Nothing Special   »   [go: up one dir, main page]

Namaz Ki Fazilat in Urdu PDF

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 12

Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

Author: Mantasha Arif Ghazi Aligarh

Eaman ke baad islam ka ahem tareen rukn namaz


he. Quran kareem or ahaadeese shareefa me namaz
ke fazail aur iski ahmiyat ko kasrat se bayan kiya
gya he. Namaz ko qaym karne per bhut bade bade
wade or namaz ko chhodne per sakht se sakht wa
eeden warid hui hen.

Nabi sallallahu alayhi wasallam paanch namazo ke


alawa Namaze Tahajjud Namaze Ishraq Namaze
Chaasht Tahayyatul Wuzoo or Tahayyatul Masjid ka
bhi ehtmam karte thhe.

Aur phir khas khas mawaqe per apne rab ke huzoor


toba w istaghfar ke liye namaz hi ko zariya banate
the.

Suraj Garhan ya Chaand Garhan hota to ap sallallahu


alayhi wasallam masjid tashreef le jate thhe.

Zalzala aandhi ya toofan yahan tak ke tez hawa bhi


chalti to masjid tashreef le ja ker namaz me
mashghool ho jate thhe.

1
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

Faaqe ki nobat ati ya doosri koi takleef ya pareshani


pahunchti to ap masjid tashreef le jate. Jab safar se
apki wapsi hoti to masjid tashreef le ja ker namaz
adaa karte.

Isliye hame bhi chahiye ke ham namaz ka khas


ehtmam karen. Neeche Namaz ki ehmiyat iski
fazeelat or manafe(fayde) se mutalliq kuchh aayate
kareemah or ahadeese shareefa zikr ki ja rhi hen:

Namaz Ki Fazail Quran Kareem Ki Aayat Ki


Roshni Me
Ey eaman walo! Sabr or namaz ke zariye madad
chaho, beshak allah rabbul izzat sabr karne walo ke
sathh hn.(sureh baqra: 153)

Jo kitab ap per wahi ki gyi he use padhiye or namaz


qaym kejiye, yaqeenan namaz burayi or be hayayi se
rokti he.(sureh al ankaboot: 45)

Allah rabbul izzat ne farma diya ke me tumhare


sathh hu agar tum namaz qaym rakhoge or zakaat
dete rahoge.(sureh Al maaydah: 12)

Aur agar koi pareshani ya museebat aye to namazo


ki adaygi or sabr ke zariye se allah rabbul izzat se
madad mangen, ye cheez mushkil or bhari he magar
allah rabbul izzat se darne walo ke liye nahi.(sureh al
baqra: 45)

yaqeenan in eaman walo ne falaah(kamyabi) payi jo


apni namaz me khushoo karte hen.....or jo apni
2
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

namazon ki khabar rakhte hen yahi wo waris hen jo


(jannat) al firdos ke waris honge jahan wo hamesha
rahenge.(sureh al mominoon 1-11)

haqeeqat ye he ke insan bhut kam hosla peda kiya


gya he.jab use takleef pahunchti he to khoob
ghabraahat zahir karta he, or jab iske pas khush
haali ati he to bhut bakheel(kanjoos) ban jata
he.magar wo namazi ese nhi hen. Jo apni namaz ki
hamesha paabandi karte hen.or jo apni namaz ki
poori poori hifazat karne wale hen. Yahi log jannaton
me izzat wale honge.(sureh al ma aarij 19...35).

Namaz Ki Fazilat Ahaadees Ki Roshni Me


Hazrat Abu Hurairah se riwayat he, rasool sallallahu
alayhi wasallam ne irshad farmaya: qayamat ke din
Aadmi ke aamal me sabse pehle farz namaz ka hisab
liya jayga. Agar namaz durust hui to wo kamyab
hoga or agar namaz durust na hui to wo nakam or
khasare(nuqsan)me hoga.( sunane tirmizi :413,
sunane nisayi: 465, sunane ibne maja: 1425)

Hazrat Abdullah Bin Masood farmate hen ke mene


rasool sallallahu alayhi wasallam se poochha ke Allah
ko konsa amal zyada mehboob he? apne farmaya:
namaz ko uske waqt pe adaa karna.mene kaha ke
iske baad allah ko konsa amal zyada pasand he? to
apne farmaya: waleden ki farma bardari.mene kaha
ke iske baad konsa amal allah ko zyada mehboob
he? to apne farmaya: allah ke raste me jihad karna.(
saheeh bukhari: 2782. saheeh muslim: 85)

