taqreeb mein jalse karte hain jisko rajabi shareef
kehte hain usey kuffar rokte hain shabe baraat yaani
15wi sha'aban ko musalman bachhe is qadr aatishbazi
chalate hain ke rasta chalna mushkil hota hai aur bahut
Islami Zindagi 79

jagah usse aag lag jati hai.

Ramzan shareef mein baaz be ghairat musalman


rozadaron ke samne aur sare bazar khate peete hain
balki roti ki dukanon mein bhi parda daal kar khana
khate hain, eid aur baqar eid ke din eid ki namaz padh
kar saara din khel kood mein guzarte hain aur
shaharon mein in dinon mein eid, baqar eid ki khushi
mein cinema ke 4-4 show hote hain, cinema haal
musalmanon se khacha khach bhare rehte hain aur
jinki nayi shadi ho wo pehli eid zarur susral mein karte
hain aur jin ladkiyon ki mangni ho gayi hai unke ghar
se dulhan ke ghar jode jana zaruri hai.

In rasmon ki kharabiyan
Muharram ka mahina nihayat mubarak mahina hai
khaas kar aashura ka din bahut hi mubarak hai ke 10wi
muharram jumu'ah ke din Hazrat Nooh alaihissalam
kashti se zameen par tashreef laaye aur isi tarikh aur isi
din hazrat moosa alaihissalam ne firaun se najaat paayi
aur firaun garq hua isi din aur isi tarikh mein
sayyadushshuhda imaam husain radiallaho ta'ala anhu
ne karbala ke maidan mein shahadat paayi aur isi
jumu'ah ka din aur ghaaliban 10wi muharram ko
qiyamat aayegi garz ke jumu'ah ka din aur 10wi
muharram bahut mubarak din hai. Islam mein sabse
Islami Zindagi 80

pehle sirf aashura ka roza farz hua phir ramzan shareef


ke rozon se us roze ki farziyat to mansookh ho gayi
magar us din ka roza ab bhi sunnat hai lihaza un dinon
mein jis tarah nek kaam karne ka sawab zyada hai usi
tarah gunah karne ka azaab bhi zyada. Taziyadari aur
alam nikaalna, koodna, nachna ye wo kaam hain jo
yazeedi logon ne kiye the ke imaam husain wa deegar
shuhda e karbala radiallaho ta'ala anhum ajmaen ke sar
nezon par rakh kar unke aage koodte, nachte,
khushiyan manate huye karbala se koofa aur koofa se
damishq yazeed paleed ke paas le gaye baaqi ahle bayt
ne na kabhi tajiyadari ki aur na alam nikale, na seene
koote, na maatam kiye lihaza aey musalmanon un
mubarak dinon mein ye kaam hargiz na karo warna
sakht gunahgar hoge khud bhi un julooson aur
maatam mein shareek na ho aur apne bacchon,
beewiyon aur doston ko bhi roko. Rafziyon ki majlis
mein hargiz shirkat na karo balki khud apni sunniyon
ki majlisein karo jismein shahadat ke sachhe waqiyat
bayan ho. Aakhiri chahar shamba (wednesday) maahe
safar ke muta'alliq jo riwayat mashhoor hai ke Huzoor
alaihissalam ne is tarikh mein ghusl e sehat farmaya wo
mehaz ghalat hai 27 safar ko marz shareef yaani dard e
sar aur bukhar shuru hua aur 12wi rabiul awwal do
shamba (monday) ke din wafat ho gayi darmiyan mein
sehat na huyi, fatiha aur qur'an khwani jab bhi karo
harj nahin magar gharhe, bartan phodna maal ko
Islami Zindagi 81

barbad karna hai jo haraam hai. Rabiul awwal mein


mahfile meelad shareef aur rabiussani mein majlise
11wi shareef bahut majlisein hain inko band karna
bahut nadani hain. Tafseer ruhul bayan mein hai ke
mahfile meelad shareef ki barkat saal bhar tak ghar
mein rehti hai iske liye humari kitab "Ja Al Haq"
dekho. In majlison ki wajah se musalmanon ko nasihat
karne ka mauqa mil jata hai aur musalmanon mein
Huzoor alaihissalam ki muhabbat paida hoti hai jo
imaan ki buniyad hai bukhari shareef mein hai ke abu
laheb ne huzoor alaihissalatu wassalam ke paida hone
ki khushi mein apni laundi sobiya ko aazad kiya tha
uske marne ke baad usko kisi ne khwab mein dekha
puchha tera haal kya hai? Kaha haal to bahut kharab
hai magar peer (monday) ke din azaab mein kami ho
jaati hai kyun ke main ne huzoor alaihissalatu
wassalam ke paida hone ki khushi ki thi. Jab kafir abu
laheb ko huzoor alaihissalatu wassalam ki paidaish ki
khushi ka kuchh na kuchh fayda mil gaya to musalman
agar uski khushi manaye to zarur sawab payega lekin
ye khyaal rahe ke jawan aurat ki aawaz ka ghair mardon
se parda hai. Isi tarah rabiul awwal mein juloos
nikaalna bahut mubarak kaam hai jab Huzoor
alaihissalam madeena munawwara mein hijrat karke
tashreef laaye to madeena paak ke jawan wa bachhe
vahan ke bazaron, kuchon aur galiyon mein ya
rasoolullah ke naare lagate phirte the aur juloos nikale
Islami Zindagi 82

gaye the. (muslim)


Aur is juloos ke zariye se wo kuffar aur dusri qaumein
bhi huzoor sallallaho alaihi wasallam ke mubarak halat
sun lengi jo islami jalson mein nahin aate unke dilon
mein islam ki haibat aur bani e islam alaihissalam ki
izzat paida hogi magar juloos ke aage baaja waghairah
ka hona ya sath mein auraton ka jana haraam hai.

Rajab shareef :
Is mahine ki 22 tarikh ko UP mein kunde hote hain
yaani naye kunde mangaye jate hain aur sawa paav
maida, sawa paav shakar, sawa paaw ghi ki puriyan
banakar Hazrat Imaam Ja'afar Sadiq radiallaho ta'ala
anhu ki fatiha karte hain is rasm mein sirf do
kharabiyan paida kar di gayi hain ek to ye ke fatiha
dilane walo ka aqeeda ye ho gaya hai agar fatiha ke
awwal lakdi wale ka qissa na padha jaye to fatiha na
hogi aur ye puriyan ghar se bahar nahin ja sakti aur
baghair naye kunde ke ye fatiha nahin ho sakti ye saare
khyaal ghalat hain fatiha kunde par aur har bartan
mein ho jayegi agar sirf zyada safai ke liye naye kunde
manga lein to harj nahin. Dusri fatiha ke khanon ki
tarah usko bhi bahar bheja ja sakta hai. Rajabi shareef
bhi haqeeqat mein huzoor sallallaho alaihi wasallam ki
meraj ki khushi hai ismein koi harj nahin magar ismein
bhi jawan auraton ko gazalein buland aawaz se padhna
Islami Zindagi 83

ke jis se bahar aawaz pahunche haraam hai.

Shabe baraat :
Shabe baraat ki raat bahut mubarak hai is raat mein
saal bhar mein hone wale saare intezamaat firishton ke
sipurd kar diye jate hain ke is saal mein fulan fulan ki
maut hai, fulan fulan jagah itna paani barsaya jayega,
fulan ko maaldar aur fulan ko gharib banaya jayega aur
jo is raat mein ibadat karte hain unko azaabe ilaahi se
chhutkara yaani rihayi milti hai isliye is raat ka naam
shabe baraat, arabi mein baraat ke maani rihayi aur
chhutkara hain yaani ye raat rihayi ki raat hai.
Qur'an karim farmata hai:

"Ismein baa'nt diya jata hai har hikmat wala


kaam". (surah dukhaan aayat 4)
Is raat ko zam zam ke kunwein mein paani badhaya
jata hai, is raat haq ta'ala ki rehmatein bahut zyada
utarti hai. (tafseer ruhul bayan surah dukhaan)

Is raat ko gunah mein guzaarna badi mehroomi ki baat


hai, aatishbazi ke muta'alliq mashhoor ye hai ke
namrood badshah ne ijaad ki jab ke usne Hazrat
Ibrahim alaihissalam ko aag mein daala aur aag gulzar
ho gayi to uske aadmiyon ne aag ke anaar bhar kar
unmein aag laga kar hazrat khalilullah alaihissalam ki
taraf phenke. Kathiyawad mein hindu log holi aur
Islami Zindagi 84

deewali ke mauqe par aatishbazi chalate hain


hindustan mein ye rasm musalmanon ne hinduo se
sikhi magar afsos ke hindu to isko chhod chuke hai
magar musalmanon ke lakhon rupye saalana is rasm
mein barbad ho jate hain aur har saal khabarein aati
hain ke fulan jagah itne ghar aatishbazi se jal gaye aur
itne aadmi jal kar mar gaye. Ismein jaan ka khatra aur
maal ki barbadi, makanon mein aag lagne ka andesha
hai, apne maal mein apne hath se aag lagana aur phir
khuda e ta'ala ki nafarmani ka wabaal sar par daalna
hai. Khuda ke liye is behuda aur haraam kaam se
bacho, apne bachhon aur qarabatdaron ko roko jahan
aawara bachhe ye khel khel rahe ho vahan tamasha
dekhne ke liye bhi na jao. Aatishbazi banana, iska
bechna, iska kharidna aur kharidwana, iska chalana ya
chalwana sab haraam hai.

Ramzan shareef :
Ramzan shareef mein din ko sabke samne khana peena
sakht gunah aur behayai hai pehle zamane mein hindu
aur dusre kuffar bhi ramzan mein bazaron mein khane
peene se bachte the ke ye musalmanon ke rozon ka
zamana hai magar jab musalmanon ne khud hi is
mahine ka adab chhod diya to dusron ki shikayat kya
hai.
Islami Zindagi 85

Eid, Baqar Eid :


Eid, Baqar Eid bhi ibadat ke din hain unmein bhi
musalman gunah aur behayai karte hain agar
musalman qaum hisab lagaye to hindustan mein
hazarha rupya rozana cinemas, theaters aur dusri
ayyashi mein kharch ho raha hai agar qaum ka ye rupya
bach jaye aur kisi qaumi kaam mein kharch ho to
qaum ke gharib log pal jayein aur musalmanon ke din
badal jayein gharz ke un dinon mein ye kaam sakht
gunah hain.

In dinon mein islami rasmein


In mahinon mein kya kaam karna chahiye ye to hum
insha Allah is kitab ke aakhir mein arz karenge kuchh
zaruri baatein yahan batate hain. Muharram ki 10wi
tarikh ko haleem (khichda) pakana bahut behtar hai
kyun ke jab hazrat nooh alaihissalam is din apni kashti
se zameen par aaye to koi ghalla na raha tha kashti walo
ke paas jo kuchh ghalle ke daane the wo sab mila kar
pakaye gaye. (tafseer ruhul bayan para 12 aayat qissa nooh)
Aur hadees shareef mein aaya hai ke "Jo koi aashura ke
din apne ghar khane mein wus'at kare yaani khub
pakaye aur khilaye to saal bhar uske ghar mein barkat
rahegi. (shaami)
Aur khichda (haleem) mein har khana padta hai lihaza
ummid hai ke har khane mein saal bhar tak barkat
Islami Zindagi 86

rahegi. Sadqa wa khairat kare, apne ghar aur muhalle


mein zikre shahadat Imaam Husain radiallaho ta'ala
anhu ki majlis kare jismein agar rona aaye to aansuo se
roye, kapde phadna, munh pitna, sog karna haraam
hai. Rafziyon ki majlison mein hargiz na jao ke vahan
tabarra hota hai yaani sahaba e kiraam ko gaaliyan dete
hain. Rabiul awwal mein mahina bhar tak jab chaho
mahfil e meelad shareef karo magar iske padhne wale
ya to mard ho ya chhoti ladkiyan aur agar ladkiyan ya
auratein padhein to itni nichi aawaz se riwayatein
padhein ke unki aawaz bahar na jaye aur mehfil e
meelad shareef mein roza, namaz aur parde waghairah
ke ahkaam bhi sunaye jayein taaki na'at shareef ke sath
ahkaam e islam ki bhi tablig ho aur jis qadr khushi
manao, attar malo, gulab chhidko, haar phool daalo
bahut sawab hai. Huzoor alaihissalam ki paidaish Allah
ki rehmat hai aur Allah ki rehmat par khushi manana
qur'an e karim ka hukm hai qur'an shareef farmata hai:
"Tum farmao Allah hi ke fazl aur usi ki rehmat
aur usi par chahiye ke khushi karein".
(surah yunus aayat 58)
Balki har khushi wa gham ke mauqe par meelad
shareef karo, shadi byaah, maut, bimari har waqt unke
geet gao kyun ke:
unke nisar koi kaise hi ranj mein ho
jab yaad aa gaye hain sab gham bhula diye hain
Islami Zindagi 87

Rajab ke mahine mein 22 tarikh ko kundon ki rasm


bahut achhi aur barkat wali hai magar ismein se ye qaid
nikaal do ke fatiha ki cheez bahar na jaye aur lakdi wale
ka qissa zarur padha jaye.
Shabe baraat mein raat bhar jaago, qabron ki ziyarat
karo, raat bhar nafil padho, halwe par fatiha padh kar
khairat karo aur baaqi iske ahkaam aakhir mein likhe
jayenge.
Ramzan shareef mein jo koi kisi uzr ki wajah se roza na
rakhe wo bhi kisi ke samne na khaye piye. Chaar wajah
se roza maaf hai aurat ko haiz ya nifaas aana, aisi bimari
jis mein wo roza nuqsan kare, safar magar in sab
sooraton mein qaza karni padegi.

27wi ramzan ghaaliban shabe qadr hai is raat ko ho


sake to saari raat ko jaag kar ibadat karo warna sehari
kha kar phir na so'o, subah tak qur'an majeed aur nafil
padho. Ramzan shareef mein har nek kaam ka sawab
70 guna milta hai isliye poora maah e ramzan qur'an
majeed tilawat aur nawafil padhne aur sadqa wa
khairat mein guzaar do

Eid ke din achhe kapde pahanna, ghusl karna,


khushbu malna sunnat hai, ek dusre ko mubarakbad
do, agar tumhare paas 56 rupye naqad (cash) ya is
qimat ka koi tijarati maal ya 52.5 tole chandi ya 7.5
tole sona hai aur qarz waghairah nahin hai to apni taraf
Islami Zindagi 88

se apne chhote bachhon ki taraf se fitra ada karo, fitra


khwah ramzan mein de do ya eid ki namaz se pehle eid
ke din de do, fitra ek shakhs ki taraf se 175 rupye
athanni bhar gehu ya is se duguna jau ya uski qimat ka
baajra, chawal waghairah hai phir kuchh khurme
khakar eidgah ko jao, raste mein aahista aahista takbeer
kehte jao ek raste se wapas aao dusre raste se.

Baqar eid ke din ye kaam karo: ghusl karna, kapde


badalna, khushbu lagana magar is din baghair kuchh
khaye eidgah ko jao, raste mein buland aawaz se
takbeer kehte huye jao aur agar tumhare paas itna maal
hai jo fitre ke liye bayan kiya gaya to baad namaz ke
apni taraf se qurbani kar do. Yaad rakho ke saal bhar
mein 5 din roza rakhna mana hai ek eidul fitr ka aur
chaar din baqar eid ke yaani 10wi, 11wi, 12wi, 13wi
baaqi ahkaam ke liye bahare shariyat dekho. Fuzool
kharchiyon ko band karo aur isse jo paisa bache usse
apne qarabatdaron aur muhalle walo, yateem khatoon
aur deeni madarson ki madad karna chahiye yaqeen se
jaano ke muslim qaum ki eid jab hi hogi jab saari qaum
khushhaal, hunarmand aur parhezgar ho. Agar tum ne
apne bachhon ko eid ke din kapdon se laad diya lekin
tumhari muslim qaum ke gharib bachhe us din dar
badar bheek mangte phire to samajh lo ke ye eid qaum
ki nahin. Haq ta'ala muslim qaum ko sachhi eid naseeb
farmaye aameen.
Islami Zindagi 89

Baab (6): Naya fashion aur parda

Naye padhe likhe logon ne musalmanon ki maujooda


pasti aur unki beemariyon ka ilaaj ye socha hai ke
musalman angrezi chaal chalan mein apne aap ko fana
kar daale is tarah ke mard to apni dadhiya mundwa
dein, munchhe lambi karein, nekar (janghiya) coat
patloon, hat (cap) istemal karein, namaz ko khairbad
keh dein aur apne ko aisa zahir karein ki ye kisi angrez
ke farzand hain aur auraton ko ghar se bahar nikalein,
parda tod dein, apni beewiyon ko sath lekar bazaron,
company, baaghon aur tafreehgahon mein ghoomte
phire, raat ko begum ko lekar cinema jayein, balki
college aur schoolon mein ladke ladkiyan ek sath baith
kar taleem hasil karein, mard aur auratein mil kar tenis,
hockey waghairah khelein. Ye bhoot in aqalmandon
par aisa sawar hua hai ki jo unko samjhata hai uske ye
dushman ho jaate hain usko mulla ya masjid ka lota ya
purani type ka budhdha keh kar uska mazaq uda kar
rakh dete hain. Akhbaron aur risalon mein barabar
parda ke khilaf mazameen chhap rahe hain, qur'ani
aayaton aur ahadeese shareefa ko kheench taan kar
parda ke khilaf chaspa kiya ja raha hai mein to ab tak
na samajh saka ki in harkaton se muslim qaum taraqqi
kyunkar kar sakegi? Aur jin sahibon ne apne gharon
mein paris aur london ka namoona paida kiya hai
Islami Zindagi 90

unhone ab tak kitne mulk jeete aur unhone


musalmanon ko apni zaat se kya fayde pahunchaye.
Hum is baab ki do fasalein karte hain pehli fasl mein
naye fashion ki kharabiyan aur dusri fasl mein pardon
ke fayde aur be pardagi ke naqli aur aqali nuqsanaat
bayan karenge. Haq ta'ala apne fazlon karam se qabool
farmaye aur musalmanon ko amal ki taufeeq de.

