Nothing Special   »   [go: up one dir, main page]

Ramzan Iftaar Duas PDF

Download as pdf or txt
Download as pdf or txt
You are on page 1of 3

IFTAAR TIME DUAS (Make this Dua 10 mins before IFTAAR TIME)

1) Aye Allah! Rabbul izzat, aye saari qaayenaat ke shehensha, aye saari makhlooq ke
paalne wale, aye zindagi aur mout ka faisla karne wale, aye aasmano aur zameenon
ke malik, aye pahaadon aur samandaron ke maalik, aye insaanon aur jinnaton ke
maabood, aye arsh e aazam ke maalik, aye farishton ke maabood, aye izzat aur zillat
ke maalik, aye beemariyon ko shifa dene wale, aye baadshahon ke
baadshah.(beshaq)
2) Aye Allah! Hum tere gunahgar bande hai, tere khatakar bande hai, humein maaf
farma
3) Aye Allah! Hum apne agleh, pichle, sagira wa kabeera, chote bade sabhi gunahon
aur khataon ki maafi mangte hain, humari tauba qubool farma
4) Aye Allah! Humein laylatul qadr naseeb farma
5) Aye Allah! Humein kaamil eimaan naseeb farma aur poori hidayath farma
6) Aye Allah! Humein poore ramzan ki neymat wa barkaat se maal a maal farma
7) Aye Allah! Hamare dilon ko khuloos ke saath deen ki taraf pher de
8) Aye Allah! Apni khaas rahmat naazil farma aur apne ghazab se bacha
9) Aye Allah! Hamare sagheera aur kabeera gunahon ko maaf farma
10) Aye Allah! Ek lamhe ke liye bhi hame dunya k hawale mat kar
11) Aye Allah! Hamein tangdasti, khouf aur kharz ke bojh se bacha
12) Aye Allah! Hamein dajjaal ke fitne, shayateen aur nafs ke shar se, maut ki sakhti se,
khabar k azaab se, Qayamat ki garmi se aur jahannam ki aag se mahfooz farma.
13) Aye Allah! Hashr ki ruswayi se, humko, hamare walidayn aur poori ummat e
muhammadia ki hifazat farma
14) Aye Allah! Pulsiraat par se guzarna hamare liye aasaan farma
15) Aye Allah! Be-hisaab jannat ul firdaus mein daakhila naseeb farma
16) Aye Allah! Naam e aamaal hamare dahine haath mein atah farma
17) Aye Allah! Maqbool wa dar hajj-e –baithullah naseeb farma
18) Aye Allah! Apne arsh k saaye mein jagah naseeb farma
19) Aye Allah! Munkir nakeer ke sawalaat ke jawaabaat humpar aasaan farma
20) Aye Allah! Humein halaal rizq atah farma
21) Aye Allah! Qayamat k roz humko apna deedaar naseeb farma
22) Aye Allah! Hamein teri bandagi ki mohtaaj bana
23) Aye Allah! Auraton ko pardah ki poori paabandi ki taufeeq dey
24) Aye Allah! Choti badi beemariyon se ummat e muhammadia ki hifaazat farma
25) Aye Allah! Taqhwa aur parheezgaari naseeb farma
26) Aye Allah! Humein siraat e mustaqeem par khaayam rehne wala bana, aur apni raza
par raazi rehne wala bana
27) Aye Allah! Aapke habeeb Muhammad Mustafa Sallallaahu Alaihiwasallam ke
pyaare tareekhe hum ko sikha de
28) Aye Allah! Qayaamat k din Muhammad Mustafa Sallallaahu Alaihiwasallam ki
shafa-at naseeb farma
29) Aye Allah! Qayaamat k din Muhammad Mustafa Sallallaahu Alaihiwasallam ke
mubaarak haathon se jam-e-kausar peena naseeb farma
30) Aye Allah! Hamaare dilon me Rasool Allah Sallallaahu Alaihiwasallam ki muhabbat
atah farma
31) Aye Allah! Muhammad Mustafa Sallallaahu Alaihiwasallam ne ummatiyon ke liye
jo dua maangi hai isko hamaare haqq mein qubool farma aur jin jin buraayion se
panah maangi hai us se hamaari hifaazat farma
32) Aye Allah! Hamaare walidayen ki maghfirat farma
33) Aye Allah! Humein halaal rizq haasil karne wala bana
34) Aye Allah! Humein shirq aur bida-at se mahfooz farma
35) Aye Allah! Hum mein se jo beemaar hai unhe sehat wa tandrusti atah farma
36) Aye Allah! Humein panj waqta namaazi bana de
37) Aye Allah! Humein dunya wa aakhirat mein maal a maal kar
38) Aye Allah! Hamari dunya mein barkat atah kar aur aakhirat mein raham farma
39) Aye Allah! Hamare naakhis ibaadaaton ko qubool farma
40) Aye Allah! Hamaari tamaam jaayaz duaon ko qubool farma
41) Aye Allah! Humein sehat aur aafiyat atah farma
42) Aye Allah! Hamare gunahon ko maaf farma
43) Aye Allah! Hamare khata-on ko maaf farma
44) Aye Allah! Hum gunahon se tauba karte hai, hamari tauba qubool farma
45) Aye Allah! Tu apni rahmat se hamein maaf karde
46) Aye Allah! Humein gunah ke raste se nikal kar, siratal mustaqeem ke raste par
chalne wala bana
47) Aye Allah! Aisi namaz padhne ki taufeeq atah kar jis namaz se tu raazi ho jaye
48) Aye Allah! Zindagi mein aise naek aamaal karne ki taufeeq atah kar jin amalon se tu
raazi ho jaaye
49) Aye Allah! Humein aisi zindagi guzaarne ki taufeeq atah kar jis zindagi se tu raazi ho
jaaye
50) Aye Allah! Humein imaan par zinda rakh aur imaan par hi maut atah kar
51) Aye Allah! Humein hamaare aakhri waqt mein labon se kalma naseeb farma
52) Aye Allah! Humein teri hukmon ki farmabardari karne wala bana
53) Aye Allah! Jo beemaar hain unhe shifa atah farma
54) Aye Allah! Jo karz ke bojh se dabe huye hai unse karz jaldi atah karwade
55) Aye Allah! Shaitaan se hamari hifaazat farma
56) Aye Allah! Islaam k dushmanon ka muh kaala kar
57) Aye Allah! Humein maangna nahi aata lekin tujhe dena aata hai, tu har cheez par
qaadir hai, jo maanga wo atah kar aur jo maangne se reh gaye woh b inayat farma
58) Aye Allah! Aapke pyare habeeb Muhammad Mustafa Sallallaahu Alaihiwasallam ke
naek aur paakeeza tareekon ko apni zindagi mein laane wala bana
59) Aye Allah! Hamari is dua ko apne reham wa karam se qubool farma
60) Aye Allah! Jo log is dua mein shareeq hue hai aur AMEEN kah rahe hain unke haq
mein in saari duaon ko qubool farma
61) Aye Allah! Jo yeh dua padh raha hai, aur jisne humko ye dua aage bheji hai unki
saari pareshaniyon ko door kar, duniya wa aakhirat mein kaamyaab kar, sehat wa
tandrusti atah kar, aur jannat ul firdaus atah farma (Aameen, ya Rabbal Aalameen)

Created & Documented By – MUJEEB UR REHMAN (Banjara Hills, Hyderabad)

You might also like