3
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

Hazrat Abu Hurairah se riwayat he rasool sallallahu


alayhi wasallam ne farmaya" agar tumhare ghar ke
samne koi neher behti ho to tum me se koi her roz 5
bar isme ghusul kare to kiya iske badan per koi mail
kuchail baqi bachega? Sahaba kiram ne kaha: nahi
iske badan per koi mail nahi hoga.ap sallallahu alayhi
wasallam ne farmaya yahi misal 5 namazo ki he,
allah rabbul izzat inke zariye gunaho ko mita deta
he.( saheeh bukhari: 528 saheeh muslim:667)

Hazrat Anas se riwayat he rasool sallallahu alayhi


wasallam ne irshad farmaya jo shakhs musalsal(
lagataar) 40 roz tak takbeer oola ke sathh namaz
padhta raha to allah ta aala iske liye 2 azadiyan likh
deta he 1 jahannam se azadi 2 munafiqat se
azadi.(sunane tirmizi: 241, shu abul eeman: 2615)

Hazrat Abu Malik ash ari se riwayat he rasool


sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: namaz noor
he sadqa daleel he sabr karna roshni he or quran
tumhare haq me daleel he ya tumhare khilaf daleel
he( yaani agar iski tilaawat ki or is per amal kiya to
ye tumhari nijat(bachao) ka zariya hoga warna
tumhari pakad ka zariya hoga) ( saheeh muslim: 223
sunane nisayi: 2437 sunan ibne maja: 280)

Hazrat Abu hurairah se riwayat he rasool sallallahu


alayhi wasallam ne irshad farmaya: saat 7 tarah ke
aadmi hen jinko allah ta aala apni(rehmat ke) saye
me ese din jagah denge jis din inke saye ke siwa koi
saya na hoga.un saat logo me se ek wo shakhs bhi
he jiska dil masjid me atka hua ho(yaani waqt per
4
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

namaz adaa karta ho) (saheeh bukhari: 660 saheeh


muslim:1031)

Hazrat muaaz bin jabl farmate hen ke me ek safar


me nabi sallallahu alayhi wasallam ke sathh thha.ek
din me apke qareeb thha ham sab chal rhe
thhe.mene kaha: ey allah ke peghambar ap mujhe
esa amal bata dejiye jiski badolat me jannat me
dakhil ho jaun or jahannam se door ho jaun.apne
farmaya tumne badi baat poochhi he.lekin ye allah
jiske liye asan karde usi ke liye asan he.allah ki
ibaadat karo uske sathh kisi ko shareek na kro
namaz qaym karo zakaat do ramzan ke roze rakho
or allah ke ghar ka haj karo.phir apne farmaya ke
me tumhe is maamle ki asal iska sutoon iski azmat
na bata du? Mene kaha zrur bata den ya rasoolullah.
apne farmaya: maamle ki asal islam he iska sutoon
namaz he or iski azmat(bulandi) allah ke raste me
jihad karna he.( sunane tirmizi: 2616, sunan ibne
maja: 3973 shu abul eeman:2549)

Hazrat ouf bin malik ashjaee farmate hen ke ham


rasool sallallahu alayhi wasallam ke pas bethhe hue
thhe apne farmaya allah ke rasool se be at nahi
karte? apne teen martaba is baat ko kaha to hamne
apne haathh be at ke liye badha diye or be at
ki.hamne kaha: ey allah ke rasool ! hamne kis cheez
per be at ki? to apne farmaya: sirf allah ki ibadat
karo uske sathh kisi ko shareek na karo or namazo ki
pabandi karo. Iske baad dheere se kaha :logo se kisi
cheez ka sawal na karo(mango) (saheeh

5
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

muslim:1043, sunane nisayi: 460, sunan ibne


maja:2867)

Hazrat abdullah bin amar bin aas se riwayat he ke ek


din nabi sallallahu alayhi wasallam ne namaz ka zikr
farmate hue irshad farmaya:jo shakhs namaz ki
paabandi karta he to namaz uske liye qayamat ke
din noor hogi is(poore imaandar hone ki)ki daleel
hogi or qayamat ke din azab se bachne ka zariya
hogi. Or jo shakhs namaz ka ehtmam nahi karta iske
liye qayamat ke din na koi noor hoga na is(poore
imaandar hone ki)ki koi daleel hogi na azab se
bachne ka koi zariya hoga. Or wo qayamat ke din
firon haman qaroon or ubayi bin khalf ke sathh
hoga.(sunane darmi: 2763 musand e ahmad: 6573,
saheeh ibne hibban: 1467)