Fasl (1): Naye fashion ki kharabiyan


Qur'an e kareem farmata hai,
"Aey imaan walo! Islam mein poore poore
dakhil ho jao". (soorah baqra, aayat 208)
Insaan ko qudrat ne do qism ke aaza diye hain ek zahiri
aur doosre chhipe huye zahiri azw to soorat, chehra,
aankh, naak, kaan waghairah hain aur chhipe huye azw
dil, dimag, jigar waghairah. Musalman kaamil imaan
wala jab ho sakta hai ke soorat mein bhi musalman ho
aur dil se bhi yaani islam ka us par aisa rang chadhe ki
soorat aur seerat donon ko rang de, dil mein Allah
ta'ala aur rasoolullah sallallaho alaihi wasallam ki ita'at
ka jazba mauzein maar raha ho, usmein imaan ki
shama jal rahi ho aur soorat aisi ho jo Allah ke
mehboob rasoolullah sallallaho alaihi wasallam ko
pasand thi yaani musalman ki si agar dil mein imaan
hai aur soorat bhagwan daas jaisi ho to samajh lo ki
islam mein poore poore dakhil na huye, seerat bhi
Islami Zindagi 91

achchi banao aur soorat bhi.


Ghaur se suno! Hazrat Mugeera bin shaiba jo ki sahabi
e rasool hain ek baar unki munchhe kuchh barh gai thi
huzoor sallallaho alaihi wasallam ne farmaya ki aey
Mugeera! Tumhari munchhe barh gai kaat lo unhone
khyaal kiya ki ghar jakar kainchi se kaat dunga magar
sarkar ka farman hua ki humari miswak lo us par bade
huye baal rakh kar chhuri se kaat do yaani itni bhi
muhlat na di ki ghar jakar kainchi se kaatein nahi yahin
kaat do jisse maloom hua ki badi munchhe huzoor
alaihissalatu wassalam ko napasand thi. Dunya mein
hazaron paigambar tashreef laaye magar kisi nabi ne na
dadhi munda'e aur na munchhe rakhi lihaza dadhi
fitrat yaani sunnate ambiya alaihimussalam hai.
Hadees e paak mein hai 'dadhiyan badao aur
munchhe past karo aur mushrekeen ki
mukhalifat karo'.
Iske alawa bahut si naqli (riwayatein) daleelein di ja
sakti hain magar humare naye taleem yafta log naqli
dalael ke muqable aqali baaton ko zyada mante hain
goya gulaab ke phool ke muqable mein gende ke phool
unko zyada pyare hain isliye aqali baatein bhi arz karta
hoon suno! Islami shakl aur islami libas mein itne
fayde hain:
1) government ne hazaron mohkame bana diye hain
railway, daak khana, police, fauj aur kachhari
Islami Zindagi 92

waghairah aur har mohkame ke liye wardi (dress)


alahida alahida muqarrar kar di ki agar laakhon
aadmiyon mein kisi mehkame ka aadmi khada ho to
saaf pahchan mein aa jata hai. Agar koi sarkari naukar
apni duty ke waqt apni wardi (dress) mein na ho to us
par jurmana hota hai agar baar baar kehne par na mane
to barkhast (suspend) kar diya jata hai isi tarah hum
bhi muhkame islam aur saltanate mustafwi aur
hukoomate ilaahiya ke naukar hain humare liye
alahida shakl muqarrar kar di ki agar laakhon kafiron
ke beech khade ho to pahchan liye jayein ki mustafa
alaihissalam ka wo gulam hai agar hum ne apni wardi
(dress) chhod di to hum bhi saza ke mustahiq honge.

2) qudrat ne insaan ki zahiri soorat aur dil mein aisa


rishta rakha hai ki har ek ka doosre par asar padta hai
agar aapka dil ghamgeen hai to chehre par udasi chha
jaati hai aur dekhne wala keh deta hai ki khair to hai
chehra kyun udaas hai? Dil mein khushi hai to chehra
bhi surkh wa safed ho jaata hai maloom hua ke dil ka
asar chehre par hota hai. Isi tarah agar kisi ko dil ki
beemari hai to hakeem kehte hain ke usko achhi hawa
mein rakho, achhe aur saaf kapde pehnao, usko fulan
dawa ke paani se ghusl do kahiye bimari to dil mein
hai ye zahiri jism ka ilaaj kyun ho raha hai? Isliye ki
agar zahir achha hoga to andar bhi achha ho jayega.
Tandurust aadmi ko chahiye ki rozana ghusl kare, saaf
Islami Zindagi 93

kapde pehne, saaf ghar mein rahe to tandurust rahega


isi tarah ghiza ka asar bhi dil par padta hai. Suar (pig)
khana shariyat ne isiliye haraam farma diya ke isse be
ghairati paida hoti hai kyunki suar be ghairat janwar
hai aur suar khane wali qaumein bhi be ghairat hoti
hain jiska tajurba ho raha hai (suar khane se hi jaan
lewa bimari swine flu hoti hai). Agar cheete ya sher ki
charbi khai jaye to dil mein sakhti aur barbariyat paida
hoti hai, cheete aur sher ki khaal par baithna isiliye
mana hai ke isse ghuroor paida hota hai garze ki manna
padega ki giza aur libas ka asar dil par padta hai to agar
kafiron ki tarah libas pehna gaya ya kuffar ki si soorat
banai gai to yaqeenan dil mein kafiron se muhabbat
aur musalmanon se nafrat paida ho jayegi garze ki
aakhir mein ye bimari muhlik sabit hogi isiliye hadeese
paak mein aaya hai,
'jo kisi doosri qaum se mushaahabat paida kare
wo un mein se hai'.
Khulasa ye hai ke musalmanon ki si soorat banao taaki
musalmanon hi ki tarah seerat paida ho.

3) hindustan mein aksar hindu muslim fasaad hota


rehta hai aur bahut jagah sun ne mein aaya ke fasaad
ki halat mein baaz musalman musalmanon ke hathon
maare gaye kyun ke pehchane na gaye ke ye musalman
hai ya hindu, chunanche teesre saal jo Bareilly aur
Islami Zindagi 94

Pilibheet mein hindu muslim fasaad hua us jagah se


khabarein aai ki bahut se musalmanon ko khud
musalmanon ne hindu samajh kar fana kar diya ye is
naye fashion ki barkatein hain. Mere waliye nemat
murshide barhaq Hazrat Sadrul Afazil Maulana
Muhammad Naimuddin sahab qibla (rahmatullah
alaihi) ne farmaya ke ek dafa hum rail (train) mein
safar kar rahe the ke ek station se ek sahab sawaar huye
jo ba zahir hindu maloom hote the gaadi mein jagah
tang thi ek lalaji se unka jagah lene ke liye jhagda ho
gaya lalaji ke sathi zyada the isliye lalaji ne un hazrat
ko khoob pita musalman musafir bich bachao mein
zyada na pade kyun ke samajhte the ke hindu aapas
mein lad rahe hain humara zyada zor dena khilafe
maslehat hai. Bechare shaamat ke maare pit kat kar ek
taraf khade ho gaye jab agle station par utare to unhone
kaha 'assalamualaikum' tab maloom hua ke ye hazrat
musalman hain tab hum ne afsos kiya aur unse arz kiya
ke hazrat aapke fashion ne aapko us waqt pitwaya.

Main jab kabhi bazar waghairah jaata hoon to sochta


hoon ki salam kise karu maloom nahi ke hindu kaun
hai aur musalman kaun? Bahut dafa kisi ko kaha
'assalamualaikum' unhone kaha 'bandagi sahab' hum
sharminda ho gaye. Mera irada ye hota hai ke jahan tak
ho sake musalman ki dukaan se cheez kharidu
Magar dukandar ki shakl aisi hoti hai ke pahchan nahi
Islami Zindagi 95

hoti ke ye kaun hain agar dukaan par koi board laga


hai jisse naam maloom ho gaya ke yah musalman ki
dukaan hai to khair warna bahut dushwari hoti hai
gharz ke musalmanon ko chahiye ki shakl aur libas
mein kuffar se alahida rahein.

4) kisi ko nahin maloom ke uski maut kahan hogi agar


hum pardes mein mar gaye jahan humari jaan pehchan
wala koi na ho to sakht mushkil darpesh hogi, log
pareshan honge ke inko dafan karein ya aag mein jala
dein kyun ke soorat se pahchan na padegi. Chunanche
chand saal peshtar (pehle) aligarh ke ek sahab ka rail
(train) mein inteqal ho gaya khabar hone par raat mein
laash utaar li gai magar ab ye fikr hui ki ye hai kaun
hindu ya musalman? Inko supurde khaak karein ya aag
mein dalein aakhir unka khatna dekha gaya tab pata
laga ke ye musalman hain. Khulasa ye hai ke kuffar ki
si shakl aur unka libas zindagi mein bhi khatarnak hai
aur marne ke baad bhi.

5) zameen mein jab beej boya jaata hai to awwalan ek


seedhi si shaakh hi nikalti hai phir aakar har taraf
phailti hai phir usmein phal nikalte hain agar koi
shakhs uski charon taraf ki shakhon aur patton ko kaat
daale to phal nahin nikal sakta isi tarah kalma e tayyiba
ek beej hai jo musalman ke dil mein boya jaata hai phir
soorat aur hath, panv, aankh, naak ki tarah us darakht
Islami Zindagi 96

ki shakhein chali ki is kalma ne musalman ki aankh ko


ghair sooraton se alahida kar diya, hath ko haraam
cheezon ke chhoone se rok diya, soorat par imaani
aasar paida kar diye, kaan ko gheebat sun ne aur
zubaan ko jhoot bolne aur gheebat karne se roka. Jo
shakhs dil se musalman to ho magar kafiron ki si soorat
banaye apne hath, panv, zubaan, aankh, naak, kaan ko
haraam kaamon se na roke wo usi shakhs ki tarah hoga
jo aam (mango) ke beej bo de aur uski tamam shakhein
waghairah kaat daale jis tarah vo bewakoof phal se
mehroom rahega usi tarah ye musalman islam ke
phalon se mehroom rahega.

6) pakka rang wo hota hai jo kisi paani ya dhobi se na


chhoote aur kachcha rang wo jo chhoot jaye. To aey
musalmanon! Tum Allah ke rang mein range huye ho:
"Hum ne Allah ka rang liya aur Allah ke rang se
behtar kiska rang".(soorah baqra, aayat 138)
Agar tum kuffar ko dekh kar apne rang ko kho baitho
to jaan lo ke tumhara rang kachcha tha agar pakka rang
hota to auron (doosron) ko rang aate.

Musalmanon ke uzr
Hum musalmanon ke wo uzr bhi pesh kar dein jo ke
wo bayan karte hain aur jisse apni majbooriyon ka
izhaar karte hain:
Islami Zindagi 97

Uzr (1):
Khuda dil ko dekhta hai shakl ko nahin dekhta dil saaf
chahiye.
Hadees mein hai: 'beshak Allah tumhari
sooratein nahin dekhta balki wo tumhare dil
dekhta hai'.
Ye uzr padhe likhe musalman karte hain.

Jawab:
achha sahab! Agar zahir ka koi aetbar nahin dil ka
aetbar hai to aap mere ghar khana khao ya sharbat piyo
aur mein nihayat umda badam ka sharbat ya umda
biryani khila du pila du magar gilaas ya raqabi mein
upar ki taraf khoob achchi tarah gandagi paleedi
(napak cheez) laga du aap us bartan mein kha loge?
Hargiz nahin kyun janab! Bartan ka kya aetbar uske
andar ki cheez to achchi hai. Jab tum bure bartan mein
achchi giza nahin khate pite to rab ta'ala tumhari buri
sooraton ke sath achche aamaal kyunkar qubool
farmayega? Agar qur'an shareef padho to lutf jab hai ke
munh mein qur'an shareef ho aur soorat par uska amal
ho agar tumhare munh mein qur'an hai aur soorat
qur'an shareef ke khilaaf to goya apne amal se tum
khud jhoote ho. Badshah ke aane ke liye ghar aur
darwaza to saaf karo kyun ke badshah darwaze se
aayega aur ghar mein baithega isi tarah qur'an shareef
Islami Zindagi 98

ke liye dil aur soorat donon sambhalo. Hadees ke


maana ye hain ke Allah ta'ala sirf tumhari sooraton ko
nahin dekhta balki sooraton ke sath dil ko bhi dekhta
hai agar iska ye matlab hota jo tum samajhte ho to phir
sar par choti, kaan mein janewa aur paanv mein dhoti
baandh kar namaz padhna jaaiz hona chahiye tha
halanki fuqha farmate hain ke choti rakhna, zunnar
bandhna kufr hai.

Uzr (2):
Islami shakl se humari izzat nahin hoti jab hum angrezi
libas mein hote hain to humari izzat hoti hai kyunki
wo taraqqi yafta qaum ka libas hai.

Jawab:
aadmi ki izzat libas se nahin balki libas ki izzat aadmi
se hai agar tumhare andar koi jauhar hai ya agar tum
izzat aur taraqqi wali qaum ke fard ho to tumhari har
tarah izzat hogi koi bhi libas pehno agar in cheezon se
khaali ho to koi libas pehno izzat nahin hogi. Abhi
kuch din pehle gandhi aur uske doosre sathi 'gol mez
conference' mein shareek hone ke liye london gaye jab
khaas parliament ke daftar pahunche to mr. Gandhi
usi choti aur usi langoti mein the jo unka apna qaumi
libas hai.
Subhash chandra bose ne ek baar london ka safar kiya
Islami Zindagi 99

to apni gaay aur apni dhotiya, lotiya apne sath le gaye


kehiye kya us libas se unki izzat ghat gai. Aaj
musalmanon ke siwa tamam qaumein sikh, hindu
balki kathiyawad mein bohre aur khoza humesha apne
qaumi libas mein rehte hain sikh ke munh par dadhi,
sar par baal, hath mein lohe ka kada har jagah rehta hai
kyun sahab kya wo dunya mein zaleel hai sach ye hai
jo unki is libas mein izzat hai wo tumhare suit boot
mein nahi. Doston! Agar izzat chahte ho to sachche
musalman bano aur apni muslim qaum ko taraqqi do
aur dekha to ye jaata hai ke jab se musalmanon ne
ghairon ka libas pehanna shuru kar diya hai unki zillat
aur pitai mein aur izafa hi hua hai izzat milna to door
ki baat hai kyun ke ab dushmanane islam musalmanon
se darte hi nahin wo samajhte hain ke unko apne libas
se zyada humara libas pasand hai, ye apni qaumiyat
kho kar humare andar zam ho jana (mil jana) chahte
hain to inko achchi tarah murgha banao lihaza
musalamanon ko ab se hosh mein aa jana aur apni alag
shanakht (pehchan) banana chahiye. Musalman
dusron ko apne mein milane ke liye paida hua hai na
ke dusron mein milne ke liye. Aaj saari qaumein yehi
chahti hain ke dusron ko apne mein milaye magar
musalman dusron mein milne ko pasand karta hai to
bhala dusron ko apne mein kya milayega aur sachche
islam ki daawat kaise dega! Musalman pehle khud
sachcha ho, apne deen ka paband ho to saari duniya
Islami Zindagi 100

khud qareeb hogi aur izzat karti nazar aayegi.

Uzr (3):
Aakhir dadhi mein kya fayda hai ke maulvi iske itne
peechhe pade hain?

Jawab:
dadhi aur tamam islami libas ki khoobiyan hum bayan
kar chuke hain ab bhi arz karte hain ke islam ke har
kaam mein sadaha (saikdon) hikmatein hain, suno!
Miswak sunnat hain ismein bahut fayde hain daanton
ko mazboot karti hai, masoodhon ko faydemand hai,
munh ko saaf karti hai, ganda dehani (munh) ki bimari
ko door karti hai, meda ko durust karti hai yaani khana
haazm karti hai, aankhon ki roshani badhati hai,
zubaan mein quwwat paida karti hai, daanton ko saaf
rakhti hai, jankani (dam nikalne ka waqt) ko aasan kart
hai, balgum ko kaat'ty hai, pitt door karti hai, sar ki
ragon ko mazboot karti hai, maut ke waqt kalma yaad
dilati hai garz ke iske fayde 36 hain dekho shami aur
tib ki kitabein.

Isi tarah khatna 150 beemariyon ke liye faydemand


hain baah ko qawi karta hai, insaan ki quwwate
mardangi ko badhata hai, us jagah mail (gandagi)
waghairah jama nahin hone deta (jaraseem se bachata
Islami Zindagi 101

hai), tandurust aulad paida karta hai, khatna wale ki


aurat kisi aur ki taraf ragbat nahin karti baaz bimariyon
mein doctor ghair muslimon ke bachchon ka bhi
khatna kara dete hain.

Nakhun mein ek zehreela maadda hota hai agar


nakhun khane ya paani mein dubo diye jayein to wo
khana bimari paida karta hai isiliye angrez waghairah
chhuri kaante se khana khate hain kyun ke isaiyon ke
yahan nakhun bahut kam katwate hain aur purane
zamane ke log wo paani nahin peete the jismein
nakhun dub jayein magar islam ne iska ye intezam
farmaya ke nakhun katwane ka hukm diya aur chhuri
kaante ki musibat se bacha liya. Isi tarah munchhon ke
baalon mein zehreela maadda maujood hain agar
munchhe badi badi ho aur paani peete waqt paani
mein dub jayein to paani sehat ke liye nuqsaan deh
hoga isiliye ab maujooda fashion ke log munchh
mundwane lage hain islam ne (pehle hi) ye intezam
farma diya ke munchhe kaat ne ka hukm de diya kyun
ke munchhe mundwane se namardi paida hoti hai.

Dadhi ke bahut faide hain:


Fayda (1) : dadhi mard ke chehre ki zeenat hai aur
munh ka noor jaise aurat ke liye sar ke baal ya insaan
ke liye aankh ki palak aur bhawein zeenat hain usi
Islami Zindagi 102

tarah mard ke liye dadhi. Agar aurat apne sar ke baal


mundwa de to buri maloom hogi ya koi aadmi apni
bhawein (baraute) aur chikein saaf kara de to wo bura
maloom hoga usi tarah mard dadhi mundwane se bura
maloom hota hai.

Fayda (2) : dadhi mard ko bahut se gunahon se rokti


hai kyun ke dadhi se mard par buzurgi aa jaati hai usko
bure kaam karte huye ye ghairat hoti hai ki agar koi
dekh lega to kahega ke aisi dadhi aur tere aise kaam!
Dadhi ki bhi tujh ko laaj na aai is khyaal se wo bahut
si chhichhori baaton aur khullam khulla bure kaam se
bach jata hai, ye aazmaish hai ke namaz aur dadhi
bifazlihi ta'ala buraiyon se rokti hai.