Hazrat Obada bin saamit se riwayat he ke nabi


sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: Allah ta aala
ne apne bando per 5 namazen farz farmayi hen jo in
namazo ko (qayamat ke din)is tarah lekar aye ke
inme laa parwahi se kisi qism ki koi kotahi na ki ho
to allah ta aala qayamat ke din is bande se ehed
karke isko jannat me dakhil farmaynge or jo shakhs
in namazo ko is tarah lekar aye ke inme
laaparwahiyon se kotahiyan ki hon to allah ka isse
koi ehed nahi chahe isko azab den chahe maaf farma
den.(mota imam malik:14. sunane abu daud: 425,
Sunan nisayi: 461)

Hazrat Anas bin Malik farmate hen ke Allah ke nabi


per meraj me 50 namazen farz huin fir kam hote
6
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

hote 5 reh gayin.Akhir me (Allah ta aala ki taraf se)


elaan kiya gaya ke ey muhammad mere yahan baat
badli nahi jati lihaza 5 namazo ka sawab 50 namazo
ke barabar hi milega.(sunane tirmizi: 213, sunane
nisayi: 449, sunane ibne maja:1399)

Hazrat Robayy bin kaab aslami farmate hen ke me


huzoor sallallahu alayhi wasallam ke pas (apki
khidmat ke liye) raat guzarta thha ek din mene
wuzoo ka pani or zarurat ki cheezen pesh kin.apne
farmaya kuchh sawal karna chahte ho to karo.mene
kaha: me chahta hu ke jannat me apke sathh
rahun.apne farmaya iske alawa kuchh or mene kaha
nahi bas yahi.apne farmaya ke apni khahish ki
takmeel ke liye zyada se zyada sajde karke mery
madad karo.(yaani namaz ki pabandi se hi ye
khahish poori hogi).(saheeh muslim: 489, sunane
abi daud: 1320, sunane nisayi:1138)

Note: Allah ke wo bande khush naseeb hen jo is


duniyawi zindgi me namaz ki pabandi karke jannatul
firdos me tamam nabiyon ke sardaar Hazrat
muhammad sallallahu alayhi wasallam ki muwafqat
hasil karenge.

Hazrat Amar apne walid or wo apne dada (hazrat


abdullah bin amar bin aas) se riwayat karte hen ke
rasool sallallahu alayhi wasallam ne farmaya.apne
bachcho ko 7 saal ki umar me namaz ka hukm do.or
10 saal ki umar me namaz na padhne per inhe maro
,or is umar me inhe aledah aledah bistaro per

7
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

sulao.(sunan abu daud:495.sunan dar qutni:


887.musand e ahmad: 6689.)

Note waliden(parents) ki zimmedari he ke jab


bachcha 7 saaal ka ho jaye to uski namaz ki hifazat
karen or 10 saal ki umar me namaz na padhne per
pitayi bhi karen taake baaligh hone se pehle pehle
namaz ka paband ho jaye or baaligh hone ke baad
iski 1 namaz bhi na chhoote kiu ki 1 time ki namaz
jaan boojh ker chhodne per Ahaadees me sakht
sakht waeeden warid hui hen.balke kuchh ulama ki
raay se to wo islam se nikal jata he.

Hazrat Umar Bin Khattab ne apne governors ko


ye hukm jaari kiya ke mere nazdeek tumhare umoor
me sabse zyada ehmiyat namaz ki he .jisne namazo
ki pabandi karke inki hifazat ki usne poore deen ki
Hifazat ki or jisne nanaz ko zaya(chhoda) kiya to wo
deen ke dusre arkaan ko or zyada chhodne wala
hoga.(moatta imam malik: 6)

Note: Hazrat Umar Farooq ke is farman se saaf


maloom hota he ke jo shakhs namaz me kotahi karta
h wo yaqeenan deen ke dusre kamo me bhi susti
karne wala hoga.or jisne waqt per khushoo or
khuzoo ke saathh namaz ka ehtmam kar liya wo
yaqeenan poore deen ki Hifazat karne wala hoga.

Hazrat Muaaz Bin Jabal farmate hen ki: rasool


sallallahu alayhi wasallam ne mujhe yaman bheja to
irshad farmaya: tum ese logo ke pas ja rhe ho jo
ehle kitab (toret/zaboor ko manne wale) hen. lihaza

8
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

sabse pehle inko is baat ki dawat dena ke allah ke


siwa koi mabood nhi or me allah ka rasool hu. Jab is
baat ko manlen to inhe batao ke allah ta aala ne in
per (musalmano)per rozana 5 namazen farz ki hen
.(saheeh bukhari: 1395. Saheeh muslim: 19)