Fayda (3) : dadhi ke baalon se quwwate mardangi


badhti hai ek hakeem sahab ke paas ek namard aaya
jisne shikayat ki ke maine apni kamzori ka bahut ilaaj
kiya kuchh fayda na hua unhone farmaya ke dadhi
rakh le ye uska aakhiri aur teer behadaf nuskha hai.
Phir farmane lage ke qudrat ne insaan ke baaz uzwo ka
baaz se rishta rakha hai upar ke daant aur dadhon ka
aankhon se ta'alluq hai agar koi shakhs upar ki dadhein
nikalwa de to uski aankhein kharab ho jaati hain,
paanv ke talwon ka bhi aankhon se ta'alluq hai ke agar
aankhon mein garmi ho to talwon ki malish ki jaati
hai, agar neend na aaye to paanv ke talwon mein
Islami Zindagi 103

namak aur ghi ki malish neend lati hai isi tarah dadhi
ka ta'alluq khaas mard ki quwwaton aur mani se hai isi
wajah se aurat ko dadhi nahin hoti aur nabalig bachcha
jismein mani ka maadda nahin hota aur hijda
(namard) yaani zanaana ke dadhi nahin hoti balki agar
kisi mard ko dadhi ho aur uske phote (khusiya) nikaal
diye jayein to dadhi khud ba khud jhad jayegi jisse
maloom hota hai ke aam logon mein jo mashhoor hai
ke maulviyon ki aulad bahut zyada hoti hai aur maulvi
ki beewi aawara nahin hoti iski wajah dadhi hi hai aur
naaf ke neeche ke baal quwwate mardangi ke liye
nuqsaan deh hain isiliye shariyat ne unke saaf karne ka
hukm diya hai agar ho sake to 8ve roz warna 15ve ya
20ve din zarur astura le garze ke sunnat ke har kaam
mein hikmatein hain.

Humne ek kitab likhi 'Anwarul Quran' jismein namaz


ki rak'atein, wujoo, ghusl aur tamam islami kaamon ki
hikmatein bayan ki hain hatta ke ye bhi usmein bataya
gaya hai ke jo sazayein islam ne muqarrar farmai hain
maslan chori ki saza hath kaatna, zina ki saza rajm
karna usmein kya hikmatein hain neez hum ne apne
'Tafseere Naimi' mein islami ahkaam ke fawaed achhi
tarah bayan kar diye uska mutala (study) karo.
Munchh ke baal bhi quwwate mardangi ke liye
faydemand hain magar unki nok mein zehreela asar hai
isliye unko kaat to do magar bilkul na mundo.
Islami Zindagi 104

Uzr (4):
Aaj duniya mein har jagah dadhi mundo ki hi
badshahat hai, maal wa daulat aur hukoomat unhi ki
hai jisse maloom hota hai ke ye barkat wali cheez hai
(musalman ye mazaq mein kahte hain) halanki sunnat
ka mazaq bahut bura hai.

Jawab:
agar dadhi mundwane se badshahat mil jati hai,
hukoomat, daulat, izzat hath aati hai to janabe wala!
Aapko dadhi mundate, hat (cap) lagate, coat patloon
pehante huye arsa guzar gaya aapko to hukoomat kya
koi cheez bhi nahin mili phir tamam bhangi, chamar,
chuhade aur har qaum ye kaam karti hai wo kyun
badshah nahin ban gai? Doston! Izzat, hukoomat,
daulat tum ko jo bhi milega wo huzoor sallallaho alaihi
wasallam ki gulami se milega.
'aur tumhi sar buland rahoge agar imaan wale
ho'.
Aaj ghairon ko isliye tumhara haakim kar diya gaya ke
tum mein hukoomat ki ahmiyat na rahi warna ye
tamam izzatein tumhare hi liye thi yaad rakho ke saari
qaumein aage badh kar taraqqi karengi magar tum
1350 baras pichhe hatt kar dekho to sultan aurangzeb,
Shahjahan waghairah isi tarah arab wa ajam ke
taqriban saare islami badshah dadhi wale hi guzare.
Islami Zindagi 105

Lateefa :
ek musalman hum se kehne lage ke islam ne hum ko
taraqqi se roka maine kaha wo kaise? Farmane lage
usne sood to haraam kar diya aur zakaat farz kar di phir
ye sher padha,
'kyunkar ho in usoolon mein iflaas se najaat
yahan sood to haraam hai aur farz hai zakaat'
Aaj dusri qaumein sood ki wajah se taraqqi kar rahi hai
agar hum bhi sood ka len den karein to hum bhi
taraqqi kar sakte hain hum ne arz kiya ke aaj dunya
mein jo bhi musibat hai wo sood hi ki wajah se hai
bade bade businessman ka ekdam jo diwaliya ho jaata
hai wo ya to satte (juye) ki wajah se ya hundi ke len
den (soodi karobar) se agar aadmi apni punji ke
mutabiq kaam kare aur mehnat wa mashaqqat aur
dayanat daari se tijarat kare to uski tijarat thos
(mazboot) aur insha Allah lazawaal hogi aur zakaat ki
wajah se saari qaum ki maali halat achhi rahegi ba
sharte ke zakaat ko saheeh maana mein kharch kiya
jaye. Zakaat nikaal ne se apna maal mahfooz ho jata
hai jaise ki government ka haq ada karne se maal
mahfooz ho jata hai, zakaati maal barbad nahin hota
balki badhta hai, angur aur ber ke darakht ki shakhein
kaat ne se zyada phal aata hai usi tarah zakaat dene se
maal zyada hota hai. Qudrat ne har cheez se zakaat li
hai aapke jism par jo bimariyan aati hai ye tandurusti
Islami Zindagi 106

ki zakaat hain, nakhun aur baal katwaye jaate hain ye


azwon ki zakaat hai to chahiye ke maal ki bhi zakaat
ho. Musalmanon ke zawaal ki wajah unki bekari,
tijarat se nafrat aur aawargi hai. Ye to tajurba hai ke
musalman ke liye sood phalta nahin aakhir kaar tabahi
lata hai dusri qaum sood se badh sakti hai magar
musalman sood lene se na badhega balki insha Allah
zakaat dene se. Pakhana ka keeda pakhana (najasat)
kha kar zindagi guzaarta hai magar bulbul ki giza phool
hai. Musalmanon! Tum bulbul ho, phool yaani halal
kamai hasil karke khao haraam par na lalchao, halal
mein barkat hai, haraam mein be barkati dekho ek
bakri saal mein ek ya do bachhe hi deti hai aur
hazaarha
Bakriyan har roz zabah ho jaati hain aur kutiya saal
mein 6-7 bachhe deti hai aur kutta zabah nahin hota
magar phir bhi bakriyon ke jhund ke jhund aur rewad
dekhne mein aate hain aur kutton ka rewad aaj tak
nazar kyun na pada? Isiliye ki bakri halal hai aur kutta
haraam lihaza bakri mein barkat hai.

Uzr (5):
Dadhi, munchh, kapda humari apni cheezein hain jis
tarah chahein istemal karein maulvi log is par kyun
pabandiyan lagate hain ghar ki kheti hai jis waqt chaho
aur jis tarah chaho kaato aur istemal karo.
Islami Zindagi 107

Jawab:
ye khyaal ghalat hai ke ye humari apni cheezein hain
har cheez rab ta'ala ki hai hum ko chand roza istemal
ke liye di gai hai phir har cheez maalik hi ki hogi. Kisi
ne kisi se charkha manga to jo soot kaat liya wo apna
aur phir charkha charkha wale ka, aamaal soot hain aur
ye jism charkha kaarkhane se kisi ko ek machine mili
ho magar wo aadmi us machine ke kal purjon ko
chalane se bekhabar hai to machine ke sath ek kitab
bhi milti hai jismein har purje ke istemal ka tariqa likha
hota hai aur company ki taraf se kuchh aadmi bhi
machine sikhane wale muqarrar hote hain ke be ilm
log us kitab ko dekhein aur us ustaad se machine
chalana seekhein agar yoon hi koi ghalat salat machine
chalana shuru kar de to bahut jald machine tod dalega
aur mumkin hai ke machine se khud bhi

Chot (zakhm) kha jaye. Isi tarah humara jism machine


hai hath paanv waghairah uske purje hain ye machine
hum ko qudrat ke kaarkhane se mili hai iska istemal
sikhane ke liye kaarkhane ke maalik ne apni kitab di
jiska naam hai qur'an majeed aur is machine ko
sikhane ke liye ek ustadon ka ustaad duniya bhar ka
muallim bheja jiska naam e paak hai muhammad
rasoolullah sallallaho alaihi wasallam us ustazul kul ne
hum ko machine chala kar dikha di aur qur'an ne
Islami Zindagi 108

pukar diya ke:


"Beshak tumhe'n rasoolullah ki pairwi behtar
hai" (soorah ahzaab, aayat 21)
Aey ghafilon! Aey machine walo! Agar machine saheeh
tariqe se chalana chahte ho to rasoolullah sallallaho
alaihi wasallam ke tariqe par chalao jaise jism par jaan
hukoomat karti hai ke har azw uski marzi se harkat
karta hai usi tarah is jaan par us sultane kaunain ko
haakim banao ki jo harkat ho unhi ki raza se ho isi ka
naam tasawwuf hai aur ye hi haqeeqat, maarefat aur
tareeqat ka magz hai.
Hazrat Sadrul Afazil (rahmatullah alaihi) ne khoob
farmaya,
'khol do seena mera fateh e makka aakar,
ka'aba e dil se sanam kheench ke kar do baahar,
aap aa jaiye qaalib mein mere jaan ban kar,
saltanat kijiye is jism mein sultan ban kar'.

Islami shakl aur libas

Islami shakl ye hai ke sar ke baal ya sab rakhe ya sab


katwa de ya sab mundaye kuchh baal rakhna kuch
katwana mana hai jaise ke angrezi baal mein hota hai
aur jaise ke baaz log bich sar par paan rakhwate hain
ya baaz log sar ke agle hisse par chhajje rakhwate hain
ya baaz jahil musalman kisi buzurg ke naam ke
Islami Zindagi 109

bachhon ke saron par ghair muslimon ki tarah choti


rakhte hain ye sab mana hai aur jisko kul baal rakhne
ho wo ya to kaan ki lau tak ya kandhon tak rakhe yaani
ta bagosh (kaan) ya ta badosh (kandha) ke ye sunnat
hai aur zyada lambe baal rakhna aur usmein choti,
maang auraton ki tarah karna mana hai. Munchh is
qadar kaatna zaruri hai ke upar ke hont ki dori khul
jaye bilkul na katwana ya bilkul mundwa dena mana
hai aur dadhi ek muththi rakhna zaruri hai yaani
thoddi ke niche jo baal hain unko apni muththi mein
pakde jo muththi se aage nikle ho wo katwa de yaani
muththi se kam karna bhi mana aur muththi se bahut
zyada lamba rakhna bhi mana hai. Ab rahi aas paas ki
dadhi yaani jabadon par ke baal wo jis qadr gol dayre
mein aa jayein wo na katwaye aur jo dayre se nikal
jayein wo katwa de yaani jab ke thoddi ke niche ke baal
ek muththi lambi ho aur uske dayre mein jis qadar baal
aa jayein uska katwana bhi mana hai. Naak ke baal
katwana aur bagal ke baal ukhedna sunnat hai agar
bagal ke baal bhi asture se munde jayein to bhi haraj
nahi, naaf ke niche ke baal mundna sunnat hai kainchi
se kaatna nahoosat ka sabab hai. Hath paanv ke
nakhun katwana bhi sunnat hai behtar ye hai ke saara
kaam har hafta mein ek baar zarur kare agar har hafta
na kar sake to 40 din se zyada der na lagaye.
Mard ko apne hath paanv mein mehandi lagana zeenat
ke liye mana hai shadiyon mein iska bahut riwaaj hai
Islami Zindagi 110

ke dulhan ki tarah dulha ke paanv ya hath mehandi se


rangeen kar dete hain ye shar'an mana hai isse bachna
chahiye.

Islami libas

Islami libas ye hai ke mard ko naaf se ghutne tak ka


jism dhankna (chhupana) farz hai agar namaz mein
khula raha to namaz na hogi aur namaz ke siwa bhi
agarche akele mein bhi ho bila wajah khole to
gunahgar hoga iske siwa baqi libas mein behtar ye hai
ke pagdi (imaama) sar par bandhe aur puri aasteen ki
kamees ya kurta pehne aur takhnon se uncha tehband
ya pajama pehne in kapdon ke siwa achkan, waistcoat
jo kuchh bhi pehne wo kafiron ke libas ki tarah na ho.

Pagdi ke niche topi hona chahiye aur agar topi na ho


to bhi sar ki khopdi dhank (chhupa) le agar khopdi
khuli rahi aur aas paas pagdi lapeti rahi to sakht bura
hai aur agar faqat topi pehne to aisi topi se bache jo
kuffar ya fasiqon ki khaas topi hai jaise gandhi cap, hat,
hindu'ani gol topi. Ek qayda yaad rakho wo ye hai ke
jo libas kafiron ki qaumi nishani ho uska istemal
musalmanon ko haraam hai jaise hat aur hindu'ani
dhoti waghairah aur jo libas kafiron ki mazhabi
pehchan ban chuka hai uska istemal kufr hai jaise ki
hinduwadi choti, zunnar aur isai qaum ka saleeb (cross
Islami Zindagi 111

shakl ka) nishan wagairah yaani jis libas ko dekh kar


log jaane ke ye hindu ya isai ka libas hai us libas se
musalmanon ko bachna az had zaruri hai.

Doosri zaruri baatein:


• apne ghar mein Allah ta'ala aur rasoolullah sallallaho
alaihi wasallam ka charcha rakho.
• apne beewi bachhon ko namaz ka sakht paband
banao, saat baras ke bachchon ko namaz ka hukm do.
• aur das baras ke bachhon ko maar maar kar namaz
padhao.
• raat ko jaldi so jao subah ko jaldi jago, apne bachhon
ko jald jaga do kyun ke wo rahmat ke nazil hone ka
waqt hai.
• bachhon ko talim do ke wo har kaam bismillah se
shuru karein.
• aur subah ke waqt tumhare gharon se qur'ane kareem
ki aawazein aati ho ke qur'an shareef ki aawaz
musibaton ko taalti hai, ek ghanta in nek kaamon mein
kharch karo phir Allah ka naam le kar dunyavi karobar
mein mashgool ho jao, Auraton ka libas dusri fasl mein
bayan kiya hai.
Islami Zindagi 112

Fasl (2): Auraton ka parda


Auraton ke liye parda zaruri hai aur be pardagi bahut
hi nuqsaandeh hai aye muslim qaum! Agar tu apni
deeni aur dunyavi taraqqi chahti hai to auraton ko
islami hukm ke mutabiq parde mein rakh! Hum iske
mut'alliq ek mukhtasar si guftagu karke parde ke aqali
aur naqli dalael aur be pardagi ke nuqsanaat bayan
karte hain.

Qudrat ne apni makhlooq ko alahida alahida kaamon


ke liye banaya hai aur jisko jis kaam ke liye banaya hai
uske mutabiq uska mizaaj banaya hai. Har cheez se
qudrati kaam lena chahiye jo khilafe fitrat kaam lega
wo kharabi mein padega iski saikdon misalein hain
topi sar par rakhne aur joota paanv mein pehanne ke
liye hai jo joota sar par baandh le aur topi paanv mein
laga le wo deewana hai, gilaas paani peene aur ugaldaan
thookne ke liye hai jo koi ugaldaan mein paani piye
aur gilaas mein thooke wo poora pagal hai, bail ki jagah
ghoda aur ghode ki jagah bail kaam nahin de sakta isi
tarah insaan ke do giroh kiye gaye hain ek aurat dusre
mard, aurat ko ghar mein reh kar androoni zindagi
sambhalne ke liye banaya gaya hai aur mard ko bahar
phir kar khane aur bahar ki zaruriyat ko poora karne
ke liye banaya. Misaale mashhoor hai ki 50 auraton ki
kamai mein wo barkat nahin jo ek mard ki kamai mein
Islami Zindagi 113

hai aur 50 mardon se ghar mein wo raunaq nahin jo


ek aurat se hai isiliye shauhar ke zimme beewi ka saara
kharch rakha hai aur beevi ke zimme shauhar ka
kharcha nahin kyun ke aurat kamane ke liye bani hi
nahin isiliye auraton ko wo cheeze di jin se unko
majbooran ghar mein baithna pade aur mardon ko
unse aazad rakha jaise bachhe janna, haiz wa nifaas
aana, bachhon ko dudh pilana waghairah isiliye
bachpan se hi ladko ko bhaag daud, uchhal kood ke
khel pasand hote hain jaise kabaddi, kasrat, dand
lagana waghairah aur ladkiyon ko qudrati taur par wo
khel pasand hote hain jinmein bhagna, daudna na ho
balki ek jagah baithe rehna pade jaise gudiya se khel,
seena, pirona, chhoti chhoti rotiya pakana, jhadu dena
waghairah. Aap ne kisi chhoti bachchi ko kabaddi
khelte, dand lagate na dekha hoga isse maloom hota
hai ke qudrat ne ladko ko bahar ke liye aur ladkiyon
ko ghar ke andar ke liye paida kiya hai ab jo shakhs
auraton ko bahar nikale ya mardon ko andar rehne ka
mashwara de wo aisa hi deewana hai jaisa ke wo jo topi
paanv mein aur joota sar par rakhne ka mashwara de.
Jab aapne itna samajh liya ki mard aur aurat ek hi kaam
ke liye na bane balki alahida alahida kaamon ke liye to
ab jo koi in donon fareeqon ko ek kaam supurd karna
chahe wo qudrat ka muqabla karta hai usko kabhi bhi
kamyabi na hogi goya yoon samjho ke aurat aur mard
zindagi ki gaadi ke do pahiye hain anduruni aur
Islami Zindagi 114

gharelu kaamon ke liye aurat aur bahar ke liye mard


agar aapne aurat aur mard donon ko bahar nikaal diya
to goya aapne zindagi ki gaadi ka ek pahiya nikaal diya
to yaqeenan gaadi na chal sakegi. Ab hum parda ke
mut'alliq aqali aur naqli dalael arz karte hain.