Hazrat Hanzala se riwayat he. Rasool sallallahu


alayhi wasallam ne farmaya ke jo shakhs paancho
namazo ki is tarah pabandi kare ke wuzoo or times
ka ehtmam kare.rukoo or sajda achchhi tarah se
kare or is tarah namaz padhne ko allah ta aala ki
taraf se apne zimme zruri samjhe to is aadmi per
jannat wajib ho jaygi.(musand e ahmad: 267/4)

Hazrat Umme Salma farmati hen ke nabi sallallahu


alayhi wasallam ne akhri wasiyat ye farmayi. Namaz
Namaz apne ghulamo(ma tahat jin per tumhe qudrat
hasil ho)ke bare me allah se daro yaani inke huqooq
adaa karo.jis waqt apne ye wasiyat farmayi apki
zaban mubarak se poore Alfaaz nahi nikal rahe
thhe.(musand e ahmad: 311/6)

Hazrat Jabir Bin Abdullah se riwayat he farmate hen.


Nabi sallallahu alayhi wasallam ne farmaya: jannat ki
kunji(key) Namaz he or namaz ki kunji paaki(wuzoo)
he. (sunane tirmizi: 4, Musand e ahmad:14662, shu
abul eeman: 2455)

Hazrat Anas Bin Malik se riwayat he ke Nabi


sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: mery
Aankhon ki thhandak Namaz me rakhi gayi

9
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

he.(sunane nisayi: 3939, musand e ahmad:12293,


Mustakhraj abee awaana: 420)

Hazrat Abu Hurairah se riwayat he rasool sallallahu


alayhi wasallam ne farmaya: jab tak tum apne
musalle per ho is wqt tak farishte rehmat ki Duayn
karte rehte hen.jab tk ke wo namazi be wuzoo na ho
jaye.(saheeh Bukhari: 3229, saheeh muslim:649)

Hazrat Abu Hurairah se riwayat he ke nabi sallallahu


alayhi wasallam ne farmaya ke jo namazo ki hifazat
kare to paancho namazen or jume ke baad dusra
juma padhna gunaho ka kaffaarah ban jata he
bashar teka(shart ye he) kabeerah gunaho ka
irtikaab na kare. (saheeh muslim:233, Sunanut
tirmizi: 214)

Hazrat Abu Moosa ashari se riwayat he nabi


sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: jo
shakhs 2 thhandi namazen padhe to Allah rabbul
izzat use jannat me dakhil farmaynge.(fajar or asar)
(saheeh bukhari: 574, saheeh muslim: 635)

Hazrat Usman bin Affaan se riwayat he Nabi


sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: jo
shakhs ishaa ki namaz ba jamat adaa kare to goya
wo aadhi raat qayam karta raha. or jo shakhs fajar
ki Namaz ba jamat padhta he to goya usne sari raat
qayaam kiya he. (saheeh muslim: 656, sunane abi
daud: 555, sunane tirmizi: 221)

10
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

Hazrat Aysha se riwayat he nabi sallallahu alayhi


wasallam ne irshad farmaya: fajar ki 2
rakaat(sunnaten) duniya wa maa feeha (yaani ke
duniya me jo kuchh bhi he sabse) behtar
hen.(saheeh muslim: 725, Sunane tirmizi: 416)

Hazrat Abu Umama se riwayat he nabi sallallahu


alayhi wasallam ne irshad farmaya: jo shakhs fajar ki
namaz ba jamat hoker padhta he phir bethh ker
zikre ilaahi(Allah rabbul izzat ka zikr ) karta he
yahan tak ke suraj tuloo ho jaye(nikal aye) phir 2
rakat nifil padhta he to iske liye haj w umre ka
sawab likh diya jata he.ap sallallahu alayhi wasallam
ne farmaya mukammal mukammal yaani poora
poora ajro sawab milega. (mojame kabeer imam
tibrani: 7741, targheeb w tarheeb imam munziri:
672)

Hazrat Umme Habeeba se riwayat he nabi sallallahu


alayhi wasallam ne farmaya: ke jo shakhs her roz 12
rakaat nifil (yaani sunnaten) padhega to Allah
rabbul izzat uske liye jannat me ek ghar
banaynge.(saheeh muslim:728. Sunan abu
daud:1250, sunane tirmizi: 415)

Hazrat Ubada bin Saamit se riwayat he nabi


sallallahu alayhi wasallam ne irshad farmaya: jo
shakhs Allah ke liye ek sajdah karta he to Allah uske
liye ek neki likh deta he ek gunah mita deta he or ek
darja buland kar deta he so tum kasrat(zyada se
zyada) se sajde karo.(sunan ibne maja:1424,
musand e baraz: 2705)
11
Namaz Ki Fazilat In Urdu Pdf

12

You might also like