1) sab musalman jaante hain ke Nabiye kareem


sallallaho alaihi wasallam ki beewiyan musalmanon ki
maayein hain aisi maayein ke tamam jahan ki maayein
unke qadamein paak par qurban. Agar wo beewiyan
musalmanon se parda na karti to zahiran koi haraj
nahin maloom hota tha kyun ke aulad se parda kaisa
magar qur'an e kareem ne un paak beewiyon ko khitab
karte huye farmaya,
"Aur apne gharo'n mein thehri raho aur be
pardah na raho jaise agli jaahiliyat ki be pardagi"
(soorah ahzaab, aayat 33)
Ismein to un beewiyon se kalaam tha ab musalmanon
se hukm ho raha hai,
"Aur jab tum unse baratne ki koi cheez maa'ngo
to parde ke baahar se maa'ngo".
(soorah ahzaab, aayat 53)
Dekho beewiyon ko udhar gharon mein rok diya aur
musalmanon ko bahar se koi cheez mangne ka ye
tareeqa sikhaya.
Islami Zindagi 115

2) Mishkat babun nazar mein hai ki ek din rasoolullah


sallallaho alaihi wasallam apni do beewiyon Hazrat
Umme Salma aur Maimoona radiallahu ta'ala anhuma
ke paas tashreef farma the ki achanak Hazrat Abdullah
Ibne Umme Maktoom radiallahu ta'ala anhu jo ki
nabeena the aa gaye huzoor ne un donon beewiyon se
farmaya ke ُ‫" اِ ْح َت ِج َبا ِم ْنه‬In se parda karo" unhone arz kiya
ya rasoolullah! Ye to nabeena hain farmaya tum to
nabeena nahi ho. (mishkat masabeeh babunnazar page 269,
Majlise barkaat)

Is se maloom hua ke sirf yehi zaruri nahin ke mard


aurat ko na dekhe balki ye bhi zaruri hai ke ajnabi aurat
ghair mard ko na dekhe, dekho yahan mard nabeena
hain magar parde ka hukm diya gaya.

3) ek ladai mein huzoore anwar sallallaho alaihi


wasallam tashreef le ja rahe the aage aage Anjasha
radiallahu ta'ala anhu kuch geet gaate huye ja rahe the
lashkar ke sath kuchh ba parda auratein bhi thi Hazrat
Anjasha bahut khush aawaz the irshad farmaya aey
Anjasha! Apna geet band karo kyun ke mere sath
kachchi sheeshiyan hain. (dekho mishkat babul bayan washsher)
Ismein auraton ke dilon ko kachchi sheeshiyan
farmaya jisse maloom hua ke parde mein reh kar bhi
aurat mard ka aur mard aurat ka gaana na sune.
(aafiyat isi mein hai)
Islami Zindagi 116

4) huzoor sallallaho alaihi wasallam ke zamane mein


auraton ko bhi hukm tha ke namaze eid aur dusri
namazon mein hazir hua karein, isi tarah waaz ke
jalson mein shirkat kiya karein kyun ke islam bilkul
naya naya dunya mein aaya tha agar huzoor sallallaho
alaihi wasallam ka wa'az auratein na sunti to shariyat
ke hukm apne liye kaise maloom karti magar phir bhi
unke nikalne mein bahut pabandiyan laga di gai thi ki
khushbu laga kar na niklein, bich rasta mein na
chalein, kisi ghair se baat na karein.

Fajar ki namaz is qadr andhere mein padhi jati thi ki


auratein padh kar nikal jayein aur koi pehchan na sake,
auratein mardon se bilkul pichhe khadi hoti thi lekin
Hazrat Umar radiallaho ta'ala anhu ne apni khilafat ke
zamane mein unko masjidon mein aane aur eidgah
jane se bhi rok diya auraton ne Hazrat Aaysha Siddiqa
radiallaho ta'ala anha se shikayat ki ke hum ko hazrat
umar radiallaho ta'ala anhu ne nek kaamon se rok diya
Hazrat Aaysha Siddiqa radiallaho ta'ala anha ne
farmaya agar Huzoor alaihissalam bhi is zamane ko
dekhte to auraton ko masjidon se rok dete.
(dekho shaami wagaira)

In ahadees mein ghaur karo ke wo zamana khair wa


barkat ka ye zamana shar wa fasaad ka, us waqt aam
mard parhezgaar ab nihayat aazad fussaq wa fujjar, us
Islami Zindagi 117

waqt aam auratein paak daman haya wali aur sharmili


ab aam auratein be ghairat aazad aur besharm jab us
waqt auraton se parda karaya gaya to kya ye waqt us
waqt se achcha hai?
Hum ne mukhtasar tariqe se qur'an wa hadees ki
roshni mein parde ki zarurat bayan ki.

5) ab fiqh ki bhi sair karte chaliye fuqha farmate hain


ke aurat ke sar se nikle huye baal aur paanv ke kate
huye nakhun bhi ghair mard na dekhe.
(dekho shaami babussitar)
Aurat par jumu'ah ki namaz farz nahin eid, baqar eid
ki namaz wajib nahin kyun? Isliye ke ye namazein
jama'at se masjidon mein hi hoti hain aur auraton ko
bila zarurat e shara'i ghar se nikalne ki ijazat nahin,
aurat par hajj ke liye safar karna us waqt tak farz nahi
jab tak ke uske sath apna mehram na ho yaani baap,
beta ya shauhar waghairah aurat ka munh ghair mard
na dekhe. (dekho shaami babussitar)

Hazrat Fatima Zahra radiallaho ta'ala anha ne wasiyat


farmai thi ke mujhe raat mein dafan kiya jaye kyun?
Isliye ke agar din mein dafan kiya gaya to kam az kam
dafan karne walo ko mere jism ka andaza to ho jayega
ye bhi manzoor nahin gharz ke parda ki wajah se
shariyat ne bahut se hukm auraton se utha liye.
Ghaur to karo! Ke jab auraton ko masjid jaane ki ijazat
Islami Zindagi 118

nahin, qabristan jaane ki ijazat nahin, eidgah mein


jakar namaz padhne ki ijazat nahin to bazaron,
collegon aur company baagon mein ser ke liye jaane ki
ijazat kyunkar hogi kya bazar, college aur company
baag masjidon aur makka shareef se badh kar hain?

Zaruri note:
Jin ahadees mein auraton ka bahar nikalna aata hai wo
ya to parda farz hone se pehle tha ya kisi zarurat ke
wajah se parde ke sath tha un ahadees ko baghair soche
samjhe boojhe bepardagi ke liye aad banana mehaz
nadaani hai isi tarah us zamane mein

Auraton ka jihadon mein shirkat karna is wajah se tha


ke us waqt mardon ki tadad thodi (kam) thi ab bhi agar
kisi jagah musalman mard thode se ho aur kuffar zyada
aur jihad farze aen ho jaaye to auratein jihad mein
zarur jayein un jihadon ko is zamane ki be hayai ke liye
aad na banao ab jihad ke bahane se auraton ko mardon
ke samne nanga parade karaya jata hai baaz dafa
mujahideen ne zaruratan ghodon ke peshab piye,
darakhton ke patte khaye kya ab bhi bila zarurat ye
kaam karaye jayenge? Allah ta'ala wo waqt na laaye jab
jihad mein auraton ki zarurat pade.
Yahan tak to naqli dalael se hum ne parde ki zarurat
sabit kar di ab aqali daleelein bhi suniye:
Islami Zindagi 119

1) aurat ghar ki daulat hai aur daulat ko ghar mein


chhupa kar rakha jaata hai har ek ko dikhane se khatra
hai ke koi chori na kar le usi tarah aurat ko chhupana
aur ghairon ko na dikhana zaruri hai.
2) aurat ghar mein aisi hai jaise chaman mein phool
aur phool chaman hi mein hara bhara rehta hai agar
tod kar bahar laaya jaaye to murjha jayega usi tarah
aurat ka chaman uska ghar aur uske baal bachhe hain
usko bila wajah bahar na lao warna murjha jayegi.
3) aurat ka dil nihayat nazuk hai bahut jald har tarah
ka asar qubool kar leta hai isliye usko kachchi
sheeshiyan farmaya gaya. Humare yahan bhi aurat ko
sinfe nazuk kehte hain aur nazuk cheezon ko pattharon
se door rakhte hain ke toot na jaye, ghairon ki nigahein
uske liye mazboot patthar hain isliye usko ghairon se
bachao.
4) aurat apne shauhar aur apne baap dada balki saare
khandaan ki izzat aur aabru hai aur uski misaal safed
kapde ki si hai safed kapde par mamooli sa daag
dhabba door se chamakta hai aur ghairon ki nigahein
uske liye ek badnuma daag hain isliye usko in dhabbo
se door rakho.
5) aurat ki sab se badi tareef ye hai ke uski nigah apne
shauhar ke siwa kisi par na ho isliye qur'an e kareem
ne hooron ki tareef mein farmaya:
"Aankh utha kar ghair mardon ko na dekhne
Islami Zindagi 120

waliyan" (soorah rahman, aayat 56)


Agar uski nigah mein chand mard aa gaye to yoon
samjho ke aurat apne jauhar kho chuki phir uska dil
apne ghar baar mein na lagega jisse ye ghar aakhir
tabah ho jayega.

Aitraaz:
baaz log parde ke mas'ale par do aitraaz karte hain,
(1) auraton ko gharon mein qaid rakhna un par zulm
hai jab hum bahar ki hawa khate hain to unko is nemat
se mehroom kyun rakha jaye.
(2) aurat ko parde mein rakhne ki wajah se usko tape
diq (TB) ho jati hai isliye zaruri hai ke unko bahar
nikaala jaye.

Jawab (1):
awwal sawal ka jawab to ye hai ke ghar aurat ke liye
qaid khana nahin balki uska chaman hai. Ghar ke
karobar aur apne baal bachhon ko dekh kar wo aisi
khush hoti hai jaise chaman mein bulbul, ghar mein
rakhna us par zulm nahin balki uski izzat wa ismat ki
hifazat hai usko qudrat ne isiliye banaya hai. Bakri
isiliye hai ke raat ko ghar mein rakhi jaaye aur sher
cheeta aur muhafiz kutta isliye hai ke unko aazad firaya
jaaye agar bakri ko aazad kiya to uski jaan khatre mein
hai usko shikari janwar phaad dalenge.
Islami Zindagi 121

(2) doosre sawal ka jawab main kya du khud tajriba de


raha hai wo ye ke aurat ke liye parda tape diq ka sabab
nahin humari purani buzurg auratein ghar ke darwaze
se bhi bekhabar thi magar wo jaanti bhi na thi ke diq
kise kehte hain aur aaj kal bepardagi mein awwal
number do soobe hain ek kathiyawad aur dusra punjab
magar Allah ta'ala ki shaan hai ke in hi donon subon
mein diq zyada hai. UP mein aam taur par sharifon ki
bahu betiyan parda nasheen hain Allah ta'ala ke fazl se
unmein diq bahut hi km hai balki kaha jaaye ki diq hai
hi nahin to bhi beja na hoga aur janab agar parde se
diq paida hoti hai to mardon ko diq kyun hoti hai?

Doston! Diq ki wajah kuch aur hai yaad rakho


tandurusti ke do bade usool hain unki pabandi karo
insha Allah tandurust rahoge awwal ye ke bhookhe ho
kar khao aur pet bhar kar na khao balki roti se bhookhe
utho aur dusre ye ke thak kar so'o. Pehle auratein
chaay (tea) ko jaanti bhi na thi ghar mein mehnat wa
mashaqqat ke kaam karti thi chakki pisna, ghalla saaf
karna inse khoob paseena aata tha, bhookh khul kar
lagti thi aur raat ko charpai par khub behoshi ki neend
aati thi isliye tandurust rehti thi aaj hum dekhte hain
ke parde wali auratein hashshash washshash maloom
hoti hain unke chehre tar wa taaza hote hain magar
aawara aur be parda auratein aisi maloom hoti hain
jaise ke is phool ko loo lag gai ho.
Islami Zindagi 122

Doston! Ye sab bahane hain zaruri hai ke makaan


khule huye hawadaar aur saaf ho, apne makanon ke
sehan bade aur khule huye hawadaar rakho aur auraton
bachhon ko chaay aur dusri khushk cheezon se bachao
aur dudh ghi waghairah ka istemal rakho, auraton ko
aaram talab na banao.

Islami parda aur tariqa e zindagi

Aurat ka jism sar se paanv tak satar hai jiska chhupana


zaruri hai siwaye chehre aur kalaiyon tak hathon aur
takhnon se niche tak paanv ke ki in ka chhupana
namaz mein farz nahin baaqi hissa agar khula hoga to
namaz na hogi lihaza uska libas aisa hona chahiye jo
sar se paanv tak usko dhaka (chhupa) rakhe aur is qadr
baarik kapda na pehne jisse sar ke baal ya paanv ki
pindliyan ya pet upar se nanga maloom ho, ghar mein
agar akeli ya shauhar ya maa'n baap ke samne ho to
dupatta utaar sakti hai lekin agar damad ya dusra
qarabatdaar ho to sar ba qayda dhaka (chhupa) hua
hona zaruri hai aur shauhar ke siwa jo bhi ghar mein
aaye wo aawaz se khabar kar ke aaye, ajnabi aurat ko
siwaye chand sooraton ke dekhna mana hai:
1. Tabeeb (hakim) mareeza ke marz ki jagah ko.
2. Jis aurat ke sath nikah karna hai usko chhup kar
dekh sakta hai.
3. Gawah jo aurat ke mut'alliq gawahi dena chahe.
Islami Zindagi 123

4. Qazi jo aurat ke mut'alliq koi hukm dena chahe wo


bhi ba qadr e zarurat dekh sakta hai.
Mas'ala: aawara auraton se bhi shareef auratein parda
karein. (durre mukhtar)

Aurat ko apne ghar se nikalna bhi mana hai siwaye


chand jagahon ke maslan:
1. Qaabila : yani daayi ka pesha karne wali aurat ghar
se nikal sakti hai.
2. Shahida : gawahi dene ke liye aurat qazi ke darbar
mein ja sakti hai.
3. Ghaasila : jo aurat murda auraton ko ghusl deti hai
wo bhi is zarurat se nikal sakti hai.
4. Kaasiba : jis aurat ka koi kamai karne wala na ho wo
rozi hasil karne ke liye ghar se nikal sakti hai.
5. Nayera : walidain aur khaas ahle qarabat se milne ke
liye bhi ghar se nikal sakti hai.

Agar iski poori tahqeeq karna ho to Aala Hazrat


Imaam Ahmad Raza qaddasa sirrruhu ki kitab
‫ مروجالنجالخروجالنساء‬ka mutala karo. Hum ne jo kaha ke in
mauqon mein aurat ghar se nikal sakti hai uske maana
ye hain ke parda se nikle is tarah na nikle jaise aaj kal
riwaaj hai ke ya to be burqa bahar phirti hain ya agar
burqa hai to munh khula hua aur burqa bhi nihayat
khushnuma aur chamakdar ke dusre mardon ki us par
khwah makhwah nazar pade ye jaaiz nahi. Ye ahkaam
Islami Zindagi 124

the ghar se nikalne ke ab raha safar karna iske mut'alliq


ye zarur yaad rakho ke aurat ko akele ya kisi ajnabi
mard ke sath safar karna haraam hai zaruri hai ke uske
sath koi mehram ho, aaj kal jo riwaaj ho gaya hai ki
ghar ko khat likh diya (ya phone kar diya) ke hum ne
apni beewi ko fulan gaadi par sawaar kar diya hai tum
station par aakar utaar lena ye najaaiz bhi hai aur
khatarnak bhi, devar aur behnoi waghairah se bade
bade gharon mein bhi parda nahin balki baaz auratein
to kehti hain ke un se parda karne ki zarurat hi nahin
ye mehaz ghalat hai. Hadees e paak mein irshad hua ki
''devar to aur bhi zyada maut hai"

Baaz jagah un se hansi aur mazaq tak kiya jaata hai


khyaal rakho ke jis aurat se kabhi bhi nikah jaaiz na ho
jaise damad, rizaai beta, baap, bhai, sasur waghairah to
unse parda zaruri nahi agar un logon se (jinse parda
zaruri hai) ba qayda parda na ho sake to kam az kam
ghoonghat se aur unke samne haya aur sharm se rehna
zaruri hai.

Aisa baarik libas na pehno jisse nangi maloom ho aur


aisa libas na pehno jo pindaliyon se bilkul chimat jaata
ho aur jisse badan ka andaza hota ho, haan agar us ghar
mein siwaye shauhar waghairah ke koi ajnabi na aata
ho to koi harj nahin magar aise ghar aaj kal mushkil se
milenge.
Islami Zindagi 125

Dr. Iqbal ne khoob kaha hai:


Yaani Hazrat Fatima Zahra radiallaho ta'ala anha ki
tarah Allah wali pardadaar bano taaki apni god mein
Imaam husain radiallaho ta'ala anhu jaisi aulad dekho.

Ladkiyon ki taleem

Apni ladki ko wo ilm wa hunar zarur sikha do jiski


usko jawan ho kar zarurat padegi lihaza sab se pehle
ladki ko paaki, paleedi, haiz wa nifaas ke shara'i
mas'ale, roza, namaz, zakaat waghairah ke masael
padha do yaani qur'an shareef aur deeniyat ke risale
padha do, phir kuchh aisi akhlaqi kitabein jin mein
shauhar ke huqooq baja lane, bachhon ke paalne, saas
nanadon se mel muhabbat rakhne ke tariqe sikhaye
gaye ho wo bhi zarur padha do behtar ye hai ke unko
Nabiye kareem sallallaho alaihi wasallam ki tarikh bhi
mutala karao jisse dunya mein rehne sehne ka dhang
(tariqa) aa jaye iske baad har tarah ka khana pakana ba
qadr e zarurat seena, pirona aur dusri zanaana dastkari
aur sooi ka hunar zarur sikha do kyun ke sooi hi wo
cheez hai jiski zarurat marne ke baad bhi padti hai
yaani murda sila hua kafan pehan kar qabr mein jata
hai. Sooi auraton ka khaas hunar hai ke agar (khuda na
kare) kabhi aurat par koi musibat pad jaye ya bewa ho
jaye aur kisi majboori ke wajah se dusra nikah na kar
Islami Zindagi 126

sake to ghar mein aabru se baith kar dastkariyon se pet


paal sake. Aaj kal khana pakane aur seene pirone ki
bahut si kitabein chhap (print) chuki hain chunanche
dehli ka bawarchi khana, khwane nemat, khwane
yagma khane pakane ke hunar ke liye zarur padha do
balki unse har tarah ka khana pakwa lo aur doston!
Teen cheezon se apni ladkiyon aur beewiyon ko bahut
bachao-
(1) novels (2) college aur school ki (beparda) taleem
(3) theater aur cinema ye teen cheezein ladkiyon ke liye
zehre qatil hain. Is waqt ladkiyon mein jis qadr shokhi,
aazadi aur be ghairati hai wo sab in teen hi ki wajah se
hai hum ne dekha ki ladkiyon ke liye pehle to zanaana
school khule aur unmein pardadaar gadiya bachchiyon
ko lane aur le jane ke liye rakhi gai agarche unmein
naam ka parda tha magar khair kuchh aar sharm thi
phir wo gadiya band hui aur sirf ek aurat jisko mama
kehte the lane aur pahunchane ke liye reh gai phir wo
bhi khatm sirf ye raha ke jawan ladkiyan burqa pehan
kar aayein

Phir ye bhi khatm hua aazadana taur par aane jane lagi
phir aqal ke andhon ne ladkiyon aur ladko ki ek hi
jagah talim shuru kara di aur sharda act jaari karaya
jiske maana ye hai ke 18 saal se pehle koi nikah na kar
sake phir ladkiyon aur ladko ko cinema ke ishqiyan
drame dikhaye, behuda novelon ki rok thaam na ki
Islami Zindagi 127

jiska matlab saaf ye hua ke unke jazbaat ko bhadkaya


gaya aur nikah rok kar bhadke huye jazbaat ko poora
hone se rok diya gaya jiska mansha sirf ye hai ke
haraam kaari badhe kyun ke bhadki hui shahwat jab
halal rasta na payegi to haraam ki taraf kharch hogi aur
aisa hi ho raha hai. Ab is waqt ye halat hai ke jab
schoolon, colleges ki ladkiyan subah wa shaam zarq
barq libas mein raston se aapas mein mazaq wa dil lagi
karti hui, zor se baatein karti hui, itr lagaye, dupatta
sar se utare huye nikalti hain to maloom hota hai ke
shayad hindustan mein paris aa gaya aur dardmand dil
rakhne wale khoon ke aansoo rote hain.
Akbar Allahabadi ne khub farmaya:
'beparda kal jo aai nazar chand beebiyan,
akbar zameen mein ghairat e qaumi se gad gaya,
puchha jo unse aapka parda kidhar gaya,
kehne lagi ke aqal pe mardon ki pad gaya'.
Koshish karo ki tumhari ladkiyan hayadaar aur adab
wali bane taaki unki aulad mein ye bhi aausaf paye
jayein.
Dr. Iqbal ne kya khub farmaya:
'be adab maa'n ba adab aulad jan (paida) sakti nahi,
maadne zar maadne faulad ban sakti nahin'.
Yaad rakho! Is zamane mein in schoolon aur colleges
ne qaum mein inqelab paida kar diya hai aaj tariqa ye
hai ke agar kisi qaum ka naqsha badalna ho to us qaum
Islami Zindagi 128

ke bachchon ko college ki taleem dilao bahut jald us


qaum ki halat badal jayegi.
Akbar ne khub kaha hai:
'yoon qatl se bachchon ke wo badnaam na hota,
afsos ke firaun ko college ki na soojhi'.
Aur doston! Baaz schoolon aur colleges ke naam mein
islam ka naam bhi laga hota hai yaani unka naam hota
hai 'islamiya school, islamiya college' is naam se
dhokha na khaye islamiya school, islamiya college
naam rakhna faqat muslim qaum se islam ke naam par
chanda wasool karne ke liye hai warna kaam sab
colleges ka qarib qarib yaksa (barabar) hai ghazab to
dekho ke naam islamiya school aur tateel (chhutti) hoti
hai itwar ke din islam mein to bada din jumu'ah ka hai
har kaam angrezi mein, vahan ke talaba akhlaq aur
aadab angrezi phir ye islamiya school kahan raha baaz
schoolon ke naam bajaye islamiya school
muhammadan school ya muhammadan college rakh
diye gaye. Allah ta'ala ne hum musalmanon ka naam
rakha hai 'muslimeen' qur'an farmata hai,
"Allah ne tumhara naam musalman rakha"
(soorah haj, aayat 78)
Magar isaiyon ki taraf se humara naam
'Muhammadan' rakha gaya hum logon ko wo hi naam
pasand aaya jo isaiyon ne hum ko diya gharze ke un
schoolon se apni ladkiyon ko bachao aur apne ladko
Islami Zindagi 129

ko bhi vahan zaruratan talim dilwao magar unka deen


wa mazhab sambhal kar. Isi tarah ladkiyon ko ghar par
jo master se padhwate hain ya isai auraton ya lediyon
se talim dilwate hain wo sakht ghalati karte hain bahut
jagah dekha gaya ke ladkiyan masteron ke sath bhaag
gai aur un aawara ustaniyon ke zariye hazaron fitne
phaile. Mujhe ye maloom nahin hota ke aakhir
ladkiyon ko is qadr aala talim ki zarurat kya hai unko
to wo cheezein padhao jinse unhein kaam padta hai
unka saara kharcha to shauharon ke zimme hoga phir
unko is qadr talim se kya fayda? Gharze ke apni aulad
ko deendar aur hunarmand banao ke isi mein deen wa
dunya ki bhalai hai. Apni ladkiyon ko sirf Khatoone
Jannat Fatima Zahra radiallaho ta'ala anha ke naqshe
qadam par chalao unki paak zindagi ka naqsha wo hai
jo dr. Iqbal ne is tarah bayan farmaya:
Hath mein chakki aur munh mein qur'an
donon jahan unki farmabardar aur wo khawind
ki muteea (farmabardar).

Napasandida rusoom
Har shakhs ko ek din marna aur is dunya se jaana hai
aur kya khabar hai ke kis ki maut kis jagah aur kis waqt
aa jaaye isliye har musalman ko lazim hai mayyat ke
ghusl aur kafan dafan ke masael sikhe ke agar kisi jagah
zarurat pad jaye to uska kaam na ruke. Hum ne aaj ye
Islami Zindagi 130

samajh rakha hai ke mayyit ka ghusl aur kafan sirf


mulla ka kaam hai humari ismein be izzati hai lekin
agar kisi ka baap ya koi qarabatdar mar jaaye aur wo
apne hath se usko qabr tak pahunchane ka saman kar
de to ismein be izzati kya hogi? Kya baap ke marne ke
baad use chhuna bhi be izzati hai?

Ek musalman sahab bahadur ka inteqal new delhi


mein ho gaya wo hazrat punjab ke rehne wale the
vahan koi ghusl dene wala na mila bahut der tak unke
walid ki laash be ghusl padi rahi. Zila badayun mein
ek jagah ek shakhs ke walid ka fatiha tha choonke wo
majma sahab bahaduron ka tha kisi ko qur'an paak
padhna na aata tha ab badi mushkil padi aakhirkar
gramophone mein surah yaseen ka record bajakar us
record ka sawab murda baap ki rooh ko pahunchaya
gaya. Ye do baatein hain jis par musalmanon ki halat
par maatam karna padta hai isliye sabse pehle zaruri
hai ke maut aur meeras ke zaruri mas'ale musalman
sikhein aur in tamam masael ke liye kitab 'Bahaare
Shariyat' ko mutale mein rakhein.

Humko is jagah un rasmon se guftagu karni hai jo


musalmanon mein najaaiz ya fuzool kharchiyon ki
padi huyi hain ye rasmein do tarah ki hain ek to maut
ke waqt ki aur dusri maut ke baad ki.
Islami Zindagi 131

Maut ke waqt ki rasmein

Aam taur par ye riwaaj hai ke mayyit ke marte waqt jo


log maujood hote hain vahan dunyavi baatein karte
hain, jab inteqal ho jaata hai to rone pitne ki halat
mein be sabri aur baaz waqt kufr ke kalme munh se
nikaal dete hain ke haay khuda ne be waqt maut de di,
malikul maut ne zulm kar diya, kya humara hi ghar
maut ke liye reh gaya tha waghairah waghairah, mar
chukne ke baad jo khwesh wa aqraba bahar pardes
mein hote hain un ko taar se khabar dete hain phir
aane ka intezar karte hain punjab mein ye bimari bahut
hai. Maine baaz jagah dekha hai ke do din tak laash
rakhi hai jab khwesh wa aqraba aaye tab dafan kiya
gaya, phir jis qaum ya jis muhalle mein maut ho gayi
vahan saari qaum aur saara muhalla roti na pakaye ab
ek din mayyit padi rahi to zindon ki bhook ke maare
aadhi jaan ghul gayi ab jab ke dafan se faraghat ho
chuki to kisi qarabatdar ne un sab ke liye roti pakayi
aur roti pakane par ye zaruri hai ke un tamam logon
ke liye khana pakaye jinke ghar ab tak dafan ke intezar
mein roti na paki thi yaani saari biradari ya saare
muhalle ke liye.

UP mein baaz jagah dekha gaya hai ke maut ki roti


muhalledaron ko raat ko utha utha kar pahunchate
Islami Zindagi 132

hain agar kisi ke ghar na pahunche to uski sakht


shikayat hoti hai jaise ke shadi ki roti ki shikayat hoti
hai. Punjab mein ye bhi riwaaj hai ke mayyit ke sath
ek deg chawalon ki pak kar qabristan jaati hai jo ke
dafan ke baad vahan fuqra ko taqsim kar di jati hai aur
up mein kachha ghalla aur paise le jate hain jo
qabristan mein taqsim hote hain.

In rasmon ki kharabiyan
Insaan ke liye naza'a ka waqt bahut sakht waqt hai ke
umr bhar ki kamai ka nichod us waqt ho raha hai us
waqt qarabatdaron ka vahan dunyavi baatein karna
sakht ghalati hai kyun ke usse mayyit ka dhyan hatne
ka andesha hai faqat aankhon se aansu bahein ya
mamooli aawaz munh se nikle aur kuchh sabr
waghairah ke lafz bhi munh se nikal jayein to koi harj
nahin magar seena pitna, munh par tamacha marna,
baal nochna, kapde phadna, be sabri ki baatein munh
se nikaalna "Noha" hai aur "Noha" haraam hai Noha
karne wale sakht gunahgar hain. Ye samajh lo ke Noha
karne aur nochne se murda wapas nahin aa jata balki
sabr ka jo sawab milta hai wo bhi jaata rehta hai. Do
hi waqt imtehan ke hote hain ek khushi ka aur dusra
gham ka jo in do waqton mein qaaim raha wo waqai
mard hai. Musibat ke waqt ye khyaal rakho ke jis rab
ne umr bhar aaram diya agar wo kisi waqt koi ranj ya
Islami Zindagi 133

gham bhej de to sabr chahiye kisi qarabatdar ke aane


ke intezar mein mayyit ke dafan mein der lagana sakht
mana hai aur usmein har tarah ka khatra hi hai. Agar
zyada rakhne se mayyit ka jism bigad jaye ya kisi qism
ki boo waghairah paida ho jaaye ya kisi qism ki kharabi
waghairah paida ho jaaye to usmein musalman mayyit
ki tauheen hai qarabatdar aakar mayyit ko zinda nahin
kar lenge aur munh dekh kar bhi kya karenge isliye
dafan mein jaldi karna zaruri hai. Chand cheezon mein
bila wajah der lagana mana hai ladki ki shadi, qarz ka
ada karna, namaz ka padhna, tauba karna, mayyit ko
dafan karna, nek kaam karna kisi ke marne se muhalle
mein roti pakana ya khana mana nahin ho jata haan
choonke mayyit ke khaas rishtedar dafan mein
mashgool hone aur zyada ranj wa gham ki wajah se
khana nahin pakate unke liye khana taiyar karna balki
unhein apne sath khilana sunnat hai magar khyaal rahe
ke khana sirf un logon ke liye pakaya jaye aur wo hi log
khayein jo ranj wa gham ki wajah se ghar na paka
sakein muhalla walo aur biradari ko rasmi tariqe par
khilana bhi jaaiz hai aur khana bhi. Gham aur ranj
dawaton ka waqt nahin mayyit ke sath deg ya kuchh
ghalla le jane mein harj nahin magar do baaton ka
zarur khyaal rahe, awwal ye ke log us khairat ko itna
zaruri na samajh lein ke na ho to qarz lekar karein.
Agar mayyit ke warison mein se koi waris bachha ho
ya koi safar mein ho to mayyit ke maal se ye khairat na
Islami Zindagi 134

karein balki koi shakhs apni taraf se kar de. Dusre ye


ke qabristan mein taqsim karte waqt ye khyaal rakha
jaye ke fuqra wa ghurba qabron ko paanv se na raunde
aur ye khana ya ghalla niche na gire behtar to yehi hai
ke ghar par hi khairat kar di jaaye kyun ke ye dekha
gaya hai ke khairat lene wale fuqra ghalla lene ke liye
qabron par khade ho jate hain aur chawal waghairah
bahut kharab karte hain.

Maut ke waqt ki islami rasmein

Jaan kani ki nishani ye hai ke bimar ki naak tedhi pad


jati hai aur kanpati niche baith jati hai jab ye alamat
bimar mein dekh li jaaye to fauran uska munh ka'aba
shareef ko kar diya jaaye ya to uski charpai qabr ki taraf
rakhi jaye yaani shimaal (north) ko sar aur junoob
(south) ko paanv aur mayyit ko seedhi karwat par leta
diya jaaye magar isse jaan nikalne mein dushwari hoti
hai behtar hai ke mayyit ke paanv qible ki taraf kar diye
jayein aur usko chit leta diya jaaye taaki ka'abe ko
munh ho jaaye karwat ki zarurat na rahe. Chand jagah
ka'abe ki taraf paanv karna jaaiz hai:
1) let kar namaz padhte waqt,
2) jaan nikalne ke waqt,
3) mayyit ko ghusl dete waqt,
4) qabristan le jate waqt jab ke qabristan mashriq (east
side) ki taraf ho.
Islami Zindagi 135

Phir uske paas baithne wale koi duniyavi baat na karein


aur us waqt khud bhi na royein balki sab log is qadr
aawaz se kalima tayyaba padhein ke mayyit ke kaan
mein wo aawaz pahunchti rahe aur koi shakhs us waqt
munh mein paani daalta rahe kyun ke us waqt piyaas
ki shiddat hoti hai agar garmi zyada pad rahi ho to koi
pankhe se hawa bhi karta rahe. Surah yaseen shareef
padhein taaki uski mushkil aasan ho aur rab ta'ala se
dua karein ke ya Allah uska aur hum sab ka beda paar
lagaeyo.

Jab jaan nikal jaaye to kisi ko rone se na rokein kyun


ke zyada gham par na rona sakht bimari paida karta hai
haan ye hukm dein ke Noha na karein yaani munh par
thappad na lagayein aur be sabri ki baatein na bakein.
Ghusl aur kafan se farigh ho kar na'at khwani karte
huye buland aawaz se durood shareef aur kalima
tayyiba padhte huye mayyit ko le chalein kyun ke aaj
kal agar zikre ilaahi aawaz se na ho to log dunya ki
baatein karte huye jaate hain aur ye mana hai neez is
na'at khwani aur durood shareef ki aawaz se gharon
mein log samajh jate hain ke koi mayyit ja rahi hai to
aakar namaz aur dafan mein shareek ho jate hain.
Namaze janaza padh kar kam az kam teen baar Surah
Ikhlas, Surah Falaq, Surah Naas Aur Surah Fatiha
padh kar mayyit ko sawab bakhshein ke janaze ki
namaz ke baad dua karna sunnate rasoolullah sallallaho
Islami Zindagi 136

alaihi wasallam aur sunnat e sahaba radiallaho ta'ala


anhum hai. (dekho humari kitab Ja al haq)

Dafan se farig hokar qabr ke sirhane surah baqara ki


aayatein "Muflihun" tak aur qabr ke paanv ki taraf
surah baqra ka aakhiri rukua padh kar mayyit ko sawab
bakhshein. Jab dafan se farigh ho kar log laut jayein
tab qabr ke sirhane ki taraf khade hokar azaan keh dein
to achha hai ke isse azaabe qabr se najaat hai murde ko
nakeerain ke sawalaat ka jawab bhi yaad aa jayega. Phir
qarabatdar mayyit ke sirf ghar walo ko khana khilayein
balki behtar ye hai ke pakakar lane wala khud bhi unke
sath hi khaye aur unko majboor karke khilaye.

Maut ke baad ki murawwaja rasmein


Maut ke baad har ilaqe mein alahida alahida rasmein
hoti hain magar kuchh rasmein aisi hain jo thode farq
se har jagah ada ki jati hai unhi ka hum yahan zikr
karte hain.
Dulhan ka kafan uske maike se aata hai yaani ya to
uske maa'n baap kafan kharid kar laate hain ya baad
ko uski qimat dete hain isi tarah dafan aur taqriban
maut ke teen din tak saara kharcha maike wale karte
hain dulhan ki aulad ka kafan bhi maike walo ki taraf
se hona zaruri hai. Teen din mayyit walo ke ghar
qarabatdaron aur khaas samdhiyana se khana aana
Islami Zindagi 137

zaruri hai aur bhi itna zyada lana padta hai ke saare
kumbe, saari biradari ko kaafi ho, 6 waqt khana bhejna
padta hai agar 25-25 aadmiyon ka har waqt khana
pakaya gaya to is qahat saali ke zamane mein kam az
kam 50 rupye kharch huye phir jab khair se ye teen din
guzar gaye to ab mayyit walo ke zimme lazim hai ke
teesre din teeja (soyam) kare jis mein saari biradari
balki saari basti ki roti kare jismein ameer wa gharib
daulatmand log zarur shareek ho aur gazab ye ke bahut
jagah ye biradari ki dawat khud mayyit ke maal se hoti
hai halanki mayyit ke chhote yateem bachhe, bewa aur
gharib, budhe maa'n baap bhi hote hain magar un sab
ke munh se ye paisa nikaal kar is mele ko khilaya jata
hai. Maut ke baad teen din tak mayyit ke ghar wale
ta'aziyat ke liye baithate hain jahan bajaye dua aur
ta'aziyat ke huqqe ke daur chalte hain aur kuchh
qur'an karim padh kar bakhshtey bhi hain to is tarah
ke huqqa munh mein hai hath uthe huye hain. Phir 40
roz tak barabar do rotiyan har roz khairat ki jaati hain
aur is ke darmiyan 10wa, 20wa aur 40wa badi dhoom
dhaam se hota rehta hai jismein biradari ki aam
dawatein hoti hain aur fatiha ke liye har qism ki
mithaeyan aur fruit (mewe) aur kam az kam ek umda
kapdon ka joda rakha jata hai, fatiha ke baad wo
mithaeyan aur fruit to ghar ke bachhon mein taqsim
kiya jaata hai aur kapdon ka joda khairat hota hai, phir
6 maah ke baad 6 maahi aur saal ke baad mayyit ki
Islami Zindagi 138

barsi hoti hai is barsi mein bhi biradari aur basti ki roti
ki jati hai lo sahab aaj in rasmon se pichha chhuta. Baaz
jagah dekha gaya hai ke kafan par ek nihayat khubsurat
reshmi ya ooni chadar daali jaati hai jo baad kafan
khairat hoti hai magar doston! Ye bhi khyaal rahe ke
99% ye rasmein apne naam aur shohrat ke liye hoti
hain agar ye kaam na honge to naak kat jayegi.

In rasmon ki kharabiyan
Shariyat mein kafan uske zimme hai jiske zimme uski
zindagi ka kharcha hai lihaza har jawan, maaldar mard
ka kafan uske apne maal se diya jaana chahiye aur
chhote bachhon ka kafan uske maa'n baap ke zimme
hai isi tarah agar beewi ka inteqal rukhsat se pehle ho
gaya to beewi ke baap ke zimme hai agar rukhsat ke
baad inteqal hua to shauhar ke zimme, shauhar ke hote
huye uske baap bhai se jabran kafan lena zulm hai aur
sakht mana hai. Sunnat ye hai ke mayyit ke padosi ya
qarabatdar musalman sirf ek din yaani do waqt khana
mayyit ke ghar bhejein aur wo khana sirf un logo ke
liye ho jo gham ya mashguliyat ki wajah se aaj paka na
sake. Aam muhalla walo aur birdaari ko is khane ka
haq nahi unke liye ye khana sakht mana hai haan
mayyit ke ghar jo mehman bahar se aaye hai unko is
khane se khana jaaiz hai, ek din se zyada khana bhejna
mana hai. Mayyit walo ke ghar teeja aur 40wa ki roti
Islami Zindagi 139

karana aur us se biradari ki roti lena haraam wa


makrooh tehreemi hai lihaza ye murwwaja rasmein
teeja, 10wa, 20wa, 40wa, 6 maahi, barsi ki biradari ki
dawatein khilane wale aur khane wale dono gunahgar
hai ye khana sirf gharibon ka haq hai kyun ke ye sadqa
wa khairat hai aur agar mayyit ka koi waris bachha hai
ya safar mein hai to baghair taqsim kiye huye uska
maal khairat karna bhi haraam hai ke na ye faqeeron
ko jaaiz aur na maaldaro ko lihaza ya to koi waris khaas
apne maal se ye khairat kare ya pehle mayyit ka maal
taqsim karle phir nabalig aur gaeb ka hissa nikaal kar
khaas hazir balig waris apne hissa se karein.
In dawaton ka ye shara'i hukm tha ab dunyavi halat
par nazar karo to aap ko maloom hoga ke in teeja,
40wa aur barsi ki rasmon ne kitne musalmanon ke
ghar tabah kar diye, mere samne bahut si aisi misaale
hai ke musalmanon ki dukane, jaaydad aur makanaat
40wa aur teeja kha gaya aaj wo thhokare khate phir
rahe hai. Ek sahab ne baap ko 40wa ke liye ek baniye
se 400 rupye qarz liye the 2700 rupye ada kar chuke
magar qarz khatm nahin huwa, phir lutf ye hai ke us
teeje aur 40we ki rasmo se sirf ek hi ghar tabah nahin
hota balki dulhan ke maike wale bhi sath tabah hote
hai yaani
"Hum to dube hai sanam tumko bhi le dubege"
Kyun ke qayda ye hota hai ke agar teeja mayyit wala
kare to 40wa ki roti us ke samdhiyane wale karein,
Islami Zindagi 140

mere is kalaam ka tajuraba unko khub huwa hoga ke


jinko kabhi in rasmon se wasta pada ho. Dekha gaya
hai ke mayyit ka dum nikla aur muhalla wali aurton
mardon ne ghar ger liya awwal to paandaan ke tukde
uda diye ab sab log jama hain, khana aane ka intzaar
hai, bechara mayyit wala musibat ka maara apna gham
bhul jaata hai ye fikr pad jaati hai ke uske mele ka pet
kis tarah bharu phir jab tak us bechare ka diwala nahin
nikal jaata ye mela nahin hat'ta lihaza aey
musalmanon! In najaaiz aur kharab rasmon ko bilkul
band kardo.

Maut ke baad ki islami rasmein

Kafan wa dafan ka saara kharcha ya to khud mayyit ke


maal se ho aur agar kisi ki beewi ya bachha mara hai to
shauhar ya baap ke maal se ho maika se hargiz hargiz
na liya jaaye mayyit ke maal se karein. In dawaton ka
ye shara'I hukm hai, kisi se hargiz hargiz na liya jaaye.
Mayyit walo ke ghar padosi ya qarabatdar sirf ek din
khana le jaaye aur wo bhi itna jitna ke khaalis ghar
walo ya unke pardesi mehmano ko kaafi ho aur usmein
sunnat ki niyyat kare na ke dunyavi badla aur naam wa
namood ki, agar teen roz tak ta'aziyat ke liye mayyit
wale mard kisi jagah baithe to koi harj nahin magar
usmein huqqa ka daur bilkul na ho balki aane wale
fatiha padte aayein aur sabr ki hidayat karte jaaye.
Islami Zindagi 141

Teen din ke bad ta'aziyat ke liye koi na baithe aur na


koi aaye haan jo pardesi qarabatdar safar se aaye to jab
bhi pahunche mayyit walo ki ta'aziyat kare yaani pursa
de, aurtein jab kisi ke ghar pursa dene aati hai to khwah
ma khwah mayyit walo se mil kar roti hain chahe aansu
na aaye mil kar awaz nikaalna zaruri hota hai ye bilkul
ghalat tariqa hai, unko sabr ki talqin karo aur 40wa
barsi waghairah zarur karna chahiye magar is mein do
baaton ka khyaal zarur rahe ek to ye ke jahan tak ho
sake mayyit ke maal se na kare, agar koi waris bachha
hai tab iske haq se khairat karna haraam hai lihaza koi
qarabatdaar khana pina waghairah apne maal se kare
aur dusre ye ke khana sirf fuqra aur ghurba ko khilaya
jaye aam biradari ki roti hargiz hargiz na ki jaaye aur
fuqara par is qadr kharch kiya jaaye jitni hasiyat ho
qarz lekar to hajj aur zakaat dena bhi jaaiz nahi ye
sadqa waghairah se bad kar nahi, iski puri tehqeeq ke
liye aala hazrat quds sirahhu ki kitab "Jaliyussaut"
dekho balki dekhne walo se humko maloom huwa hai
ke Aala Hazrat Fazile Bareilvy rahmatullah ta'ala alaihi
jab kisi ke yahan pursa dene jaate to uske ghar huqqa,
paan bhi istemal na karte they. Kisi ne arz kiya ke
hazrat ye to dawat nahin faqat ek tawazo hai ye kyun
nahin istemal farmate to farmaya ke
Zukam ko roko taaki bukhar se aman rahe.
Humari is guzarish ka maqsad ye nahin ke teeja, 10wa,
40wa waghairah na karo ye to deobandi ya wahabi
Islami Zindagi 142

kahega maqsad ye hai ke us auliya ke naam wa namood


ke liye na karo balki najaaiz aur fuzool rasmon ko is se
nikal do, haq ta'ala taufiq ata farmaye aameen.

Meeras

Islami qanoon mein musalmanon ki saari aulad yaani


ladke ladkiyan apne maa'n baap ke marne ke baad uske
maal se meeras lete hai ladke ko ladki se doguna milta
hai magar hinduo, aariyo ke dharm mein ladki baap ke
maal se mehroom hoti hai aur sab maal ladka hi leta
hai ye saaf zulm hai jab donon ek hi baap ki aulad hai
to ek ko meeras dena aur ek ko na dena iske kya
muaani? Lekin kathiyawad aur punjab ke musalmanon
ne apne liye ye hindu'ani qanoon qabool kiya hai aur
hukoomat ko likh kar de diya hai ke hum ko hindu'ani
qanoon manzur hai jiske muaani ye huye ke hum
zindagi mein to musalman hain aur marne ke bad
nauzubillah hindu. Yaad rakho! Qiyamat mein iska
jawab dena padega agar islam ke is qanoon se narazi
hai to kufr hai aur agar isko haq jaan kar is par amal na
kiya to haqtalfi aur zulm hai.

Ladke tumko kya bakhsh dete hain aur ladkiyan kya


chhin leti hai? Jab tum mar hi gaye to ab tumhara maal
koi bhi le tumko kya? Tum bete ki muhabbat mein
Islami Zindagi 143

apni aakhirat kyun tabah karte ho? Tumhara khayaal


bhi ghalat hai ke ladki tumhara maal barbad kar degi,
humne to ye dekha hai ke apne baap ki chiz ka dard
jitna ladki ko hota hai utna ladke ko nahin hota. Ek
jagah ladko ne apne baap ka makaan farokht kiya ladke
to khushi se farokht kar rahe the magar ladki bahut roti
chillati thi ke ye mere baap ki nishani hai isko dekh kar
apne baap ko yaad kar leti hoon main apna hissa
farokht na karungi uske rone se dekhne wale bhi rone
lage aur budhape mein jitni maa'n baap ki khidmat
ladki karti hai itni khidmat ladka nahin karta phir us
gharib ko kyun mehroom karte ho? Ladke to marne ke
baad qabr par fatiha ko bhi nahin aate lihaza zaruri hai
ke ladki aur ladke ko pura hissa do. Kathiyawad mein
ek qaum "Aaga khaani khoza" agar unke do bete ho to
ek ka naam qasim bhai aur dusre ka naam ram laal ya
molji aur kehte hain ke agar qiyamat ke din musalman
ki bakhshish hui to qasim bhai bakhshwa lega aur agar
hinduo ki najaat hui to ram laal hath pakdega kya ye
hi humne bhi samajh rakha hai ke zindagi mein islami
kaam karein aur meeras mein hinduo ke qanoon
ikhtiyar kare taaki donon qaumein khush rahe?

Agar musalmanon ko yahi fikr hai ke humari aulad


humara maal barbad kar degi to chahiye ke apni
jaaydad, makanaat, dukanein waghairah apni aulad par
waqf kar dein iska fayda ye hota hai ke humare baad
Islami Zindagi 144

humari aulad hi humari jaaydad aur makanaat se har


tarah nafa uthaye aur usmein rahe uska kiraya khaye
aur hissa e rasad kiraya ko aapas me taqsim kare magar
usko rehan (girwi) na kar sake usko bech na sake isse
insha Allah azwajjal tumhari jaaydad aur makanaat
mehfooz ho jayenge kisi ke hath farokht na ho sakenge
aur tum gunah se bhi bach jaoge. Agar musalman is
qanoon par amal karte to aaj unki jaaydad e hinduo ke
pass na pahunch jaati. Waqf alal aulad karne ka tariqa
kisi alim se puchh lena chahiye aur meeras ke liye
humne ek kitaab urdu zuban mein likh di hai jiska
naam hai "Ilmul meeras" iska mutala karo.

Humare baz doston ki farmaish thi ke kitab ke aakhir


mein faydemand wazife aur amal rozana padhne ke bhi
aur mutabarrak tarikho aur badi raaton ke bhi bayan
kar diye jaaye kyun ke log unse bekhabar hai. Main
muslaman ke fayde ke liye wo amal jo ke bafazlihi
ta'ala 100% kamyab hain aur jiski mujhko mere wali
nemat murshid barhaq Hazrat Sadrul Afazil Maulana
Muhammad Naimuddin sahab qibla rahmatullah
ta'ala alaihi ki taraf se ijazat hai, khaas liwajhillah
batata hoon aur sunni musalmanon ko inki ijazat deta
hoon.
Zaruri note :
Har amal ki kamyabi ki do shartein hai :
Islami Zindagi 145

Awwal aamil ka sahi ul aqeeda hona aur har


badmazhab khusoosan deobandi aur wahabi ki sohbat
se bachna, dusra shara'i ahkaam khusoosan namaz roze
ka sakhti se paband hona. Mareez agar dawa kare
magar parhez na kare to dawa fayda nahi pahunchati
isi tarah agar un mazkura amal ka karne wala ye do
parhez na karega to kamyab na hoga.

12 mahinon ki mutabarrak tarikho ke wazife


aur amaliyaat

10wi muharram:
Ashura muharram ki 9wi aur 10wi ko roza rakhe to
bahut sawab payega, baal bachhon ke liye 10wi
muharram ko khub achhe achhe khane pakaye to insha
Allah azzwajjal saal bhar tak ghar mein barkat rahegi.
Behtar hai ke haleem (khichda) paka kar hazrat
shahide karbala Imaam Husain radiallaho ta'ala anhu
ki fatiha kare bahut mujarrab hai, isi tarikh ko ghusl
kare to tamam saal insha Allah ta'ala bimariyon se
aman mein rahega kyun ke is din aabe zam zam tamam
paaniyon mein pahunchta hai.
(tafseer ruhul bayan para 12 aayat qissa nooh)

Isi 10wi muharram ko jo surma lagaye to insha Allah


ta'ala saal bhar tak uski aankhein na dukhein.
Islami Zindagi 146

Rabiul awwal ka milad shareef:


Rabiul awwal ki 12wi tarikh ko huzoor sallallaho alaihi
wasallam ki wiladat paak ki khushi mein roza rakhna
sawab hai magar behtar ye hai ke do roze rakhein aur
is mahina mein mehfil e milad shareef karne se tamam
saal bhar barkatein aur har tarah ka aman rehta hai.
(ruhul bayan zere aayat muhammadur rasoolullah)

Iska bahut tajriba kiya gaya hai aur 11wi, 12wi


tarikhon ki darmiyani raat ko tamam raat jaage, is raat
mein ghusl kare, naye kapde badle, khushbu lagaye,
wiladat paak ki khushi kare aur bilkul theek subah
sadiq ke waqt qiyam aur salam kare insha Allah
azzwajjal jo bhi nek dua mange qubool hogi bahut hi
mujarrab hai aur aetiqaad shart hai. La ilaaj mareez aur
bahut musibat zadon par aazmaya gaya durust paaya
magar qiyam aur salam ka waqt nihayat sahi ho.

Rabiul aakhir ki 11wi shareef:


Is mahina mein har musalman apne ghar mein Huzoor
Ghaus Paak Sarkare Baghdad radiallaho ta'ala anhu ki
fatiha kare saal bhar tak bahut barkat hogi agar har
chand ki 11wi shab ko yaani 10wi aur 11wi tarikh ki
darmiyani raat ko muqarrar paison ki sheerini
musalman ki dukan se kharid kar pabandi se 11wi ki
fatiha diya kare to rizq mein bahut hi barkat hogi aur
Islami Zindagi 147

insha Allah ta'ala kabhi pareshan haal na hoga magar


shart ye hai ke koi tarikh naaga (discontinue) na kare
aur jitne paise muqarrar kar de usmein kami na ho,
utne hi paise muqarrar kare jitne ki pabandi kar sake
khud main iska sakhti se paband hoon aur bafazlihi
ta'ala iski khubiyan beshumar pata hoon.

Rajab:
Rajab ke mahine me 13wi, 14wi aur 15wi tarikh ko
roze rakhe inko "Hazari roza" kehte hain kyun ke in
rozon ka sawab mashhoor ye hai ke 1000 rozon ke
barbar hain. 22wi rajab ko Imaam Ja'afar Sadiq
radiallaho ta'ala anho ki fatiha karein bahut si adi hui
musibatein tal jaati hain.
27wi rajab ko merajunnabi nabi sallallaho alaihi
wasallam ki khushi mein jalse karein, khushiyan
manayein, raat ko jaag kar nawafil padein. Punjab
mein rajab ke mahina me zakaat nikalte hai lekin zaruri
ye hai ke jab maal ka saal poora ho jaaye to fauran
zakaat nikaal de rajab ka intezar na kare, haan saal
poora ho jaane se pehle bhi nikaal sakta hai aur agar
ramzan mein zakaat nikaale to zyada behtar hai kyun
ke ramzan mein nek kaamon ka sawab zyada hai.

Sha'aban, shabe baraat:


Is mahina ki 15wi raat jisko shabe baraat kehte hai
Islami Zindagi 148

bahut mubarak raat hai is raat mein qabristan jana,


wahan fatiha padhna sunnat hai. Isi tarah buzurgane
deen ke mazarat par hazir hona bhi sawab hai agar ho
sake to 14wi aur 15wi tarikh ko roze rakhe, 15wi tarikh
ko halwa waghairah buzurgane deen ki fatiha padh kar
sadqa wa khairat kare aur 15wi raat ko saari raat jaag
kar nafil padhe aur is raat ko har musalman ek dusre
se apne qusoor maaf kara lein, qarz waghairah ada
karein kyun ke bughz wale musalman ki dua qabool
nahin hoti aur behtar ye hai ke 100 rak'at nafal padhe.
Do do rak'at ki niyat baandhe aur har rak'at mein ek
ek baar surah fatiha padh kar 11 martaba surah ikhlas
padhe to rab ta'ala uski tamam haajatein poori farma
de aur uske gunah maaf farma de.
(tafseer ruhul bayan surah dukhaan)
Aur agar tamam raat na jaag sake to jis qadr ho sake
ibadat kare aur ziyarate qubur kare (auraton ko
qabristan jana mana hai) lihaza wo sirf nawafil aur roze
ada karein, agar is raat ko 7 patte beri ke paani mein
josh dekar ghusl kare to inshahul azeez tamam saal
jadu ke asar se mehfooz rahega.

Maahe Ramzan:
Ye wo mubarak mahina hai jiska har har minute
barkaton se bhara huwa hai, isme har waqt ibadat ki
jaati hai, din ko roza aur tilawat e qur'an paak aur raat
taraweeh aur sehri mein guzarti hai magar is maah
Islami Zindagi 149

mein ek raat badi mubarak hai. Din to jumu'atul


wadah ka din aur raat 27wi raat, iske kuchh amal
bataye jate hai :
Ramzan sharif ki 27wi raat ghaliban shabe qadr hai, is
raat ko jaag kar guzaare agar tum raat na jaag sake to
sehari kha kar na soye aur ye dua zyada mange:
Tarjuma : "Ilaahi azzwajjal tujh se aafiyat
mangta hoon deen wa dunya aur aakhirat ki"
Agar ho sake to 100 rak'at nafil do do ki niyyat se
padhe aur har rak'at mein surah fatiha ke baad surah
qadr ek bar aur surah ikhlas teen teen baar padh le aur
har salam par kam az kam 10 baar durood shareef
padhta jaaye aur behtar ye hai ke isi 27wi shab ko
taraweeh ka khatm qur'an bhi kiya jaaye.
(tafseer ruhul bayan surah qadr)

Jumu'atul wadah mein namaz qaza e umri padhe, iska


tariqa ye hai ke jumu'ahtul widah ke din zuhar wa asar
ke darmiyan 12 rak'at nafal do do rak'at ki niyyat se
padhe aur har rak'at mein surah fatiha ke baad ek baar
aayatal kursi aur teen baar surah ikhlas aur ek baar
surah falaq aur surah naas padhe iska fayda ye hai ke
jis qadr namazein usne qaza karke padhi hogi unke
qaza karne ka gunah in sha Allah azzwajjal maaf ho
jayega ye nahin ke qaza namazein is se maaf ho jayegi
wo to padhne se hi ada hogi. Eid, Baqar eid ki raaton
Islami Zindagi 150

mein ibadat karna sawab hai.


Jo koi is kitab se fayda uthaye to mujh faqeer be nawa
ke liye dua kare ke rab ta'ala imaan par khatima naseeb
farmaye aameen.

Zimniya Islami Zindagi

Musalmaan aur bekaari

Musalmanon ko barbad karne wale asbaab mein se


bada sabab unke jawanon ki bekaari aur bachhon ki
awaragi hai. Aaj ke musalmanon par akhrajaat zyada
aur aamdani ke zariya mehdood balki qariban nabood
hain, yaqeen karo bekaari ka natija nadaari hai nadaari
ka anjam qarzdari aur qarzdari ka anjam zillat wa
khwari hai balki sach to ye hai ke nadaari wa muflisi
sadaha aibon ki buniyad hai.

Chori, daketi, bheek, badmashi, jaalsazi iski shakhein


hai aur jel phaansi iske phal, muflis ki baat ka wazan hi
nahin hota. Peshewar waaiz aur ulama ko badnaam
karne wale muhazzab bhikari aala darja ka wa'az keh
kar jab aakhir mein keh dein ke bhaiyon mere paas
kiraya nahi, main muflis hoon meri madad karo in do
lafzon se saara wa'az bekaar ho jata hai.
Bheek wo khatai hai jo wa'az ke saare nasha ko utaar
deti hain haq to ye hai ke muflis ki na namaz itminan
Islami Zindagi 151

ki na roza, zakaat wa hajj ka to zikr hi kya ye ibadatein


usey naseeb hi kaise hon.
Shaikh sa'adi alaihirrahma ne kya khoob farmaya:
"Beewi bachchon aur roti kapde ka gham aabid
sahab ko malakut ki sair se niche utaar lata hai
namaz ki niyyat baandte hi khyaal paida hota
hai subah bachhe kya khayenge"
Isliye musalmanon ko chahiye ke bekaari se bache!
Apne bachhon ko aawara na hone dein aur jawanon ko
kaam par lagayein. Dusri qaumon se sabaq lein dekho
hinduo ke chhote bachhe ya school wa college mein
nazar aayenge ya khawancha bechate. Musalmanon ke
bachhe ya patang udate dikhae denge ya gend balla
khelte, deegar qaumon ke jawan kachehriyon, daftaron
aur umda umda ohadon ki kursiyon par dikhai denge
ya tijarat mein mashgul nazar aayenge magar
musalmanon ke jawan ya fashionable ya aish parast
milenge ya bheek mangte dikhae denge ya badmashi
karte nazar aayenge.

Cinema muslmanon se aabad, khel tamashon mein


musalman aage aage, titar baazi, bater baazi aur patang
baazi murgh baazi garz saari baaziyan aur halakat ke
saare asbaab muslim qaum mein jama hain. Main to
ye dekh kar khoon ke aansu rota hoon ke zalil
peshewar musalman hi milte hain, meerasi musalman,
Islami Zindagi 152

randiyan aksar musalman, zanane (hijde) musalman,


yakka wa taanga wale aksar musalman, juwari wa
sharabi aksar musalman, afsos jo deen badmashiyon ko
dunya se mitane aaya us deen ke manne wale aaj
badmashiyon mein awwal number.
Yaqeen karo humara zinda rehna aur hum par azaabe
ilahi na aana sirf isliye hai ke hum huzoor sallallaho
alaihi wasallam ki ummat mein hai, rab ta'ala ne
farmaya:
"Aur Allah ka kaam nahin ke unhein azaab kare
jab tak aye mehboob tum unme tashreef farma
ho. (surah anfaal aayat 33)
Warna pichhli halak shuda qaumon ne jo jurm ek ek
karke kiye the hum un sab ke barabar balki unse badh
kar karte hain. Shoaib alaihissalam ki qaum kam tolne
ki mujrim thi, Looth alaihissalam ki qaum ne
haramkari ki lekin dudh mein se makhkhan nikaal
lena, wilayati ghee desi ghee bana kar bech dena
waghairah waghairah inke baap dadao ko bhi na aata
tha lihaza musalmanon! Hosh mein aao jald koi halal
karobaar shuru karo. Ab hum bekaari ki buraiyon aur
halal kamai ke naqli wa aqali fazael bayan karte hain.

Kasab ke naqali fazail:


1) huzoor e anwar sallallaho alaihi wasallam ne farmaya
sab se behtar ghiza wo hai jo insaan apne hatho ki
Islami Zindagi 153

kamai se khaye Dawood alaihissalam bhi apni kamai


se khate the. (bukhari wa mishkat baab ul kasab)

2) farmate hain sallallaho alaihi wasallam ke tayyib


cheez wo hai jo tumne apni kamai se khayi aur tumhari
aulad tumhari kamai hai yaani maa'n baap aulad ki
kamai kha sakte hai. (tirmizi, ibne maaja)

3) farmate hain sallallaho alaihi wasallam ke ek zamana


aisa aayega jismein rupiya paisa ke siwa koi cheez kaam
na degi. (musnad imaam ahmad bin hambal)

4) farmate hain sallallaho alaihi wasallam halal kamai


farz ke baad farz hai.(baihaqi)
Yaani namaz roza ke baad kasabe halal farz hai.

5) farmate hai sallallaho alaihi wasallam ke rab ta'ala


ne musalmanon ko us cheez ka hukm diya jiska
paigambaron ko diya tha ke ambiya e kiram se
farmaya:
"Aey paighambaron! Halal rizq khao aur nek
amal karo".
Aur musalmano se farmaya:
"Aey musalmanon! Humari di hui halal
cheezein khao".
6) baaz log hath phaila phaila kar gidgida kar duayein
Islami Zindagi 154

mangte hai halanki unki ghiza, unka libas haraam


kamai ka hota hai phir unki dua kyunkar qabool ho.
(muslim)

7) farmate hain sallallaho alaihi wasallam k teen


shakhson ke siwa kisi ko mangna jaaiz nahin ek wo jo
kisi maqruz ka zaamin ban gaya aur qarz use dena pad
gaya, dusra wo jiska maal aafate naagahani se barbad
ho gaya, teesra wo jo faaqa mein mubtala ho gaya inke
siwa kisi aur ko sawal halal nahi.
(muslim, mishkat, kitab ul zakaat)

8) ek baar huzoor sallallaho alaihi wasallam ki khidmat


mein kisi ansari ne sawal kiya farmaya 'kya tere ghar
mein kuchh hai?" arz kiya sirf ek kambal hai jisko
aadha bichhata hoon aadha odhta hoon aur ek piyala
jis se paani pita hoon farmaya wo dono le aao wo le
aaya huzoor ne majma se khitaab karke farmaya ise kon
kharidta hai ek ne arz kiya ke main ek dirham se leta
hoon, phir do teen baar farmaya ke dirham se zyada
kaun deta hai? Dusre ne arz kiya main do dirham (9
aane) mein kharidta hoon huzoor sallallaho alaihi
wasallam ne wo donon unhin ko ata farma di (nilami
ka suboot hua) aur ye do dirham un saail sahab ko de
kar farmaya ke ek ka ghalla kharid ke ghar mein daalo
aur dusre dirham ki kulhadi kharid kar mere pass lao
phir us kulhadi mein apne daste mubarak se dasta
Islami Zindagi 155

daala aur farmaya jao lakdiya kaato aur becho aur 15


din tak mere pass na aana, wo ansari 15 roz tak lakdiya
kaat'tey aur bechte rahe 15 roz ke bad jab bargahe
nabwi mein hazir hue to unke paas khane peene ke
baad 10 dirham yaani paune teen rupye bache the
usmein se kuchh ka kapda kharida aur kuch ka ghalla.
Huzoor sallallaho alaihi wasallam ne farmaya ye
mehnat tumhare liye mangne se behtar hai.
(ibne maaja, mishakt, kitabul zakaat)

8) farmate hain sallallaho alaihi wasallam ke jo koi


bheek na mangne ka zaamin ban jaaye mein uske liye
jannat ka zaamin hoon. (nasai wa abu dawood)

9) Huzoor alaihissalam ne Abuzar se farmaya ke tum


logon se kuchh na mango arz kiya bahut achha farmaya
agar ghode par se tumhara koda gir jaaye to bhi kisi se
na mango utar kar khud lo. (ahmad, mishkat)

10) farmate hain sallallaho alaihi wasallam jo koi apna


faaqa makhlooq par pesh kare Allah ta'ala uski faqeeri
badhayega. Tama'a faqeeri hai aur Yaas ghina.

Kamai ke aqli fawaid :


1) halal kamai paigambaron ki sunnat hai.
2) kamai se maal badhta hai aur maal se sadaqa,
khairat, hajj, zakaat, masjidon ki tameer, khanqahon
Islami Zindagi 156

ki imarat ho sakti hai. Hazrate Usman radiallaho ta'ala


anhu ne maal ke zariye jannat kharid li.
3) kamai khel kood aur sadaha jurmon se rok deti hai.
Chori, daketi, badmashi, chughli, ghibat, ladai jhagde
sab bekaari ke natije hain.
4) kasab se insaan ko mehnat ki aadat padti hai aur dil
se ghurur nikal jata hai.
5) kasab me ghurbat wa faqeeri se aman hai aur gharibi
deen wa dunya barbad kar ke donon jahan mein munh
kaala karti hai, illa masha Allah.
6) jo koi kamai ke liye nikalta hai to amal likhne wale
firishte kehte hai ke Allah ta'ala teri is harkat mein
barkat de aur teri kamai ko jannat ka zakhira banaye is
dua par zameen wa aasman ke firishte aameen kehte
hai. (tafseere naimi para 2, ruhul bayan)

Ambiya e kiraam ne kya peshe ikhtiyar kiye?

Kisi paigambar ne na sawal kiya na najaaiz peshe kiye


har nabi ne koi na koi halal pesha zarur kiya.
Chunanche Adam alaihissalam ne awwalan kapde
bunne ka kaam kiya aur baad mein aap kheti baadi
mein mashghool ho gaye, har qism ke beej jannat se
sath laye the unki kaasht farmate the inke siwa saare
peshe kiye. Nooh alaihissalam ka zariya e ma'ash lakdi
ka kaam tha (badai pesha) aur Idris alaihissalam darzi
giri farmate the. Hazrat Hood aur Saaleh
Islami Zindagi 157

alaihimussalam tijarat karte the, Hazrat Ibrahim


alaihissalam ka mashgala kheti baadi tha, Hazrat
Shoaib alaihissalam janwar paalte aur unke dudh se
ma'ash hasil karte the, Looth alaihissalam kheti baadi
karte the, Moosa alaihissalam ne chand saal bakriyan
charayi, Dawood alaihissalam zirah banate the,
Suleman alaihissalam itne bade badshah ho kar
darkhton ke patton se pankhe aur zanbilein bana kar
guzar farmate the, Eisa alaihissalam sairo sayyahat
mein rahe na kahin makaan banaya na nikah kiya aur
farmate the ke jisne mujhe nashta diya hai wo hi shaam
ka khana bhi dega.
Huzoor Sayyide Aalam sallallaho alaihi wasallam ne
bakriyan bhi charayi hain aur Hazrat Khadija
radiallaho ta'ala anha ke maal ki tijarat bhi farmayi
gharz har qism ki halal kamaiyan sunnate ambiya hai
isko aar (bura) janna nadaani hai.
(tafseer naemi, tafseer azeezi)

Behtar pesha

Afzal pesha jihad, phir tijarat, phir kheti baadi, phir


san'at wa harfat hai ulama -e- kiraam ne farmaya ke
jaaiz peshon mein tarteeb hai ke baaz se baaz aala hain
jin peshon se deen wa dunya ki baqa hai dusre peshon
se afzal hain. Chunanche behtar san'at deeni tasneef
aur kitab hai ke isse qur'an wa hadees aur saare deeni
Islami Zindagi 158

uloom ki baqa hai phir aatey ki pisai aur chawal ki saaf


karayi ke isse nafse insaan ki baqa hai, phir ruyi
dhunai, soot katai aur kapda bunna hai ke isse satr
poshi hai, phir darzi giri ka pesha bhi ke iska bhi yehi
fayda hai, phir roshni ka saman banana ke dunya ko
iski bhi zarurat hai, phir ma'ammari, eint banana
(bhatta) aur chune ki taiyari hai ke isse shehar ki abadi
hai rahi zargiri, naqqashi, karchobi, halwa sazi, attar
banana ye peshe jaaiz hai magar unka koi khaas darja
nahin kyun ke faqat zinat ke saman hai.
Khulasa ye hai ke bekaar rehna bada jurm hai aur
najaaiz peshe karna usse badh kar jurm. Rab ta'ala ne
hath paanv waghairah baratne ke liye diye hain na ke
bekaar chhodne ke liye. (tafseer naemi, tafseer azeezi)

Najaaiz peshe:
Be murawwati ke peshe makrooh hai jaise zarurat ke
waqt ghalla rokna, aghsaali, kafan dozi ke peshe,
wakalat aur dalali, haan ba waqte zarurat in donon
mein haraj nahin jab ke jhoot waghairah se bache,
haraam cheezon ke karobar haraam hai jaise gaana,
bajana, nachna, shukre baazi, bater baazi waghairah
jhooti gawahi ke peshe, aise hi sharab ki tijarat ke
sharab khichna, khichwana, bechna, bikwana,
kharidna, kharidwana, majdoori par kharidaar ke ghar
pahunchana ye sab haraam hai, aise hi janwar ke photo
Islami Zindagi 159

ki tijarat najaaiz hai photo bhi khichna, khichwana


najaaiz, juwe ke karobar haraam, juwa khelna, juwe ka
maal lena sab haraam hai, aise hi musalmano se soodi
karobar haraam sood lena, khana aur uske gawah
banna wakalat karna sab haraam hai.

Ulama -e- mutqaddimeen imamat, azaan, masjid ki


khidmat, ilme deen ki taleem par majdoori lene ko
makrooh qarar farmate the magar ulama -e-
mut'akhkhireen ne jab ye dekha ke is soorat mein
masjidein viraan ho jayengi, taleeme deen band aur
imamat, azaan mauqoof ho jayengi lihaza ise bila
karahat jaaiz qarar farmaya. Taawiz ki ujrat bila
karahat jaaiz hai.

Khulasa ye ke haraam aur makrooh peshon ke siwa kisi


jaaiz peshe mein aar (burai) nahin jo log peshe ko aar
(bura) samajh kar qarzdaar ho gaye wo deen wa dunya
mein nuqsan mein rahe. Musalmanon ki aqal par kaha
tak maatam kiya jaye in Allah ke bandon ne sood lena
haraam jana aur dena halal samja, bila zarurat
muqaddima baazi, shadi ghami ke rusoom ada karne
ke liye bedhadak soodi qarz lekar barbad hote hai.
Khyaal rakho ke sood lene wala sirf gunahgar hai aur
sood dene wala gunahgar bhi hai aur bewakoof bhi ke
sood khor apni aakhirat barbad karke dunya leta hai
magar sood dene wala bewakoof apne deen wa dunya
Islami Zindagi 160

donon barbad karta hai. Maine ek kitab mein dekha


ke is waqt hindustan ke musalmanon par deegar
qaumon ka 1.5 arab wo soodi rupya qarz hai jinke
muqaddimaat daair hain aur ye to dekhne mein bahut
aata hai ke musalmanon ke muhalle ke muhalle,
makanaat, dukanein, jaaydad is sood ki ba daulat
mubiyon ke pass pahunch gayi kaash! Agar musalman
sood dene ko soodkhori ki tarah haraam samajhte to
unhein ye roze bad dekhna naseeb na hota. Kash! Ab
bhi musalmanon ki aankhein khul jaaye aur apna
mustaqbil sambhal lein, samajh lo ke agar tum zameen
se mehroom ho gaye to hindustan mein tumhari
haisiyat musafir ki si hai ke kuffar jab chahe tum se
apni zameen khaali kara lein.

Ma'azur musalman:
Aam taur par dekha gaya hai ke musalmanon mein
andhe, apahij log aur bewa auratein, yateem bachhe
bheek par guzara karte hai, jagah jagah railo aur gharon
mein yateem bachhe yateem khanon ke naam par
bheek mangte phirte hai magar hindu nabina, lule
langde apne layaq mehnat mazdoori karke pet paalte
hai. Maine bahut se andhe aur langde hindu surkhi
kut'tey, tambaku banate aur aisi mazdoori karte huye
dekhe jo wo na kar sakein, inke yateem bachhon ke
liye aasharam aur pathshaale khule huye hain.
Islami Zindagi 161

Amritsar mein ek gaurd kul (darul yataama) hai jisme


hindu wa yateemon ko talim di jaati hai wahan ka
tariqa e taleem ye hai ke do ghante padhai aur do
ghante kisi hunar ki taleem maslan sabun saazi, darzi
giri, karchobi waghairah phir baad dopeher wo bachhe
diya salai ki dabbiyan, batan aur deegar chhoti chhoti
cheezein lekar bazar mein baith jaate hai aur sham tak
8-10 aane kama hi lete hai gharz ke bheek se bhi bachte
hai aur madarsa se ilm ke sath hunar bhi sikh kar
nikalte hai.

Ab batao ke jab musalmanon ko ye bheekari yateem


khana se aur hinduo ke karobari yatim gaurd kul se
niklenge to unki zindagi meij kitna farq hoga.

Aey muslim qaum! Apni aane wali nasl ko sambhal, ye


samjhana ke ma'azur aadmi kuchh nahin kar sakta
sakht ghalat hai. Maine gujrat punjab mein ek aisa
nabina musalman bhi dekha jo hazaron rupiyon ki
tijarat karta hai us se main is natija par pahuncha ke
ma'azuri ke bawajood bhi karobar ho sakta hai mere
nazdik wo musalman jo sirf panj waqti namaz padhe
aur kama kar khaye us kam himmat se afzal hai jo qawi
aur tandurust ho kar sirf wazife padha kare aur bheek
ko zariya e ma'ash banaye.
Sahaba e kiraam radiallaho ta'ala anhu sirf namazi hi
na the wo masjidon mein namazi the, maidane jung
Islami Zindagi 162

mein bahadur ghazi, kachehri mein qazi aur bazar


mein aala darja ke karobari gharz ye ke madrasa nabawi
mein unki aisi aala talim huyi thi ke wo masjidon mein
malaika e muqarrabin ka namoona hote the, masjidon
se bahar mudabbirate (hidayat) amar ka naqsha pesh
karte the.

Pesha aur qaumiyat:


Musalmanon ki bekaari ki wajah unki jhooti qaumiyat
aur ghalat qaum parsati hai. Hindustan ke
musalmanon ne peshe par qaumiyat banayi aur
peshwar qaumon ko zalil jana, un bewkoofo ke
nazdeek jo kama ke halal rozi khaye wo kamina hai aur
bhikari, soodi, maqruz, chori, daketi karne wala sharif
Allah ta'ala aqal nasib farmaye. Jo kapda bunnne ka
pesha kare wo jolaha ho gaya, jo musalman chamde ka
karobar karne lage unhe mochi ka khitab mil gaya, jo
kapda sikar apne bachhon ko paale darzi kehla kar
qaum se bahar huwa, jo ruyi dhunne ka kaam kare wo
dhuniya kehlaya gaya aur uthate baithate un par ta'ane
bhi hain, unka mazaq bhi udaya ja raha hai, baat baat
mein kaha jata hai hat jolahe, chal be dhuniye, door ho
mochi yahan tak dekha gaya hai ke agar kisi khandan
mein kisi ne kabhi chamde ki tijarat ki to uske parpote
ko apni qaum mein ladki nahin milti kaha jata hai ke
uski fulani pusht mein chamde ki dukaan hoti thi. Is
Islami Zindagi 163

bewakoofi ka ye anjam huwa ke musalman saare pesho


se mehroom reh gaye ab unke sirf teen raste hain ya
laala ji ke yahan zillat ki naukari karein ya zameen
jaaydad bech kar khaye ya bheek mange, chori kare aur
apni sharafat ko odhe aur bichhaye. Khyaal rakho ke
tamam mulkon mein mulk arab aala wa afzal hai ke
wahan hi hajj hota hai aur wo hi mulk aftabe nubuwat
ka mashriq wa maghrib (east west) bana. Baaqi punjab,
bengal, up, iran, tehran, china wa japan sab yaksa hai,
hajj kahin nahin hota na punjabi hona kamaal hai, na
hindustani hona fakhr, na irani hona wilayat hai na
toorani hona behsak ahle arab humare makhdum hai
ke wo huzoore anwar sallallaho alaihi wasallam ke
padosi hai. Aise hi hazrat sadaate kiraam islam ke
shehzade aur musalmanon ke sardar hain huzoor
sallallaho alaihi wasallam ne irshad farmaya hai ke
qiyamat mein saare nasab hasab bekaar honge siwaye
mere nasab ke. (shaami)
Baaqi saari islami qaumein shaikh, mughal, pathan aur
deegar awaam barabar hain in mein nabi zada koi nahi,
sharafat aamal par hai na ke mehaz nasab par.
Rab ta'ala farmata hai-
"Aur tumhein shakhein aur qabeele kiya ke
aapas mein pehchan rakho beshak Allah ke
yahan tum mein zyada izzat wala wo jo tum
mein zyada parhezgar hai" (surah hujuraat aayat 13)
Islami Zindagi 164

Jaise ke zameen me mukhtalif shehar aur gaon hai aur


sheharon mein mukhtalif muhalle taaki mulki intezam
mein aasani rahe aur har ek se khato kitabat ki ja sake,
aise hi insanon mein mukhtalif qaumein hai aur har
qaum ke mukhtalif qabeele taaki insaan ek dusre se
mile jule rahe aur in mein nazm aur intezam rahe,
mehaz qaumiyat ko sharafat ya rizalat ka madaar
thehrana sakht ghalati hai, yaqeen karo ke koi
musalman kamina nahin aur koi kafir sharif nahin.
Izzat wa azmat musalmanon ke liye hai, rab ta'ala
farmata hai:
"Izzat Allah aur rasool ke liye hai aur
musalmanon ke liye"
Phir musalmanon mein jis ke aamal zyada achhe usi ki
izzat zyada, sharif wo jo sharifon ke se kaam kare aur
kamina wo jo kaminon ki si harkatein kare.
Humare wo apne jo Allah wa rasool ke ghair ho is ek
ghair par qurban ho jaaye jo Allah wa rasool sallallaho
alaihi wasallam ke apne ho.

Gharz ke halal peshon ko zillat samajh kar chhod


baithna sakht ghalati hai ab to zamana bahut palat
chuka hai bade bade log kapde aur soot ke karkhane
qaaim kar rahe hai tum kab tak so’oge, khwabe ghaflat
se utho aur muslim qaum ki halat palat do, bekaaron
ko bakaar banao, qarzdaron ko qarz se aazad karo, apne
Islami Zindagi 165

bachhon ko jahil na rakho unhein zarur taleem dilwao


aur sath hi koi hunar bhi sikha do taaki wo kisi ke
muhtaaj na rahe.

Tijarat

Pehle maloom ho chuka hai ke tijarat pesha e ambiya


hai iske beshumar fazail hain. Hadees shareef me hai
ke taajir marzuq hai aur zarurat ke waqt ghalla rokne
wala mal'oon hai. (ibne maaja)

Baaz riwayat mein hai ke rab ta'ala ne rizq ke 10 hisse


kiye 9 hisse taajir ko diye aur ek hissa saari dunya ko.
Neez riwayat mein hai ke qiyamat ke din sachha aur
amin taajir ambiya aur siddiqin aur shuhada ke sath
hoga.

Taajir dar haqeeqat taajwar hain misle mashhoor hai


ke taajir ke sar par taaj hai, tijarat se dunya ka qiyam
hai, tijarat se bazaron ki raunaq, mulkon ki aabadi,
insaan ki zindagi qaaim hai, marte, jeete tijarat ki
zarurat hai, mayyit ko kafan aur qabr ke takhte taajir
hi se kharide jaate hai, saltnat ka madaar tijarat par hai,
aaj mulki junge tijarat ke liye hoti hai.

Taamire masjid ke liye eint, chuna waghairah tajiron


ke yahan se aate hai, masjid ke musalle, chataiya taajir
Islami Zindagi 166

ki dukan se aate hai, ghilaafe ka'aba ke liye kapda taajir


hi se milta hai, satar poshi ke liye kapda aur roza iftaar
ke liye iftaari dukan se hi kharidi jaati hai, qur'an wa
hadees chhapne ke liye kaghaz wa roshnai taajir se hi
milti hai gharz ke tijarat deen wa dunya ke liye zaruri
hai magar afsos ke hindustan ke musalman is se be
behara hai.

Hindustan me musalmanon ki tadad 20 crore hai agar


fi kas 8 aane yaumiya kharch ka ausat ho to musalman
10 crore rupiya roz kharch karte hai aur sab taqriban
ghair qaumon ke paas jaata hai goya har din muslim
qaum 5 crore rupiya kuffar ki jeb mein daalti hai isi
hisab se musalmanon ka mahina 3 arab rupiya salaana
36 arab ghair qaum ke pass pahunchta hai.

Kaash! Agar iska aadha rupiya bhi apni qaum mein


rehta to aaj humari qaum ke din phir jaate ye sab
'nahoosatein' tijarat se door rehne ki hai. Hum Hajj ko
jaaye to ghairon ki jeb bharein, eid manaye to ghair
khayein gharz ke jiye to ghairon ko dein aur marein to
ghairon ko dekar jayein isliye utho aur tijarat mein
kood pado. Aahista aahista mandiyon par qabza karlo
aur apne qabze ka kaam karo kyun ke diyanatdar aur
khair khwah aadmi nahin milte har shakhs apna ulloo
sidha karna chahta hai.
Islami Zindagi 167

Hikayat :
Ek baar Sultan Muhiyudeen Aurangzeb Ghazi
rahamtullah alaihi ne bahut lambi dua mangi ek faqeer
bola ke hazrat! Ab kya gadha chahte ho? Takht par
baithe ho, taaj wale ho, raaj kar rahe ho, baaj le rahe
ho ab itni lambi duayein kaahe ke liye mangte ho?
Aapne fauran farmaya ke hazrat! Gadha nahin aadmi
mangta hoon Allah ta'ala achha mushir ata famraye
gharz ke behtreen sathi bahut mushkil se hath ata hai.

Hikayat :
Kisi ne Hazrate Ali radiallaho ta'ala anhu se puchha ke
iski kya wajah hai ke teen khulafa ke zamana mein
futoohate islamiya bahut huyi aur aap ke zamana e
khilafat mein khana jungi hi rahi aapne fauran jawab
diya ke wajah sirf ye hai ke unke wazir wa mushir hum
the aur humare mushir ho tum jaisa mushir waisa
sultan.

Khush akhlaqi:
Yoon to har musalman ko khush khulq hona lazim hai
magar taajir ko khusoosiyat se khush khalqi zaruri hai.
Musalman tajiron ki nakaami ka ek sabab unki
badakhlaqi bhi hai ke jo grahak (customer) ek baar
unke paas gaya wo unki badkhalqi ki wajah se dubara
nahi aata. Humne hindu tajiron ko dekha ke jab wo
Islami Zindagi 168

kisi muhalla mein nayi dukan rakhte hain to chhote


bachhon ko jo sauda kharidne aayein kuchh raunak ya
chonga bhi dete rehte hain taaki bachhe is lalach mein
humare hi yahan se sauda kharide, bade saudagar khaas
grahakon (customers) ki paan, bidi, cigarette balki
kabhi khane se bhi tawazo karte hain ye sab baatein
grahak ko hila lene ki hain agar tum ye kuchh na kar
sako to kam az kam grahak se aisi meethi baat karo aur
aisi muhabbat se bolo ke wo tumhara garweeda ho
jaaye.

Diyanatdari:
Taajir ko nek chalan, diyanatdar hona zaruri hai,
badchalan, badmash, haramkhor kabhi tijarat mein
kamyab nahin ho sakta use badmashi se fursat hi na
milegi tijarat kab kare. Mushrikeen wa kuffar tijarat
mein bahut diyanatdari se kaam lete hain, diyanatdari
se hi bazar se qarz mil sakta hai, diyanatdari se hi log is
par bharosa karege, diyanatdari se hi bank aur
company chalti hain. Kam taulne wala, jhoota, khaain
kuchh din to ba zahir nafa kama leta hai magar aakhir
kar sakht nuqsan uthata hai.

Mehnat:
Yoon to dunya mein koi kaam baghair mehnat nahin
hota magar tijarat mehnat, chusti aur hoshiyari chahti
Islami Zindagi 169

hai, kaahil sust aadmi kabhi kisi kam mein kamyaab


nahin ho sakta misle mashhoor hai ke baghair mehnat
to luqma bhi munh mein nahin jaata. Taajir khwah
kitna hi bada aadmi ban jaaye magar saare kaam
naukaron par hi na chhode de baaz kaam apne hath se
bhi kare, humane baniyon ko apne hath se daalein
daalte aur sauda khud utha kar late huye dekha.

Tijarat ke usool:
Tijarat ke chand usool hain jin ki pabandi har taajir
par lazim hai yaani pehle hi badi tijarat shuru na kar
do balki mamooli kaam ko hath lagao. Aap hadees
sharif sun chuke ke huzoor sallallaho alaihi wasallam
ne ek shakhs ko ladkiya kaat kar farokht karne ka
hukm farmaya.

Hikaayat:
Ek shakhs tijarat karna chahte the wo kisi mashhoor
farm ke maalik ke pass mashwara ke liye pahunche
unka khyaal tha ke tijarat mein nihayat poshida raaz
honge jinhein maloom karte hi main ek dum lakhpati
ban jauga. Maalike farm ne mashwara diya ke aap 5
rupiya ki diya salai ki dabbiyan lekar bazar mein baith
jaaye agar shaam ko 5 aane ke paise bhi kamaye to aap
kamyab hain jab uski bikri kuchh badh jaaye to iske
sath kuchh cigarette ki dabbiyan bhi rakh le jab ye
Islami Zindagi 170

kaam chal pade to paan chhaaliya bhi rakh lein yaha


tak ke ek din poore paanwadi ban jayenge. Dekho
hinduo ke bachhe pehle hi munim nahin ban jaate
balki awwal mamooli khwanche bechte hain isi
khwanche se ek din lakhpati ban jaate hain. Humne
Kathiyawar mein memon tajiron ko dekha ke jab wo
kisi ko tijarat sikhate hai to ek saal bawarchi rakhte
hain, dusre saal udhar wasool karne par, teesre saal
biltiyan chhudane aur maal rawana karne par, chauthe
saal khurda faroshi par, phir dukaan ki chabiyan
supurd kar dete hai.

Har shakhs apne munasibe taqat tijarat kare qudrat ne


har ek ko alahida alahida kaam ke liye banaya hai kisi
ko ghalla ki tijarat phalti hai, kisi ko kapde, kisi ko
lakdi ki, kisi ko kitabon ki gharz ke tijarat se pehle ye
khub soch lo ke main kis qism ki tijarat me kamyab ho
sakta hoon.

Apni kahani:
Mera mashgala shuru se hi ilm ka raha mujhe bhi
tijarat ka shauq tha ke maine ghalla ki mukhtalif
tijartein ki magar humesha nuqsan uthaya ab kitabon
ki tijarat ko hath lagaya rab ta'ala ne bada faida diya
maloom huwa ke ulama aur mudarriseen ko ilmi tijarat
faydemand ho sakti hai. Humne baaz aise hindu
Islami Zindagi 171

master bhi dekhein hai jo padhate hain aur sath sath


qalam, dawaat, pencil, kagaz waghairah ki madarsa hi
mein tijarat bhi karte hai is nafa se apna mahina kharch
chala kar tankhwah saari bachate hai gharz ke tijarat ke
liye intekhaab kaar ki badi sakht zarurat hai.
Kisi aise kaam mein hath mat daalo jiski tumhein
khabar na ho aur sab kuch dusron ke qabza mein ho.

Ek sakht galti:
Awwalan to musalman tijarat karte hi nahin aur karte
bhi hai to usooli ghaltiyon ki wajah se bahut jald fel ho
jate hai.
Musalmano ki ghaltiyan hasbe zel hain:
1) muslim dukandaron ki badakhlaqi
Jo grahak unke paas ek dafa aata hai phir unki
badmizaji ki wajah se dubara nahin aata.
2) jaldbaz ya nawaqif taajir
Dukan rakhte hi lakhpati banna chahte hain agar do
din bikri na ho ya kuchh ghaata pade to fauran bad'dil
ho kar dukan chhod baithate hai iski bahut misalein
maujood hai.
3) Nafabaazi
Aam taur par musalman taajir jald maaldaar banne ke
liye zyada nafa par tijarat karte hai. Ek hi cheez aur
jagah sasti bikati hai aur uske yahn mehangi to unse
kaun kharidega. Aam tijarat mein nafa aisa chahiye
Islami Zindagi 172

jaise aaatey mein namak, haan naadir wa nayab


cheezon par zyada nafa liya jaaye to haraj nahi.
4) beja kharch:
Nawaqif taajir mamooli karobaar par bahut kharch
bada lete hain inki chhoti si dukan itna kharch nahin
utha sakti aakhir fail ho jate hai.

Musalmaano kharidaro ki ghalti:


Ghair muslim musalmaan taajir ko dekhna chahte hi
nahin unhein musalman ki dukan kaante ki tarah
khatakti hai. Bahut dafa dekha gaya hai hai ke jahan
kisi musalmaan ne dukan nikaali to aas paas ke hindu
dukandaron ne cheezein fauran sasti kar di wo
samajhte hai ke hum to bahut kama bhi chuke aur
aainda bhi kamayenge bhi do chaar mahine agar na
kamaya to na sahi, musalmaan kharidaar ek paise ki
riaayat (discount) dekh kar baniyon par toot padte
hain apne gharib bhai par nazar nahin karte magar
hindu ke yahan paise ke chaar paan mil rahe hain aur
musalman ke yahan teen to musalman se teen lo aur
dil me samajh lo ke agar ye musalman bhai humare
ghar aata to usey ek paan khilana hi padta humne ek
paan se uski tawazo (khaatir) hi kardi, dil mein kuchh
gunjaish paida karo dili gunjaish se qaumein banti
hain.
Islami Zindagi 173

Hikayat:
Mujh se ek taajir ne kaha ke ek angrez meri dukan par
chhuri kharidne aaya maine nihayat nafis japani chhuri
pesh ki jiski qimat 12 aane thi usne chhuri bahut
pasand ki aur bahut khush huwa magar japan ki muhar
padhte hi jhunjla kar patak di bola made japan english
maal lao, maine london ki bani hui mamooli chhuri di
jiski qimat poore 3 rupye thi wo bakhushi le gaya, ye
hai qaum parasti ke japani sasta aur khubsurat maal na
liya aur london ka bana huwa mamooli maal zyada
qeemat se le liya musalman kharidar isse ibrat pakdein.

Maal ke liye ulat palat:


Taajir ke liye ye bhi zaruri hai ke uska maal bila wajah
ruka na rahe jo log giraani ke intezar mein maal qaid
kar dete hain wo sakht ghalati karte hai ke kabhi bajaye
mehngai ke maal sasta ho jaata hai aur agar kuchh
mamooli nafa pa bhi liya to bhi khaas faida nahin hasil
hota. Saal mein ek baar aththani rupya nafa ho jane se
rozana ikanni rupiya nafa behtar hai, tijarat ke aur bhi
bahut se usool hai jo kisi taajir se hasil ho sakte hai.
Musalmanon! Halal rizq hasil karo, bekaari sadaha
gunahon ki buniyad hai, rizqe halal se ibadat mein
zauq, nekiyon ka shauq aur uska jazba paida hota hai,
jis ghar ke bachhe aawara aur jawan bekaar ho wo ghar
chand din ka mehmaan hai.
Islami Zindagi 174

Haq ta'ala meri is nachiz gufatgu mein asar de aur meri


muslim qaum ko bekaari se bachaye aur mujhe wo din
dikhaye ke main apne musalman bhai ko deendar,
farighul baal aur musalmaan ka khair khwah dekhun.
Aameen ya rabbal aalameen
OUR OTHER PUBLICATIONS

Abde Mustafa Publications


Powered By Abde Mustafa Organisation
@abdemustafaorg
abdemustafa.org

You might also like